17-Nov-2023

200 Saal pehle paida hone wale Wahabi deobandi ye Kehte hain ki huzoor ﷺ ko 40 saal ke baad Nabuwat mili usse pehle wo Nabi nahi the Maazallah استغفراللہ

Ahle sunnat Wal Jamaat ka ye Aqeedah Ha k Nabi E Kareem ﷺ ne Nabuwat ka Ailaan 40 saal me Kiya aur ALLAH ﷻ ne sabse pehle Nabi ﷺ ko banaya aur Nabi ﷺ ke sadke hi iss duniya ko banaya aur Nabi ﷺ Khatimunn Nabieen hain nabi ﷺ ke baad koi Nabi nahi ayega.

ALLAHﷻ Quran Paak Surah Aale Imran Aayat 81 Me Irshad Farmata Hai.

وَ اِذْ اَخَذَ اللّٰهُ مِیْثَاقَ النَّبِیّٖنَ:

Tarjuma:- Aur Yaad Karo Jab ALLAH Ne Nabiyon Se Wada Liya.

Hazrat Ali کَرَّمَ اللہ تَعَالٰی وَجْہَہُ الْکَرِیْم Ne Farmaya Ki ALLAH Tala Ne Hazrat Aadam علیہ السلام Aur Unke Bad Jiss Kisi Ko Nabuwat Ata Farmai Unse Sayyad Ul Ambiya Muhammad Mustafaﷺ Ke Mutaalik Ehed Liya Aur Unn Ambiya عَلَیْہِمُ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَام Ne Apni Qaumo Se Ehed Liya Ke Agr Unki Hayat Me Sarware Kaynatﷺ Ho To Wo Aapﷺ Par Imaan Laye Aur Aapﷺ Ki Madad O Nasrat Kare.

(Tafseer Ul Khazin” Al Imran- Tahetul Aayat 81 /Jild 1 / Page-825)

Huzur Nabi E Karim ﷺ ka Khatamunn Nabieen Hona Aur Hazrat Ameena رضي الله عنها Ka Mulk E Shaam Dekhna :

Hazrat Irbaaz bin Sariya Radiallahu Anhu se marvi hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya mai Allah Taa’la ka wo banda hu jiss ko ummul kitab me uss waqt khatimunn Nabieen likh diya gaya tha jab Aadam عَلَيـهِ السَّــلَام abhi tak apne mitti me pade huwe the aur Mai ankareeb tumko uske taveel ke baare me bataunga, Mai apne baap Hazrat Ibrahim Alaihsalam ki dua, Hazrat Isa عَلَيـهِ السَّــلَام ki basharat aur apni Maa ka khwab hu. Meri maa ne ek khwab dekha tha ke usse ek aisa noor nikla jisne uske liye shaam ke mehallaat raushan kar diye aur nabiyo'n ki maa’ein aise hi khwab dekhti rahi hai, Allah taala ki unpe rehmate ho.

Imam Ahmad ibn Hambal Al Musnad Vol : 28, pg 395, Hadees : 17163) Sahih Tahkeek Shaykh Arnaut(Musnad imam Ahmad Ibne Hambal Vol :13, Pg 281-282 Hadees : 17085-86) Tahkeek Ahmad Shakir (Imam Darimi Sunan, Hadees : 13)(Imam Hakim in his Mustadrak Vol 02:418, 600, 616-617 Sahih), (Imam Bayhaqi Dala’il an-Nubuwwa 1:80-84,110, 2/8)(Imam Ibn Hibban 14:313 #6404), (Imam Tabarani Mujam al-Kabir, 8:206, 18:252-53, 20:353), (Imam Ibn Asim Sunnah #409)(Imam Bazzar Majma Uz Zawa’id 1:217, 3:113),(Imam Bukhari Tarikh al-Kabir (6:68) (Imam Abu Dawood Al Tayalisi Musnad, #1236)(Imam Ibn ‘Asakir Tareekh 1:166-71)(Imam Haythami in Majma’ az-Zawa’id 8:222-23 #13841-42)(Imam Suyuti Jami’ as-Saghir #4359-60)

Hazrat Irbaz Bin Sariya رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ Se Riwayat Nabi Kareem Raufurr Raheem صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya Mai Abdullah Hoon (Yaani Allah Ka Banda Hoon) Aur Mai Uss waqt bhi khatimunn Nabieen tha jab Mere Baap (Yaani Adam Alaihssalam) abhi Gaadhi Mitthi Me The ,Aur Mai Ankbareeb Iske baare me tumhe khabar dunga, Mai Apne Jadde Aala Ibraheem عليه السلام‎ Ki Dua Hu, Hazrat isa عليه السلام‎ Ki Basharat Hu Aur Wo Khwab Hu Jo Meri Walida Sayyeda Amina رضی اللہ عنہا Ne Zamana e Hamal Me Dekha Ki Unse Ek Noor Ne Tulu Farmaya Hai Jisse Ilaqa E Sham Munawwar Ho Gaya Aur Fir Aapne Ye Ayat Tilawat Farmayi Surah Ahzab Ayat 45-46.

يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِىُّ إِنَّآ أَرْسَلْنَٰكَ شَٰهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًاوَدَاعِيًا إِلَى ٱللَّهِ بِإِذْنِهِۦ وَسِرَاجًا مُّنِيرًا

Aye Mehboob Beshak Humne Tumhe Gawah Aur Khush’khabri Sunane Wala Aur Dar Sunane Wala Aur Allah Ke Huqm Se Uski Taraf Logon Ko Bula Ne Wala Aur Raushan Aftab Bana Kar Bheja.

(Imam Hakim Al Mustadrak Kitabut Tafseer, Surah Ahzab Vol 02, Pg : 453 Hadees : 3566)

Hazrat Abu Huraira رضی ﷲ تعالی عنہ Se Marvi Hai Ki Sahaba Ikram Ne Arz Kiya Ya RasoolAllahﷺ Aapke Liye Nabuwat Kab Wajib Hui Aapne Farmaya Jab Hazrat Aadam علیہ السلام Rooh Aur Jism Ke Darmiyan The Iss Hadis Ko Hazrat Imam Tirmizi رحمت اللہ علیہ Ne Riwayat Kiya Aur Farmaya Ye Hadees Hasan Hai.

(Sunan Tirmizi / Kitab Ul Manaqib / Hadees-3609)

Hazrat Sayyaduna Abdullah Bin Abbas رضی ﷲ تعالی عنہ Se Riwayat Hai Ke ALLAH Pak Ne Hazrat Sayyaduna Isa علیہ السلام Ki Taraf Wahi Farmai:

يَا عِيْسٰى آمِنْ بِمُحَمَّدٍ وَاْمُرْ مَنْ اَدْرَكَهٗ مِنْ اُمَّتِكَ اَنْ يُّؤْمِنُوْا بِهٖ فَلَوْلَا مُحَمَّدٌ مَاخَلَقْتُ آدَمَ وَلَوْ لَا مُحَمَّدٌ مَا خَلَقْتُ الْجَنَّةَ وَلَا النَّارَ

Yani Aye isa! Muhammed Arabiﷺ Par Imaan Lao Aur Apni Ummat Me Se Unka Zamana Pane Walon Ko Bhi Unn Par Imaan Lane Ka Hukm Do Agar Muhammad Mustafa ﷺ Na Hote To Me Na Aadam Ko Paida Karta Aur Na Hi Jannat Aur Dozakh Banata.

(Al Mustadrak Al Sahihhain /Jild 3 / Hadees-4227)

Iss Hadees Paak Me Hai Ki Aaqaﷺ Na Hote To ALLAHﷻ Na Aadam علیہ السلام Ko Paida Karta Na Jannat Jahnnam Ko Banata.

Imam “Bukhari” Ke Ustad Ke Ustad Hazrat Imam “Abdur Razzaq” Al Mutawaffah “211” Hijri Hadith Likhte Hai Ki Maine Ye Hadees mashhoor “Taba’tabaeen” Hazrat Imam “Muamar ibne Rashid” Al Mutawaffah “153” Hijri Se Suni Unhone मशहूर Azeem “Tabai” Hazrat Imam “Ibn e Munkadir” Al Mutawaffah “130” Hijri Se, Unhone Azeem behad mashhoor Pyare Sahabi Hazrat “Jabir Bin Abdullah” al-Ansari Al Mutawaffah “78” Hijri Se Aur Aap Riwayat Karte Hai Ki Mene Allah ﷻ Ke “Habib ﷺ Se Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Allah ﷻ Ne Sari Makhlukat Me Sabse Pehle Kis Chiz Ko Banaya ?To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Jabir رضي الله عنه Allah ﷻ Ne Sabse Pehle Tere Nabi Muhammad ﷺ Ke Noor Ko Apne Noor Se Paida Farmaya.

(Al-Musannaf /Page-64/ Sanad Sahih)

Iss Hadees Ki Sanad Itni Mazboot Hai Ki Saudi Najdi Isko Tod Na Sake Par Isko Todne Ke Chakkar Me Najdio'n Ke Bid’ati Aqeede Zaroor Toot Gaye_ Iss Hadees Ko Likhne Wale “Muhaddiseen”Hazrat Imam “Ghazali” Al Mutawaffah “505” Hijri Apni Kitab “Sulwat al-Arifeen” Vol “1/ Page “64” Par.

Gaus e Azam” Al Mutawaffah “561” Hijri Apni Kitaab “Al Safina al-Qadiriyah” Vol “1” Page 75″ Par Likha.

Hazrat Imam Ibn e “Shahawar al-Raazi” Al Mutawaffah “654” Hijri Apni Kitab”Manarat al-Asayereen” Vol “1” Page “12” Par.

Hazrat Imam Abdul-Haq Bin Ibrahim al-Andalusi “Ibn e Sabaeen” Al Mutawaffah “669” Hijri Apni Kitaab “Anwaarul-Nabi ﷺ” Vol “1” Page “132” Par.

Hazrat Imam Abdul Kareem “al-Jilani” Al Mutawaffah “805” Hijri Apni Kitab “Al Kahf wal-Raqim fi-Sharah ﷽” Vol “1” Page “47” Par

Hazrat Imam Ibn e “Hajar Haythami” Al Mutawaffah “974” Hijri Apni Kitab “Fatawa al-Hadisiya” Vol “1” Page “108” Par

Hazrat Imam Mufassir “Ismail Haqqi” Al Mutawaffah “1137” Hijri Apni Kitab Quran Ki Tafseer “Ruh al-Bayan” Vol “9” Page “113” Par.

Hazrat Imam Ismail “Al-Ajlauni” Al Mutawaffah “1162” Hijri Apni Kitab “Kashf al-Khifa wa-Muzil al-ilbas” Vol “1” Page “237” Par.

Hazrat Imam Hasan al-Adawi “al-Hamzawi” Al Mutawaffah “1303” Hijri Jinhone “200” Saal Pehle Kitab Bulugh al-Masaraat Vol “1” Page “23” Par Iski “Sanad” Ko “Sahih” Karar Diya

Hazrat Imam Yusuf “Nabhani” Al Mutawaffah “1350” Hijri Apni Kitab “Majmu al-Arbaein” Vol “1” Page “106” Par.

Inn Sab Muhaddiseen Ne Ye Hadees Likhi lekin Kisi Ne Bhi Isko Mawzu Zaeef Nahi Kaha Balke Ta’eedan Isko Likha_

Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Farmaate Hain Ki Sahaba E Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ! Aap Ke Lie Nubuwwat Kab Waajib Huee ? Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi (Yaani Rooh Aur Jism Ka Baahami Taa’lluq Bhi Abhi Qaayam Naa Huaa Tha).” (Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Baab : Maa Jaa Fi Fazail E Nabi Sal Allahu Alaihwasalam, Pg : 821, Hadees : 3609) (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, pg : 665/66, Hadees : 4210)

Hazrat Maisarah Fazr رضي الله عنه Farmaate Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Se Poochha : (Ya RasoolAllah ﷺ !) Aap Kab Nubuwwat Se Satfaraaz Kie Gae ? Aap ﷺ Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Takhleeq Rooh Aur Mittee Ke Marhale Me Thi.” References : (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, pg : 665/66, Hadees : 4209)Imam Hakim Farmate hai Ye Hadees Sahi Hai Hakim Hadees : 4209 & 4210

عظمتِ امام احمد رضا رحمۃ اللّٰہ علیہ ۔

اصول حدیث

خرافات کا رد!

اعلیٰ حضرترحمت اللہ علیہ پر اعتراض کا جواب

ردِ صلح کلیت

صحابہ و اہلِ بیت میں آپس میں محبت

ایمان والدین مصطفی ﷺ

بیت المقدس

صحابہ اکرام کی فضیلت رافضیوں کی کتاب سے۔

اہل حدیث بے نقاب