Afzal Ul Bashar Bad Az Ambiya Bit Thekik Ammer Ul Momineen Hazrat Abu Bakar Siddique رضي الله عنه
Surah Tauba Ayat No.40
اِلَّا تَنۡصُرُوۡہُ فَقَدۡ نَصَرَہُ اللّٰہُ اِذۡ اَخۡرَجَہُ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا ثَانِیَ اثۡنَیۡنِ اِذۡ ہُمَا فِی الۡغَارِ اِذۡ یَقُوۡلُ لِصَاحِبِہٖ لَا تَحۡزَنۡ اِنَّ اللّٰہَ مَعَنَا ۚ فَاَنۡزَلَ اللّٰہُ سَکِیۡنَتَہٗ عَلَیۡہِ وَ اَیَّدَہٗ بِجُنُوۡدٍ لَّمۡ تَرَوۡہَا وَ جَعَلَ کَلِمَۃَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوا السُّفۡلٰی ؕ وَ کَلِمَۃُ اللّٰہِ ہِیَ الۡعُلۡیَا ؕ وَ اللّٰہُ عَزِیۡزٌ حَکِیۡمٌ ﴿۴۰﴾
Kanzul Imaan translation
Agar Tum Mehboob Ki Madad Na Karo To Beshak Allah Ne Unki Madad Farmaayi Jab Kaafiro’n Ki Sharaarat Se Unhe’n Baahar Tashreef Le Jaana Huwa Sirf Do Jaan Se Jab Woh Dono’n Gaar Me’n The Jab Apne Yaar Se Farmaate The Gam Na Kha Beshak Allah Humaare Saath Hai To Allah Ne Uspar Apna Sakeena Utaara Aur Un Faujo’n Se Uski Madad Ki Jo Tumne Na Dekhee’n Aur Kaafiro’n Ki Baat Neeche Daali Allah Hi Ka Bol Baala Hai Aur Allah Gaalib Hikmat Waala Hai.
Hazrat Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه Bayan Farmate hai:
‘Ham Nabi e Kareem ﷺ Ke Zamane me Logo Mese Sabse Behtar(Afzal) Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه Ko Samjhte the
Ref: Sahih Bukhari, Hadith no.3655.
NABI E KAREEM ﷺ NE FARMAYA:
Ambiya o Rasool Ke Baad Suraj Kisi Ek Shaks Par bhi Tuloo Aur Ghuroob Huwa Nahi Jo Abu Bakr رضي الله عنه” Se Afzal ho.
Ref: Fazail us Sahaba, Hadith no.662.
NABI E KAREEM ﷺ NE FARMAYA :
Abu Bakr Se Kaho ke Wo Logo ko Namaz Padhaye, Nabi e Kareem ki Baargah me Logo ne Arz Kiya Ya RasoolAllah! Abu Bakr Naram Dil hai Agar Wo Aap ki Jagah Par Namaz Padhayenge to Mushkil Hojayegi! Nabi e Kareem ne Phir Wahi Hukm Irshad Farmaya, Phir Aap ke Saamne Wahi Baat Pesh ki Gayi to Nabi e Kareem ne Phir Wahi Hukm Irshad Farmaya”.
Ref: Sahih Bukhari, Hadith no.664.
“Jo Shaks Abu Bakar Siddiq Ki Sahabiyat Ka Munkir ho Kaafir hai, isi Tarah Jo Hazrat Abu Bakar ki Ki Imamat Ka inkaar kare Mazhab e As’ha Me Kaafir hai, isi Tarah Hazrat Umar ki Sahabiyat ka inkaar kaul e As’ha Kufr hai “
.Ref: Maj’ma ul Anhur, Page no.692.
Imam Bukhari Mutawaffa 256 Hijri apni Sahih Bukhari me Hazrate Jubair bin Mut’am رضي الله عنه se Hadees Naqal karte hai:”Rasool e Kareem ﷺ ke Khidmat me Ek Khatun Aayi aur Kisi Muaamle me baat ki to Nabi e Kareemﷺ us Khatoon ko Dobara apni Khidmat me Haazir hone Ka Hukm Irshad farmaya, Us Khatoon ne Arz Kiya Ya RasoolAllah agar mein Aap ko naa Paau(Yaani agar aap Parda Farma jaaye) to Kis ke Paas Aau ? To Nabi e Kareemﷺ farmaya Agar Tum Mujhe Naa Paana to Phir Abu Bakar رضي الله عنه ke Paas Aana”.
Ref: Sahih Bukhari, Page no.3659.
Imam Bukhari Mutawaffa 256 Hijri apni Sahih Bukhari me Hazrate Abu Saeed Khudri رضي الله عنه se Naqal karte hai:
RASOOL E KAREEMﷺ NE IRSHAD FARMAYA:”Waqt aur Maal ke Sarf(Kharch) Karne ke lihaz se Abu Bakr رضي الله عنه Ka Mujh par Sabse Zyada Ehsaan hai, Agar Mein Kisi ko Khaleel(Jigri Dost) Banata to Lazim hai ke Abu Bakar رضي الله عنه ko Khaleel banata Lekin Islam ki Akhuwat aur Mohabbat Kaafi hai aur Masjid me Khulne wale Tamam Darwaze Band Kar Diye Jaaye Siwaye Abu Bakar رضي الله عنه ke Darwaze ke.
“.Ref: Sahih Bukhari, Page no.3654.YouScan
Hazrat Shaykh Abdul Qadir Jilani Huzoor Ghaus ul Aa'zam رحمتہ اللہ علیہ apni Kitaab Ghuniyatut Talibeen me Likhte hain : Khulafa e Rashideen me Sabse Afzal Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه hai, Phir Hazrate Umar hai, Phir Hazrate Usman hai Aur Phir Hazrat Ali رضی اللہ عنہم اجمعین hai Aur Shia ko Shia isliye Kaha jaata hai ke Wo Hazrate Tamaam Sahaba pe hazrat Ali رضي الله عنه ko Fazeelat dete hai.
Ref: Ghuniyatut Talibeen,Pg no.158 & 179.
Is Hawale se pata Chala Shehanshah e Auliya Huzoor Sayyiduna Ghaus e Aa'zam Ka bhi Yehi Aqeedah hai ke Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Tamaam Sahaba se Hatta ke Maula Ali رضی الله عنه se bhi Afzal o Mukarram hai aur Jo Iske Khilaaf Aqeedah Rakhe Ya Bayan kare wo Shia hai Sunni Hargiz nahi.
Huzoor Sayyed Ali bin Usman Hujveri Jinhey ham Huzoor Daata Ganj Bakhsh Ali Hujveri ke Naam se Jaante aur Pehchaante hai Wo Apni Kashf ul Mahjoob me Farmate hai…..
“Hazrate Siddique e Akbar رضي الله عنه ki Hasti Wo Hasti e Mubarak hai ke Aap Tamaam Ambiya ke baad sabse Afzal Tareen hain, Unsey Aage Badh Kar Kisi ko Qadam Uthana Rawaa nahi”.
Ref: Kashful Mahjoob Urdu,Page no.174.
Silsile Chishtiya ke Azeem Buzurg Hazrate Shaykh Abdurrehman Chishti رحمتہ اللہ علیہ Apni Mira’t ul Israar me Likhte hai….”Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ne Kamaal e Sidq(Sacchai) se apni Jaan aur Maal ko Sarkaar e Do Aa'lam par Qurban Kar Diya Aur Kisi Hukm me Huzoor ki Pervi naa chhodi, Yehi Wajah hai ke Aap Nabi e Kareem ﷺ ke Baad Qaom ke Sardaar huwe aur Mashaykh Aap ko Muqaddam(Afzal) Jaante hai”.
Ref: Mir’at ul Israar,Page no.144.
Khwajgaan e Chisht ke Tazkire pe Likkhi gayi Mashoor o Maroof Kitaab Siyar ul Auliya me Hazrate Sayyed Muhammad Kirmaani رحمۃ اللّٰہ علیہ Likhte hai Jo ke Khud Ek Azeem Buzurg hai …
‘Janab e Ameer ul Momineen Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه par Khaas taur pe Khuda ki Beshumar Rehmatein aur Salaam ho Jo Nabi e Kareem ﷺ ke Baad Tamaam Ummat se Buzurg o Faazil Tar(Afzal) hai Aur Rehmat e Kaunain Ke Mu’azzaz o Mumtaz Khalifa the”
.Ref: Siyar ul Auliya,Page no.36.
Hazrate Mehboob E ilaahi Khwaja Nizamuddin Auliya ke Khalifa Hazrate Fakhruddin Chishti رحمتہ اللہ علیہ Apni Kitaab Aqaid e Nizamiyah me Likhte hai
“Rasool e Khuda ke Wajood e Mubarak ke baad Tamaam Logo me Buzurg Tar Hazrate Abu Bakar Siddique bin Qohafaرضی اللہ عنہ hain, Phir Hazrate Umarرضی اللہ عنہ Phir Hazrate Usmanرضی اللہ عنہ Phir Hazrate Ali Murtaza bin Abu Talibرضی اللہ عنہ hain”.
Ref: Aqaid e Nizamiyah,Page no.27. Scan
Hazrate Sultan ul Mashaykh Meer Sayyed Makhdoom Ashraf Jahangeer Simnani رحمتہ اللہ علیہ ki Malfuzaat Lataif e Ashrafi me Hazrate Nizam Yamani Likhte hai ke .
“Hazrate Abdullah bin Abbasi رحمتہ اللہ علیہ se riwayat hai ke Ahlesunnat Wal Jamaat 10 baaton ke Qaayel(Maanne wale) hai, Pehle ye ke Dono Peero Yaani Hazrate Siddique ke e Akbarرضی اللہ عنہ aur Hazrate Umarرضی اللہ عنہ Afzaliyat ke Qaayel hai Aur Dono Damaad Hazrate Usman e Ghaniرضی اللہ عنہ aur Hazrate Aliرضی اللہ عنہ ki Buzurgi ko Tasleem karte hain”.
Ref: Lataif e Ashrafi,Page no.220.Scan
Hazrate Imam e Rabbani Mujaddid e Alfesaani رحمتہ اللہ علیہ Apni Maktubaat Shareef me Likhte hai ke
“Ahlesunnat Ka is baat pe ljm’a hai ke Tamaam Sahaba me Sabse Afzal Hazrate Abu Bakar Siddique رضي الله عنه hai aur Sahaba e Kiraam Ka bhi is baat pe Ittefaq hai ke Hazrate Abu Bakrرضی اللہ عنہ Sabse Afzal hai, Ye lj’mai Aqeedah hai Jiska Inkaar nahi Kiya Jaa Sakta”.
Ref: Maktubaat e Rabbani,Page no.39.
Hazrate Meer Abdul Wahid Bilgeraami رحمتہ اللہ علیہ Apni Maqbool Tareen Kitaab Sab’ e Sanaabil Shareef me Likhte hain
“Is par bhi Ahlesunnat Ka ljm’a hai ke Nabiyon ke Baad Tamaam dusri Makhlooq me Sabse Behtar(Afzal) Hazrate Abu Bakar Siddiques Phir رضی اللہ عنہ hai Phir Hazrate Umarرضی اللہ عنہAage Likhte hai ke Aye Azeez Shaykhain ko Yaani Hazrate Abu Bakar o Umar ko Fazeelat dene me tere Anjaam ki Behtari hai agar tere Dil me Shaykhain ki Mohabbat Kam hai to Samjh le ke Teri Buniyaad Rifz(Raafziyat) me Mazboot ho rahi hai”.
Ref:Sab’ e Sanaabil Shareef,Pg no.56 & 61.
Hazrate Peer Meher Ali Shah Golarvi رحمتہ اللہ علیہ Apni Mashoor Kitaab Tasfiya Mabain Sunni Wash’shia me Likhte hai ke
‘Jamaat e Muteqaddema me jis Ka infaaq o qitaal Muqaddam hoga wo Sabse Afzal hoga Aur Shaykhain (Yaani Hazrate Abu Bakar o Umar ) Ka infaaq o qitaal Saheeh A’hadees se Muqaddam(Sabse Afzal) saabit hai, Lihaza Khilafat unki Khilafat e Rashida o Khassa Thehri Jisme Khalifa Ka Afzal hona Zaruri Samjha gaya”.
Ref: Tafsiya Mabain Sunni Wash’shia, Pg no.23.
Shia Rafziyo Ka Bahut Bada Sheikh & Allama Muhammad Bin Abdul Aziz Al-Kashshi Death 350 Hijri Likhta Hai
New Edition Rijaal AL-KASHI
Ghouse Aazam Ki Ruhani Aulad, Shiekh E Akbar, Hazrat Muhiuddin Ibn Arabi رحمتہ اللہ علیہ farmaten hai:
Jaan Lo ke Ummat e Muhammadi me Koi Shaqs aisa nahi hai Jo Hazrat Abubakar Siddique رضي الله عنه se Afzal ho Siwaye Isa Alaihissalam ke.
Ref: Al Futuhaat e Makkiyyah, Vol-2, Part-1, Page- 165.
Hazrat Imam Muhammad bin Al Hanafiyah Tabai Radiallahu anhu Farmate hai Maine Apne Walid E Buzurg Ameerul Momineen Imam Ali Ibn Abu Talib Radiallahu anhu Se Pucha Rasoolullah ﷺ Kay Baad Ummat Kay Logo Me Sabse Afzal Shaksiyat Konsi Hai ? To Sayyidna Aliyul Murtaza Radiallahu anhu ne Farmaya Abu Baqr Phir Pucha Unke Baad ? Farmaya Umar, Phir Mujhe Andesha Huwa Ki Abki Baar Pucha To Hazrat Usman E Gani Ka Naam Lenge. To Maine Arz Ki Phir Abu Baqr Wa Umar Kay Baad To Aap Hi Afzal Hai ? To Maula Ali Radiallahu anhu Ne (Inkesari Kay saath) Farmaya Mai To Aam Musalmano Me Se Ek Musalman Hoon” Rizwanullahim Azmayeen Reference :(Sahih Bukhari Kitab Fazail E Ashabun Nabi , Pg : 902, Hadees : 3671)
Hazrat Umar Ibn Khattab رضي الله عنه Se Marwi Hai Hazrat Abu Baqr Siddique Hamare Sardar Hai Hum Me Sabse Bahtar Hai Aur Rasoolullah ﷺ Kay Nazdeeq Hum Me Sabse Afzal Hai” (Sunan Tirmizi, Kitabul Manakib, Manakib E Abu Baqr Siddique, Hadees : 3656)
Hazrat Abdullah Ibn Salimah رضي الله عنه Se Marvi Hai Farmate Maine Maula Ali رضي الله عنه ko farmate huwe Suna Nabi ﷺ Kay baad sabse afzal Abu Baqr hai aur unke baad Umar hai” (Imam Ibn Majah Sunan, Kitab Al Sunnah, Hadees : 106)
Hazrat Ali رضي الله عنه Farmate hai Rasool Allah ﷺ Sabse Aage Hai Phir Dusre Number Par Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Phir Teesre Number Par Hazrat Umar رضي الله عنه Phir Hume Fitno Ne Aa Ghera Allah Taala Jisse chahe maaf farma deta hai" (Imam Hakim Al Mustadrak Hadees : 4426) Imam Hakim رحمتہ اللہ علیہ Kahte Hai Ye Hadees Sahih Ul Isnad Hai Lekin Shaykhen Ne Isko naql nahi kiya
Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله عنه Se Marvi Hai Farmate Hai Hum Nabi ﷺ Kay Jamane Mubarika Me Sabse Zyada Afzal Abu Baqr Siddique رضي الله عنه ko Shumar Karte they, Iske baad Hazrat Umar Ibn Khattab رضي الله عنه Anhu, Aur Uske Baad Hazrat Usman Ibn Affan رضي الله عنه (Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Ashab-Un-Nabi, Baab : Fazail E Abu Baqr Baad An Nabi Hadees : 3655) (Imam Tirmizi Jamai, Kitab Ul Manaqib, Hadees : 3707)
Hazrat Abu Darda رضي الله عنه Farmate Hai Mai Ek Martaba Hazrat Abu Baqr Siddique رضي الله عنه Kay aage chal raha tha to Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Abu Darda Tum Uske Aage Chal rahe ho jo Dunya wa aakhirat me tumse bahtar hai, Nabi ﷺ Aur Mursaleen kay baad kisi par naa to suraj tulu huwa aur naa hi gurub huwa ki woh Abu Baqr رضي الله عنه Se Afzal Ho” (Imam Ahmad Ibn Hanbal, Fazail E Sahaba, Vol : 01, Pg : 135, Hadees :135)
Hazrat Amr Ibn Al Aas رضي الله عنه Farmate hai Maine Rasoolullah ﷺ Se Pucha Logo me Aap ﷺ kay Nazdiq Sabse Mehboob Kaun hai ? Irshad Farmaya Ayesha, Maine Kaha Mardo Me Farmaya Inke Walid (Yaani Abu Baqr) Phir Farmaya Uske Baad Farmaya Umar Ibn Khattab” (Sahih Bukhari, Kitab Fazail E Ashabun Nabi, Hadees : 3662)
Hazrat Abu Baqr Ibn Ayyash رضي الله عنه Farmate Hai Maine Hazrat Abu Haseen ko ye farmate huwe suna Ambiya Wa Mursaleen Kay baad Hazrat Aadam Alaihsalam Ki Aulaad Me Hazrat Abu Baqr Siddique Se Afzal Koi Paida Nahi huwa. (Imam Ahmad Ibn Hanbal, Fazail E Sahaba, Vol : 01, Pg : 394, Hadees : 598)
Maula Ali رضي الله عنه ne farmaya : Rasoolullah ﷺ ka wisal us wakt tak na hua jab tak Hume ye maloom na hogaya ki Huzoor ﷺ ke bad sabse Afzal Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه hai" Ref: Al Sunnah Ibn Abi Asim Hadith no. 1234
Imam Zain ul Abideen رضي الله عنه ne Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه ke bare me farmaya : "Jo unhe Siddiq na maane Akhirat me Allah aiso ki tasdiq na karega, Jao Abu Bakr o Umar se Muhabbat karo! unse Aqidat rakho aur agar tumhare mutabik aisa karna koy gunah hai (jo ki beshak nahi hai) to wo gunah meri gardan par hoga" Ref: Tarikh ibn Asakir 23/128, Darqutni - Fadail Sahabah 1/84, Siyar Alam un Nabala4/395
Hazrat Abu Huzaifa رضي الله عنه Bayan Karte Hai Mene Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Khidmat Me Unke Ghar Hazir Hua Aur Yun Mukhatib Kiya_ Aye Nabi ﷺ Ke Baad Tamam Logo Se Behtar To Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Mujhe Farmaya Thaher Aye Abu Huzaifa Khabardar Huzoor ﷺ Ke Baad Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Wa Hazrat Umar رضي الله عنه Behtareen Shakhsiyat Hain* Phir Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya Kisi Momin (Musalman) Ke Dil Me Meri Muhabbat Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Aur Hazrat Umar رضي الله عنه Ka Bughz (Dushmani) Jama Nahi Ho Sakti Isi Tarah Kisi Musalman Ke Dil Me Meri Dushmani Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Wa Hazrat Umar رضي الله عنه Ki Muhabbat Jama Nahi Ho Sakti Kanzul Ummal Vol 13 Hadees 36141