Ahle Sunnat Wal jamat me kuch kuch chizo'n ko leke Masaili Furuhi ikhtelaaf hain wo ikhtelaaf Rehmat hain hamare liye. Inn ikhtelaaf me Hume nahi padna chaiye ye ulema tak rehna chaiye. Hame sabhi Ahle Sunnat wal Jamaat ke silsile ki tazeem karna chaiye aur sabhi ulema se muhabbat karna chaiye.
Chahe koi bhi Silsile khanqah ka ho Agar uska Aqeedah Ahle Sunnat wala hain Ala Hazrat رحمتہ اللہ علیہ ke Maslake par chlta hai aur Aqeeda same h to use laan taan na kare.Mic me namaz padhna Ghadi pehen ke namaz padhna is tarike ke jo Masaili Furuhi ikhtelaaf hain . ye Awaam ke liye Rehmat hain Hum ko kisi ki zaat ke hawale se ya Furuhi ikhtilaf ke sabab, nafrat Failana nhi chahiye, hum chahe kisi ikhtilaaf ki wajah se unka saath na de lekin mukhalifat bhi nahi karni chahiye.
Aaj Jo Humare Ahle sunnat Wal Jamat Ke Ulamao Me Ikhtelaf Hai Aaiye Jante Hai Uske Bare Me.
Hadees Paak Me Aata Hai :Nabi-e- Paakﷺ Ne Farmaya Meri Ummat Ka Ikhtelaf Rehmat Hai.
(Kanz-ul-Ummal Sharif /Jild-10/ Hadees No-28686).
Iss Hadees Paak Ko Naql Karke Meer Abdul Wahid Bilgirami علیہ رحمہ Farmate Hai Ulmao Ka Furuhi Masail Me Ikhtelaf Rahmat Hai Aur Usoole Deen Me Bida'at Wa Gumrahi .
(Sibwe Sanabil Sharif / P-52).
Yani Pata Chala Ki Jo Hum Ahle Sunnat Maslake Ala hazrat Ke Ulmao Me Ikhtelaf Hain Wo Rahmat Hai.
Aur Jo “Motazili” Kharji “Shia ” Rafzi” Qadiyani ” Maududi ” Wahabi ” Deobandi ” Tablighi” Se Hum Haq Jamaat Ahle Sunnat Ka Ikhtelaf Hai Woh Usoole Deen Ka Hai. Jo ke Ye Tamam Batil Firqe Bidati” Wa “Gumrah hai'n.
Furuhi Masail Me Humare Ala hazrat رحمتہ اللہ علیہ Ka Bhi Ulema Se Ikhtelaf Raha Hai.
Kichaucha Shareef Ke Ulema Mazameer Ke Sath Qawwali Sunte The Jaisa Sheikh Ul Mashaikh Hazrat Maulana Shah Ali Hussain Sahab Ashrafi Miyan رحمۃ ﷲ علیہ, Un Ke Farzand Arjumand Mehboob Ul Mashaykh Hazrat Maulana Ahmad Ashraf Sahab رحمۃ ﷲ علیہ Aur Ye Baat Hazrat Mujaddide Azam Ke Ilm Me Thi Is Ke Bawajood Unn Dono Buzurgo'n Ki Ala hazrat Tazeem Wa Takreem Farmate The. Ala hazrat Ki Aadaat Karimah Thi Ke Woh Kisi Fasik Ki Tazeem Nahi Karte The.
(Fatawa Sharah Bukhari / Jild 1 / P-61).
Hum Sunni Aapsi Masaili Ikhtelafat Ki Wajah Se Ek Dusre Ko Gali Dete Hai Aur معاذﷲ Apne Sunni Bhai Ko ” Deobandi Wahabiyo shia Ki Tarah kafir Samajhte Hai Jabke Ala hazrat Farmate Hai : Ijtihadi Masail Me Kisi Par Laan Taan Bhi Jaiz Nahi, Na Ke (معاذﷲ) Aisa Khyal.
(Aqaid O Kalam / Page-88).
Hazrat Yahiya Bin Sayeed رحمۃ ﷲ علیہ Farmate Hai : Fatwa Dene Walo'n Se Fatwa Aur Masail Ka Sawal Humesha Hota Raha, Aur Wo Jawab Dete Rahe. Ek Ne Ek Cheez Ko Halal, To Dusre Ne Usi Cheez Ko Haram Kaha; Magar Haram Kehne Walo'n Ne Ye Nahi Samjha Ke Halal Kahne Wala Tabah Wa Barbad Hogya, Aur Na Halal Kehne Wale Ne Ye Gardana(Ghamand) Ke Hurmat(Haram) Ka Fatwa Dene Wala Uski Wajah Se Halak Hogya.(Rehmat-e-Ikhtelaaf / Page-164).