17-Nov-2023

Hum Apne Ap ko Ahle Sunnat wal jama'at kyu kehte hain . Sabse pehle Hum Musalman Hain kyunki Allah ﷻ ne Humara naam Muslman rakha Hain Qur'an me . Lekin Jab Munafiq Badmazhab ghus aye or Wo bhi apne Ap ko Musalmaan kehne lage tab Hum Pehchan ke liye Apne Ko Ahle Sunnat wal jama'at kehte hain. Sahaba ne or Ahle Bait ne bhi Apne Ap ko Ahle Sunnat wal jama'at keh kar Mukhatib kiya hain or ye Ahle Sunnat wal jama'at Huzoor ﷺ ki jamaat hain .

Imam Hussain رضي الله عنه ne yazeedio se farmaya :

Mere Nana Allah ke Rasul ﷺ ne mujhse Aur mere bhai Hasan se farmaya:

“Tum dono Jannati jawano ke sardar ho, aur Ahle Sunnat ki ankho ki thandak”

Ref: Ibn aseer – Tarikh 3/419

Ibne Taimiyah Jinka Wisal 728 Hijri me huwa, Wo Apne Mashoor Fatawa me Likhte hain :

Nijaat Paane Wala Giroh Sirf Ahlesunnat Wal Jama’at hai, Yehi Sabse Badi Jama'at hai Aur Yehi Sawaad e A'azam hai.

Ref: Fatawa Ibne Taimiyah, Vol 3,Pg no.345.

Imam Mulla Ali Qari رحمتہ اللہ علیہ Jinka Wisal 741 Hijri me huwa, Wo Apni Mirqat Sharah Mishkat me likhte hai :

Isme Koi Shak o Shuba Nahi Ke Nijaat Paane Wala Guroh Sirf Ahlesunnat Wal Jam’at hai.

Ye 72 Firqe Sab Jahannami hai Aur Najaat Paane Wala Giroh Sirf Ahlesunnat hai.

Ref: Mirqat Sharah Mishkat,Vol 1,Pg no.381.

Imam Muslim رضي الله عنه Jinka Wisal 261 Hijri me huwa wo Jaleel ul Qadr Tabai Imam Muhammad bin Sirin رضي الله عنه Ke Hawale se Bayan Karte hai

Pehle Zamane me Mohaddiseen isnaad Ke Baare Me Sawal Nahi Karte The Lekin Jab Fitna Barpa Hogaya To Kehte Hadees Bayan Karne Wale Ka Naam Lo, Agar Bayan Karne Wala Ahlesunnat Se Hota To Qubool Kar Liya Jaata, Agar Bidatiyon Mese Hota To Uski Hadeesein Nahi Li Jaati thi.

Ref: Sahih Muslim,Page no.8.

Imam Zahbi رحمتہ اللہ علیہ Jinka Wisal 748 Hijri me huwa, Wo Apni Kitaab Tazkiratul Huffaz Me Imam Sufiyan Saori رحمتہ اللہ علیہ Ka Qawl Likhte Hai :

Tu Sirf Usi Aadmi Ke Peeche Namaz Padh Jis Par Tujhe A'itemaad Ho Aur Tu Jaanta Ho Ke Uska Ta’alluq Ahlesunnat Ke Saath Hai, Ye Baat Imam Sufiyan Saori رحمتہ اللہ علیہ Se Saabit Hai.

Ref: Tazkiratul Huffaz,Vol 1,Page no.207.

Imam Lalaka'i رحمتہ اللہ علیہ Jinka Wisal 418 Hijri me huwa Wo Hazrat Abdullah bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Naqal Karte hai:

Ahlesunnat(Sunni) Ke Chehre Ko Dekhna ibaadat hai.

Ref: Sharah Usool e Aiteqad,Pg no.57.

Imam Ghazali رحمتہ اللہ علیہ Jinka Wisaal 477 Hijri me huwa Wo Apni Kitab Kimiya e Sa’adat me Likhte Hain :

Aesi Cheez Jo Makhlooq Ki Ghiza Hai Ya’ani Ahlesunnat Ka E’teqaad, Ham Usko Bayan Karte Hai Taaki Har Shaks Ye E’teqad Apne Dil Me Jamaye Ke Yehi Uski Sa’adat Ka Beej Hoga.

Ref: Kimiya‌ e Sa’adat Mutarjim,Pg no.109.

Imam Qurtubi Jinka Wisal 671 Hijri me huwa wo Apni Mashoor Tafseer me Likhte Hain :

Qiyamat Ke Din Ahlesunnat Ke Chehre Roshan Honge Aur Bid’atiyon Ke Siyaah(Kaale) Honge

.Ref: Tafseer e Qurtubi,Vol 5,Page no.255.

Imam Ismail Haqqi, Jinka Wisal 1147 Hijri me huwa, Wo Apni Mashoor Tafseer e Quraan me Apne Shaykh ki Hidayat ko Bayan Karte hai ke Unhone Ek Martaba Kaha:

Mein Shari’at, Tariqat, Ma’arifat, Haqeeqat Ke Aitebaar se Ahlesunnat Wal Jam’at Ke Mazhab Par Hun, Mujhe isi Hawale se Pehchano Aur Duniya o Aakhirat me isi Hawale se Mere Gawah Ban jaao, Mein isi Maslak Par Qaayam hu

Rehne Ki Waseeyat Karta Hun. Ref: Tafseer Roohul Bayan, Vol 5,Page no.103.

Bid’ati wo hai jo Ahle Sunnat Wal Jamaat ke Aqeedo ke khilaf dusra koi Aqeedah rakhta ho

Ref: Ghuniyat ul Mustamli page 514

Imam Abu Hanifa رضي الله عنه se kisi ne pucha:

Ahle-Sunnat Wal-Jamaat Ka Aqeedah kya hai? Aap ne farmaya: “Ye ki Abu bakr o Umar ko Afzal maane aur Usman o Ali se muhabbat kare”

REF: ALI BIN SULTAN QAARI SHARH FIQH AKBAR PAGE 136

Sayyiduna Zain ul Abideen رضي الله عنه ne farmaya :

Ahle Sunnat ki nishaniyo me se ek Rasul Allah ﷺ par kasrat se durood padhna hai

Ref: Ismail Isbahani –sharah At-targhib Wat’Tarhib 2/333

“Jab koi kisi (sunni) ko Nasibi kahe to samjh jana ki wo khud Rafzi hai”

-Imam Bukhari ke Shaykh, Imam Ali Bin Madini

Ref: Sharah Usul Aitqad 1/147

Imam Nasafi se 934+ saal pehle pucha gaya us hikayat ke baare me ke kaa'ba kisi wali ki ziyarat ko gaya to kya ise such manna jayez hai?

To farmaya “Ahle sunnat ke nazdik karishme karamat ke tor par Ahle wilayat ke liye mumkin Hai” (yani kaa'be ka waliyon ki ziyarat ko jaana mumkin hai)

Imam Taftazani (793 AH) – Sharh Maqasid 5/70 Imam Shirbini (977 Hirji) – Siraj ul Munir 1/212

Imam Haskafi (1088 Hijri) – Radd ul Mukhtar pg 253 Imam Ibn Abidin (1252 Hijri) – Durr e Mukhtar 4/260

Imam Aaloosi (1270 Hijri) – Tafsir 12/15 Ibrahim Laqani (1041 Hijri) – Sharh Kabir 4/1322

Jaan lo! Allah ne tumpar fazl kiya, ke Ahle Sunnat Wal Jamaat 8 qism ke log hai, jisme 6vi qism Zuhhad Sufi hai

Al Farq bayn Al Firaq page 273

تبلیغی جماعت کی حقیت۔

شان اولیاء قرآن اور حدیث سے۔

20رکعت تراویح پڑھنے کا ثبوت۔

اہل سنت کے اختلاف رحمت ہیں۔

صحابہ اکرام کی فضیلت رافضیوں کی کتاب سے۔

علم غیبِ مصطفیﷺ پر اعتراض کا جواب

حضور ﷺ کے نام مبارک پر انگوٹھے چھمنے کا ثبوت۔

حضور ﷺ نور ہیں ۔

آپ (ﷺ) کی خاطر بنے دو جہاں

صلٰوۃ و سلام پڑھنے کا ثبوت