Kuchh Gumraah Firqe Waale Khas kar Plumber Mirza Mongol ki Aulaad ye Kehta Hai Ke Alahazrat رحمتہ اللہ علیہ ne Apni Kitaab me Huzoor ﷺ ki Gustaakhi ki lekin Adhi adhuri aur Jhuthi bate pesh karte hain.
Imam E Ahlesunnat Ki Malfuzat Shareef Ki Ye Ibarat Ke “Ambiya علیہ السلام Ki Qabar e anwar Me Azwaje Mut'aharat Pesh Ki Jaati Hai Aur Wo Unke Sath Shab Bashi Farmate Hain{Malfozat Hissa 3 / P-362}.
Pehli Baat ye Jaan Lena Chaiye ki Ye Baat AlaHazrat رحمتہ اللہ علیہ ne Khud se nahi likhi hai ye AlaHazrat رحمتہ اللہ علیہ ne Naqal Farmaya Hain Imam Baqar Zarkani رحمتہ اللہ علیہ ki Kitaab se to Naqal Karne wale ke upar kabhi huqm nahi lagta aur Dusri baat phle ye smjhna Chaiye ki Shabbashi ka meaning kya hota hain Shab Bashi Faarsi Ka Lafz Hai Aur Iske Bahut Se Maani Hote Hain Jinme’in Se Ek Maani Yeh Hai Raat Guzaarna Ya Qayaam Karna Ya Waqt Guzaarna.
Bhut Sari Hadees E Paak me bhi Shabbashi Lafz ka Istemal hua hain unme se kuch Hadees yha pesh karte Hain.
Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Kehte Hai Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Jab Tum Me se Koi Shaksh Sokar Uthe Wuzu Karte Waqt 3 Baar Apni Naak Saaf Kare Kyunke Uski Naak Me Shaitan “Shabbashi” Kiya Karta Hai.
Shabbashi lafz Deobandi aur Wahabhiyo ke Ghar ki Kitaabo'n me bhi likha hai.
Haft Roza Al Islam Lahore 23 Rabiul Awwal 1404 Hijri”.
“Saudi Najdi Sheikh Sahab” Pakistan Ke Daure Par Gaye Waha Ahle’hagees Wahabi Official Central Me Molvi Faiz Al Rehman Sahab Wahabi Sar Anjaam De Rahe The Taqriban 11:30 PM Waha Se farigh Hokar “Saudi Sheikh” Model Town Paucha Saudi Sheikh Ki “Shabbashi” Ka Intezam Road Multan Par Kiya Gaya.
Deobandi Mulla Saeed Ahmad Palanpuri Likhta Hai “.
Hajj Ke Safar Me Muzdalifa Me Biwiyo'n Ke Saath Shabbashi Kiya”Hawala Deobandi Book.
Deobandi Tablighi Jamat Ki Fatawa Ki Mashoor Kitab Fatawa Rahimya Ki Jild 9 Safa 120 Par Likha Hai “Deobandi Tablighi Jamat Wale Masjid Me Aate Hai Aur Raat Me Shabbashiya'n Karte Hai Raat Bhar.
Deobandi Tablighi Jamatiyo Ke Bahut Bade “Molvi Zakariya Kandhelwi Deobandi” Likhta Hai Jo Shakhs Bhuke Ko Roti Khilayega Ya Nange (Naked) Ko Kapda Pehnaye Ya Musafir Ko “Shabbashi” Ki Jagha De To Allah Ta’ala Qayamat Ke Hallo'n Se Usko Panah Deta Hai Authentic Book of Deobandi Jamati.
Rasoolullah ﷺ Ne Khud Farmaya Ke Qabr Me Meri Biwiya’n Mujhse Milengi Sahih Bukhari Hadees No 1420.
Nabi e Kareem ﷺ Ki Biwiyon Ne Aap ﷺ Se Pucha Ke Sabse Pehle Hum me Aap ﷺ Se Kaun Jaakar Milegi To Aap ﷺ Ne Farmaya Jiska Haath Sabse Lamba Hoga, Ab Humne Lakdi Se Naapna Shur’u Kardiya To Hazrat Sawda Radiallahu Anha Sabse Lambe Haath Waali Nikli, Humne Baad Me Samjha Ke Lambe Haath Waali Hone Se Aap ﷺ Ki Muraad Sadqa Zyada Karne Waali Se Thi, Aur Hazrat Zainab Radiallahu Anha Hum Sabse Pehle Nabi e Kareem ﷺ Se Jakar Mili, Sadqa Karna Aap ﷺ Ko Bahut Mehboob Tha.
Note – Iss Hadees Me Lafz Hai Ke Hazrat Zainab رضي الله عنها Nabi e Kareem ﷺ Se Sabse Pehle Jaa kr Mili, Ab Sawaal Ye Paida Hota Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Kaha’n Hain? Yeh Baat Saare Log Jaante Hai’n Ke Nabi e Kareem ﷺ Apni Qabr e Anwar Me Zinda Hai’n To Hazrat Zainab رضي الله عنها Bhi Qabr Me Hi Jaakar Mili.
Bad Mazhab Ala Hazrat رحمتہ اللہ علیہ par ek aitraaz or karte hain ki unhone malfozat me Gustaaqi Kari hain
Bagair Gause Ke Zameen W Aasman Qayim Nahi Rahe Sakte (Malfuzate Aala Hazrat - Hissa Awal / Page-178)
Lekin in English hadees padhne walo ko ye Nehi maloom ye Rasool Allah ﷺ ki hadees hain Rasule Paakﷺ Ne Farmaya : Meri Ummat Me 30 Aadmi Humesha Rahenge Jinki Wajha Se "Zamem Qayim" Rahengi Aor Inki Wajha Se Baarish Di Jayengi Aor Inki Wajha Se Madad Aayengi. (Kanz Ul Ummaal/ Jild-6/ Page-444/ Hadees-34613)
Imam Zurqani ne farmaya “Is Hadees ki sanad Sahih hai” (Sharh Muwahib 7/483) Imam Haisami ne farmaya “Iske tamam rawi Sahih hai” (Majma uz zawaid 16673) Tafsir Ibn Kasir 2/453, Kanz ul Ummal 34588
Deobandiyo Ke Peer Haaji Imdaad Ullah Mohajir Makki علیہ رحمہ Ki Ibaarat Rakhi Jati Hai Aur Ibaarat Bhi Un Ke Hakeem Ul Ummat Molvi Ashraf Ali Thanwi Sahib Ke Qalam Se Niklee Hui Hai . Mulahiza Frmayie, Likhte Hai: - Haaji Imdaad Ullah Mohajir Makki Ne Farmaya Ke Koi Jagah Auliya ALLAH Se Khaali Nahi Hai. قال الله تعالی وان من قرية الاخلا فيها نذير" Haram Makka Mukarramah Me Namaz Panjgana Me Teen So Saath Aulia ALLAH Shareek Hote Hai Aor Jab Aulia ALLAH Baqi Na Rahenge Qyamat Waqe Hogi, Ke Hai Yani Sutoon - ". Thanwi Sahib Farmate Hai: - Kyunke Un Aulia Allah ) Ke Baqi Na Rehne Se Phir Momin Bhi Na Rahenge Aor Momineen Ke Baqi Na Rehne Par Qayamat Aajana Ahadees Me Warid Hai. " (Imdad Ul Mushtaq /Page-66)