Azmat e Imam Ahmed Raza رحمتہ اللہ علیہ.
Khud Deoband ki Zubani.
Mashoor Deobandi Aalim Maulana Owais Kandhelvi ke Shagird Maulana Kausar Niyazi apni Kitaab Imam Ahmed Raza me Likhte hai;
Imam Ahmed Raza Bareilvi ke Fatwe unke Makatabe Fikr ki Judagaana Khasiyat Ka madaar hai, Jis Fatwe ko Tashaddud Kaha jaata hai wahi unki Zaat ki Pehchaan aur Puri Hayaat Ka irfaan hai, Wo Fanaa fir Rasool the isliye unki Ghairat Tauheen e Rasool ke Ehtemaal Ka koi Khafi(halka) sa bhi Pehlu Bardasht Karne ko Taiyyar naa thi, Aur Aap ne Aakhir Dam tak Apne Aqidatmando aur Waariso ko iski wasiyat ki thi.
Ref: Imam Ahmed Raza, Pg no.18.
Lijiye Jaanab Aaj tak to Kuch Deobandi kehte the A’la Hazrat رحمتہ اللہ علیہ ne Shiddat ki wajah se ham par Tauheen e Rasool Ka Ilzaam daala hai Lekin Kausar Niyazi Deobandi ne khud keh Diya ke Ye Tashaddud or Fatwa Bilkul Haq tha, Lihaza Deobandiyon ko Chahiye ke Tauba Karke Aqaid e Ahlesunnat ko apna le aur Huzoor ﷺ ke Wafadaar ban jaayei'n.
Deobandiyon ke Hakeem ul Ummat Ashraf Ali Thanvi ke Mureed o Khalifa Mufti Shafee Deobandi kehte hai ;
Maine Baarha (Many times) unki(Ya’ani Ashraf Ali Thanvi Deobandi) ki Zuban se AlaHazrat Maulana Ahmed Raza Khan Fazile Bareilvi ke Ishq e Rasool Kaiqraar wa e’teraaf suna hai.
Ref: Akaabir Ka Maqam e Tawaze’e, Pg no.406.
Haq wo Jise Dushman bhi Qubool kare, Imam Ahmed Raza رحمتہ اللہ علیہ Ke Ishq e Rasool ko Arab o Ajam ke Khush Aqeedah Musalman to bakhoobi jaante hi hai, Ab Aap ke Dushman Yaani Deoband ke Akaabireen bhi Aap ke Ishq e Rasool ke Jazbe ko Tasleem Kar chuke hain, Lihaza Deobandiyon ko Chahiye ke wo bhi Tauba Karke AlaHazrat se waabasta hokar Sacche Aashiq e Rasool ban jaayei'n.
Deobandiyon ke Hakeem ul Ummat Ashraf Ali Thanvi ki
Malfuzaat Kamalaat e Ashrafiya ke Page no.347 pe hai;
Deobandiyon ke Hakeem ul Ummat Maulvi Ashraf Ali Thanvi se Kisi ne Sawal Kiya ke Bareilviyon ke Peeche Hamari Namaz hogi Ya Nahi ?
To Maulvi Ashraf Ali Thanvi ne Jawab me Kaha Namaz hogi isliye ke wo Hamein Kaafir kehte ham unhe Kafir nahi kehte.
Ref: Kamalaat e Ashrafiya, Page no.347.
Imam Hussamuddin Al Hindi رضي الله عنه apni Kanzul Ummal me Hasan bin Ali Se Riwayat karte hai;
Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya.
*Allah ki Rehmat ho Mere Khulafa par, Sahaba ne Arz Kiya Yaa RasoolAllah! Aap ke Khulafa kaun? Rasool e Kareem ﷺ ne irshad farmaya Mere Khulafa wo hai Jo Meri Sunnat ko Zinda karte Hain Aur Logo ko iski Ta’leem dete Hain”.
Ref: Kanzul Ummal, Hadith no.29209
Imam ul Ambiya ﷺ ke khulafa wo hai Jo Huzoor ﷺ ki wo Sunnat Jise log Faraamosh Kar Chuke Ya Bhula diye Use Zinda karte hai aur Saath Logo ko Sunnat ki Ta’leem bhi dete hai Bila Shuba inn Khulafa me Imam Ahmed Raza Fazile bareilvi رحمتہ اللہ علیہ bhi Shaamil hai Isliye ke Aap ne Puri Zindagi me Bid’at Aur Bid’atiyon ko Jad se Ukhaad Phenka aur Sunnat ki Ta’leem ko Ujagar farma Kar Aam Kiya.
Imam Daarmi رحمتہ اللہ علیہ apni Sunan Daarmi me Hazrate Hasan Basri رضي الله عنه Se Riwayat karte hai ;
NABI E KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA
‘Jiss Shaksh ko iss Haal me Maut Aaye ke wo ilm ki Talab me ho jiss ilm ke zariye Islaam Ko Zinda kare to iss Shaksh ke Aur Ambiya ke Darmiyan Jannat me Sirf Ek Darje Ka Faasla hoga”.
Ref: Sunan Daarmi, Hadith no.366.
Jo koi Aalim e Rabbani Deen ki Tajdeed ke liye ilm e Deen haasil kare aur Tehseel e Ilm ke Dauraan Maut Aa jaaye to uss Aalim Ka iss qadar buland rutba hai, Phir Uss Mujaddid ki Shaan o Azmat Ka kya A’alam hoga Jise Paida hi Deen ki Tajdeed ke liye Kiya jaata hai, Iss Hadees se bhi Hamare Tamaam Mujaddideen Bilkhusoos AlaHazrat Azeem ul Barkat Imam Ahmed Raza Khan رحمتہ اللہ علیہ ki Shaan Waazeh Hoti hai.
Imam Abu Dawood apni Sunan Abi Dawood me Hazrate Abu Hurerah رضي الله عنه Se Riwayat karte hai ;
NABI E KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA:
“Beshak Allah Har 100 Saal me iss Ummat ke andar Ek Shaksh ko Bhejega Jo iss Deen ki Tajdeed Karega (Ya’ani Deen me nikalne wale Fitne Aur Bure Khayalaat ko Door karega Aur Asal Sunnat ki Ta’limaat ko Aam karega)”.
Ref: Sunan Abi Dawood, Hadith no.4291.
Is Hadees me Mujaddid Ko Duniya me Bhejhne ka Maqsad bataya Gaya hai Jo Deen me Nikalne wale Fitne aur Bid’aat ko Door karta hai, Beshak Ulama e Haq ne Imam Ahmed Raza Khan رحمتہ اللہ علیہ ko Ek Azeem Mujaddid Tasleem Kiya hai, Aur Imam Ahmed Raza رحمتہ اللہ علیہ ke Tajdeedi khidmaat aur Kitaabo se khud aaj Aap ke Haasideen aur Mukhalifeen Bhi Fayeda Uthaate huwe Nazar aate hai.
Imam ul Wahabiyah Shaykh Sanaullah Amritsari Wahabi Sahab Apni Kitaab me Likhte hain :
80 Saal Pehle Qareeban Sab Musalman isi Khayaal Ke the Jisko Aaj Kal Bareilvi Hanafi Khayaal Kaha Jaata hai.
Ref: Sham’a e Tawheed, Page no.53
Ek Taraf ye Gair Muqallid Wahabhiyo bhokte hain ki ye Barelvi new Firqa Hain Jo Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رحمتہ اللہ علیہ ne banaya lekin dusre taraf inka Bhout bada Mulla AHSAN ELAHI ZAHERR kuch or hi likhta hain
Gair Muqallid Wahabhiyo ke Bhout bade Alim AHSAN ELAHI ZAHERR likhta hain : Is giroh ke AQAID baaz dusre Islami Muklo me Tasawuuf ke naam par Raej hain Safa no 21
Aksar Apne Dekha Hoga Ki Sarkar Aala Hazrat رحمتہ اللہ علیہ Ko Ye Deobandi Wahabi Kafir Kehte Hai To Iske Talluk Se Deobandio Ke Mufti Salman Mansoorpuri Sahab Apni Kitab Kitab un Nawazil Me Deobandio Ko Hidayat Karte Hue Likhte Hai Aala Hazrat Ko Kafir Kehne Wala Toba Kare Aur Takfeer Karne Se Baaz Aa Jaye. Ref. Keetab un Nawazil, Safa No. 442
Aala Hazrat رحمتہ اللہ علیہ Ko Jahil Kehne Wale Khud Jahil Hai Jee Haa Bilkul Sahi Padha Apne Aur Ye Hamare Ghar Ka Fatwa Nahi Ye Deobandio Ke Ghar Ka Hi Fatwa Hai.
Deobandio ke aalim o Maulana Kausar niyazi likhte hain ke : "Maulana Muhammad Shafi deobandi se maine suna : Jab Hazrat Maulana Ahmed Raza khan sahb ki wafat hui to Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanvi ko kisi ne aa kar ittala ki Maulana thanvi ne beikhtiyar dua ke liye hath diye jab dua kar chukey , To hazireen mazlish me se kisi ne pucha wo to umar bhar aap ko kafir kehte rahe or aap unke liye dua e magfirat kar rahe hain , Farmaya " our yahi baat samajh ne ki hai ke Maulana Ahmed Raza Khan ne ham par kufar ke fatwey is liye lagay ke unhe yakin tha ke ham ne tauheen Rasool ki hai agar wo ye yakeen rakhte huey bhi ham par kufr ka fatwa na lagate to khud kafir ho jaatey " 📚: Imam Ahmad Raza khan Barelvi Ek Hama Jaht Shakhsiat Writer: deobandi Molana Kosar Niazi Page: 20-21
"Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Rivayat Karte Hai Nabi E Pak ﷺ Ne Farmaya Allah Taa'la Is Ummat kay liye har Sadee Kay Aakhir Me Kisi Aise Shaksh (ya ashakhas) ko paida farmayega Jo us(ummat) kay liye uske deen ki tajdeed karega" 📚 Sunan Abu Dawood, Pg : Kitabul Malahim, Hadees : 4291