16-Nov-2023

Baitul Muqaddas Ba Barkat Sarr Zameen Hai Baitul Muqaddas Ko Allah ﷻ Ne Bahot Izzat Wa Sharf Ata Kiya Hai , Qur’an Wa Sunnat Ki Must’adad Nusoos Me Iski Fazilat Bayan Farmayi Gayi Hai Aur Ise Kai ‘ambiya E Kiraam Alayhi Nabiyyena Wa Alayissalatu Wassalam Se Nisbat Hasil Hai. Qur’an E Kareem Me Allah ﷻ Ne Must’adad Maqaamaat Par Masjid E Aqsa Aur Uske Ird Gird Ilaake Ko Ba Barakat Farmaya Hai. Moajiza E Me’araaj E Rasool ﷺ Ka Zikr Karte Hue Baari Ta’ala Ne Farmaya.

Surah Bani Israa’eel Ayat No.1

سُبۡحٰنَ الَّذِیۡۤ اَسۡرٰی بِعَبۡدِہٖ لَیۡلًا مِّنَ الۡمَسۡجِدِ الۡحَرَامِ اِلَی الۡمَسۡجِدِ الۡاَقۡصَا الَّذِیۡ بٰرَکۡنَا حَوۡلَہٗ لِنُرِیَہٗ مِنۡ اٰیٰتِنَا ؕ اِنَّہٗ ہُوَ السَّمِیۡعُ الۡبَصِیۡرُ ﴿۱﴾

Kanzul Iman Translation.

Paaki Hai Use Jo Raato’n Raat Apne Bande Ko Le Gaya Masjid e Haraam Se Masjid e Aqsa Tak Jiske ird Gird Humne Barkat Rakhi.Ke Hum Use Apni Azeem Nishaaniyaa’n Dikhaaye’n Beshak Woh Sunta Dekhta Hai.

Barkat Ka Sabab: Mashoor Mufassir e Qur’an Qazi ‘Abdullah Bin ‘Umar رضي الله عنه Baitul Muqaddas Ko Ba Barkat Farmane Ki Wajah Zikr Karte Hue Likha:

Yani Baitul Muqaddas Me Allah Ta’ala Ne Deen Wa Duniya Ki Barkate Rakhi Hai .* Deeni Barkat* Ye Hai Ki Uss Sarr Zameen Me ‘ambiya Alayhi Nabiyyena Wa Alayissalatu Wassalam Par Wahi Nazil Hoti Rahi Aur Sayyedina Moosa Alayhi Nabiyyena Wa Alayissalatu Wassalam Ke Baad Tamaam ‘ambiya E Kiraam Ki Waha Ibadat Rahi . Dunyawi Barkat Ye Hai Ki Waha Kareeb Jawaar Me Nehro Aur Kheto'n Ki Kasrat Hai , Jiske Sabab Ye Sarr Zameen Behtareen Aysh O Rahat Ka Muqaam Hai.

Baitul Muqaddas Pehle Se Ba Barkat Wala Tha Magar Iski Barkatei'n Tab Urooj Par Pahonch Gayi Jab Safar E Me’araaj Ke Pehle Marhale Me Sarkaar E Do Aalam ﷺ Ne Yaha'n Qadam Rakhe Yahi Wo Haseen Manzar Zahir Hua Tha Jab Tamaam ‘ambiyah E Kiraam Alayhi Nabiyyena Wa Alayissalatu Wassalam Piche Saff Basta Hazir The Aur Khaatimul ‘Ambiyah ﷺ Imaamat Farma Rahe The.

Masjid e Aqsa Me Namaz Ki Fazilat:

Sayyaduna Rafai Bin Umer رضی اللہ عنہ Rasulallah ﷺ Se Marvi Hai Ki Jab Sayyedina Sulaiman Ala Nabiyyena Wa Alayissalatu Wassalam Ne Masjid E Aqsa Ki Taamir Mukammal Kari Iss Khushi Me Janwar Zabah Kiye To Allah ﷻ Ne Farmaya:

“Mai Apne Ghar Ki Tameer Par Khush Hu'n Aur Aap Jo Chahe Mange Ata Karunga. Unhone Allah ﷻ Se 3 Duaye'n Ki:

(1) Yani Aye Mere Allah Meri Pehli Dua Ye Hai Ke Mera Faisla Hamesha Tere Faisle Ke Mutabik Ho(Mera Faisla Teri Marzi Ke Khilaf na Ho).

(2) Meri Dusri Dua Ye Hai Ke Mujhe Iisi Badshahi Ata Farma Jo Mere Baad Kisi Ke Layak Na Ho.

(3)Teesri Iltija Ye Hai Ke Jo Bhi Shaksh Iss Masjid (Aqsa) Me Hazir Ho Aur Sirf Yaha Namaz Pdhne Ke Liye Hi Aaye (Uska Koi Dunyawi Maqsad Na Ho) To Uske Tamaam Gunaho Ko Muaf Farma Dena. Aap ﷺ Ne Farmaya: ” Unki Pehli Dono Duae'n Qubool Ho Chuki, Teesri Ke Bare Me Meri Ummid Aur Dua Hai Ke Wo Bhi Qubool Ho.

REF : (Al Maujamul Kabeer Hadees No: 4477).

Masjid E Aqsa Me Huzoor ﷺ Ne Ambiya Ki Imamat Ki Aur Ambiya Ikram Huzoor ﷺ Ki Imamat Me Namaz Ada Kiye.

Waqiya Meraj Ki Tafseeli Riwayaato'n Sahi Muslim Hadees Me Maujud Hai, Imamat Ke Bare Me Irshad Hai :

Namaz Ka Waqt Huwa To Maine Ambiya Ki Imamat Ki.

REF: (Sahi Muslim, Kitaab Ul Iman, Baab Fi Zikar Ul Masih Ibne Mariyam Masih Ul Dajjal/Hadees Number : 278 )

Nabi E Kareem ﷺ Ne Baitul Muqaddas Me Hone Wale Mamlat Ke Bare Me Hume Pehle Hi Bata Diya Tha Aur Yahudiyo'n Se Jihad Karne Ke Liye Pehle Hi Khabar De Diya Tha.

Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:

Hamesha Ek Jamaat Meri Ummat Se Baitul Muqaddas Ke Darwaze Me Khade Ho Kar Ladengi Unn Par Barbadi Musallat Karne Wale Unko Kabhi Bhi Ruswa Nahi Kar Sakenge Aur Wo Kabhi Bhi Himmat Nahi Harenge Aur Wo Haq Par Hote Hue Ghalib Rahenge Qayamat Aane Tak.

REF: (Musnad Abi Ya’la Hadees no.6386).

Jabir Bin Samra رضی ﷲتعالی عنہ Se Riwayat Hai ke Rasool Allahﷺ Ne Farmaya: "Ye Deen Barabar Qayem Rahenga Aur Iske Upar Ladti Rahengi Ek Jamaat (Kafiro Se Mukhalifo Se) Musalmano Ki Qayamat Hone Tak.

REF: (Sahi Muslim / Hadees:-1922).

Iss Hadees E Paak Se Ye Sabit Hota Hai Ki Ek Jamaat Kafiro'n Aur Mushrikeen Se Qayamat Qayem Hone Tak Ladte Rahegi.

Hazrat Soban رضی ﷲتعالی عنہ Se Riwayat Hai Ke Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya: "Hamesha Meri Ummat Ka Ek Giroh Haq Pe Qayem Rahenga Koi Unko Nuksan Na Pahuncha Sakega Yahan Tak Ke Allah Ta'ala Ka Hukm Aayega(Yani Qayamat) Aur Woh Usi Haal Me Honge.

REF: (Sahi Muslim Sharif / Hadees:-1920).

Hazrat Aouf Bin Malik رضی ﷲتعالی عنہ Bayan Karte Hai Ke Me Gazwa e Tabook Ke Mauke Par Nabi e Kareemﷺ Ki Khidmat Me Hazir Hua to Nabi e Akramﷺ Uss Waqt Chamde Ke Ek Khayme Me Tashreef Farma The Nabi e Kareemﷺ Ne Farmaya Ke: "Qayamat Ki 6 Nishaniya Shumar Kar Lo “Meri Maut” Fir “Baitul Muqaddas Ki Fateh” Fir Ek Waba Jo Tum me Shiddat Se Failengi Jaise Bakriyo'n Me Taaun Fail Jata Hai Fir Maal Ki Kasrat Is Darje Me Hogi Ki Ek Shakhs 100 Dinar Bhi Agar Kisi Ko Dega To Uspar Bhi Wo Naraz Hoga Fir Fitna Itna Tabah Kun Aam Honga, Ki Arab Ka Koi Ghar Baki Na Rahega Jo Uski Lapet Me Na aagaya Ho Fir Sula Jo Tumhare aur Bani Ul Asfar Rome Ke Nasara Ke Darmiyan Hogi Lekin Woh Daga Karenge aur Ek Azim Lashkar Ke Sath Tum Par Chadhai Karenge Isme 80 Jhande Honge aur Harr Jhande Ke Ma'atehet 12000 Fauj Hogi Yani 960,000 Fauj Se Wo Tum Par Hamlawar Honge."

REF: (Sahi Bukhari /Kitab Ul Jaziyatul Mawadiya / Hadees- 3176).

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya:

Qayamat Qayem Nahi Hogi Yaha Tak Ke Musalman Yahudi Ke khilaf Jung Ladenge Aur Unhe Qatl Karenge Hatta Ke Yahudi Darakht Ya Patthar Ke Piche Chupega To Patthar Ya Darakht Kahega Aye Musalman Aye ALLAH Ke Bande Ye Raha Yahudi Mere Peeche Hai Aage Badho Aur Isko Qatl Karo Siwaye Garkad Ke Ped(Tree) Ke Kyunki Wo Ek Yahud Ka Ped (Tree) Hai.

REF: (Bukhari Hadees 2925).

Hum Masjid Mein The Ke Rasool Allah ﷺ Hamare Paas Tashreef Laaye Aur Farmaya Ke Yahudiyo'n Ke Paas Chalo. Hum Huzoor ﷺ Ke Sath Rawana Hue Aur Jab Hum Bait Ul Madaris Ke Paas Pahuche To Huzoor ﷺ Ne Unhe Aawaz Di Aye Qaum E Yahud! Islam Lao Tum Mehfooz Ho Jaoge. Yahudiyo Ne Kaha : Abu Alqasim! Aap Ne Pahocha Diya. Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ke Mera Bhi Yahi Maqsad Hai Phir Aap Ne Dubarah Yahi Farmaya Aur Yahudiyo'n Ne Kaha Ke Abu Al Qasim Aap Ne Pahucha Diya Huzoor ﷺ Ne Teesri Martaba Yahi Farmaya. Aur Phir Farmaya Tumhe Maloom Hona Chahiye Ke Zameen ALLAH ﷻ Aur Uske Rasool ﷺ Ki Hai aur Me Tumhe Jilaa-Watan Karta Hun. Tum Me Se Jiss Ke Paas Maal Ho Use Chahiye Ke Jilaa-Watan Hone Se Pehele Use Bech De Warna Jaan Lo Ke Zameen ALLAH ﷻ Uur Uss Ke Rasool ﷺ Ki Hai.

REF: (Sahi Bukhari Sharif / Hadees-6944).

Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya :

Yahudiyo'n Ko Mulk Se Nikal Do Hijaz Ki Sarr Zameen Aur Jazeera Numa Najran Ke Log.

Musannaf Ibn E Abi Shaiba :

Jab Unn Ke Haath Pao'n Khayber Walo'n Ne Tod Daale To Hazrat Umar رضي الله عنه Khutba Dene Ke Liye Khade Hue Aap Ne Farmaya Ke Rasool Allah ﷺ Ne Jab Khayber Ke Yahudiyo'n Se Un Ki Jayedad Ka Maamla Kiya Tha To Aap ﷺ Ne Farmaya Tha Ke Jab Tak Allah Ta'ala Tumhe Qayam Rakhega Hum Bhi Qayam Rakhenge Aur Abdullah Ibn Umar Wahan –apne Amwal Ke Silsile Me Gaye To Raat Me Unn Ke Sath Maar Peet Ka Maamla Kiya Gaya Jisse Unn Ke Pao'n Toot Gaye. Khayber Me Unn Ke Siwa Aur Koi Hamara Dushman Nahi’ Wohi Hamare Dushman Hain Aur Inhi Par Hamein Shuba Hai Isliye Mai Inhe Jila-watan Kar Dena Hi Munasib Jaanta Hu. Jab Hazrat E Umar رضي الله عنه Ne Is Ka Pukhta Iradah Kar Liya To Banu Abi Haqiq ( Aik Yahodi Khandan ) Ka 1 Shakhs Tha Aaya Aur Kaha Ya Ameerul Momeenin Kya Aap Hume Jila -watan Kar Den Ge Halaanki Muhammad ﷺ Ne Hume Yahan Baqi Rakha Tha Aur Hum Se Jayedad Ka Ek Maamla Bhi Kiya Tha Aur Iss Ki Hame Khayber Me Rehne Dene Ki Shart Bhi Aap Ne Lagai Thi. Umar رضي الله عنه Ne Is Par Farmaya Kya Tum Yeh Samajhte Ho Ke Mein Rasool Allah ﷺ Ka Farmaan Bhool Gaya Hu. Jab Huzoor ﷺ Ne Kaha Tha Ke Tumhara Kya Haal Hoga Jab Tum Khayber Se Nikale Jaoge Aur Tumhare Oonth Tumhe Raato Raat Liye Phirenge. Is Par Abu Al Qasim Ne Kaha Yeh ( Huzoor Sallallahu Alaihiwa Sallam) Ka Ek Mazak Tha. Hazrat Umar رضي الله عنه Ne Farmaya : Khuda Ke Dushman! Tum Ne Jhooti Baat Kahi. Chunanche Umar رضي الله عنه Ne Inhe Shehar Badar Kar Diya Aur Unn Ke Phalo'n Ki Kuch Nagad Qeemat Kuch Maal Aur Oonth Aur Dusre Samaan Yani Khajoor Aur Rassiyo Ki Surat Me Ada Kar Di. Is Ki Riwayat Hammad Bin Salama Ne Abaidullah Se Naqal Ki Hai Jaisa Ke Mujhe Yakeen Hai Nafea Se Aur Unho Ne Ibn Umar Razi Allah Anhuma Se Aur Unhone Umar Razi Allah Anho Se Aur Unhone Nabi Kareem ﷺ Se Mukhtasir Taur Par.

(Sahi Bukhari # 2730 Kitaab Sharait ke Masail Ka Bayan).

Hazrat Abu Huraira رضی ﷲتعالی عنہ Bayan Farmate Hai ke Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:" Khurasan Se Ek Kale Jhande Wala Lashkar Nikalenga Unn Jhando Ko Koi Chiz Fer Nahi Sakengi Yahan Tak Ke (Palestini Ke Shaher) Aeliya Me Ye Nasab Kiye Jayenge.

REF: (Tirmizi Sharif / Hadees-2269):

Hazrat Hazrat Ma'az Bin Jabal رضی اللہ عنہ Bayan Karte Hain Ke; NABI E KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA : Qayamat Se Pehle Madina Munawwara Ghair Abaad Hoga Aur Baitl Ul Muqaddas Abaad Hojayega, Ye Zamana Badi Ladaiyon Ka Aur Fitno Ka Hoga, Phir Qustuntuniyah Ki Fatah Ke Baad Dajjal Niklega Aur Jaan Lo Ke Ye Aise Hi Yaqeeni Hai Jaise Tumhara Yahan Baithna Aur Rehna Yaqeeni Hai".

REF: (Sunan Abu Dawood, Hadees No.4294).

Hazrat Auof Bin Malik رضی اللہ عنہ Bayan karte hai ke..... NABI E KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA : Qayamat Ki 6 Nishaniya Shumaar Karlo! Ek Mera Duniya Se (Zahiri) Rukhsat Kar Jaana Aur Phir Bait ul Muqaddas ki Fatah ".

Ref: Sahih Bukhari, Hadith no.3176.

Hazrat Abuzar رضی اللہ عنہ Bayan Karte Hain. Nabi E Kareem ﷺ Ki Baargah Me Sawal Arz Kiya Gaya Ke Zameen Par Sabse Pehli Masjid Konsi Ta'ameer Ki Gayi? Aap Ne Farmaya Masjid Al-haram ! Phir Poocha Gaya Dusri ? Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Masjid Al-aqsa ".

Ref: Sahih Bukhari, Hadith no.3366.

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ Bayan Karte Hai Ke.... * Yahood O Nasara Ko Salam Naa Karo Aur Jab Bhi Unn Me Se Koi Tumhe Raaste Me Mile Inke Raasto Ko Tang Raasto Ki Taraf Majboor Kardo".

Ref: Sahih Muslim, Hadith no.2167.

Hazrat Abu Ayyub رضی اللہ عنہ Bayan Karte hai ke.... Nabi e Kareem ﷺ Ghar se Bahar Tashreef le gaye jab Suraj Ghuroob tha, Nabi e Kareem ﷺ ne Awaaz Suni Aur Irshad Farmaya Ye Yahoodi hai Jinhey Unki Qabron me Azaab diya Jaa raha hai.

Ref: Sahih Bukhari, Hadith no.1375.

NABI E KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA: Isfahan ke 70 Hazaar Yahoodi Dajjal Ke Pairokaar Honge Jin Par Siyaah Chaadar(Black dress) Hogi.

Ref: Sahih Muslim, Hadith no.2944

چشتی رسول اللہ کے جھوٹے واقییے کا جواب۔

صلٰوۃ و سلام پڑھنے کا ثبوت

امام حسین رضی اللہ عنہکے قاتل شیعہ۔

وسیلہ لینا جائز ہے، دلائل قرآن یا حدیث سے۔

ختم نبوت ﷺ

اہل حدیث بے نقاب

اہل سنت والجماعت۔

آپ (ﷺ) کی خاطر بنے دو جہاں

شب برات

صحابی رسول ﷺ حضرت امیر معاویہ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ کی فضیلت.