Mazhabe Islam Me Koi Naya (New) Tarika Add Karna Bida’at Hai Bida’at Ki Tarife 2 Hai.
Mulla Ali Qari Bida’at Ke aqsaam Bayan Farmate Hue Likhte Hain. :
Bidda’at e Wajiba :Jaise ilm e Nehw Aur Qur’an Samajne Ke Liye Usool e Fiqh Ka Jama Karna.
Isi Tarah Bid’at e Haram, Mustahabba, Makroh, Mubaha, Ye Sab Bhi Bid’at Ki Iqsaam Hain Wo Kaam Jise Ulama Aur Aarifin Ejaad Karen, Sunnat Ke Khilaf Na Ho To Acha Kaam Hai (Roohul Bayan).
Jo Amal Logo Me Mashoor Hojaye Aur Shariat Ke Mutabiq Ho Uski Itteba Zaruri Hai (Badiyul Sanaya By Imaam Kaasani).
Jo Kaam Shariat Ke Mukhalif Na Ho Wo Bid’at e Hasana Hai (Umdatul Qari By Allama Badruddin Aini).
Agar Ye Kaha Jaye Ke Bid’at e Hasana Koi Chiz Nhi To Ye Baat Hadees Ke Khilaf Hai (Allama Shaami).
“Hazrate Umar رضي الله عنه Taraweeh Ko Jama’at Ke Saath Padhne Ka Huqm Diya Aur Hazrate Ubayi Bin Kaab رضي الله عنه Ko Imaam Banaaya Aur Farmaya “Yeh Kitni Achchi Bid'at Hai."
Hazrat Abi bin Kaab رضي الله عنه Riwayat Karte hain ke Hazrat Umar رضي الله عنه Ne Unhein Hukam Diya Ki Ramzan Mein Raat Ko Namaz Padhayei'n Farmaya Ki Log Din Ko Roza Rakhte hain Raat Ko Achi tarah Se Qirat Nahi Kar Sakte Lihaza Tum Namaz padhawo Hazrat Abi bin kaab رضي الله عنه Ne kaha Iss Cheez ka Tu Pehle Wajood Nahi Tha (Naya Kaam Bid'at Hai} Hazrat Umar رضي الله عنه Ne farmaya Ji Haan Main janta Hun Lekin Ye Bahut Acha Tareeqa Hai (Biddat Hasna yani Achi Biddat Hai} Chunanche Hazrat Abi رضي الله عنه Ne Logo Ko (20) Rakat Padhaye.
{Kanzul Ummaal Vol 8 Page 409.}
Biddat-E-Hasana Ki Kai Aisi Misaal Hai Jo Aaj Bhi Pai Jaati Hai. Jinka Inkar Koi Firqa Nahi Kar Sakta Par Haqiqat To Ye Hai Ke Wo Biddat- E-Hasana Hai.
Imam Shafai رحمتہ اللہ علیہ ne farmaya. :
Bid’at(Nai ijad) do qism ki hoti hai, pehli wo jo Quran, Sunnat, aur ijma-e-Ummat ke khilaf ho, aisi Bid'at gumrahi hai.
Dusri wo achhi ijaad, jo Quran, Sunnat aur ijma ke khilaf na ho, aisi Bid’at buri nahi.
Ref: Baihaqi – Manaqib Shafai 1/469 Nawawi – Tahzib Asma 2/23 Suyuti – Haqiqat us Sunnah 1/92 Zahabi-Tarikh Islam 14/339 Ibn Taymiyyah – Kitab ul Tanbih 2/562 Ibn Qayyim-aelam ul Moqaeen 5/551.
RASOOLALLAH ﷺ NE FARMAYA:
JISNE ISLAM ME KOI ACHA TARIQA IJAD KIYA AUR USKE BAAD USS PAR AMAL KIYA GAYA TO USS SHAKHS KE LIYE USPAR AMAL KARNE WALO KE BARABAR SAWAB LIKHA JAYEGA.
AUR NA UNN AMAL KARNE WALO KE AJAR ME KOI KAMI KI JAYEGI AUR JISNE ISLAM ME KOI BURA TARIQA IJAD KIYA AUR USKE BAAD USPAR AMAL KIYA GAYA TO USS SHAKHS KE LIYE USPAR AMAL KARNE WALO KE BARABAR BOJH LIKHA JAYEGA AUR NA UNN AMAL KARNE WALO KE BOJH ME KOI KAMI KI AYEGI.
REF: SAHIH MUSLIM KITAB UL ILM > HADITH 1017.
Hazrat Imam Jurjani Mutawaffa 816 Hijri Bid’at Ka Ma’ana Bayan karte huwe Likhte hai. :
‘Bid’at Sirf Wo Amal hai Jo Sunnat ke Mukhalif ho Aur isko Bid’at isliye kehte hain ke iska Qael (Bid’at Karne Wala) Imam ke kaul ke Beghair iski ikhteraa(ijaad) Karta hai. “
.Ref: Atta’rifaat, Page no.40.
Imam Jurjani رحمتہ اللہ علیہ ki iss Tareef se pata Chala ke Jo log harr Naye Kaam ko sawab o Mustahab aur Accha Amal hi kyun naa ho Mehez Naya hone ki wajah se Bid’at o Gumrahi keh dete hai Wo Jaahil hai isliye ke Istelah me Bid’at Sirf Wahi Kaam hai Jo Sunnat ke Khilaaf ho ! Agar Sunnat ke Khilaaf nahi to Naya hone ke Bawajood bhi Mustahab Ya Mubah hota hai.
Hazrat Imam Ismail Haqqi Mutawaffa 1138 Hijri Bid’at Ka Ma’ana Bayan karte huwe Likhte hai. :
Bid’at uss Kaam ko Kaha jaata hai Jo Nabi ﷺ ki Sunnat ke Khilaaf Ghada Jaaye Aur Wo Amal Jo Sahaba o Taba’een Ke Tariqe ke Khilaaf bhi ho. “
Yaani Wo Naya Amal Jo Sunnat e Nabwi ﷺ Aur Sahaba o Taba’een Ke Tariqe ke Khilaaf naa ho to wo Bid’at nahi balke Mustahab Ya Mubah hoga Agarche uski ijaad Sahaba ke Zahiri Zamane ke baad hui ho Jaise Madarsa Banana,Deen Padhne ke liye Darsi Kitabein Sarf Nahw Padhna, 3 Din Ya 40 Din Muqarrar Kar ke Tableegh par Jaana,Mehfil e Milad Karna,ljtemai Mehfil e Durood, Nazr o Niyaz Aur Urs Manana Ye Sab Agarche Naye Kaam hai Magar Bid’at e Zalala Nahi Kyun ke Isme Sunnat ki Mukhalifat bhi nahi.
Wahabi Ghair muqallido ke Imam Allama ibne Hazam Bid’at Ka Ma’ana Aur iski Qismein Bayan karte hue Likhte hain. :
Deen me harr wo Cheez Bid’at hai Jiski Buniyad Kitaab o Sunnat par naa ho Magar Naye Kaam ki Buniyad Khair par ho to Uske Karne wale ko iraada e Khair(Acchi Niyyat) Ka Sawab milega Aur Wo Bid’at e Hasana(Acchi Bid’at) hai Aur Ye Aisi Bid’at hai Jiski Asal ibaahat(Jaiz hona) hai.
Ref: Al Ahkam Fee Usool, Vol 3,Pg no.47.
Bid’ati wo hai jo Ahle Sunnat Wal Jamaat ke Aqeedo ke khilaf dusra koi Aqeeda rakhta ho.
Ref: Ghuniyat ul Mustamli page 514.
KYA JO KAAM NABI AUR SAHABA NE NAHI KIYA WO KAAM NAJAIZ HAI ?
Hazrat Imam Ibne Hajar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hai. :
KISI KAAM KE JAIZ HONE KE LIYE ITNA HI KAFI HAI KI Wo Kaam Jaiz Hai Bhale Hi Wo Kaam Nabi Kareem ﷺ Aur SAHABA NE NA KIYA HO AUR KISI KAAM KE NAJAIZ HONE KI YE DALEEL NAHI HOTI KI WO Kaam Sahaba NE NAHI KIYA BALKE NAJAIZ Tab Hoga Jab Uski MumaniyaT SAABIT HO.
Ref: Fathul Bari fi Sharah Sahih al Bukhari Vol 10 Page 164.
Apne waqt ke Mujaddid, Islam ke azeem Ulama se ek, Imam Ghazali رحمتہ اللہ علیہ farmate hai. :
Ye kehna ki fala chiz bid'at hai kyuki Sahaba ne nahi ki, to jaan lo ki zaruri nahi har Jaiz chiz Sahaba se sabit ho, buri to wo bid'at hai jo kisi Sunnat ke khilaf ho.
Ihya ul Uloom 2/374.
HAZRAT JAREER BIN ABDULLAH رضي الله عنه SE RIWAYAT HAI KI HUZOOR ﷺ NE FARMAYA.:
“Jis Ne Koi Achchha Tareeqa JAARI KIYA PHIR Us Par Amal KIYA GAYA TO USKE LIYE APNA SAWAB BHI HAI Aur Use Amal Karne WalON KE BARABAR SAWAB BHI Milega Jab KI UNKE SAWAAB ME KOI KAMI NA Hogi Aur Jis Ne KOI BURA TAREEKA Jaari Kiya. Phir WOH TAREEQA APNAYA GAYA To Uske Liye APNA GUNAH BHI HAI AUR LOGON KE GUNAAH KE BARABAR BHI JO US PAR AMAL PAIRA HUWE to unke GUNAHON ME KUCH KAMI na HOgi.”
REF: JAMAI TIRMIZI VOL: 05, PAGE: 71, Kitabul ILM, BAAB: HADEES : 2675.