17-Nov-2023

Aaj bhout sare Humare Sunni Hazraat ye Samjhte h ki in Deobandiyo se Humara Jhagda Urs , Fathia Nazr o Niyaz In sab Par Hain lekin ye baat Durust nahi hain Ye Sab par Inse Humara Ikhtelaf hain lekin Jo Main Reason hai jiski wajah se inse Humara Jhagda hain wo Namoos E Paak ﷺ par hain Namoose Ahle Bait par hain in Deobandiyo ke Jo Akabireen Guzre hain Ashraf Ali Thavi, Qasim Nanothvi, Rashid Ahmed Gangohi,Khalil Ambethi inhone Humare pyare Nabi ﷺ ke Shaan me Gustaaqiya likhi hain apni kitaabo me Ahle Bait ki Tauheen Kari hain wo dekh kar Ek Momin Sab kuch to Bardast kar skta hain lekin Apne Huzoor ﷺ ki Gustaaqi bilkul Bardast nahi kar skta isi wajah se Ala Hazrat رحمتہ اللہ علیہ ne in par Kufr ka Fatwa lagaya or Haramin Sharifain ke Ulema ne bhi in par Kufr ka Fatwa lagaya ye deobandiyo ne bahut badtareen Gustaaqi ki hain Nabi ﷺ ki Shaan me unki kitaab o ke Hawale ye Rahe :

Deobandi Molvi Ashraf Ali Thanvi Likhta Hain Nabi ko Jesa ilme Gaib Hain Wesa Ilme Gaib Har Janwar,Pagal or Bacche Ko Hain:

“Phir ye ke Apki Zaat E Muqaddasa per Ilme Gaib ka Hukum kya Jana Baqaul Zaid Sahi ho tu Daryafat Talab ye Amr Hain ke is Gaib se Muraad baaz Gaib hain ya Kul Gaib Agar Baaz Uloom Gaibiya Muraad Hain to Isme Huzoor ki hi kya takhsis Hain Aisa Ilme Gaib to Zaid wa Amr Wa Balki Har Sabbi wa Majnoon Balke Jamee Haiwanat Wa Bahim ke Liye Bhi Hasil Hain

Hifzul Imaan Page no 15

Maazallah استغفراللہ In Jahil Deobandi ne Humare Pyare Aaqa ﷺ ke Ilme Gaib ko janwar Pagal or Bachhe ki Tarah likha Hain Astagfirullah Ab Aye Dekhte hain Hadees Kya btati hain Humare nabi ﷺ ki Shaan me

HAZRAT HUZAIFA BIN YAMAN رضي الله عنه NE FARMAYA:Rasul Allah ﷺ ne mujhe wo sab kuch bata diya jo Qayamat tak hone wala hai

AL MUSTADRAK 8380. MUSNAD BAZZAR 569, TAFSIR IBN KASIR 5/157. TAFSIR TABRI 28/11.

Hadees Shareef me to Ata hain ki Huzoor ﷺ ko Ye Bhi pta Hain ki Qayamat tak kya hone wala Hain or Ye Deobandi mulla Huzoor ﷺ ke Ilme Gaib ko Janwar or Pagal o ki tarah bta rha hain .

DEOBANDI MOLVI ISMAILDEHELVI LIKHTA HAIN :Namaz Mai Huzur Ka Khyal Lana Gadhe, Bail Ka Khyal Lane Se Bhee Badtar Hai”

Siraat-e-Mustaqeem Page No 118

Ye deobandi ke Nazdeek Agar Namaz me Huzoor ﷺ ka khayal Aajaye to usse Achha hain Gadhe Bail ka khayal Lana Maazallah استغفراللہ Aye Hadees Shareef kya kehti hain.

Hazrat Anas Ibn Malik رضي الله عنه Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ kay bimari k wakt Hazrat Abu Baqr Siddique رضي الله عنه Namaz padhate the Wo Peer Ka Din Tha Jab Log Namaz Me Saff Bandhe Khade Huwe The, To Huzoor Rehmat E Aalam ﷺ Ne Apne Huzre E Mubarak Se Parda hataya aur Hamari Taraf Dekh Rahe The Aapka Chahre Mubarak Goya Mushaaf Ka Waraq Tha Huzoor Nabi E Karim ﷺ Muskura Rahe The Hume Itni Khusi Huwi k Khatra Hogaya k Kaheen Hum Sab Aap Nabi E Akram ﷺ Ko Dekhne Me Hi Naa Mashgul Hojaye Aur Namaz Tod De, Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه Piche Hatke Saaf k Saath Aa Milna Chahte The Wo Samjhe Huzoor Rehmat E Aalam ﷺ Namaz K Liye Tashrif Laa Rahe Hai Lekin Huzoor Rehmat E Aalam Ne Ishara Kiya Kay Namaz Puri Karlo phir Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Parda daal Diya Aur Ussi Din Aap ki Wafat huwi”

References : (Sahi Bukhari Vol : 01, Pg : 386, Kitabul Azaan, Hadees : 680 & 681) (Sahi Bukhari Hadees No : 704, 1205, 4448)(Sahi Muslim, Vol : 01, Pg : 534, Kitabus Salat, Hadees : 944, ‘Online No : 419’)(Sunan Nasai Kitabuz Janaiz, Baab : Peer Kay Din Wisal Hone Ka Bayan, Hadees : 1831)(Sunan Ibn Majah Kitabuz Janaiz, Hadees : 1624)Scan Page Sahi Bukhari

Sahi Bukhari ki hadees se wajah huwa sahaba ka apna amal dekh ke Huzoor ﷺ ka khayal to dur Huzoor ﷺ ko dekh rahe hai aur namaz bhi horahi hai . Or Ye Jahil likhta hai Ki khayal Lana Badtar hain Maazallah

Deobandi Mulla Rasheed Ahmed Gangohi Likhta Hain : ALLAH JHOOT BHI BOL SKTA HAIN Rasheed Ahmed Gangohi Jo Sare Deobandiyo Tablighi Jamatiyo Ka Peer Aur Sabse Bada Mulla Tha Wo Apni Badnam Zamana Kitab me Likhta Hai”Kizb (Jhoot) Dakhil Qudrat Baari Ta’ala Hai Yani Jhoot ALLAH Ta’ala Ki Zaat Sifaat Me Shamil Hai ALLAH Ta’ala Jhoot Bhi Bol Sakta Hai

FATAWA RASHIDIYA SAFA NO 237

Khalil Ahmed Ambetvi likhta Hain Huzoor ko Diwar ke piche ka Ilm Nahi

Ulema E Deoband Khalil Ahmad Ambethvi Saharanpuri (Death 1927) Jo Shagird E Khas They Maulana Rashid Ahmad Gangohi Sahab Kay Unhone Apni Kitab Me Ye Rivayat Naql Ki Hai Kaha Hai Jhooth Bandte Hai khud fakhre do Aalam ﷺ ne Farmaya Hai Ke Mujhko Deewar Ke Piche Ka Ilm Bhi Nahi

Braheen E Qatiya Page no 51

WAHABHI / Deobandi Molvi Ismail Dehelvi likhta Hain ALLAH Ki Makkari Dhoke Se Darna Chahiye, Allah Bando’n Se Bhi Makkari Karta Hain :

Ismail Dahelvi Likhta Hai Ki ALLAH Ke Makr Se Darna Chahiye Ke Baad Waqt Banda Shirk Me Pada Hota Hai Aor Uske Gair Se Murade Mangta Hai Aor ALLAH Uske Behlane Ke Liye Uski Murade Puri Karta Hai Aor Yu Samjhta Hai Ke Me Sacchai Rah Par Hu

(Taqwiyatul Iman Page no 76-77)

Maulvi Ismaa’eel Dehelvi Kitab Taqwiyatul Iman Mein Nabi Kareemﷺ Par Jhooth Bandte Hue Likhta Hain :(ALLAH Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya) “Yaani Main Bhi Ek Din Mar Kar Mitti Me Milne Wala Hoo’n

TAQVIYAT UL IMAN PAGE no 81

Deobandi Tablighi Jamati Dharam Me Nabi ﷺ To Mar Kar Mitti Me… Lekin Deobandi Mulla Zinda Hai Aur Hazir Nazir Bhi Thanvi Deobandi ” Likhta Hai mulla Ahmad Hasan Amrohi Deobandi Aur mulla Fakhrul Hasan Gangohi Deobandi Me Kisi Masle Par Jhagra Hogaya Mulla Mehmud ul Hasan Deobandi Asal Jhagde Me Na Shamil The Na Is Kism Ke Maslo Par Dil’ Chaspi Thi Surat Haal Aisi Pesh Aai Ke Mulla Mehmud Bhi Bagair Jandar Rehne Ke Kisi Ek Janib Jhuk Gaye Aur Ye Waqia Kuch Tol Pakad Gaya Usi Dauran Me Ek Din Baad Namaz Farj Mulla Rafiuddin Ne Mulla Mehmud Deobandi Ko Apne Kamre Me Bulaya Mulla Band Kamre Ke Andar Dakhil Hua Mausam Sakht Sardi Ka Tha Mulla Rafiudin Ne Kaha Ke Pehle Ye Mera Rui Ka Libas Ko Dekh Lo Mulla Mehmud Deobandi Ne Dekha To Bhigha Hua Tha Kaha Ke Waqia Ye Hai Ke_ Abhi Abhi Mulla Qasim Nanautvi Deobandi Jaste Ansri (Yani Apne Jism Ke Saath Mere Paas Aaya Tha Aur Kaha Tha Ki Mehmod Hasan Deobandi Ko Kehdo Ki Wo Us Jhagde Me Na Pade

Dekha Aapne Deobandiyo Jamatiyo Ki Saaf “Munafiqat” Ki Mulla Nanautvi Deobandi Jisko Mare Hue Us Waqt 25 Saal Ho Chuke The Apne Jism Ke Saath Deoband Aa Gaya Aur Usko Ye Bhi Pata Ho Gaya Qabr Ke Andar Ki 2 Deobandi Mullao Me Jhagda Ho Gaya Hai Aur Us Jhagre Me Mulla Mehmud Deobandi Bhi Pad Gaya HaiAur Yahi Deobandi Mulla Logo Ko Kehte Hai Ki Nabi Mar Kar Mitti Me…. Nabi Hazir Nazir Nahi Nabi Ko Diwaar Ke Piche Ka ilm Nahi “معاذﷲ معاذﷲ استغفرﷲKya Abhi In Sabhi Deobandiyo Ko Ye Janne Ke Baad Musalman Samjhe Ga Koi???

(Deobandi Book /Arwahe Salasa / Safa -193-&-194)

Deobandi Bidati Dharam Mein ALLAH Ki Gaud Hoti Hai Aor DEOBANDi Us Gaud Me Baithe Bhi Hai Deobandi Dharam Ke Fasiq ul Uloom Molvi Qasim Nanotvi Khud Kehta Hai Ke “Aiyam E Tifli Me Khawab Dekha Ke Me Goya ALLAH Ta,ala Ki Gaud Me Baitha Huwa Hu.

(Swaneh Qasim / Jild 1 / Page-131-132)

Khawab Tha To Qasim Nanotvi Ko Kaise Pata Chala Ki Wo ALLAH Ki Gaud Hai? Nanotvi Ne ALLAH Ko isse Pehle Bhi Pure Jism Ke Sath Dekha Hoga Tabhi To Gaud Keh Raha Hai Kya Isse ALLAH Ke Jism Ka Aqida Nahi Banta ? Zahir Si Baat Hai Jab Gaud Hai To Jism Bhi Hoga Tabhi To Qasim Nanotvi Gaud Me Jakar Baith Gaya Pata Chala Ke Qasim Nanotvi Kahi Na Kahi ALLAH Ke Jism Ka Qail Tha Aor Allah Ko Mehdood Samjhta Tha

DEOBANDI Rasheed Ahmed Gangohi Likhta Hain Ulma E Deoband ka khana Banane Nabi khud Aate the:

Rashid Ahwmad Gangohi Tazkiratul Rashidiya Me Likhata Hai Ki Rashid Gandgohi Ki Bhawaj Ka Husn Aetiqad Aor Mukhasana Bartao Tha Ke Mahemano Ka Khana Khud Pakati Thi Aor Kisi Maheman Ke Na Waqt (Betaim) Aane Se Bhi Kabhi Tang Dil Na Hoti Thi – Ek Din Gandgohi Ne Khwab Dekha Ki Aapki Bhawaj Aapke Mahemano Ka Khana Pakarahi Hai Ke Janab Rasoolﷺ Tashrif Laye Aor Aapki Bhawaj Se Farmaya Ke ‘ Uth Tu Is Qabil Nahi Ke Imadad Ullah Ke Mahemano Ka Khana Pakai Uske Maheman Ulma Hai Uske Mahemano Ka Khana Me Pakaonga.

TAZKIRATUL RASHIDIYA PAGE NO 46-47

Qasim Nanothvi Tahezirunnas Me Likhta Hai “Agar Farz Kijiye Aap Ke Zamane Yani Bilfarz Aapke Zamane Me Ya Bil Farz Aapke Baad Bhi Koi Nabi Farz Kiya Jai To Bhi Khatmiyat Muhammedﷺ Me Farq Na Aayenga

Tahezirunnas Page no 21

Yani In Deobandi ke Nazdeek Agar kal ko koi uth kar Nabuwwat ka Ailan karega or Kahega ki wo nabi hain to uski NaBuWaT ko man liya Jayega Deobandiyo ke Nazdeek Lekin Akhri Nabi huzoor ﷺ hain .

Maaz’Allah

Deobandi Molvi Khalil Ambethi Likhta Hain Nabi ﷺ ne Urdu Padhna Madarsa E Deoband me Seekha :

Madarsa-e-Deoband Ki Azmat Haq Ta'ala Ki Bargah Paak Me Bahut Hai Ke Sadah Aalim Yaha Se Padh Kar Gaye Aor Khalqe Kaseer Ko Zulmat Zalalat Se Nikala Yahi Sabab Hai Ke Ek Saleh Ne Fakhre Aalam علیہ السلام (Aaqa ﷺ) Ki Ziyarat Se Khwab Me Musharraf Huai To Aapﷺ Ko Urdu Me Kalam Karte Dekh Kar Pucha Keh Aapﷺ Ko Ye Kalam Kaha Se Aagai Aap To Arbi Hai Farmaya Keh Jab Se Ulma Madarsa-e-Deoband Se Humara. Muamla Hua Humko Yeh Zuban Aagai – Subhan ALLAH Isse Rutba Us Madarse Ka Maloom Hua .

Braheen -e- Qatia page No 30

Deobandi Mulla Ashraf Ali Thanvi ne Apna Kalma Padhaya:

Ashraf Ali Thanvi ka ek Mureed Ashraf Ali Thanvi se kehta hain Raat ko me Soya tha Ashraf Ali Thanvi ki kitaab ko apne pass Rakh kar uske Baad me Khwaab Dekh Raha Hu ki Me Padh Raha Hu La ilaha illallah Ashraf Ali RASOOLALLAH Uske Baad Muje ehsas hua ki kalma Padhne me mujse kuch Galti Hui hai phir padhta hu to Zubaan se Yahi Kalma Nikal Raha Tha La ilaha illallah Ashraf Ali RASOOLALLAH phir Me nind se Jaag Gaya or Muje Khayal hua ki kalma Padhne me mujse kuch Galti Hui hai use Sahi kiya Jave Ab Hosh me Phir Kalma Padhta Hu to Zubaan se Yahi Nikalta Hain Alla Humma Salle Alla Sayyedna wa Maulana Ashraf Ali wo Din me pura bechain Raha apne peer ke Muhabbat me phir Usne Ashraf Ali Thavi se Sawal kiya is Bare me Asraf Ali thanvi Jawab deta Hain Is Waqye me Tassali Thi jiske Taraf Tum Ruju Karte Ho Wo Behamdi Tala Muttabe Sunnat Hain

Risala Al Imdad Page no 34-35

Sabse bade Deobandi Ulama me se ek, Ashraf Ali Thanwi likhte hai : “Shaitan khwab me Allah ki surat ban kar namudar ho sakta hai”

Ref: Book Taqrir e Tirmizi page 445

*Deobandi Dharam Me Jis Khane Par Quran Pada Jaye Usko Janwar Ko Bhi Na Do Kahi Dafn Kardo*

Ek Shaqs Ne Sawal Kiya Ke Agar 11vi Ki Mithayi Aaye Toh Kya Kare._?_Ashraf ili Thanvi Deobandi Bola_ *Kahi Le Jakar Dafan Kar De Aur Radd Karne Ki Ander Isteshaal Ka Andhesha Hai.*

Yani Quran Shareef Ki Ayat Padhi Huwe Khane Ko Kisi Gareeb Ko Bhi Nahi De Sakte Kisi Kafir Ko Bhi Nahi De Sakte, Kisi Charind Ya Parind Yaani Janwar Aur Parinde Ko Bhi Nahi De Sakte. Itni Bura Khana Hota Hai_ *Maaz’Allah* *Hawala Note Deobandi Kitab*

Kamalat-e-ashrafia Page 154 Aur 155

*Deobandiyo Jamatiyo Ke Dharam Me Mirza Qadyani Nabi Tha* Astagfirullah Nauzbillah Maaz’ Allah*

Deobandi Mulla Ahmad Ali Lahori* Likhta Hai*Mirza Gulam Qadyani Asal Me Nabi Hi Thay Lekin Mene Unki Nabuwat Kasheet Karli Aur Ye Nabuwat Ab Mujhe Wahi (Revelation) Manwato (Benefitting) Se Nawazti Hai*

_Ab Is Par Mujhe Kuch Comments Karne Ki Zarurat Nahi kyuki inke Mulla Qasim Nanothvi ne to Apni kitaab me likha h Ki nabi ﷺ ke baad bhi koi nabi Aa jaye to unke Khatimunabieen hone par Farq nahi padega

Tajalli Deoband. January 1957 Page *21*

Founder of Deoband Maulana Rasheed Ahmed Gangohi Apne Fatwa me Milad Shareef Se Apni Nafrat Zahir karte huwe Kehte hai :

Aesi Mehfil e Milad Jisme Sirf Sahih Hadeesein Padhi Jaati ho Usme Bhi Shirkat Karna Jayez Nahi!

Ref: Fatawa Rasheediya, Page no.271.

Ab Aap Andaza Laga Sakte honge in Wahabiyon ko Milad e Mustafa ﷺ se Kitni Takleef hai.

DEOBANDI FIRQE KE BADE IMAM, RASHEED AHMAD GANGOHI NE LIKHA :

MOHARRAM ME SHARBAT PILANA HARAAM HAI

Ref: Fatawa Rasheedia page 149

DIWALI KI MITHAI KHANA JAYAZ HAI

Ref: Fatawa Rasheedia page 575

Deobandi Firqe ke Mujaddid Ashraf Ali Thanwi kehte hai “Agar mere pas 10 hazar rupe hote to sabki tankhwa kardeta aur sab khud Wahabi ban jate”

Ref: Malfoozat E Hakeem ul Ummat Vol 2 page 249

Deobandi AQEEDAH

Sabse bade Deobandi Ulama me se ek, Ashraf Ali Thanwi likhte hai : “Shaitan khwab me Allah ki surat ban kar namudar ho sakta hai”

Ref: Book Taqrir e Tirmizi page 445

Huzoor Paakﷺ Ke Walidain Ke Iman Me Ikhtelaf Hai Aor Inke Imam Ka Mazhab Yeh Hai Ki Unka Inteqal Halate Qufr Me Hua (معاذﷲ)(Fatawa Rashidiya / Page-245)

Nabi E Karim ﷺ Jism E Aqdas Kay Saath Kahin Nahi Aa ja Sakte Lekin Deobandi Ulema Jahan Chahe Aa Ja Sakte Hai

Sawal : Kya Nabi ﷺ Kahin Bhi aa aur jaa sakte hai ?Jawab : Aap ﷺ ki Hayat Barzakhi hai Aap ﷺ Kahin Aaja Nahi Sakte.

Deobandi Mulle ka Fatwa hain ye ki huzoor ﷺ Apne Jism E Aqdas ke sath kahi Aa ja nahi skte lekin Apne mare hue DEOBANDi Mulla ke baree kya likhta hain padhe

Darul Uloom Deoband Kay baani Maulana Qasim Nanatvi Sahab ka Maut kay baad Aajana

Qari Tayyab Sahab Muhtamim Darul Uloom Deoband Bayan Karte hai Ki Jis jamane ME Maulvi Rafiuddin Sahab Madarse Kay Muhtamim they, darul uloom kay baaj mudarriseen (teacher’s) kay darmiyan aapas me kuch neza (jhagda) chid gayi.Aage Chalkar Madarse Kay Sadar Mudariseen Maulvi Mahmadul Hasan Sahab bhi Hungame me sharik hogaye Aur jhagda tool pakad gaya.Ab iske aage ka waqya Khud Qari Tayyab Sahab ki jubani Suniye maufus bayan karte hai….. Issi Dauran Ek Din Alsabbah baad namaz e fazr Maulana Rafiudddin Sahab Rahmatullah Alaih Ne Maulana Mehmoodul Hasan Saheb ko apne huzre me bulaya (Jo Darul Uloom Deoband Me hai) Aur Band Huzra kay Kewad khol (Darwaja) kar andar daakhil huwe mausam sakht sardi ka tha.

Maulana Rafiuddin Sahab Rahmatullah Alaih Ne Farmaya Pahle Ye Mera Rui ka Lebada Dekh Lo Maulana ne Lebada dekha to tar tha aur khoob bheeg raha tha farmaya Ki Waqiya ye hai kay Maulana Qasim Nanatvi Rahmatullah Alaih jasad e unsuri (jisme jahir) kay saath mere pass tashreef laaye they, jisse mai ek dum pasina pasina hogaya aur mera lebada tar tar hogaya aur ye farmaya kay Mehmoodul Hasan ko kahdo kay is jhagde me naa pade, Bas maine ye kahne kay liye tumhe bulaya hai, Maulana Mehmoodul Hasan Sahab ne arz ki Hazrat Mai Aapke haath par tauba karta hoon ki iske baad mai is kisse me kuch na bolunga”

(Ashraf Ali Thanvi, Arwah E Salasa Yaani Hikayat E Auliya, Pg : 193-194, Hikayat No. 256, Maktaba Umar Farooque)

Padhke Hairani hogayi honge logo ko kay deobandi aisa kaise kar sakte hai ek jagah to inke fatwe Ahle Sunnat Wa Jamat ko biddati Kahne Ilme Ghaib maankar Shirk me mubtela hone ka hota hai aur Apne bado kay baare me ye aqeedah hai.

Maulana Ashraf Ali Thanvi Sahab kay Par Dada Ka Maut Kay Baad Dobara Ghar Aajana“Kisi Baraat Me tashreef Le Jaa rahe they ki dakuoan ne aakar baraat par hamla kiya unke paas teer wa kaman bhi they, unhone in dakuoan par dile-rana teer barsana shuru kiye, Chunki Dakuoan ki tadad kaseer thi aur idhar se besar wa samani thi yeh muqable me shaheed hogaye.Shahadat Kay Baad Ek Azeeb Waqiya Huwa Raat Kay Waqt apne ghar misle zinda kay tashreef laaye aur apne ghar walo ko mithayi laakar di aur farmaya ki agar tum kisi se jahir na karogi to is tarah se roz aaya karenge, lekin unke ghar kay logo ko ye andesha huwa ki ghar wale jab bacche ko mitha khate dekh lenge to maloom nahi kya sub’ah karenge is liye jaahir kar diya aur aap tashreef na laaye ye waqiya khandan me mashoor hai”

(Musannif Khwaja Azizul Hasan, Ashraf Us Sawaneh, Vol : 01, Pg : 39-40)

Apne Maulana ke liye ye Aqeedah rakhte hai or likhte hain ki Marne ke baad wo kahi bhi aa ja skte hain lekin Hum huzoor ﷺ ke bare me ye Aqeedah rakhe to hume Mushrik Biddati kehne lagte hain Maazallah tumhare buzurg huzoor ﷺ se badh kar ho gaye batao Deobandiyo?

Deoband Madarse Me Deobandio Ke Akabir Ki Angrez Ki Mehman Nawazi* Deobandio Ka *Sheikh Saeed Khan* Deobandi Likhta Hai *Suba Muttahida Ke British Governor Sahab Ko Phir Dubara Se Darul Uloom Maduh* (आमंत्रित) *Kiya Jaye Phir Se Unke Samne Apne Masail Ko Unke Samne Rakha Jaye Is Martaba Suba Muttahida Ke Governor Sir Sir James Muston Thay Wo 1st March 1915 Ko Darul Uloom Deoband Aaye Aur Yahan Ke Nizam Taleem Akabireen Ke Istagna Aur Mehman Nawazi Se Bahut Mutasir* (प्रभावित) *Hue* Hawala Deobandi Book *Qayam Darul Uloom Deoband* Safa *35-&-36*

In Deobandiyo ki Munafiqat dekhe Huzoor ﷺ ke Ilm e gaib ko to janwar pagal o ki tarah likhte Hain or apne Mulla k bare me likhte h ki unhe ilm e gaib tha

Maulana Nanotvi Farmate The Ki Shah Abdur Raheem Sahab Wilayati K Ek Mureed The Jinka Naam Abdullah Khan Tha. Aur Qaum Ke Raajpoot The, Aur Yeh Hazrat K Khas Mureedo Me The. Unki Haalat Ye Thi Ki Agar Kisi Ke Ghar Me Hamal Hota Aur Wo Ta’weez Le Aata To Aap Farma Diya Karte The Ki Tere Ghar Me Ladki Hogi Ya Ladka. Aur Jo Aap Batla Dete The Wohi Hota Tha”. (Arwahe Sala Pg.139. Hikayat No.145)

Astagfirullah Yani iske mulla ko ye khabar mil jati h ki maa ke pet me ladka h ya ladki lekin inke Nazdeek Huzoor ﷺ ko ilme Gaib nahi hain Astagfirullah

20رکعت تراویح پڑھنے کا ثبوت۔

یہ امت شرک نہیں کر سکتی

ایصال ثواب فاتحہ کا ثبوت

وسیلے پر اعتراز کا جواب ۔

مزار بنانے کا ثبوت

صحابی رسول ﷺ حضرت امیر معاویہ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ کی فضیلت.

بدعت کسے کہتے ہیں؟

حضور ﷺ سے مدد طلب کرنا جایٔز ہے۔

نبی کریم ﷺ کا اختیار

علم غیبِ مصطفیﷺ پر اعتراض کا جواب