17-Nov-2023

Bhut saare Bhole bhale Sunni Hazraat ye nahi jante Ki Eid e Ghadeer hota kya hai ise kyu manate hain lekin wo log rafziyo'n (shia) ki paidawar ke Saath dosti, Ristedariyaan rakhte hain aur na jante hue Wo log Aisa karte hain sabse pehle ye janenge Eid e Ghadeer kya hai aur iski Haqiqat kya hai.

Ghadeer E Khum Makkah Sharif se Madina Shareef jaane ke Raste Me Bich Mai ek Jagah ka Naam hai Jahan Nabi e Paak ﷺ ne Hajjatul Wida Ke Mauqe par Ek Khutba Diya tha jisme Maula ALI رضي الله عنه ki Fazilat Bayan Farmayi…Rafzi Tafzeeliyo'n Ne iss Khutbe ko Buniyad Bana kar Jhooth phaila diya ki ye Hazrat ALI ko Imaam aur khalifa muqarrar Karne ka khutba tha, jabki iss Khutbe ka Maqsad Logon ke dilo me Se maula Ali ke Bare mai Manfi Jazbaat ko Khatam karna aur Unki Mohabbat o Mawaddat paida karna tha….uss Khutbe mai HUZURﷺ ne irshad farmaya ” jiska Mai Maula, Uska ALI Maula ” …

Shia Raafzi Ye Aqida rakhte hain ke 18 Zulhijja Ko Ghadeer e Khum ke Maqam Pe Hazrat Maula Ali رضي الله عنه Ki Khilafat Wa Imamat Bila Fasal hone Ka ailaan Kar Diya Gaya tha Magar Ma’azAllah Abu Bakr o Umar bin Khattab Aur Usman bin Affan ne Jabran Hazrat Ali Se Khilafat Ka Haq Chheen Liya !! Jab ke Sacchai se iss baat ka duur duur tak koi Ta’alluq nahi. Phir Shia Raafziyon ne Sahaba ki Dushmani me 18 Zulhijja Tarikh e Shahadat e Usman رضي الله عنه Ke Mauqe par Eid e Ghadeer Ke Bahaane se Hazrat Usman ki Shahadat ki Khushi Manana Shuru Kar Diya Jo Aaj tak Chala Aa Raha hai Aur Afsos iss baat pe ke Kuch Kam Aqal Jaahil Neem Raafzi Jo Apne Aap ko Sunni Kehte hain Wo bhi Hazrat Usman e Ghani رضي الله عنه ki Shahadat ki Tarikh me Eid Manane lag Gaye hain.

Imam Zahabi رحمتہ اللہ علیہ jinka Wisaal 748 Hijri me huwa Wo Apni Kitaab me Likhte hain ke :

’18 Zulhijja 352 Hijri me Rawafiz (Shia logo'n) ne Eid e Ghadeer Manai, Dhol Bajaya Gaya Aur Registaan me Jaa Kar Eid Ki Namaz Padhi “.

Ref: Al I’br Fi Khabr Man Ghadr, Vol 2, Pg No.90.

Imam Jalaluddin Suyuti رحمتہ اللہ علیہ Jinka Wisaal 911 Hijri me huwa Wo Apni Kitaab me Likhte hain : 352 Hijri Me Shia Rafazi Badshah Moiz-ud-Dawla Ne Ashura (10 Muharram) ke Din Gham Manana aur Matam Karne Ka Huqm diya aur Isi Saal 18 Zilhajj Ko Eid e Ghadeer Dhoom Dhaam se Manane Ka Huqm diya.

Ref: Tareekh ul Khulafa lil Imam Suyuti Shafai Page 558 || Al Kaamil Fit Tareekh lil Imam Aseer (7/246) || Al Bidayah Wan Nihaya Lil Ibne Kaseer (15/261) || Al Abar Fi Khabar Mann Ghabar lil Imam Zahabi (2/90).

Ye Eid e Ghadeer Shia Rafzi Qaum Ka Mazhabi Shiyar hai Ahlesunnat ka Isse Kuch Talluq nahi hai Huzur ﷺ ne farmaya: Jisne Jis Qaum ki Mushabahat Ki Wo Unhi me se hain.Yaad Rahe ye Shia ki Eid e Ghadeer Ka Ahlesunnat Se Kuch Talluq nahi hai! Ahlesunnat Ke Kisi bhi Imam, Muhaddiseen, Fuqah, Auliya Allah Ne Isko Nahi Manaya hai.

Imam Malaki Andulusi (jinka wisal 700 saal pehle hua) likhte hai :

Rawafiz (shia) logo ne Hazrat Usman رضي الله عنه ki Shahadat wale din ko Eid bana diya, aur use naam diya EID E GHADEER.

REF: KITAB TAMHID UL BAYAAN PAGE 186

طاہر القادری کی گستاخی

شیعہ/رافضی کی حقیقت۔

اہل سنت والجماعت۔

ترکِ رفع یدین کا سبوت۔

تبلیغی جماعت کی حقیت۔

دیدار خدا بہ چشمہ مصطفی ﷺ

کیا حضرت عمر رضی اللہ عنہ نے سیدہ پاک حضرت فاطمہ رضی اللہ عنھا کا گھر جلایا؟ جھوٹے واقعہ کی تحقیقات

جماعت ع اسلامی کی حقیقت

مختار ثقفی کا ختم نبوت پر ڈاکہ

اعلیٰ حضرترحمت اللہ علیہ پر اعتراض کا جواب