23-Mar-2025

Gohar Shahi" Is Daur Me Ek Naya Fitna Apne Urooj Par Hai , Jise "Fitna Gauhar Shahi" Kaha Jata Hai , Mukhtasar Taur Par Ye Ke , Is Fitne Ko Paida Karne Wale Se Le Kar Is Fitne Me Shamil Hone Wale Sub Ke Sub Jahil Hain , Jinko Deen Ke Buniyadi Aqaid Ka Bhi Ilm Nahi , Aage Ham In Saari Baaton Ko Inhi Ki Likhi Kitabo Se Inhe Exposed Karenge. Is Fitne Ki Buniyad Rakhne Wala Riyaz Ahemad Gauhar Shahi (1941–2001) Tha Jo Khud Ko Imam Mahdi Aor Isa Masih Kehta Tha , Aor Bhi Uske Kuch Kufriya Aqaid The Jo Ham Aage Tafseel Se Bayan Karenge , Abhi Is Waqt Is Fitne Ka Jo Thekedar Hai Wo Younus Algohar Naami Sakhs Hai Yeh Shaks Mardood Insan Jahil Bhi Hai Or Iska Aqidah Kufriya Hai Aor Isne Apne Baaz Bayanat Me Apne Jaali Peer Riyaz Gauhar Shahi Ke Khuda Hone Ka Bhi Dawa Kya Hai, Masla Ye Hai Ke Ye Log Apne Fitne Ko Promote Karne Ke Liye 'Sufiya Aor Sufism' Ka Naam Istemal Karte Hai, Is Liye Ham Khule Aam Ye Aelaan Karte Hai Ke In Ka Ya In Jaiso Ka Sufiya Ki Jama'at Se Door Door Tak Koi Talluq Nahi , Balke Ye Gauhar Shahi (Gobar Shahi) Wale Pakke Kafir Hain, Sufiyo Ki Jama'at To Paak Aor Muqaddas Jama'at Hoti Hain .Aaye Dekhte Hai In Ke Kufriya Kun Aqaid

Yeh Gohar Shahi(Gobar Shahi) Ke Nazdeek ALLAH Tala Shai Rag Ke Pas Hote Huae Bhi (نعوذ باللّٰه) Inasano Ke Aamal Se La'Ilm Hai Kyunke Gobar Shahi Is Aqideh Ka Izhaar Apne Mulhidana Kalam Me Kuch Yu Karta Hai; “Qareeb Hai Shah Rag Ke Use Kuch Bhi Pata Nahi Bezaar Huai Muhammed Kash Tune Paya Woh Rasta Nahi “

Reference: (Taryak e Qalb /Page-18)

Gobar sahi apni jhooth or makkari ki had paar karte huey likhata hai : " Gohar shahi (Gobar shahi) ki Hazrat isa عليه السلام Se mulakat hui " 📚(Deen e ilahi , safa 66)

Tabsara: - 📚 Qur'an ki ayaat , jaisey surah nisa' ki ayat number 157 ki tafseer me or 📚 Sahih bukhari ki 3448 number hadith se wazeh hai ke hazrat isa عليه السلام Ko aasmano me utha liya gaya or wo Qayamat ke karib dajjal se mukabala karne ke liye nuzul karynge, Sawal ye paida hota hai ke , is gobar Shahi ne dajjal se pehle or Qayamat se phele unse mulakat kaisey kar li ?? Lihaza ye dawa jhootha hai or ye makkari hai.

Gobar shahi namaz nahi padhta tha :- " Gohar shahi ke mamani (jo ke ibadat guzar thi) ne pucha ke or sab to thik hai lekin tu namaz nahi padhta hai, gobar shahi ne jawab diya : ke namaz rab tak tohfa hai or mai nahi chahta ke namaz ke sath sath bukhl, takabbur, hasad, kina ,ki malamat rab ke paas bhejun , kabhi kabhi namaz padhunga to Sahih namaz padhunga, tum logo ki tarah nahi ke namaz bhi padhte ho or gibat, chugli, buhtaan jaisey Kabira gunah bhi karte ho. " 📚(DEEN E ILAHI , SAFA-39)

Tabsara: - Ab is ibarat or kalam me , Gobar shahi naami kazzab ki jahalat wajeh hai, or ye baat bilkul wajeh hai ke Allah Ta'ala kisi jahil ko apna wali nahi banata, Allah ta'ala pehle usey ilm ata karta hai phir wilayat ata karta hai. Gobar shahi ne namaz naa padhne ki wajah usne ye batai ke , namaz ke sath sath gunah bhi rab ko pahunch jata hai , Sawal ye hai ke , jab tum Namaz nahi padh te , to kiya us waqt Allah ta'ala ko tumhare gunaho ki khabar nahi hoti ?? Ye kaisi jahalat hai ? Allah ta'ala to hukm irshad farmata hai : 📚 (Suarh al-'Ankabut-45) ٱتْلُ مَآ أُوحِىَ إِلَيْكَ مِنَ ٱلْكِتَـٰبِ وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ ۖ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ تَنْهَىٰ عَنِ ٱلْفَحْشَآءِ وَٱلْمُنكَرِ ۗ وَلَذِكْرُ ٱللَّهِ أَكْبَرُ ۗ وَٱللَّهُ يَعْلَمُ مَا تَصْنَعُونَ ٤٥ "Ay mahbub padho jo kitaab tumhari taraf wahi ki gai or Namaz qayam farmaao beshak Namaz mana karti hai be-hayai or buri baat se or beshak Allah ka zikr sab se bada or Allah jaanta hai jo tum karte ho." Is ayat me wajeh taur par bata diya gaya ke Namaz to gunahon se rokti hai , or Allah Ta'ala to har chiz jaanta hai jo tum karte ho Lihaza in ayat se gobar Sahih ki baat ka mukammal radd ho chuka . Fhir gobar Shahi apni mamani se kehta hai ke Tum log namaz bhi padhte ho or kabira gunah bhi karte ho ,. Sawal ye hai ke , Namaz tark kar dene se jeyada koi Kabira gunah hai ?? Namaz tark karna to khud ek kabira gunah hai. 1400 saal me kisi sahabi ne , kisi wali ne , kisi imam ne , Namaz tark ki ?? Or kiya unhone isi tarike ka bahana banaya tha ?? Hargiz nahi, balki hazrat imam e Hussain رضي الله عنه ne to karbala me bhi Namaz tark na faarmai.

Apni jahalat ki hadd paar karte huey likhta hain : Mazhab waley (yani musalman, hindu, sikh, isai wagaira) or bina mazhab walon ke liye azkaar bayan kiye gai hain takey nizaat paaya jaa sake (Ma'azallah) 📚(Deen e ilahi, safa-35)

ye baat pure aalam e Islam par wazeh hai , ke nizaat sirf or sirf musalmano ke liye hai, koi kafir nizaat nahi paa sakta Magar Gobar shahi or uske Gobar bhakto ne Qur'an o hadith ki buniyadi baato se hi takkar lena shuru kar diya , or ye zikr o azkar se kuffar ki bhi nizaat ki baat karte hain , Lihaza Allah ta'ala irshad farmata hai : (📚 Surah Baqarah-82) وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَعَمِلُوا۟ ٱلصَّـٰلِحَـٰتِ أُو۟لَـٰٓئِكَ أَصْحَـٰبُ ٱلْجَنَّةِ ۖ هُمْ فِيهَا خَـٰلِدُونَ ٨٢ " Aur jo imaan laay or achey aamaal kiye wo jannat waley hain unhe hamesha usme rehna" Yani wo log jinho ne imaan laya, or ache amaal kiye , ab imaan laney ki qaid pehle hai, ke banda imaan pehle laay fhir amaal kary , or sath hi ye bhi wajeh hai ke imaan lana kafi nahi balki namaz bhi jaruri hai ke wo sab se afzal amal hai.

Gouhar Sahi likhta hai : Aadam Jinhe Shankar bhi kehte hain, jannat ki mitti se unka jism banaya gaya ". (MA'AZALLAH) 📚(Deen e ilahi, safa-8)

Is ibarat me is haraamkhor ne hazrat e Abu al-Bashar , hazrat Aadam علیہ السلام Ko shankar keh raha hai , or kehta hai ke unko shankar bhi kehte hain , sawal ye hai ke , kon kehta hai unko shankar, kisne kaha ?? Tumhe kisne bataya?? Qur'an ne bataya?? Nabi paak ﷺ ne bataya, ?? Kisi sahabi ne bataya?? Aimma e deen ne bataya?? Fhir tumne ye aqeedah kaha se akhaz kar Liya??

Aage Likhta hai : " Kuch ilhaami kitaabon me likha hai ke duniya me 14 hazaar Aadam aa chukey hain........is duniya me waqaii Bahot se aadam huey hain " 📚( Deen e ilahi, safa-22)

Sawal ye paida hota hai , ke itni baadi baat ke 14 hazaar Aadam aa chuke hain , ye naa to Qur'an me zikr hua , naa Hadith me nabi paak ﷺ ne farmaya naa kisi sahabi ne isma zikr kiya , naa kisi aimma e deen ne zikr kiya, magar aaj ek gobar shahi or uske hawaari ye baat kar rahe hain , akhir ye kiyu kar mumkin hai ke itni badi baat Qur'an o sunnat me mauzud nahi ? Or jo baat Qur'an o sunnat ki nas or aqwal e aimma e deen se sabit nahi , bhala uspar yakin kaisey kiya jaa sakta hai ?

Fitna e Gobar shahi ka aqeedah apni kitaab me Likhta hai : 3 hissa ilm zahir ke or 1 hissa ilm e baatin ka hai jo Khizar علیہ السلام (Wishnu mahraj) Ke jariye aam hua ." (Ma'azallah) (📚: Deen e ilahi , safa-7 )

Ab yahan is ne , hazrat e Khizar علیہ السلام Ko wishnu mahraj bata ne ki koshish ki hai , hala ki puri tarikh e Islam me naa Nabi e paak ﷺ ne , na kisi sahabi ne , na kisi muhaddisin ne , na kisi aalim ne , aysi koi baat ki , ke hazrat e Khizar wishnu mahraj hain . Ye baat bilkul behuda or jhooth or islam ke talimaat ke khilaf hai , iski koi asal nahi .or isi tarah ye gobar sahi jo apne Ap ko imam mahadi kehta hain ye bhi jhoota hai

** Chand or surah par Gobar shahi ki tashveer ki haqiqat: - - fitna e Gohar Shahi ke muballig or uske himayati, is baat par jeyda jor dete hain ke dekho Gohar shahi ki tashveer chand or suraj par hai , Lihaza ye imam Mahdi hain. Ye baat bilkul bebuniyad, jhooth or jahalat hai, Kiyu ke hazrat imam Mahdi ke zahur or unki aamad ki tamam badi nishaniyan hamey Hadith me milti hain, yahan tak ke imam Mahdi ka asal naam apki nasab e Mubarak or apka huliya mubarak bhi kutub me darj hain, Kisi bhi kitaab me ye mauzud nahi ke imam Mahdi pakistan ke chote se kisi shaher se honge , or gair e Sayyed honge , or unka photo chand or suraj par baneyga , . Gobar shahi ko to arabi padhni bhi nahi aati thi , jab ke imam Mahdi to arabi zaban or uski fasahat o balagat ke bhi imam or Baadshah honge. Or imam Mahdi ka jab zahur hoga to kisi ko advertisement or prachar karne ki jarurat nahi padegi, balke aap khud ba khud logo ke darmiyan zahir honge , kaba shareef me , apko waha mazud auliya pehchan leynge, Imam Mahdi ke zahur ke fauran baad , sufiyani apni fauz bheje ga apko shaheed karne ke liye, magar us puri fauz ko zameen nigal jaygi , or ye aakhiri or sab se badi nishani hogi ke imam Mahdi ka zahur ho chuka. Baato ooy gobar shahi ke bhakton, tumhara gobar shahi to ye sab nishaniyan puri hone se phele hi jahannum pahoch gaya, usne naa to dajjal ke khilaf jang ki , naa wo arabi tha, naa usne bait al maqdas fatah kiya , Lihaza ye fitna e Gohar Shahi ek jahalat or jhooth par based ek fitna hai , iska islam se koi Ta'aluq nahi , iske saary dawey jhoothey or Qur'an o sunnat ke khilaf hain, Lihaza aysey jahilana fitno se apne imaan ki hifazat karyn , or dusro ko bhi aagah karyn.

اصول حدیث

ردِ صلح کلیت

صحابہ اکرام کی فضیلت رافضیوں کی کتاب سے۔

علم غیبِ مصطفیﷺ پر اعتراض کا جواب

صحابہ و اہلِ بیت میں آپس میں محبت

تعویذ پہنے کا ثبوت

طاہر القادری کی گستاخی

یزید پلید لانتی

حضور ﷺ سے مدد طلب کرنا جائز ہے۔

وسیلے پر اعتراض کا جواب ۔