Iss Topic me Hazrat Ameer E Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu par jo jhoot aur Manghadat baate aur kuch Hadeesain jo Rafzi ,Tafzeeli plumberi laate hain uska Jawab diya jayega Dallel ki Roshni me.
Isse pehle ek Topic Already Add hai jo sahabi e Rasool Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu ki Fazilat me Maujood Hai uss Topic ko Zarror padhe aur Apne Ilm me Izafa Farmaye.
Shia Rafzi Minhaji ul Padri & Tafzili Munafiq Log Bukhari Sharif ki Hadees 2812 Hadees e Ammar Radiallahu Ta'ala Anhu Ki Apko Ek Baghi Giroh Qatal Karega. ye Hadees shareef Ko “Maaz Allah” Hazrat Sayyidina Ameer Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu Par Fit Karte Hai Halake Ye Hadees Ka Asli Misdaq Khawarij Hain jiss Baghi Giroh ne Hazrat Ammar Radiallahu Ta'ala Anhu ko Qatl kiya wo Baghi Giroh kharjiyo'n ka Giroh tha.
Hazrat Imam Abu al-Hasan Muslim “Al-Aajli” al-Kufi Al Mutawaffah “261” Hijri Likhte Hain Ke_
Hazrat Imam “Dahim” Al Mutawaffah “245” Hijri Ka Baghdad Shareef Me ikhtilaf Ho Gaya. Pass Baghi Giroh Wali Riwayat Se Logo'n Ne Ahle Sham (Yani Sayyedna Ameer Muawiya Radiallahu anha) Ko Murad Liye Is Par Hazrat Imam Dahim Ne Farmaya Ke Jo Aisa Kahe Ki Iss Riwayat Me Baghi Giroh Se Murad Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu anha Hain Wo Fahasha Ki Aulad Hai.
(Tareekh al-Siqaat/Raqam No-928).
To Pta Chala Ke Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu anha Ke Khilaf Bakwas Karne Wale Sab Fahasha Ki Aulade Hain.
Aur Agar Hazrat Muawiya رضي الله عنه ko Baghi kehte ho to Maula Imam Hassan رضي الله عنه ne Hazrat Ameer E Muawiya رضي الله عنه se sulah ki aur Apni khilafat hazrat Muawiya ke supurd ki to kya imam Hasan رضي الله عنه ne baghi se sulah kiya? (Maazallah) .
Aur Nabi ﷺ ne khud Farmaya tha Mera ye beta Hasan Musalmano'n ki 2 bade Giroh me Sula karayega aur Imam Hasan Radiallahu anha ne Hazrat Muawiya Radiallahu anha se sulah karke 2 Giroh ko ek kar diya.
Hazrat Abu Hurayrah Radiallahu anha Aur Hazrat Abu Bakrah Radiallahu anha Se Riwayat Hain Rasool Allah ﷺ Hazrat Imam Hasan Radiallahu anha Ko Apne Paas Liye Tashreef Farma The Aur Unki Taraf Dekh’kar Irshad Farmaya Ye Mera Beta Hasan Radiallahu anha Syed Ibn e Syed Hain Allah Iske Haath Par Meri Ummat Ke 2 Azeem Badi Jamato'n Ke Darmiyan Me Sulah Karayega Jab Ke Kafi Khoon Beh chuka Hoga.
(Reference Book Sahih Bukhari Vol 1 Hadees 3746).
Yani Huzoor ﷺ Ne Hazrat Maula Ali Radiallahu Ta'ala Anhu Aur Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Dono Giroh Ko Azeem Karar Diya Aur Hazrat Imam Hasan Radiallahu Ta'ala Anhu Aur Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Bich Jo Sulah Hui Usko Aapke Bachpan Me Hi Bata Diya Aur Khoon Beh chuka Hoga Isse Murad Jang e Siffeen Aur Jang e Jamal Hai.
Rafzi Tafzeeli aur Engineer Mirza ke Pille Ek aur Hadees ko lekar Aate hain aur kehte hain ki Hazrat Muawiya Radiallahu anha ne Hazrat Saad Radiallahu anha ko Hukm Diya ki Aap Hazrat Maula Ali Radiallahu anha ko bura bhala kahe.
Sahi Muslim 6220 ki Hadees me Ek Rawai hai. (bakeer bin masmar) ye Ravi Imam Bukhari aur buhat se Muhadiseen ke Nazdik Zaeef hai.
Imam Bukhari Rhematullahi alaih ne iss Rawi (bakeer bin masmar) ke bare me Apni kitaab me Farmaya ki ye Rawi Fihe Babun Nazar hain ( Zaeef se bhi niche darje me hain ).
At Tarikh Ul Kabeer Jild 2 Safa: 80.
Imam Zehbi ne bakeer bin masmar ke bare me Farmaya aur Imam Bukhari Rhematullahi alaih ka hawala diya ki ye Rawi Fihe Nazar hain ( Zaeef se bhi niche darje me).
Mughni fi al-Du’afa Jild 1 safa: 180.
Hafiz Zehbi likhte hai:
Aise hi Imam Bukhari rehmattullah alaih ki Adat hai jab wo kehte hai (Fihe Nazarun) iska Mana Imam Bukhari ke Nazdeek ye hai ki ye Rawi muttaham hai aur wo Rawi Imam Bukhari ke Nazdeek zaeef se bhi zyada buri halat me hai.
Al Mukiza safa no: 321.
Ibn Hazm al-Andalusi Al Mutawaffah 456 Hijri likhte hain :
Ye Rawi ( Bakeer bin Masmar ) Zaeef hain .
Al-Muhallā bi’l AthārJild 7 safa: 547.
Rafzi Tafzeeli Sahi Muslim ki Ek aur Hadees ka Sahara lekar Sahabi e Rasool Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu par Aitraaz karte hain Rasoolullah ﷺ ne Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu ko bulaya wo nahi Aaye to Nabi ﷺ ne Baddua ki Muawiya ka pet kabhi na bhare.
Ab Aaiye Dekhe Iss Riwayat Ki Asal Ibarat Aur Mafoom Kya Hai.
Hazrat Imam “Bayhaqi” Al Mutawaffah “358” Hijri Likhte Hain.
Huzoor ﷺ Ne Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Ta'ala Anha Se Farmaya Ki Jao Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anha Ko Bula Ke Lao To Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Ta'ala Anha Gaye Tu Unse Kaha Gaya “Inhano Ya’kulo” Ki Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Ta'ala Anha Khana Kha Rahe Hai To Wo Wapas Aa Gaye.
Reference Book(Dalail un-Nabuwah/Vol 6 / Page 243).
Yani Maloom Hua Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Directly Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Paas Jakar Nahi Kaha Balke Koi Aur Tha Jinse Aap Mile Aur Usne Kaha Na Hi Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Directly Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Ta'ala Anhu Ko Jawab Diya Ki Me Khana Khaa Ke Aata Hu'n Balke Unko To Iss Baat Ki Khabar Tak Na Tha Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas Radiallahu Ta'ala Anhu Ko Huzoor ﷺ Ne Unko Bulane Ke Liye Bheja Hai Agar Hazrat Ameer Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Unko Sunkar Directly Jawab Diya Hota To Alfaz Ye Hote “Ana Akulo” Yani Me Khana Kha Raha Hu'n Na Ki Ye “Inhano Ya’kulo” Ki Wo Khana Kha Rahe Hai'n.
Tafzeeli , plumber Ek aur Hadees lakar Sahabi e Rasool Hazrat Muawiya Radiallahu Ta'ala Anhu par Aitraaz karta hai Mustadrak ki (Hadees 8038) ki Hazrat Ayesha Siddiqua Radiallahu Ta'ala Anha ne Farmaya Aye Muawiya tumne Huzurﷺ aur unke sathiyo ko qatl kar diya yani sahaba ko saheed karne ka ilzaam lagate h Tafzeeli log.
Iss Hadees me ek Rawi hai Ali bin zaid Ali bin zaid ke talluq se Aaimma muhaddiseen ki raye.
Imam Abu zurra aur imam Abu Hatim kehte Hain ki ye Raawi (yani ali bin zaid) mazboot nahi Hai.
imam Bukhari farmate Hain ki isse hujjat nahi liya Jayega.
Imam ibne khuzaima kehte Hain ki isse hujjat nahi pakdi jayegi aur iske hafize mein kamzori thi.
imam Ahmad Bin hambal farmate Hain ki ye Raawi zaeef hai.
Imam yahiya Bin maeen farmate Hain ki ye kuch bhi nahi.
imam ijli farmate Hain ki ye Shiya tha aur ye mazboot nahi.
Hawala : Siyar aalamun nublaJild no 5 safa no 207, rijaal no 82.