17-Nov-2023

Ahle Sunnat Wal Jama't Ka Aqeeda Is Talluq Se Kya Hai Ambiya علیہ السّلام Aur Auliya Allah رضوان اللہ تعالیٰ علیھم اجمعین Se Madad Maangna Jayez Hai Jabki Uska Aqeeda yeh Ho ki Haqiqi Imdaad To Rab Ta'ala Hi Ki Hai Yeh ALLAH k Bande Uski Madad k Mazhaar Hain Yani Madad Karne ki Zaat Sirf or Sirf Allah ﷻ ki hain or Ambiya علیہ السّلام or Auliya رضوان اللہ تعالیٰ علیھم اجمعین jo Humari Madad Karte hain Wo ALLAH ﷻ Ki Ata se karte hain Allah ne Apne in Nek Bando ko ikhtiyar Diya hain ki wo Humari Madad kar skte hain . Or Hum inhe ALLAHﷻ KI ATA se Madad ke liye pukarte Hai.

61 – Sureh Saff Ayat No.14

یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا كُوْنُوْۤا اَنْصَارَ اللّٰهِ كَمَا قَالَ عِیْسَى ابْنُ مَرْیَمَ لِلْحَوَارِیّٖنَ مَنْ اَنْصَارِیْۤ اِلَى اللّٰهِؕ-قَالَ الْحَوَارِیُّوْنَ نَحْنُ اَنْصَارُ اللّٰهِ فَاٰمَنَتْ طَّآىٕفَةٌ مِّنْۢ بَنِیْۤ اِسْرَآءِیْلَ وَ كَفَرَتْ طَّآىٕفَةٌۚ-فَاَیَّدْنَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا عَلٰى عَدُوِّهِمْ فَاَصْبَحُوْا ظٰهِرِیْنَ(14)

Kanzul Iman Tarjuma.

Aye Imaan Waalo Deen e Khuda Ke Madadgaar Ho Jaise i'sa Bin Mariyam Ne Hawaariyon Se Kaha Tha Kaun Hai Jo Allah Ki Taraf Ho Kar Meri Madad Karen Hawaari Bole Hum Deen e Khuda Ke Madadgaar Hain To Bani Israaeel Se Ek Giroh Imaan Laaya Aur Ek Giroh Ne Kufr Kiya To Humne Imaan Waalon Ko Unke Dushmanon Par Madad Di To Gaalib Ho Gaye.

47- Sureh Muhammad Ayat No.7

یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْۤا اِنْ تَنْصُرُوا اللّٰهَ یَنْصُرْكُمْ وَ یُثَبِّتْ اَقْدَامَكُمْ(7)

Kanzul Iman Tarjuma.

Ae imaan walo agar tum deen e khuda ki madad karoge Allah tumhari madad karega or tumhare qadam jama dega.

Iss Aayat me Maujood hai Hazrat Isaa علیہ السّلام ne apne Hawario se madad maangi hai halanki Isha علیہ السّلام khud Nabi Hain Agar Gairullah se madad Mangna Shirk hota to ALLAH ﷻ ne ye aayat bhejni thi k Isaa Ye Kya tu Nabi Hoke Gairullah se madad le raha Hai par iske Khilaf Quran me maujood hai k ALLAH ﷻ ne Aisa nahi farmaya balki us madad pe Fakhr kiya hai aur Musalmaano ko bhi taakeed ki k Tum Bhi Us Trah deen ki madad karo jaise Isaa علیہ السّلام k Hawario ne ki hain . Haqiqi Madad to ALLAH hi karta hai bande bas Mazhar Hain .

Aalam E Arwaah Me Tamam Ambiya Alaihi Salam Se Waa'da k Tum Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki Madad Karna

Sureh Aale Imraan Ayat No.81

وَ اِذْ اَخَذَ اللّٰهُ مِیْثَاقَ النَّبِیّٖنَ لَمَاۤ اٰتَیْتُكُمْ مِّنْ كِتٰبٍ وَّ حِكْمَةٍ ثُمَّ جَآءَكُمْ رَسُوْلٌ مُّصَدِّقٌ لِّمَا مَعَكُمْ لَتُؤْمِنُنَّ بِهٖ وَ لَتَنْصُرُنَّهٗؕ-قَالَ ءَاَقْرَرْتُمْ وَ اَخَذْتُمْ عَلٰى ذٰلِكُمْ اِصْرِیْؕ-قَالُوْۤا اَقْرَرْنَاؕ-قَالَ فَاشْهَدُوْا وَ اَنَا مَعَكُمْ مِّنَ الشّٰهِدِیْنَ(81)

Kanzul Iman Tarjuma.

Tarjuma: Aur Yaad Karo Jab Allah Ne Paigambaron Se Unka Ahed Liya Jo Mai’n Tumko Kitaab Aur Hikmat Doo’n Phir Tashreef Laaye Tumhaare Paas Woh Rasool Ke Tumhaari Kitaabon Ki Tasdeeq Farmaaye To Tum Zaroor Zaroor Uspar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Uski Madad Karna Farmaaya Kyu'n Tumne Iqraar Kiya Aur Uspar Mera Bhaari Zimmah Liya Sabne Arz Ki Ham Ne Iqraar Kiya Farmaaya To Ek Doosre Par Gawaah Ho Jaao Aur Mai’n Aap Tumhaare Saath Gawaahon Me’n Hoon.

Ye Aayat e Mubaraka Us waqiye ki tashreeh hai jab Dunya me Insaano ko bheja nahi gaya tha us waqt Tamam Insaano ki Rooh ko AALAM E ARWAAH me jama kiya gaya aur baad me faqat unki Rooh e Aqdas ko rakha gaya jo Nabiyo me Shamil hai us waqt ALLAH ta'ala ne Tamam Nabiyo se ye waada liya k Jab Kabhi Agar Tumhare Darmiyan Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم tashreef le aaye to unpar Imaan Laana Unka Kalima padhna aur unki madad karna.

ALLAH TA'ALA MADADGAAR HAI USKE BANDE BHI USKI ATA SE MADADGAAR HAI

(Al Imraan Ayat 150)

بَلِ  اللّٰهُ  مَوْلٰىكُمْۚ-وَ  هُوَ  خَیْرُ  النّٰصِرِیْنَ(150)

Tarjuma: Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai”

”( Surah 47 Muhammad Ayat : 11)

:ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم“

Yeh Isliye k Musalmano Ka Maula (Madadgaar) Allah Hai Aur Kaafiro ka Koi (Maula) Madadgaar Nahi

Pehle aayat me faramya Allah Sabse badkar madadgaar hai aur beshak ispe hi hum sabka akeeda hai phir dusre makam me jo bayan huwa faramaya ALLAH TAALA Musalmano ka to madadgaar hai par Kaafiro ka koi madadgaar nahi hai par Musalmano k liye kya faramaya

(Surah Tehreem Ayat : 04)

:ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ“

Tarjuma: Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Zibril Aur Nek Momineen Madadgaar Hai”

Ab Is aayat me Faramya Allah Madadgaar Hai Musalmano ka Jibrail Alaihi Salam bhi aur Nek Momin bhi Madadgaar hai ek dusre k Iss mai Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael Alaih Salam, aur Auliya E Kiraam, ALLAH TA’ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA’ALA Ata farma rahi hai, us main aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya ja sakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga??Aur ye farmaya k KAFIRO Ka Koi Madadgaar Nahi hai kyu ? Pata chala k Madadgaar hona ye to ALLAH waalo k liye hai Musalmano k liye ab jin logo ne madadgaar ko hi Me’aar bana liya hai wo kon hai ?? Faisla to Quran ne kar diya ab hum kya kahe.

SHAH ABDUL AZIZ MUHADDIS DEHELVI رحمتہ اللہ علیہ likhte Hain

Gair ullah se Madad Is tarah mangna ke usi par aitmam kare aur use Allah ﷻ ki madad ki ek surat na samjhe, ye haraam hai, aur agar Tawajjo sirf Allah ﷻ ki taraf ho, aur usse Allah ﷻ ki madad ki hi ek surat samajhte hue aur Allah ﷻ ke jamaya hua ek zariya, aur uski hikmat par nazar rakhte hue gairullah se zahiri tour par madad mange to ye Magfirat se door nahi, aur Shari’at me jayaz hai, Ambiya Alahisalam or Auliya ne is qism ki madad dusro se mangi hai, haqiqat me ye gair se nahi balki Allah ﷻ se hi madad hain.

Ref: Tafsir Azizi 1/54

Shah Abdul Aziz Dehelvi رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hain:

Awliya se Madad mangne ka tareeka ye hai ke zabaan se kahe: Aye mere Huzoor! Mai fala kaam ke liye Allah ki bargah me iltija kar raha hoon, Aap bhi dua Aur Shafat se meri madad kijiye

Fatawa Azizi page 177

Sahabah ke shagird RasulAllah ﷺ ki Qabr choomte the aur Unse Madad mangte the :

Imam Maalik رحمتہ اللہ علیہ ke ustad, Tabai Buzurg ibne Munkadir (wisaal 129 Hijri) apne sathiyon ke sath bethe the ki achanak aap par wo kaifiyat tari hogyi jisme muh se awaz nahi nikal pati, to aap fouran uthe aur RasulAllah ﷺ ki Qabr par jakar uspar apne gaalo ko rakh diya, to apki awaz wapas agayi, fir farmaya: jab bhi mere sath aisa kuch hota hai to mai Nabiﷺ ki Qabr se Madad mangta hoon.

Ibn abi khaisama (278 Hijri) – Tarikh 2/258 (scan page Ibn Asakir (571 Hijri) – Tarikh dimashq 56/51 Zahabi (748 Hirji) – Siyr Aalam un Nabala 3/3724 (scan pageAlso in Tarikh Islam 8/169Samhudi (944 Hijri) – wafa ul wafa 4/218Ibn Hajar Haitami (973 Hijri) – Tohfat ul zawwar page 18• Yusuf Nabhani – Jawahir ul Bahar 4/60

Imam Baihaqi ne waqya bayan kiya ek taba’i jo kehte hai:

Hamare sath madina mein ek shaks tha, wo jab bhi koi burai dekhta jisey hath se rokne ki quwwat nahi rakhta toh Rasoolullah ﷺ Ki Qabr par jaa kar kehta, “Ae ahle Qabar! madad karne wale baraye karam dekhe hamari riyasat ki taraf”

Ref: Shu’ab Al Iman Hadith 3879

Ek dafa Abu-Ayyub Ansari رضي الله عنه Nabi ﷺ ki Qabr e aqdas ke paas tashreef laye aur apna chehra qabr e aqdas par rakha. uss waqt ka khalifa Marwan ne unhe dekh kar kaha, “kiya tum jante ho tum kiya kar rahe ho?” Abu Ayyub al Ansariرضی اللہ عنہ ne jawab diya: “Haan (mai janta hoon mai kiya kar raha hoon) Main Rasulullah ﷺ ke paas aaya hoon kisi patthar ke paas nahi.”

Ref: Musnad Ahmad 5: 422,

Imam Haakim, Al-Mustadrak 8571, Imam Tabrani. At-mojimul Kabeer

Farooq e Azam رضي الله عنه Ke Shehzade Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ka Jab Paon Mubarak Sun Hua To Aapne Madine Shareef Se Hazaro Mil Dur Se Pukara Ya Muhammada ﷺ To Fauran Paon Mubarak Thik Ho Gaya_

(Ref Bukhari Al Adab al Mufrad No 964)

Iski Sharah Me Hazrat Imam “Mulla Ali Qari” Hanfi Al Mutawaffah “1014” Hijri Likhte Hain Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ne Buland Aawaz Se Ya Muhammad ﷺ Pukara Isse Unka Maqsad Ye Tha Ke Habib ﷺ Se Muhabbat Bhi Zahir Ki Jaye Aor Habib ﷺ Se Madad Ki iltija Bhi Ho Jaye _ Phir Aage Likhte Hain Ya Muhammad ﷺ Sahaba e Karam Pukara Karte The Ye Nara Sahaba Ka Nara Hai الحمدﷲ Jo Sahaba Ka Nara Tha Aaj Wahi Nara Hum Sunni Barelviyo Ka Nara Hai Ya RasoolALLAH ﷺ

Reference Book(Sharah al Shifa/Vol -2/ Page-41)

Shahadat e Hussain رضی ﷲتعالی عنہ Ke Baad Bache Baki Ahle’bait Ko Ibne Saad Yazeedi (Kutte) Ne Qaidi Bana Kar Un Ahle’bait Ki Azmat Wali Aurto Ko Bina Kajawe Ke Unto (Camel) Par Sawaar Kar Diya Jab Wo Maidan e jung Ke Paas Se Ghuzray Tab Unhone Hazrat Sayyidina Imam Hussain رضی ﷲتعالی عنہ Aapki Aal o Ashaab Ke Jisme Paak Ko Dekha To Rone Aur Chillane Lagi Aur Shehzadi e Kaunain Sayyeda Zainab رضی ﷲتعالی عنہا Apne Bhai Imam Hussain رضی ﷲتعالی عنہ Par Rona Shuro Kar Diya Aur Sayyeda Zainab رضی ﷲتعالی عنہا Ne Rote Hue Ye Pukara

“Ya Muhammada ﷺ Ya Muhammada ﷺ”

Phir Farmaya ALLAH ﷻ Aur Aasman Ke Firishte Aap Par Bheje Hazrat Hussain رضی اللہ عنہ Khoon Me Lat’path Aur Jism Paak Ke Aaza Ke Tukde Tukde Hokar Maidan e Karbala Me Bikhre Hue Hai “Ya Muhammada ﷺ” Aapki Betiyan Qaidi Hai Aur Aapki Aulad Shaheed Hue Pade Hai Jinke Jism e Paak Par Subho Ki Mitti Hawa Uda Rahi Hai

(Al Bidaya wan Nihaya / Page 200)

Imam “Bukhari” Ke Ustad “Hazrat Imam Ali Bin Ibn Ja’ad Al Mutawaffah 230 Hijri Likhte Hain”Hazrat Abdur Rehman Bin Saad رضي الله عنه Se Riwayat Hai Wo Kehte Hain Ke Me Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ke Saath Tha To Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ka Paon Mubarak Sun Ho Gaya To Mene Unse Kaha Jisse Aapko Sabse Zyada Muhabbat Ho Usko Pukare? To “Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ne Wahin Se Pukara Ya Muhammad ﷺ Ya Rasool Allah ﷺ” To Aapka Pao Fauran Thik Ho Gaya_To Pata Chala Ke Musibat Preshani Ke Waqt Sahaba Ya Rasool Allah ﷺ Pukarte Thay_ الحمدﷲ Hum Barelvi Bhi Sahaba Ke Tarike Par Amal Karte Hai Aur Apne Nabi ﷺ Ko Pukarte Hain.

Reference Book(Musnad Ibn Ja’ad / Vol 2 / Hadees 2539)

18 Hijri Me Ek Sahabi-e Rasool Hazrat Bilal Bin Al-harishرضی اللہ عنہ Ne Qahat Ke Time Per Ek Bakri Zibah Ki Mager Us Bakri Mein Sivaye Haddi Ke Kuch Na Nikla Yeh Musibat Dekh Kar Us Sahabi Ne Pukaara *Ya Muhammadaﷺ*(See Green Highlight) ………Sahabi Ne Pukara Aur Nabi e Paak Ne Khwab Mein Aakar (Qahat Khatm Hone Ki)Khush Khabri Sunaee

[Al-kamil Fittareekh-630 Hijri/V-02/Baab-zikr Qahat O Amur Madah/P-397}

Rasoolullah ﷺ ne farmaya :

Meri Ummat me aise 30 (auliya) hamesha rahege ke jinke sabab se Zameen qayam rahegi, jinke sabab se Barish hogi, Jinke sabab se tumhari madad ki jayegi.

Ref:Imam Zurqani ne farmaya “Is Hadees ki sanad Sahih hai” (Sharh Muwahib 7/483) Imam Haisami ne farmaya “Iske tamam rawi Sahih hai” (Majma uz zawaid 16673) Tafsir Ibn Kasir 2/453, Kanz ul Ummal 34588

Imam Abul Hasan Shatnufi Shafai رحمتہ اللہ علیہ Jinka Wisaal 750 Saal Pehle huwa, Wo Apni Kitab me Sanad se Bayan karte hain

SHAYKH ABDUL QADIR JILANI رحمتہ اللہ علیہ NE FARMAYA :”Jo Shaks Mujh ko Museebat me Pukaare Uski Takleef Door hogi Aur Jo Shaks Kisi Haajat me Allah ﷻ ki Taraf Mera Tawassul(Wasila) Pesh Kare to Uski Haajat Puri Hogi”.

Ref: Bahjat ul Asraar Mutarjim, Page no.295.

Muhaddiso Ka Roze par ja kar Nabi ﷺ se Madad Mangna :

Imam Muhaddis Abu Bakr Ibnul Muqri ( 285 Hijri) Farmate Hain ke Mai Imam Tabarani Aur Abu Shaikh رحمتہ اللہ علیہ Madina Me the,humpar Waqt thang Hogaya, Hum Us roz safar kar rahe the Aur isha ke waqt Nabiye Paak ﷺ Qabre Mubarak Par Hazir hue Aur Maine Arz Kiya Yaa Rasulallah ﷺ BHUK Lagi Hai Mujhse Tabarani Ne Kaha “Beth jao Ya to Rizq Ayega ya Maut”, Mai Aur Abu Shaikh Khade Hue to Darwaze par ek Alwi (Hazrat Ali ki Aulad) Hazir hue, Unke sath 2 Gulam 2 Tokriya Liye hue the, Jisme Kafi sari (khane ki) Chize thi, Uss Alwi Ne Humse kaha “Kya Aplogo ne Nabi ﷺ ki Bargah me meri Shikayat Ki Hai?, Maine HUZOOR ﷺ ko Khwab me Dekha, Unhone Mujhe Hukm diya ke khane ki Chiz Aplogo ke liye le jau”.

(IMAM ZAHABI SIYARU A’LAAM 16:401)

Ibn Taimiyah (WAHABIYO KA SHAIKHUL ISLAM)Ne Marne Ke Baad Khwaab Me Akar Logo ki Mushkil Kushai (MUSHKIL DUR) Ki.

IBN TAIMIYA KE SHAGIRD IBN QAYYIM JAUZIYA LIKHTE HAI “AYESE LOGO KI TADAAD BOHUT ZYADA HAI, JIN LOGON KO IBNE TAIMIYA NE UNKE KHWAAB ME KOI DAWAA BATAAI JISKE ISTEMAL SE UN LOGON KO SHIFAA HAASIL HUI” “MUJHE AYESE KAI LOGON NE BATAYA HAI JO IBNE TAIMIYA KI TARAF MAYEL NA THE KE UN LOGON NE IBNE TAIMIYA KO UN (IBNE TAMIYA KI) MAUT KE BAD KHWAAB ME DEKHA AUR UNSE FARAIZ YA USKE ALAWA KISI CHEEZ KE BARE ME SAWAAL KIYA JISME UNHE MUSHKIL HORAHI THI, TO IBN TAIMIYA NE UNHE SAHEE JAWAAB DIYA” “TO MAJMUI TOR PAR (OVERALL), IS BAAT KA INKAR NAHI KAREGA SIWAYE US SHAKHS KE JO ROOH AUR USKE AHKAAM O HALAAT KE BARE ME LOGON ME SABSE ZYADA JAAHIL HO”

(KITAABU ROOH Page #96 – IBNU QAYYIM)

Is se pata chala ke Wahabiyo ke Shaikhul islam Marne ke baad Khwab me Aakar Madad karte hai, Mushkil Masle Hal karte hai, ibne Qayyim ke Mutabiq Ye Rooh ka Muamla hai, yani ruhani tor pe khaan me aakar Ibne Taimiya ne madad ki aur kaha ke iska jo inkar kare wo rooh ke maamlat se sabse bada jahil hai. yehi Chiz Kisi Allah ﷻ ke Wali Gaus e paak ya Khwaja Paak ki bayaan ki jaye to Najdi Shirk Shirk ki gun machane chalte hai Kya kisi Najdi Laal Rumal, Tie coat, Wale Mufti me Himmat hai ke ibne Qayyum par Shirk ka fatwa lagaye? ya Sirf shirik tab hoga jab Gause pak, Khwaja Ajmer, Daata Hajweri madad krege? Pata nhi ibne Taimiya ko Qabar me kese Gaib ki baat pata chal gai ke koi Bimar hai use dawa batana hai ya koi Masle ka hal chahta hai use masla batana hai!!!!

Imam Samhudi رحمتہ اللہ علیہ Ka Rauzae Rasool ﷺ Par Jaa kar Madad Mangna

Imam Sayyid Nooruddin Samhudi رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hai “mai Masjid E Nabawi Me Tha Waha Masjid Me Mera Kamra Tha Jisme Meri Kitaben Thi, Uski Chabi Mere Pas Thi, Kuch Misri Ulamaa Aye Hue The Unhone Mujhe Raoza Sharif Par Nabiye Paak ﷺ Ke Huzoor Bethne Ke Liye Chalne Ko Kaha, Mai Unke Sath Chala Gaya, Jab Wapas Aya To Mere Kamre Ki Chabi Mujhe Nahi Mili, Maine Use Har Jagah Par Dhunda Jaha Mai Chala Tha, Mujhpar Chabi Gum Hona Bada Giraa Guzra Jabke Mujhe Uski Haajat Thi To Me Huzoor ﷺ Ke Paas Hazir Hua Aur Arz Ki Yaa Sayyidi Yaa Rasulallah ﷺ Kamre Ki Chabi Gum Hogai Mujhe Uski Zarurat Hai, Aur Mai Chahta Hu Ke Wo Mujhe Apki Bargah Se Mile Phir Mai Kamre Par Agaya Aur Ek Anjaan Bacche Ko Khade Dekha Jiske Hath Me Kamre Ki Chabi Thi, Mene Pucha To Bataya Ke Mujhe Ye Chabi Roze Ke Muwajah (Face Side) Par Mili To Maine Leli.

(WAFAA’UL WAFAA 4:203)

Pata Chala ke Wisal ke bad bhi Huzoor ﷺ se Kuch Mangna ye shirk nahi balke bade Imamo ka Tariqa hai, Pehle ise koi shirk nhi Samjhta tha, ye aaj kal ke Nautankio ne Shirk Shirk Laga rakha hai…

Wahabiyon Ahle’hageeso Najdiyo Ke Dharam Me Ya Rasool Allah ﷺ Kehna Shirk Kufr Hai *Lekin Akabir e Ahle’hagees wahabi Kya Kehte Thay Aaiye Dekhe*Ya Nabi Chadar Ata Ho* *Ya Nabi ﷺ Yahi Mujh Gada Ki Sada Pukar Hai Ya Nabi ﷺ Koi Tujhsa Nahi* _

Ab Sawal Ye Ki Aajkal Ke Wahabi Ahle’hagees Salafie Najdi Kafir Mushrik Hai Ki Pehle Ke Inke Akabir e Ahle’hagees Babi Wagera

_Hawala Note *Ulama e Ahle’hagees Ka Zauk* Jild *3* Safa *945*

Deobandi Tablighi Jamat Ke Dharam Me Gairullah Se Madad Pukarna Shirk Hai__Magar Sare Deobandiyo Jamatiyo Ke Peer o Murshid_ *Haji Imadad Makki Sahab* _Kya Kehte Hai Dekhe_*Ya Rasool e Kibriya Fariyad Hai Ya Muhammad Mustafa Fariyad Hai* _Aapki Imdad Hon Mera Nahi Haal Abtar Hua Fariyad Hai_ *Sakht Mushkil Me Phasa Hon Aajkal Aye Mere Mushkil Kusha Fariyad Hai* _Tumse Aye Noor e Khuda Fariyad Hai_

Ab Kab Haji Sahab Ko Mushrik Hone Ka Elan Deobandi Kar Rahe Hain Yaa phir “Haji Sahab Bhi Barelvi The

Hazart Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : Qayamat Ke Din Sooraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki (Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaanon Tak Paseena Pahunch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pahle) Hazrat Aadam عليه السلام Se Madad Maangne Jainge, Phir Hazrat Moosa عليه السلام Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad ﷺ Se Madad Mangenge.”

References : (Sahi Bukhari Vol : 02, Pg : 323, Kitabuz Zakat, Hadees : 1475)(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 269, Hadees : 3509)(Imam Tabarani Muajam Ul Awsat Vol : 02, Pg : 854, Hadees : 884)(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 02, Pg : 377, Hadees : 3677) Scan Page

*Aaj Ke Deobandiyo Ke Fatwe Se Thanvi Hua Mushrik

Deobandiyo Tablighi Jamatiyo Ka Hakeem e Ummat Ashrafe Ali Thanvi Deobandi Kehta Hai

Ya Mustafa Ya Mujhtaba Aap Hamare Madad’ghar Hai Aapke Sadqe Me Mushkile Hal Hoti Hai Agar Aap Door Ho To Hum Mar Jaye

Deobandiyo Ki Munafiqat Dekh Kar To Dajjal Bhi Sharma Jaye

Hawala Note Hayat ul Muslimeen Safa 51

HAZRAT ABU BAKR MUHAMMAD BIN AL-Hassan BIN ABDAN AL-SIRAFI NE KAHA MAINE HAZRat Ja`far Al-KhalDI SE SUNA:

MUJHE KHarish Ki Bimari THI MEIN BAHUT Pareshan Aur Takleef Mein Tha To MEIN HAZRAT Imam Hussain Radi Allahu Anhu KI QABR MUBARAK PAR GAYA AUR QABR SHAREEF Ki Mitti Li Aur Usse Lagaya Aur WAHI SO GAYA AUR JAB UTHA TOH MAINE DEKHA KI BIMARI BILKUL THIK HO GAYI HAI IMAM IBNJAWZI 597 HIJRI (1200-1201 AD)

Reffrence:AL-MUNTAZAM FĪ TĀRĪKH AL-MULUK WA-AL-Umam Vol 5 page 346

Bilal bin haris رضي الله عنه Rasulullah ﷺ ki qabr e aqdas par gaye aur Rasulullah ﷺ se barish ki darkhast ki khwab mein jawab mila aur khoob barish huwi

Ref: Fathul Baari Sharah Sahih Al Bukhari Al Hafiz Ibn Hajar Al Asqalani Hadith 1010

Imam Shairani farmate hai ki ibn ul arabi ke fatuhat mein hai:

Allah ke Rasool ﷺ Nabi o auliya ke madadgar hai, khwah wo dunya mein ho ya barzakh mein. Isliye ki unke noor ki roshni waqt aur jagah tak mehdood nahi hai.”

Ref: Hujjat Allah ala al-Alamin of Imam Yusuf Nabhani al Vol 1 pg.no 82

JAB KOI KHOF YA KISI KA KHATRA HO, TOH AISI SURAT MAIN RASOOL ALLAH ﷺ KI QABR E MUBARAK KE WASILAY SE MADAD TALAB KARE

Tabai’ – Imam Muhammad Bin Munkadir

SIYAR ALAM AN NUBALA VOL5 353,358,359 SCAN PAGES

MISR KE SHAFAI IMAM, SHEHab’uddin RamLI رحمتہ اللہ علیہ (jinka wisal 485 saal pehle hua) likhte hai:Ambiya, Awliya aur Saliheen se madad mangna jayaz hai ke ye apne Wisaal ke bad bhi madad karte hai, kyuki Ambiya ke Mojzat Aur Awliya ki Karamat unke wisaal ke bad khatam nahi ho jaati Ref:

Fatawa Ramli page 740

Hazrat Hajrah رضي الله عنها Jab Pani Ki Talash Me Safa Aur Marwa Ki Pahadi Par Jati Toh Isi Dauran Aapko Ek Aawaz Sunai Di To Aapne Aawaz Se Mukhatib Ho Kar Kaha”Ya Ghaus”Agar Tumhare Paas Koi Bhalai Hai To Meri Madad Karo Waha Hazrat Jibraeel Alihisalaam Maujud The

Ref: Sahih Al Bukhari Vol 4 Page 357

Maslan Auliya Kisi Ki Taraf Ishara Kare To Wo Mar Jaye Ya Wo Hawa Me Ud’kar Makkah Ya Kisi Aur Shaher Pahunch Jaaye Ya Wo Paani Par Chale Ya Hawa Se Lotey Ko Bhar De Ya Uske Paas Ba’zahir Kuch Nahi Magar Wo Gaib Se Kharch Karta Hai Ya Wo Nigaho Se Gayab Ho Jata Hai Ya Jab Koi Usko Madad Ke Liye Pukare Us Auliya Se Madad Chahta Hai Aur Wo Uske Paas Nahi Hai Ya Phir Wo Apni Qabr Me Hai To Wo Auliya Apni Qabr Se Us Madad Mangne Waale Ke Paas Aata Hai Aur Uski Madad Karta Hai Ya Chori Huwe Maal Ki Khabar Deta Hai Ya Gayab Aadmi Ke Haal Batla Deta Hai Ya Marz Ke Ahwaal Se Aagah Kar Deta Hai “In Jaisi Cheezo Ka Zuhur Kabhi Allah Ke Waliyon Se Hota Hai

Ref:- Majmaul Fatawa Jild 11 Pg.no 213:214]

Hazrat Imam Ibn e Hajar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hai Hazrat Abu Ali Neshapuri رحمتہ اللہ علیہ 349 Hijri Ne Bayan Kiya:-

Main Bahut Zyada Mushkil Aur Pareshani Mein Tha Toh Mujhe Khwab Mein Rasool Allah ﷺ Ki Ziyarat Huwi To Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Yahya Bin Yahya Al Mutawaffah 226 Hijri Ki Qabr Par Jao Aur Waha Istighfar Karo Aur Madad Mango Aur Unke Wasile Se Madad Talab Karo Toh Tumhari Mushkile Hal Ho Jayegi Toh Maine Aisa Hi Kiya Tu Agle Din Meri Pareshani Thik Ho Gayi

[Tehzeeb Ut Tehzeeb Vol 4 Page 398]

Imam Ghazali رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain:

jab bhi koi shaks musibat mein ho to wo qabr walo se madad maange, jo roohani taqat wale hote hain aur is mein koi shak nahi ki unki qabr ki ziyarat se roohani madad milti hai aur faiz hasil hota aur bahot baar jab unka waseela Allah ki bargah mein pesh kiya jaata hai to musibato ko khatam kar diya jaata hai

[Tafseer e Roohul Maani Vol 30, Pg: 24]

Ahle Hadees Ke Baani Nawab Siddiq Hasan Khan Sahab Ko Jab Koi Mushkil Pesh Aati Toh Is Tarah Madad Maanga Karte The:–

“Qibla E Deen Madade, Kaaba E Imaan Madade Ibn E Qayyim Madade, Qazi E Shoka’n Madade

(Hadiyatul Mehdi : Jild 1 : Safa 23, Matbu’a Shaukatul Islaam Banglore, Nafhut Taeeb: Safa 47, 57)

Imam Abu Abdullah Al-Qarshi (jinka wisaal 843 saal pehle hua), farmate hai:Misr me behad mehengai badh gayi to maine Syria ka safar kiya aur Hazrat Ibrahim ki Qabr par hazri di, waha maine Hazrat Ibrahim ki ziyarat ki, aur unse arz ki ”Aye Allah ke Rasul! Aap meri ziyafat ke tour par Misr ke logo ke liye Dua farma dijiye” Unhone dua farmai to Allah ne Misr ke logo ki gareebi dur farma di

Is waqiya ko likhne wale :

-Imam Yafa’i (674+ Saal) Rawdat ul Ryahin 1/359

-Imam Suyuti(531+ Saal) Al Hawi lil Fatawi 2/245

-Imam Haythami (463+ Saal) Fatawa Hadithiya 1/213

-Imam Ismail Haqqi (315+ Saal) Ruh ul Bayan 4/262

-Imam Safiri (486+ Saal) Sharh Bukhari 2/191

-Imam Maqari(401+ Saal) Nafh ul Tayyib 2/55

-Imam Salhi shami(500+ Saal) Subl Ul Huda 10/466

Agar Insan Apni Puti Himmat Se Nabi e Paak ﷺ Ki Taraf Tawajjoh Kare To Aap Unki Museebat Me Madad Karte Hain

Hazrat Shah Waliullah Dehlvi (wisal 1762)

Fuyuzul Harmain Chapter 10 page 123

Huzoor ﷺ ki Qabr ki ziyarat karne walo ko chahiye ki kasrat se dua kare, gidgidaye, Aap se istigasa (madad talab) kare aur apki shafa’t mange

10vi sadi ke Mujaddid, Imam Qastalani (527 pehle wisal kiye) apni Kitab Al Muwahib Vol 4 Page 593 me likhte hai

Imam Ahmad Bin Hanbal رضي الله عنه Rasul Allah ﷺ ke baal Mubarak ko pani me bhiga kar us pani ko peete aur usse Shifa hasil karte hain

-Imam Ahmad ke bete Hazrat Abdullah ne farmaya Ref: Imam Ibn Jawzi, Book Manaqib Imam Ahmad page 181

Sahabiyah Sayyida Asma bint Abu Bakr ke pas Rasul Allah ﷺ ka ek Jubbah tha, Aap farmati hai Jab bhi hum me se koi bimar hota to hum ise dho kar wo pani use pila dete Aur Shifa hasil karte

REF: SAHIH HADITH OF MUSNAD AHMAD 26942

Rasul Allah ﷺ ne farmaya :

Jab Tumhari koi chiz ghum jaye, tumhe madad ki zarurat ho, aur tumhara koi sathi na ho to yun pukaro Ya Ibadullah Aye Allah ke bando Meri Madad karo

Imam Ali Bin Sultan Qaari ne farmaya “Ye hadis Hasan hai” (Mirqat 2441) Ref: Tabarani – Mo’jam ul Kabir Vol 17 page 117 Hadith 290

Ibn abi Shaibah Musannaf 29189

Suyuti Jami Saghir 1396 Kanz ul Ummal 17498

Allah ﷻ Ke Wali Madad’ghar Hain

¹ Hazrat Qazi Ahmad Bab al-Sanhajii Maliki Al Mutawaffah 1036 Hijri&² Hazrat Shah Abdul Aziz Al Mutawaffah 1239 Hijri رحمة الله&³ Alahazrat Al Mutawaffah 1340 Hijri رضي الله عنه Likhte Hain

Hazrat Imam az-Zarrūq ash-Shazli Al Mutawaffah 899 Hijri رحمة الله عنه Farmate Hain Main Apne Mureed Ki Preshanio Me Uski Madad Karne Wala Hon Jab Sitam Zamana Apni Na’ausat Se Uspar Zulm Kare Aur Agar Tu Tanghi wa Tanhai Wa Takleef Wa Mushkil Me Ho Tu Yun Pukar Ya Zarruk Main Fauran Aa Maujud Honga Teri Madad Ko Subhanallah

✺ Hazrat Shah Abdul Aziz رحمة الله Ne Apki Bahut Shan Bayan Ki Apko Abdaal Kaha Apki Kitabo Ki Bhi Tareef Ki Zyada Details Ke Liye Dekhe Bustan al-Muhaddisin Urdu Safa 205 206

References Books¹ Neel al-Ibtihaaj Vol 1 Pg 119 & ² Bustan al-Muhaddisin Vol 1 Pg 243 & ³ Hayat al-Maut Vol 1 Pg 199

Ya Rasool Allah ﷺ Ya Ali Kehna

Sayyidi Aaqai Maulai Ala hazrat رضي الله عنه Al Mutawaffah 1340 Hijri Likhte Hain

Makkah Shareef Ke Great Imam Jamal Bin Abdullah Sheikh Omar al-Hanafi al-Makki Al Mutawaffah 1281 Hijri Ki Fatawa Ki Kitab Me Hai Unse Suwal Hua Us Shakhs Ke Bare Me Jo Musibato Preshanio Ke Waqt Kehta Hai Ya Rasool Allah ﷺ Ya Ali رضي الله عنه Ya Shaykh Abdul Qadir Jilani Baghdadi Maslan Aaya Ye Sharr’an Jaiz Hai Ya Nahi? Tu Usme Unhone Jawab Diya Ha Auliya Se Madad Mangna Aur Unhe Pukarna Aur Unke Saath Tawassul (Wasila) Lena Amr Mashroh Wa Shay Marghub (Pasandida Jaiz) Hai Jiska Inkar Wahi Karega Jo Hat Dharm Dushman e Insaaf Aur Beshaq Wo Barkat e Auliya e Karaam Se Mehroom Hai Subhanallah

Reference Book Hayat al-Mawt fi-Bayan Samae al-Amwat [Published Dar al-Kotob al-Ilmiyyah Beirut LebanonVol 1 Pg 198

Ya Rasool Allah ﷺ Ya Ghaus al-Madad Kehna

Hazrat Imam Shihab al-Deen al-Ramli Shafai Al Mutawaffah 957 Hijri Se Sawal Hua

Musibat Preshani Ke Waqt Jo Log Ye Kehte Hai Ya Shaykh Fulah Madad Ya Rasool Allah ﷺ Madad Aur Ambiya o Mursaleen Auliya Aaima e Saliheen Se Madad Mangna Jaiz Hai Ki Nahi? Aur Rasoolo Ambiyao Auliyao Saliheen Wa Ma’shaikh Ke Wisaal Ke Baad Unse Madad Talab Karne Ki Kya Imkan (Possibility) Hain?

Imam Jawab Dete Hai Ambiya o Mursaleen Auliya Aaima Saliheen Se Madad Mangna Fariyad Karna Jaiz Hai Aur Rasoolo wa-Ambiya Auliya Aur Saliheen Apne Wisaal Ke Baad Bhi Madad Farmate Hai Ye Unka Mojiza Aur Karamat Hai Jo Jari Hai Kyunke Ambiya Ke Mojizaat Aur Auliya Ki Karamaat Unke Wisaal Ke Baad Bhi Munqat’aa (Disconnect) Nahi Hoti Subhan allah

✺ Allama Abdul Qadir Bin Muhammad Abi Nur Al Mutawaffah 1268 Hijri Ne Isko Apni Kitab al-Fuyudat al-ihsania Safa 57 Par Naql Kiya & Allama Yusuf Bin Isma’eel Nabhani Al Mutawaffah 1350 Hijri Ne Bhi Isko Apni Kitab Shawahid al-Haq Safa 105 Par Naql Kiya & Allama Fathullah Bin Abi Bakr al-Lubnani Al Mutawaffah 1353 Hijri Ne Bhi Isko Apni Kitab Tuhfat Ahl al-Futuhat wal Adhwaq Safa 75 Par Naql Kiya

Reference Book Fatawa al-Ramli Vol 1 Pg 740

Hazrat Shaykh Muhammad Bin Khatir al-Din al-Attar Al Mutawaffah 970 Hijri Likhte Hain :

Wazaif Naad-e-Ali Yan, Tu Hazrat Ali رضي الله عنه ko Pukaar Awaz De Kaun Ali Mazhar al- Ajaa’ib, Jo Ajeeb-o-Ghareeb Madad Karne Wale Hain Tajidh-o-Awnal Laka Fin Nawaa’ib, Mushkil Preshani Me Tu Hazrat Ali Ko Awaz De To Tu Palega Unko Ke Musibato Me Tumhari Madad Karege Koollu Hammin wa-Ghammin Sayan Jali, Har Gham Har Preshani Har Musibat Har Mushkil Thodi Hi Der Me Sab Khatm Ho Jayegi Nahi Reh Sakti Musibato Preshani Kyun Aapki Wilayat Aapki Madad Ki Wajeh Se Be Wila Yate’ka Ya Ali Ya Ali Ya Ali

*Al Jawahir al-Khamsa*

Aur isko Mujaddid-e-Azam Imam Ahmad Raza *Alahazrat* Al Mutawaffah *1340’* Hijri Ne Bhi Apni Kitab Me Code Kiya Hai

Hazrat Imam Ibn e Jawzi Farmate Hai:- Jab Meri Bimari Bahut Zyada Bad Gayi Aur Me Apni Bimari Se Aa’jiz Aa Gaya Tu Me Saliheen Ki Qabro Par Jata Aur Un Auliya Ke Wasile Se Allah Se Dua Karta Toh Mujhe Maula Ke Karam Se Aaram Rahat Mil Jaati Saeed al-Khatir [Published Dar al-Qalam Damishq Syria Vol 1 Page 93

Taba'een Ne Apni Topi Me Likha Madad Ya Rasool Allah ﷺ

Hazrat Imam al-Haytham Bin Jameel* Al Mutawaffah *213* Hijri Farmate Hain Mene *Hazrat Abdul Rahman Bin Abdullah Bin Atbah Bin Abdullah Bin Masoud* Al Mutawaffah *160* Hijri Ko Is Haal Me Dekha Ke *Unke Sar Par Ghaz Bhar Ki Lambi Topi Thi Jismay Likha Tha Ya Muhammad* *Ya Mansur Meri Madad Karne Wale

References Books Kitab al-Dueafa* Vol *3* Raqam *3271*

Auliya Ko Ya Kehkar Madad Magna Hazrat Imam Shamsuddin Muhammad al-Hanfi* Al Mutawaffah *847* Hijri Ki Paak Jauza (Wife) Bimari Se Maut Ke Kareeb Ho Gai Wo Yun Pukara Karti Thi *Ya Sayyidi Ya Ahmad Badwi* Ek Din Hazrat *Syed Ahmed Kabir Badawi* Al Mutawaffah *674* Hijri Ko Khuwab Me Dekha Ki Aap Farmate Hain Kab Tak Mujhe Pukaregi Aur Mujhse Fariyad Karegi Tu Janti Nahi Tu Khud Ek Bade Sahibe Tamqin Yani Apne Shawhar (Husband) Hazrat Syed Shamsuddin Muhammad al-Hanfi Ki Himayat Me Hai Aur Jo Kisi Bade Wali (Auliya) Ki Dargah Me Hota Hai Hum Uski Nida (Voice) Par Jawab Nahi Dete Tu Yun Keh *Ya Sayyidi Ya Muhammad Hanfi* Yah Kahegi Tu Allah Tujhe Sehat Bakhshay Ga Unhone Yun Hi Kaha Subha Ko Khasi Tanddarust Uthi Jaise Kabhi Marz Bimari Thi Hi Nahi References Books 1 *Tabaqat al-Kubra*Vol *1* Pg *408* 2 *Nafahat al-Shazhiliyat*Vol *1* Pg *295 3 *Anwar ul-Intibah* Vol *1* Pg *10* 4 *Jame Karamat al-Aulia* Vol *1* Pg *218*

Hazrat Khalid Huzoor ﷺ Ke Baal Mubarak Se Madad Aur Wasila Lete Hazrat Khalid Bin Waleed رضي الله عنه Ki Topi Mubarak Jang e Yarmuk Ke Mawke Par Kahin Kho Gai To Aapne Logo Se Farmaya Isko Talash Karo Lekin Talash Karne Ke Baad Bhi Apki Topi Na Mili Phir Dubara Talash Ki Gai Tu Wo Topi Unhe Mil Gai_ *Hazrat Khalid Bin Waleed رضي الله عنه Ne Farmaya Rasool Allah ﷺ Ne Ek Bar Umrah Karne Ke Baad Apna Sar e Aqdas Ke Baal Tarash'waye Tu Sahaba e Karaam Huzoor ﷺ Ke Baalo Ki Taraf Lapke Lekin Me Huzoor ﷺ Ki Peshani Ke Baal Mubarak Ko Hasil Karne Me Kamyab Ho Gaya Tu Mene Huzoor ﷺ Ke Un Baal Mubarak Ko Apni Is Topi Me Sil Liya To Jab Bhi Mene Is Topi Ko Pahen Ke Jihad Me Jang Ki Tu ALLAH Ki Ata Se Mujhe Fateh Mili Musnad Abi Yala* [Published Dar al-Mamun lil-Turath Maktabat al-Rushd Saudi Vol *8* Hadees *7183*

Hazart Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : Qayamat Ke Din Sooraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki (Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaanon Tak Paseena Pahunch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pahle) Hazrat Aadam عليه السلام Se Madad Maangne Jaa’einge, Phir Hazrat Moosa عليه السلام Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad ﷺ Se Madad Maangeinge.” References : (Sahi Bukhari Vol : 02, Pg : 323, Kitabuz Zakat, Hadees : 1475) (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 269, Hadees : 3509) (Imam Tabarani Muajam Ul Awsat Vol : 02, Pg : 854, Hadees : 884) (Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 02, Pg : 377, Hadees : 3677)

Shafat Hadees From Sahi Bukhari Ibn Umar Narration

HUZOOR KA ﷺ IKHTIYAR : Ek Sahabi Sayyiduna usman bin Al- Aas رضي الله عنه ne Rasul Allah ﷺ se Quran bhulne se bachne ke liye madad mangi, Huzoor ﷺ ne Apna haath Mubarak unke seene par rakh kar farmaya "Aye shaitan Usman ke seene se nikal Jaa", iske bad kabhi wo Sahabi quran ka ek lafz bhi na bhule Ref: Dala'il un Nubuwwah Baihaqi 5/508, Similar narration in ibn Majah 3548

" imam Muhammad Ibn Al Munkadir رحمة الله عليه jo ke azeemu shan tābiʿ hain or imam e Azam رحمة الله عليه , imam Jafar Sadiq رضي الله عنه jaisey badey badey aimma e deen ke ustad hain , unka amal ye tha ke , Ek martaba aap apne Shagirdo ke darmiyan tashreef farmaa the ke achanak apke jism me koi takleef mehsoos hui to aap faoran waha se uthey or nabi e Karim ﷺ ke Roza e aqdas par Jaa pohchey or aap ne apne chehra Mubarak ko nabi ﷺ ke qabar e Anwar par rakh diya, thodi der baad aap wapis tashreef farmaa huey to logo ne pucha ke aap ne ye kya kiya ? To aap ne farmaya ke jab bhi mujhe koi takleef hoti hai to mai nabi e Karim ﷺ ke qabar e Anwar pe jata hun to meri hazat or takleef Allah dur farma deta hai." Ab sawal ye hai ke jab ye waqiya pesh aya to us waqt wahan mauzud log(students) koi aam log to nii the waqt ke imam or aal e nabi ﷺ mauzud they Unko ye "shirk" kiyu nahi laga ?? Jaisa ke aaj kal ke Khawarij (wahabi, gair muqallid or salafi, deobandi,) fatwa laga te hain . : Siyar a`lam al-nubala', jild- 5, safa-358, (163- "Muhammad Ibn Al Munkadir") }

Hazrat Shah Waliullah Dehlawi رحمه الله Farmate Hain: "JAB KOI KAAM BOHAT BIGAD JAYE, To HUZOOR ﷺ AAP HI HAR BALAA SE PANAH DETE HAI" BOOK: AT YABUN NAGAM Pge no 33

Imam Ibn Jawzi رحمتہ اللہ علیہ (jinka wisal 848 sal pehle hua) likhte hai : "Sayyiduna Ibrahim Harbi ka wisal 285 Hijri me hua aur unka Mazaar Baghdad me hai, log unki Qabr se barkat hasil karte hai" Ref: Sifat us Safwah 1/266

MUSEEBAT ME SAHABAHA Rasoolullah ﷺ se MADAD MANGTE THE Sahabi Sayyiduna Abdullah bin Unais رضي الله عنه farmate hai : Ek Yahudi ne mere chehre par lakdi mari to Zakhm ban gaya aur Dard hone laga, mai ise lekar Rasul Allah ﷺ ki bargah me hazir hua huzoor ﷺ ne ispar Apna thoonk Mubarak lagaya to wo Zakhm fauran theek hogaya aur Dard bilkul khatm hogaya Ref: Tabrani - Mojam ul Kabir vol 13 Hadith 334

Hazrat Sayyeda Fatimah Zahra رضي الله عنها Rasool Allah ﷺ Ki Qabr e Muqaddas Par Hazir Hokar Aapne Ne Ek Mutthi Mitti Lee Aur Apni Aankhon Par Rakh'khi Barkat Haasil Kari Aur Rona Shuru Kar Diya Aur Saath Saath Ye Ash’ar Padhe. *ماذا على من شم تربة أحمد* *ان لا يشم مدى الزمان غواليا* *Tarjuma Translate* Kya Harz Hai Us Shakhs Ke Liye Ki Jis Ne Huzoor Nabi Karim ﷺ Ke Mazaar Ki Mitti Soongi Ho Ki Muddat Daraaz Tak Woh Qimti Khooshboo Na Soongi.” *Reference Book* Al Wafa Bi Ahwal il Mustafa *Writer >* _Imam Abu Faraj Ibn al-Jawzi Al Mutawaffah 597 Hijri_ Hadees No *1538*

صحابہ و اہلِ بیت میں آپس میں محبت

یزید پلید لناٹی

اہل سنت کے اختلاف رحمت ہیں۔

صحابہ اکرام کی فضیلت رافضیوں کی کتاب سے۔

مزار بنانے کا ثبوت

اہل سنت والجماعت۔

تبلیغی جماعت کی حقیت۔

عید غدیر کی حقیقت۔

ترکِ رفع یدین کا سبوت۔

امام اعظم ابو حنیفا رحمت اللہ علیہ کی فضیلت .