17-Nov-2023

Bani Israil me ek Admi jisne 200 saal tak khule aam gunah kiye mar gaya! Logo ne use pair se utha kar kachre me phek diya, to Allah ne Hazrat Musa Alahissalam ko huqm diya ki wo use nikal kar uski Namaz e Janaza padhe, Hazrat Musa ne arz ki: Aye mere Rab, bani Israil gawah hai ke iss admi ne 200 saal tak teri nafarmani ki hai! Allah ne farmaya : wo aisa hi tha par, jab bhi wo Tauraat padhta aur usme Nabi Muhammad ﷺ ka naam dekhta to use choom liya karta aur Aankho se laga leta, aur durood padhta, isi amal ke sabab maine uske gunah maaf krdiye! Aur Jannat me 70 Hooro'n se uska Nikah kar diya.

Ref: Hilyat ul Awliyah 4/33

1Ovi Sadi Hijri ke Mujaddid Imam Ali Bin Sultan Qari farmate hai :

Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه ke Azan me Rasul Allah ﷺ ka nam sunne par Angoothe chum kar aankho se lagana sabit hai aur ye humare liye iss chiz par amal ke liye kafi hai, kyunki Rasul Allah ﷺ ne farmaya: “Tum par lazim hai Meri Sunnat aur Mere Khulafa e Rashideen ki Sunnat❞.

Ref: Al Asrar ul Marfua pg 306

Hazrat Imam Sakhawi Al Mutawaffah 902 Hijri Likhte Hai

Hazrat Bilal رضي الله عنه Ne Azan Di Aur Jab Ash’hado’anna Muhammadar Rasool Allah ﷺ Kaha To Sayyidina Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ne Apne Anghutho Ko Chomkar Apni Aankho Se Lagaya Nabi Kareem ﷺ Ne Jab Siddiq e Akbar رضي الله عنه Ko Ye Amal Karte Dekha To Sahaba e Karaam Se Farmaya Jo Mere Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ki Tarah Amal Kare {Yani Jab Bhi Mera Naam Sune Tu Apne Anghutho Ko Chomkar Ankho Se Lagaye} To Qayamat Ke Din Meri Shafa’at Uske Liye Wajib Hogi*

Maqasid al-Hasna* [Published Dar al-Kitab al-Arbi Halab Syria

Vol 1 Page 605

To Maloom Hua Ke Hum Huzoor ﷺ Ka Naam E Paak Sunkar Anghutho Ko Chomkar Jo Apni Aankho Se Jo Lagate Hai Wo Siddiq e Akbar رضي الله عنه Ki Sunnat HaiN

یہ امت شرک نہیں کر سکتی

یزید پلید لناٹی

صحابہ اکرام کی فضیلت رافضیوں کی کتاب سے۔

تعویذ پہنے کا سبوت

میلاد النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم منانے کا ثبوت ۔

حضرت امیر معاویہ رضی اللہ عنہ پر اعتراز کا جواب۔

شان اولیاء قرآن اور حدیث سے۔

علم غیب مصطفی ﷺ

افضلیتِ صدیق اکبر رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ

انجینئر مرزا کی گستاخی۔