𝘼𝙝𝙡𝙚 𝙎𝙪𝙣𝙣𝙖𝙩 𝙠𝙖 𝙮𝙚 𝙖𝙦𝙚𝙚𝙙𝙖𝙝 𝙝𝙖𝙞 𝙠𝙚 𝙍𝙖𝙨𝙤𝙤𝙡 𝘼𝙡𝙡𝙖𝙝 ﷺ 𝙣𝙤𝙤𝙧 𝙗𝙝𝙞 𝙝𝙖𝙞𝙣 aur 𝘽𝙖𝙨𝙝𝙖𝙧 𝙗𝙝𝙞 , 𝙢𝙖𝙜𝙖𝙧 𝙗𝙚𝙢𝙞𝙨𝙡 𝙤 𝙗𝙚𝙢𝙞𝙨𝙖𝙖𝙡 𝙗𝙖𝙨𝙝𝙖𝙧 𝙝𝙖𝙞𝙣.
Sureh Maa’idah Ayat No.15
یٰۤاَہۡلَ الۡکِتٰبِ قَدۡ جَآءَکُمۡ رَسُوۡلُنَا یُبَیِّنُ لَکُمۡ کَثِیۡرًا مِّمَّا کُنۡتُمۡ تُخۡفُوۡنَ مِنَ الۡکِتٰبِ وَ یَعۡفُوۡا عَنۡ کَثِیۡرٍ ۬ ؕ قَدۡ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللّٰہِ نُوۡرٌ وَّ کِتٰبٌ مُّبِیۡنٌ ﴿ۙ۱۵﴾
Kanzul Iman Translation
Aye Kitaab Waalo Beshak Tumhaare Paas Humaare Yeh Rasoolﷺ Tashreef Laaye Ke Tum Par Zaahir Farmaate Hai’n Bahot Si Woh Cheeze’n Jo Tumne Kitaab Me’n Chhupa Daali Thee’n Aur Bahot Si Mu’aaf Farmaate Hai’n Beshak Tumhaare Paas Allah Ki Taraf Se Ek Noor Aaya Aur Roshan Kitaab.
Iss Aayat Ki Tafseer Me Mohaddiseen, Tamaam Mu’tabar Mufassiren Ne Iss Aayat Main Noor Se Sarkar-e-Aazam ﷺ Ko Murad liya hai..
Tafseer:(Ibn-e-Abbas/ Page 72),(Tafseer-e-Kabeer, Page 396,/ Jild 3),(Tafseer-e-Khazin, Page 417, /Jild 1),(Tafseer-e-Madarik, Jild 1 / Page 470),(Tafseer-e-Rooh-ul-Ma’ani /Page 87, /Jild 6),(Tafseer Rooh-ul-Bayan /Page548 / Jild 1),(Tafseer Dur-re-Mansoor,/ Page 231,/ Jild3),(Tafseer-e-Jalaleen),(Tafseer-e-Ibn-e-Jareer),(Madarij-un-Nabuwwah),aur(Muwahib-ul-Ladunniyah)
Ab Yeh Dekhe Ke Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Kya Hai :
Gause Pak Likhte Hai : Jab ALLAH Taala Ne Jab Takhliq Karne Ka Iraada Farmaya Toh Sabse Pehle Apne Noor E Jamal Se NABI ﷺ K Rooh Ko Paida Kiya.Jaisa ALLAHﷻ Ka Farman Hai K Mene Sabse Pehle Apne Nabi K Rooh Ko Paida Kiya Aur Isi Tarah Nabiﷺ Ne Irshad Farmaya K ALLAHﷻ Ne Sabse Pehle Meri Rooh Ko Paida Kiya ,ALLAHﷻ Ne Sabse Pehle Mere NOOR Ko Paida Kiya,Aur Sabse Pehle Qalam Ko Paida Kiya Aur Sabse Pehle Aqal Ko Paida Kiya , Saari Chizon Se Murad NABIﷺ Ki Haqeeqat Hai.Yaani Hazrat Gaus E Paak Ne Likha Ki Hadees E Qudsi Me Zikr Hai K Sabse Pehle Apne Nabiﷺ Ke Rooh Ko Paida Kiya Aur Fir NABI ﷺ Ki Hadees Me be Zikr Hai K ALLAH Taala Ne Sabse pehle Apne NABI K Noor Ko Paida Kiya Aur Ek Riwayat Me Hai Sabse Pehle Qalam Ko Paida Kiya Aur Ek Riwayat Me Hai Sabse Pehle Aqal Ko Paida Kiya Lekin Akhir Me Hazrat Gaus E Paak Ne Confusion Dur Kiya Aur Bata Diya Ki Yeh Sab Chizon Se Muraad NABI ﷺ Hai Yaani Aap hi Ko Sabse Pehle Paida Kiya
Kitab Ka Naam :Sirrul Asrar Wa Mazharul Anwaar , Chapi “Ahle Sunnat K Maktab Se Nahi”
Toh Pata Chala Hazrat Gaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ Ka Aqeeda Yehi Tha Jo Humara Yaani Ahlesunnat Wal Jamat Ka Hai Aur Woh Qaum Jo Apne Aapko Ahle Hadees Batati Hai Deobandi Batati Hai Aur Yeh B Kehti Hai K Hazrat Gaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ Unke Buzurg Hai , Afsos Yeh Quam Hazrat Gaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ K Aqeede Per Hi Amal Nahi Karte,Balki Ahle Hadees Deobandi K Nazdeek Hazrat Gaus E Paak رحمتہ اللہ علیہ ALLAH ﷻ Ke Wali Hai Aur Dusri Taraf Jo Nabiﷺ Ko NOOR Mane Woh Kafir Bhi Hai.Ahle Hadees Ko Chahiye Hazrat Gaus E Paak K Aqeede Ko Qabul Karte Hue ALLAH Taala ke Rasul ﷺ Ko Noor Mane Ya Fir Hazrat Gaus E Paak Per Fatwa Shaya Kare .
Imam Shairani farmate hai ki ibn ul arabi ke fatuhat mein hai:
Allah ke Rasool ﷺ Nabi o auliya ke madadgar hain, Sarware kayinaatﷺ duniya mein ho ya barzakh mein. Isliye ki unke noor ki raushni waqt aur jagah tak mehdood nahi hai.
“Ref: Hujjat Allah ala al-Alamin of Imam Yusuf Nabhani al Vol 1 pg.no 82
Rasoolullah ﷺ ka saaya nahi tha, jab Huzoor ﷺ suraj ke samne khade hote to Aap ka noor Suraj ki roshni par ghalib ajata
-Sayyiduna Ibn Abbas
Ref: Juz Al Mafqood Musannaf Abdur Razzaq Hadith 4 Ibn Jawzi – Al wafa 2/65, Shaami – Subl Ul Huda 2/12 Ali Qari – Sharh shamail 2/258, Sharh Zurqani 7/12 Ibn Nasiruddin Dimishqi – Jami ul asar 4/1683
Huzoor Nabi E Kareem ﷺ Ki Wiladat Ba Sa’adat Ke Hawale Se Usman Bin Abil-Aas Ki Walida Majida Hazrat Fatima Binte Abdullah Saqfiyah farmati hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ki Wiladat Ke Waqt Hazrat Amina رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی Ke Paas Thi Aap Shabe Wiladat Ki baatein Farmaten Hain,”Pas Jab Àapki Wiladat Ba Sa’adat Hui To Sayyeda Amina Ke Jisme Athar Se Aisa Noor nikla Jisse Poora Ghar Or Haveli Jagmag Karne Lagi Or Mujhe Har Ek Shay’ Me Noor Hi Noor Nazar Aya’.
Imam Tabrani Mu’jam Al Kabir 25/147, Hadees : 355Imam Hasan Shaybani Al Ahad Wal Mathani, 1, Hadees : 1094Imam Abu Nuayam Asfahani Dalail Un Nabuwah Vol: 1, Pg : 164Imam Bahqi dalailul-Nabuwah 1/111Hafiz Ibn kathir Al-Bidaya 2/264
Huzur Nabi E Karim ﷺ ka Khatamunn Nabieen Hona Aur Hazrat Ameena رضي الله عنها Ka Mulk E Shaam Dekhna :Hazrat Irbaaz bin Sariya رضي الله عنه se marvi hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya mai Allah Taa’la ka wo banda hu jiss ko ummul kitab me uss waqt khatimunn Nabieen likh diya gaya tha jab Aadam عَلَيـهِ السَّــلَام abhi tak apne mitti me pade huwe the aur Mai ankareeb tumko uske taveel ke baare me bataunga, Mai apne baap Hazrat Ibrahim Alaihsalam ki dua, Hazrat Isa عَلَيـهِ السَّــلَام ki basharat aur apni Maa ka khwab hu. Meri maa ne ek khwab dekha tha ke usse ek aisa noor nikla jisne uske liye shaam ke mehallaat raushan kar diye aur nabiyo'n ki maa’ein aise hi khwab dekhti rahi hai, Allah taala ki unpe rehmate ho.
Imam Ahmad ibn Hambal Al Musnad Vol : 28, pg 395, Hadees : 17163) Sahih Tahkeek Shaykh Arnaut(Musnad imam Ahmad Ibne Hambal Vol :13, Pg 281-282 Hadees : 17085-86) Tahkeek Ahmad Shakir (Imam Darimi Sunan, Hadees : 13)(Imam Hakim in his Mustadrak Vol 02:418, 600, 616-617 Sahih), (Imam Bayhaqi Dala’il an-Nubuwwa 1:80-84,110, 2/8)(Imam Ibn Hibban 14:313 #6404), (Imam Tabarani Mujam al-Kabir, 8:206, 18:252-53, 20:353), (Imam Ibn Asim Sunnah #409)(Imam Bazzar Majma Uz Zawa’id 1:217, 3:113),(Imam Bukhari Tarikh al-Kabir (6:68) (Imam Abu Dawood Al Tayalisi Musnad, #1236)(Imam Ibn ‘Asakir Tareekh 1:166-71)(Imam Haythami in Majma’ az-Zawa’id 8:222-23 #13841-42)(Imam Suyuti Jami’ as-Saghir #4359-60)
Hazrat Irbaz Bin Sariya رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ Se Riwayat Nabi Kareem Rauf O Raheem صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya Mai Abdullah Hoon (Yaani Allah Ka Banda Hoon) Aur Mai Us waqt bhi khataman Nabiyeen tha jab Mere Baap (Yaani Adam Alaihsalam) abhi Gaadhi Mitthi Me They, Aur Mai Ankbareeb Iske baare me tumhe khabar dunga, Mai Apne Jadde Aala Ibraheem عليه السلام Ki Dua Hu, Hazrat Eisa عليه السلام Ki Basharat Hu Aur Wo Khwab Hu Jo Meri Walida Sayyeda Amina رضی اللہ عنہا Ne Zamana e Hamal Me Dekha Ki Unse Ek Noor Ne Tulu Farmaya Hai Jisse Ilaqa E Sham Munawwar Ho Gaya Aur Fir Aapne Ye Ayat Tilawat Farmayi Surah Ahzab Ayyat 45-46
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِىُّ إِنَّآ أَرْسَلْنَـٰكَ شَـٰهِدًۭا وَمُبَشِّرًۭا وَنَذِيرًۭا﴾ وَدَاعِيًا إِلَى ٱللَّهِ بِإِذْنِهِۦ وَسِرَاجًۭا مُّنِيرًۭا ﴾
Aye Mehboob Behsaq Humane Tumhe Gawah Aur Khush’khabri Sunane Wala Aur Dar Sunane Wala Aur Allah Ke Huqm Se Uski Taraf Logon Ko Bula Ne Wala Aur Roshan Aftab Bana Kar Bheja (Imam Hakim Al Mustadrak Kitabut Tafseer, Surah Ahzab Vol 02, Pg : 453 Hadees : 3566)
Imam “Bukhari” Ke Ustad Ke Ustad Hazrat Imam “Abdur Razzaq” Al Mutawaffah “211” Hijri Hadith Likhte Hai Ki Maine Ye Hadees mashhoor “Taba’tabaeen” Hazrat Imam “Muamar ibne Rashid” Al Mutawaffah “153” Hijri Se Suni Unhone मशहूर Azeem “Tabai” Hazrat Imam “Ibn e Munkadir” Al Mutawaffah “130” Hijri Se, Unhone Azeem behad mashhoor Pyare Sahabi Hazrat “Jabir Bin Abdullah” al-Ansari Al Mutawaffah “78” Hijri Se Aur Aap Riwayat Karte Hai Ki Mene Allah ﷻ Ke “Habib ﷺ Se Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Allah ﷻ Ne Sari Makhlukat Me Sabse Pehle Kis Chiz Ko Banaya ?To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Jabir رضي الله عنه Allah ﷻ Ne Sabse Pehle Tere Nabi Muhammad ﷺ Ke Noor Ko Apne Noor Se Paida Farmaya.
Al-Musannaf /Page-64/ Sanad Sahih
Is Hadith Ki Sanad Itni Mazboot Hai Ki Saudi Najdi Swine Isko Tod Na Sake Par Isko Todne Ke Chakkar Me Najdio Ke Bid’ati Aqeede Zaror Tot Gaye_ Is Hadith Ko Likhne Wale “Muhaddiseen”Hazrat Imam “Ghazali” Al Mutawaffah “505” Hijri Apni Kitab “Sulwat al-Arifeen” Vol “1/ Page “64” Par
Ghaus e Azam” Al Mutawaffah “561” Hijri Apni Kitab “Al Safina al-Qadiriyah” Vol “1” Page 75″ Par Likha
Hazrat Imam Ibn e “Shahawar al-Raazi” Al Mutawaffah “654” Hijri Apni Kitab”Manarat al-Asayerin” Vol “1” Page “12” Par
Hazrat Imam Abd al-Haq Bin Ibrahim al-Andalusi “Ibn e Saba’een” Al Mutawaffah “669” Hijri Apni Kitab “Anwar al-Nabi ﷺ” Vol “1” Page “132” Par
Hazrat Imam Abdul Kareem “al-Jilani” Al Mutawaffah “805” Hijri Apni Kitab “Al Kahf wal-Raqim fi-Sharah ﷽” Vol “1” Page “47” Par
Hazrat Imam Ibn e “Hajar Haythami” Al Mutawaffah “974” Hijri Apni Kitab “Fatawa al-Hadisiya” Vol “1” Page “108” Par
Hazrat Imam Mufassir “Ismail Haqqi” Al Mutawaffah “1137” Hijri Apni Kitab Quran Ki Tafsir “Ruh al-Bayan” Vol “9” Page “113” Par
Hazrat Imam Ismail “Al-Ajlouni” Al Mutawaffah “1162” Hijri Apni Kitab “Kashf al-Khifa wa-Muzil al-ilbas” Vol “1” Page “237” Par
Hazrat Imam Hasan al-Adawi “al-Hamzawi” Al Mutawaffah “1303” Hijri Jinhone “200” Saal Pehle Kitab Bulugh al-Masaraat Vol “1” Page “23” Par Iski “Sanad” Ko “Sahih” Karar Diya
Hazrat Imam Yusuf “Nabhani” Al Mutawaffah “1350” Hijri Apni Kitab “Majmue al-Arbaein” Vol “1” Page “106” Par
In Sab Muhaddiseen Ne Ye Hadees Likhi But Kisi Ne Bhi Isko Mawdu Zaeef Nahi Kaha Balke Ta’eedan Isko Likha_