Ahle Sunnat Wa Jama’at Ka Aqeeda ye Hain Allah ﷻ A’alimul Gaib Hai'n Aur Yeh Sifat Allah ﷻ Ki Khaas Sifat Hai'n Aur Rasoolallah ﷺ Ke Pass Jo Ilme Gaib Hain Wo ALLAH ﷻ ki Ata se Hain . Huzoor ﷺ ke Pass Ataai Ilme Gaib Hai Allah ﷻ Ne Rasoolallah ﷺ Ko Gaib Ka Ilm Diya Hain.
Note :
Sureh Ana’am Ki Ayat No.50 Aur Sureh A’araaf Ki Aayat No.188 Me Allah ﷻ Ne Jo Rasoolallah ﷺ Se Kahelwaya Hain Ke “Aap Farma Do Ke Mai Gaib Nahi Jaanta” To Iss Aayat Me Rasoolallah ﷺ Keliye Zaati Ilm e Gaib Ki Nafi Ki Gayi Hai Na Ke Atayi. Dekhiye Tafseer e Neshapuri, Shifa Shareef, Naseemur Riyaz Aur Tafseer e Khaazin.
Sureh Aale Imraan Ayat No.179
مَا کَانَ اللّٰہُ لِیَذَرَ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ عَلٰی مَاۤ اَنۡتُمۡ عَلَیۡہِ حَتّٰی یَمِیۡزَ الۡخَبِیۡثَ مِنَ الطَّیِّبِ ؕ وَ مَا کَانَ اللّٰہُ لِیُطۡلِعَکُمۡ عَلَی الۡغَیۡبِ وَ لٰکِنَّ اللّٰہَ یَجۡتَبِیۡ مِنۡ رُّسُلِہٖ مَنۡ یَّشَآءُ ۪ فَاٰمِنُوۡا بِاللّٰہِ وَ رُسُلِہٖ ۚ وَ اِنۡ تُؤۡمِنُوۡا وَ تَتَّقُوۡا فَلَکُمۡ اَجۡرٌ عَظِیۡمٌ ﴿۱۷۹﴾
Kanzul Iman Translation:
Allah Musalmaano’n Ko Isi Haal Par Chhodne Ka Nahee’n Jispar Tum Ho Jab Tak Juda Na Karde Gande Ko Suthre Se Aur Allah Ki Shaan Yeh Nahee’n Ke Aye A’am Logo Tumhe’n Gaib Ka Ilm De De Haa’n Allah Chun Leta Hai Apne Rasoolo’n Se Jise Chaahe To Imaan Laao Allah Aur Uske Rasoolo’n Par Aur Agar Imaan Laao Aur Parhezgaari Karo To Tumhaare Liye Bada Sawaab Hain.
Surah Jinn Ayat No.26
عٰلِمُ الۡغَیۡبِ فَلَا یُظۡہِرُ عَلٰی غَیۡبِہٖۤ اَحَدًا ﴿ۙ۲۶﴾
Gaib Ka Jaanne Waala To Apne Gaib Par Kisi Ko Musallat Nahee’n Karta.
Surah Jinn Ayat No.27
اِلَّا مَنِ ارۡتَضٰی مِنۡ رَّسُوۡلٍ فَاِنَّہٗ یَسۡلُکُ مِنۡۢ بَیۡنِ یَدَیۡہِ وَ مِنۡ خَلۡفِہٖ رَصَدًا ﴿ۙ۲۷﴾
Siwaaye Apne Pasandeedah Rasoolo’n Ke Unke Aage Peechhe Pehra Muqarrar Kar Deta Hain
Sureh Nisa Ayat No.113
وَ لَوۡ لَا فَضۡلُ اللّٰہِ عَلَیۡکَ وَ رَحۡمَتُہٗ لَہَمَّتۡ طَّآئِفَۃٌ مِّنۡہُمۡ اَنۡ یُّضِلُّوۡکَ ؕ وَ مَا یُضِلُّوۡنَ اِلَّاۤ اَنۡفُسَہُمۡ وَ مَا یَضُرُّوۡنَکَ مِنۡ شَیۡءٍ ؕ وَ اَنۡزَلَ اللّٰہُ عَلَیۡکَ الۡکِتٰبَ وَ الۡحِکۡمَۃَ وَ عَلَّمَکَ مَا لَمۡ تَکُنۡ تَعۡلَمُ ؕ وَ کَانَ فَضۡلُ اللّٰہِ عَلَیۡکَ عَظِیۡمًا ﴿۱۱۳﴾
kanzul Iman Translation
Aur Aye Mehboob Agar Allahﷻ Ka Fazl Wa Rehmat Tum Par Na Hota To Unme’n Ke Kuchh Log Yeh Chaahte Ke Tumhe’n Dhoka De De’n Aur Woh Apne Hi Aap Ko Behka Rahe Hai’n Aur Tumhaara Kuchh Na Bigaade’nge Aur Allah Ne Tum Par Kitaab Aur Hikmat Utaari Aur Tumhe’n Sikha Diya Jo Kuchh Tum Na Jaante The Aur Allahﷻ Ka Tum Par Bada Fazl Hai.
Rasul Allah ﷺ wisaal ke baad bhi ye tak jante hai ki hum apne band kamro me kya kya karte hai :
RasulAllah ﷺ ke wisal e zahiri ke bad Hazrat Umar Farooq رضي الله عنه ne Aap ko khwab me dekha, Rasul Allah ﷺ Hazrat Umar ki taraf nazar nahi farma rahe the to Hazrat Umar ne arz ki “Ya RasulAllahﷺ! Kya Mujhse koy khata hogayi?Rasul Allahﷺ ne farmaya :” kya tum wo nahi jo roze ki halat me (apni zawja) ko chumte ho?”Hazrat Umar ne arz ki “Uski kasam jisne Apko haq ke sath bheja! Mai aj ke bad roze ki halat me na chumuga”
Note: biwi ko chumne se roza nahi toot’ta, par inezal (ejaculation) hogaya to toot jayega! Yaha Hazrat Umarرضی اللہ عنہ ko RasulAllahﷺ Isliye mana farma rahe hai ki wo behtar jante hai apne diwane Umarرضی اللہ عنہ ko ki unke liye kya behtar hai
Rasoolullah ﷺ ko ye Ilm e Ghayb bhi hai ki future me unke Ummati kab kab kya kya karege aur kaun jannat me jayega!
Hazrat Zaid bin Arqam رضي الله عنه farmate hain: Mujhse RasulAllah ﷺ ne farmaya “jao, yaha tak ke Abu Bakarرضی اللہ عنہ ke paas pucho, tum unhe ukhdu betha kapde me lipta paoge, to kehna Rasul Allah ﷺ ne apko salam kaha hai aur apko jannat ki basharat di hai, phir tum chalna yaha tak ke ‘thaniya’ ke Maqam par pohcho to Umar se mulaqat hogi! Wo uss waqt gadhe par sawaar hoge aur unke sar ki chamdi nazar arahi hogi, unse kehna Rasul Allah ﷺ ne apko salam kaha hai aur apko jannat ki basharat di hai, phir chalna yaha tak ke bazar me pohocho, waha Usman se milna, wo waha len den kar rahe hoge, unse kehna Rasul Allah ﷺ ne apko salam kaha hai aur apko jannat ki basharat hai badi Azmaish ke bad” Hazrat Zaid ne un teeno Sahabi ko waisa hi paya jaise Rasul Allah ﷺ ne farmaya tha aur Hazrat Usman ki Azmaish ye thi ki unhe 40 din unke ghar me qaid karke shaheed kiya gaya
Ref: Tabrani – Mojam ul Ausat 868, Tarikh ibn kasir 3/205, Tarikh ibn Asakir 39/151, Baihaqi – Dala’il un Nubuwwah 6/390, Suyuti – Khasais Kubra 2/206
Hazrat Anas bin Malik رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ farmate hain,Ke Nabi e Karim ﷺ ne farmaaya ke Zaid ne Jhanda sambhaal liya, aur wo shaheed ho gaye,Fhir Jafar ne sambhala aur wo bhi shahid ho gaye, fhir Abdullah bin Rawaha ne jhanda sambhaala aur wo bhi shahid ho gayn, is waqt Rasul Allah ﷺ ki aankho me ansu aa gayn, fhir farmaya Ab jhanda Khalid ibn walid ke hath me hai aur unko fatah hasil hui hai.
(:- Sahi Bukhari,kitab ul Janaiz, hadith no. 1246)
Note: ye khabar Nabi e karim ﷺ madiney se bata rahey hain, jab ki jung waha se bahot dur ho rahi hai, or aysey jaisey aqaa ﷺ khud dekh rahey hon, ye ilm e gaib nahi to or kiya hai?
( ماكان وما يكون) 𝙠𝙖 𝙨𝙖𝙗𝙤𝙤𝙩 𝙎𝙖𝙝𝙞 𝙢𝙪𝙨𝙡𝙞𝙢 𝙨𝙚
Abu zaid Ne bayan kiya ki, Rasul Allah ﷺ ne namaz e fazr padhai aur mimbar par raonak afroz huey aur hamey khutba diya, yahan tak ke Zohar ka waqt ho gaya, (mimbar se utar kar) Namaz padhai aur phir mimbar par raonak afroz huey aur khutba irshaad farmaya, yahan tak ke Namaz e Asr ka waqt ho gaya aap ﷺ ne Namaz padhai aur phir mimbar par Tashrif le gayn, aur khutba irshaad farmaya yahan tak ke suraj gurub ho gaya, aap ﷺ ne jo kuch hua or jo kuch hone wala tha (sab kuch)(yani ماكان وما يكون) hamey bata diya, ham me sab se zyaada janne wala wahi bana jisko us din ki baateyn zyaada yaad rahi.
( : Sahi muslim, hadith no. 2892 or 7267 or 7161)
[𝙉𝙤𝙩𝙚: 𝘱𝘳𝘪𝘯𝘵𝘪𝘯𝘨 𝘬𝘪 𝘸𝘢𝘫𝘢𝘩 𝘴𝘦 𝘩𝘢𝘥𝘪𝘵𝘩 𝘬𝘢 𝘯𝘶𝘮𝘣𝘦𝘳 𝘪𝘥𝘩𝘢𝘳 𝘶𝘥𝘩𝘢𝘳 𝘩𝘰 𝘴𝘢𝘬𝘵𝘢 𝘩𝘢𝘪 𝘭𝘪𝘩𝘢𝘢𝘫𝘢 𝘶𝘱𝘢𝘳 𝘥𝘪𝘺𝘦 𝘨𝘢𝘺 𝘯𝘶𝘮𝘣𝘦𝘳𝘴 𝘮𝘦 𝘴𝘦 𝘬𝘪𝘴𝘪 𝘦𝘬 𝘮𝘦 𝘺𝘦 𝘩𝘢𝘥𝘪𝘵𝘩 𝘮𝘪𝘭 𝘫𝘢𝘺𝘨𝘢]
Note : is hadees se sabit hua ke Allah ne Apney habib ﷺ ko (ماكان وما يكون) ka ilm ata farmaya hai, yani jo kuch ho chuka or jo kuch hone wala hai Allah ne sara kuch apney habib ﷺ ko bata diya hai.
HAZRAT HUZAIFA BIN YAMAN رضي الله عنه NE FARMAYA:
Rasul Allah ﷺ ne mujhe wo sab kuch bata diya jo Qayamat tak hone wala hai
REF: AL MUSTADRAK 8380. MUSNAD BAZZAR 569, TAFSIR IBN KASIR 5/157. TAFSIR TABRI 28/11.
*Asman Me Kaun Farishta Kaha Kya Kar Raha Hai Ye Bhi Mere Huzoor ﷺ Jantay Hain* _
Hazrat *Imam Ahmad Bin Hambal* رضي الله عنه) Hadees Code Karte Hain_*Hazrat Zaid Bin Sabit رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Ek Din Hum Log Rasool Allah ﷺ Ke Paas Baithe Hue They Ke Nabi Kareem ﷺ Ne 2 Baar Mulk e Shaam (Syria) Ke Liye Farmaya Khush’khabri Hai To Mene Pucha Ya Rasool Allah ﷺ Shaam Ki Kya Fazilat Hai? To Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Mulk e Shaam Par Farishte Apne Par Failaye Hue Hai*
Reference Book *Musnad Ahmad* [Published *Saudi Najd (Riyadh]* Safa *1552* Hadees *21607*
Yani HUZOOR ﷺ Madine Shareef Me Jalwa Farma Aur Shaam Jo 1646.km Dor Uspar Asman Ke Farishte Par Failaye Hue Hai Ye Bhi Huzoor ﷺ Dekh Rahe Aur Jantay Hain_ *Aur Aaj (chmaar) Se Zyada neech Wahabi Ahle’hagees Deobandi Kehta Hai Ki Unko Diwaar Ke Piche Ka Nahi Pta* Maaz’Allah
*Ibn e Tayymia Ko ilm e Gaib Tha* By Ibn Qayyim Ibn e Tayymia Ka Chela *Ibn e Qayyim* Jo Wahabiyon Ahle’hageeso Saudi Najdiyo Ka Uncle Hai Wo Likhta Hai *Ibn e Tayymia Un Waqiat Ke Bare Me Unke Hone Se Pehle Hi Janta Hai Jo Hone Wale Hai Aur Logo Ki Rooh Aur Dilo Me Kya Hai Ibn e Tayymia Sab Ilm e Gaib Janta Hai*
Reffrence *Madarij Salikeen* Safa *195*l
_Dekha Aap Agar Kahe Ki Huzoor ﷺ Ko Allah ﷻ Ne ilm e Gaib Ata Kiya Tu_ *Chamar Se Zyada Neech Wahabi Ahle’hagees Saudi Najdi Moh Se Potty Karte Hue Kahega Ki Unko Tu Diwaar Ke Piche Ka ilm Nahi*??? Aur Ibn e Tayymia Ko Sara ilm e Gaib????
*Auliya Gaib Chizo Ko Dekhte Aur Baat Karte Hai* By Ibn e Tayymia Wahabiyon Deobandiyo Najdiyo Ke Shaikh ul Islam
Maula Ali رضي الله عنه Ne Imam Hussain رضي الله عنه Ki Shaheed Hone Ki Khabar Pehle Hi Di Hain
Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Riwayat Yahan Par Shuhada Kay Ghode Kheme Bandhe Jayenge Imam Abu Nu’aym Ne Asbag bin Naba’ta Se Rivayat Kiya ki Hum Hazrat Maula Aliرضی اللہ عنہ kay humraah Hazrat Imam Hussainرضی اللہ عنہ Ki Qabr kay makan par pahuche Hazrat Maula Aliرضی اللہ عنہ ne bayan farmaya Yahan Un Shohda kay Oont Bandhenge Yaha Unke Kazawe Rakhe Jaynge Yahan Unke Khoon Bahenge Jawanane Aale Muhammad Is maidan me shaheed honge Aasman wa jameen un par royenge
Ibn umar رضي الله عنه se riwayat hai huzoor ﷺ ne farmaya:”Beshak Allah ﷻ ne dunya ko Is tarah mere peshe nazar kar diya hai ke main duniya aur duniya mein hone wale waqiyat ko iss tarah dekh raha hun, aur qayamat tak dekhta rahuga jaise apni hatheli ko dekhta hun!
AL-TABARANI IN AL-MUJAM AL-KABIR (13/318) ►IMAM ZARQANI AL-MALIKI IN SHARH AL-MAWAHIB AL-LADUNNIYYA (7/204) OR 11/123 IN Another ED. AL-MUWAHIBAL-LADUNNIYYAH (4/129) ►KANZ Ul-Amaal (7/420) Hadith 31971 ►AL-JAMI’ As-Saghir (3547) Al-KhasaIs-Ul-Kubra (2/185)
ILM E GAIB
Sayyiduna Umar ne farmaya : Ek bar Rasul Allah ﷺ humare bich kafi der tak bayan farmaya, aur Hume sari makhlooq banne se lekar Jannat walo ke jannat me Jane tak aur Jahannum walo ke Jahannum me Jane tak ka Tamam ilm bata diya”
Ref: Sahih Bukhari > Beginning of Creation > Hadith 3192
Sahabah ke shagird, Tabai Ibn Kaysan farmate hai :
Rasul Allah ﷺ ko jo kuch ho chuka aur jo hone wala hai ye tamam ka ilm ata kiya gaya
Ref: Baghwi (516 Hijri)-Tafsir 7/441 Qurtabi (671 Hijri) – Tafsir 17/152, Khazin (741 Hirji) – Tafsir 4/225
ILM E GAIB.
IMAM IRAQI JINKA WISAL 636+ SAAL PEHLE HUA, FARMATE HAI:
Rasul Allah ﷺ par Hazrat Aadam se lekar qayamat tak aane wali tamam makhlooq pesh ki gayi aur Aap unme se har ek ko pehchante hai
REF: IMAM KHAFAJI NASEEM UL RIYAD 3/19
NABIYON KI EK KHASIYAT YE BHI HAI KE WO ANE WALE WAQT KI GHAYB KI BATE JAAN LETE HAIN
-Imam Ghazali
Ref: ihya ul uloom 4/190
Rasul Allah ﷺ ne farmaya :
Dozakh mein Bakhti Oonto ki Gardan ke barabar Saanp hai, kisi ko ek bar Das le to uska dard 40 saal tak mehsoos hota rahega
Ref: Imam Haakim – Al Mustadrak #8754
Rasul Allah ﷺ ne farmaya:
Meri Ummat me 30 Jhute ayenge unme se har ek dawa karega ki wo Nabi hai par Mai Nabion me akhir hu, mere baad koi Nabi nahi
REF: ABU DAWUD 6454 JAMI TIRMIZI 2219 MUSNAD AHMAD 22395
Huzoor ﷺ Ka Ilm e Gaib Aur Jo Abhi Hua Nahi Usko Bhi Huzoor ﷺ Dekhte Hai
Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Al Mutawaffah 241 Hijri Likhte Hain
Hazrat Abdullah Bin Amrr رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Choti Aur Patli Pindliyon Aur Tango Wala Ek Kala Habshi (ethiopian) Khana-e-Kaba Ko Tabah (destroy) Kar Dega Uska Zewar Cheen Lega Aur Uska Ghilaf Utaar Lega Us Habshi Ko Goya Me Apni Aankho Se Dekh Raha Hon Ki Uske Sar Ke Aglay Baal Ghire Hue Hai Aur Wo Tede Jodu Wala Hai Aur Cheni Aur Kudaal Se Kabe Par Zarb Laga Raha Hai Aur Kabe Ke Ek Ek Pathar Ko Ukhad Dega
اللّٰهُ أَكْبَر
Yani Abhi Wo Khabees Ethiopian Admi Paida Bhi Nahi Hua Aur Na Usne Abhi Kabe Ko Shaheed Kiya Lekin Mere Aaqa ﷺ Usko Pehle Se Hi Dekh Hi Nahi Rahe Balki Uske Sar Se Lekar Pair Tak Ka Sara hulia Bhi Dekh Kar Sahaba Ko 1500 Saal Pehle Bata Diya Ki Kaise Aur Kis Chizo Se Wo Kaba Shaheed Karega
Reference BookMusnad Imam Ahmad [ Publisher Jakarta IndonesiaVol 6 Hadees 7053&Bukhari SharifHadees 1595-&-96
*Rasool Allah ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Kaba or Makkah*¹
Hazrat Imam Ibn e Abi *Shayba* Al Mutawaffah *235* Hijri&²
Hazrat Imam Abi Abdullah Bin Ishaq *al-Faqih al-Makki* Al Mutawaffah *272* Hijri
*Hazrat Abdullah Bin Amrr رضي الله عنه Bayan Karte Hain Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Kabe Sharif Ko Bahut Zyada Khubsurat Tarike Se Phir Se Banaya Jayega Aur Jab Tum Makkah Me surange* (Tunnels) *Dekho Aur Tum Dekho Ki Imaarate* (Buildings) *Pahado Se Unchi Hai Tu Jaan Lena Ki Qayamat Kareeb Aa Gai Hai*
اللّٰهُ أَكْبَر
_Aaj Kabe Sharif Kitna Khubsurat Bana Hua Hai Ghilaf Par Gold Ki Designs Hai Aur Kabe Ko Itna Decorated Hai Wagera Aur Makkah Sharif Me Kitni Tunnels Bani Hui Hai Aur Zameen Ke Niche Zamzam Ki Pipeline Ki Bhi Tunnels Bani Hui Hai Aur Makkah Sharif Ke Pahado Se Bahut Zyada Unchi Bulidings Bani Hai_Haza Isnad *Hasan Good*
References Books¹
*Musannaf Abi-Shaybah*Vol *7* Hadees *37221*&²
*Akhbar e Makkah*Vol *2* Hadees *1790*
*Huzoor ﷺ Ka Ilm e Gaib Aur Car’s Bike’s*¹
Hazrat Imam *Ahmad Bin Hambal* Al Mutawaffah *241* Hijri&²
Hazrat Imam *Ibn e Hibban* Al Mutawaffah *354* Hijri&³
Hazrat Imam Ziya *al-Deen Maqdisi* Al Mutawaffah *643* Hijri&⁴
Hazrat Imam *Ibn e Munzari* Al Mutawaffah *656* Hijri*
Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri Ummat Ke Akhiri Zamane Me Aise Log Bhi Honge Jo Aaramda* (Comfortable) *Wali Aisi Sawaari Ki Zino* (saddles) *Par Baith Kar Aaya Karege Aur Masjido Ke Darwazo Par Utrah Karegen*
اللّٰهُ أَكْبَر
Hazrat Imam *Hakim* Al Mutawaffah *405* Hijri
Farmate Hai Ye Hadees Hazrat Imam *Muslim* Ki *Shart* Ke According *Sahih* Hai
_Aaj Hum Aur Aap Sabse Behtareen Comfort Rides Cars Bikes Auto Wagera Par Baith Kar Masjid Ke Darwaze Tak Jate Hai_
References Books¹
*Musnad Ahmad*Vol *4* Hadees *7204*&² *Sahih Ibn-Hibban*Vol *1* Hadees *5723*&³ *Sahih al-Hadees*Vol *7* Hadees *18319*&⁴ *Sahih Targhib wat-Tarhib*Vol *4* Hadees *2043*
Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya:-
An’Qareeb Qustun’tuniya Fateh Ho Jayega Aur Uska Ameer (Sipah Salaar) Kya Khoob Hoga Aur Wo Lashkar Kaisa Behtareen Hoga
[Musnad Ahmad Vol 15 Hadees 18859]
Qustun’tuniya Ko Fatah Karne Wale Hazrat Ertugrul Ki Aulad Mein Se Hazrat Sultan Muhammad Fateh Ne Usko Fatah Kiya Tha Aur Huzoor ﷺ Madine Me Baith Kar Future Ki Khabar Bata Rhe Hain Subhan'allah.
Hazart Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : Qayamat Ke Din Sooraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki (Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaanon Tak Paseena Pahunch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pahle) Hazrat Aadam عليه السلام Se Madad Maangne Jaa’einge, Phir Hazrat Moosa عليه السلام Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad ﷺ Se Madad Maangenge.”
References : (Sahi Bukhari Vol : 02, Pg : 323, Kitabuz Zakat, Hadees : 1475) (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 269, Hadees : 3509) (Imam Tabarani Muajam Ul Awsat Vol : 02, Pg : 854, Hadees : 884) (Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 02, Pg : 377, Hadees : 3677)
Shafat Hadees From Sahi Bukhari Ibn Umar Se Riwayat Hai.
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Kya Tumhara Ye Gumaan hai Mera Chahra Qible Ki Taraf hai, Qasam Allah ki Mujhse na tumhara Khushu (dil ka irada) chupa hai aur naa ruku, Mai Tumko Peeth kay piche waise dekhta hoon jaise aage.
(Sahih Bukhari, Kitabus Salat, Pg : 113, Hadees : 418) (Sahih Muslim, Kitabus Salat, Hadees : 423) (Imam Malik Al Muwatta, Vol : 01, Hadees : 410) (Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Hadees : 8024) (Imam Ibn Hibban Sahih, Hadees : 6337 (Imam Abu Yala Al Musnad Hadees : 2971) (Imam Bayhaqi Dalail Un Nabuwah, Hadees : 2321)
Hazrat Sauban رضي الله عنه Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Allah Taa'la ne Mere Liye Zameen Samait Di Pas maine Zameen kay Mashriqon (East) Aur Magribo (West) ko Dekh Liya.
(Sahih Muslim, Kitabul Fitan, Pg : 1414, Hadees :2889) (Sunan Abu Dawood, Kitabul Fitan Wa Malahim, Hadees : 4252)
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Namaz E Fazr Kay Waqt Hazrat Bilal رضي الله عنه Se Pucha Mujhe Tumhara Wo Aamal Batao Jo Tumne Islam lane kay baad kiya hai MAINE TUMHARE KADMO KI AWAAZ JANNAT ME MERE SAAMNE SUNA HAI. Hazrat Bilal رضي الله عنه ne jawab farmaya Mai jab bhi Wuzu karta hu to 2 Rakat Nafl, Tahayyatul Wuzu padh leta hu'n.
(Sahih Bukhari, Pg 278 , Kitabut Tahajjud Baab 17 Hadees : 1149) (Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees :3689)
Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi Hai Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Hira Pahaad Par Tashreef Farma The Aur Aap Nabi ﷺ Ke Saath Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Hazrat Talha Aur Hazrat Zubair RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen The Itne Me Pahaad Ne Harkat Ki, To Aap ﷺ Ne Farmaya : Thehar Jaa Tere Upar Nabi, Siddique Aur Shaheed Ke Siwa Koi Nahi.
(Sahih Muslim Pg :1205, Kitab Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Talha Wa Zubair, Hadees :2417) (Jamai Tirmizi Kitab Manaqib, Hadees : 3696) هَذَا حَدِيثٌ صَحِيحٌ (Imam Ahmad Al Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol : 02, 419, Hadees : 9420) (Sahih Ibn Hibban Vol : 15, Pg : 441, Hadees : 6983) Scan Page Sahih Muslim Arabic Nusqha Kitabul Fazail E Sahaba, baab Manakib E Talaha Wa Zubair Hadees 2417 Pg :1205
Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: Beshak Main Woh Kuch Dekhta Houn Jo Tum DEKH NAHI Sakte Aur Main Woh Kuch SUNTA Hu'n Jo Tum Nahi Sunn Sakte.
Sunan Tirmizi Hadees:2312.
Hazrat Aadam Alaihis salam aur Ilm-e-Ghaib: Hazrat Adam alaihis salam ne apne bete Hazrat Shees alaihis salam ko bataya ki "Mere wisal ke baad ek tufan Aayega.
(Qasasul Ambiya by Ibn Kaseer Pg.72)
Nabi ﷺ ko Ilm-e-Ghaib ata kiya gaya hai, Muhadis ka wazzeh Aqeeda:* Qazi Ayaz Maliki رحمة الله عليه likhte hain: Aur aise muamlaat ke mutabiq apko Ilm-e-Ghaib ata farmaye gaye hain (فلا یظھر عل غیبہ احدا الا من ارتضی من الرسول ) So wo unhe sikha deta hai jitna wo chahta hai.
(Kitabush Shifa Pg.726 arabic)
Hazrat Ma'az Bin Jabal رضي الله عنه se marwi riwayat ke akhir main ye alfaaz hain. AAP ﷺ ne farmaya : "Aur Mujh par Har cheez ki haqeeqat zaahir kar di gai jiss se main ne (sab kuch) jaan liya." Iss Hadees ke baad me Imam Tirmizi رحمتہ اللہ علیہ farmaty hain k maine Is hadeeth ke bare Imam Bukhari رحمتہ اللہ علیہ se pucha to unhoune ne farmaya ke ye Hadeeth Hassan Sahi hai."
(Sunnan Tirimdhi, Volume No. 5, Page No. 368-369, Tafsir Surah S'ad, Hadith No. 3235)
Huzoor ﷺ Ka Sultan Nooruddin Zangi رحمتہ اللہ علیہ Ke Khuwab Me Akar 2 Christians Ki Khabar Dena _Hazrat Imam *Samhodi* Al Mutawaffah *911* Hijri Likhte Hain_ Hazrat Sultan Nooruddin Zangi Al Mutawaffah 569 Hijri رحمۃ اللہ علیہ Namaz e Tahajjud Padhne Ke Baad So Gaye Aur Khuwab Me Rasool Allah ﷺ Ki Ziyarat Hui Tu Rasool Allah ﷺ Ne Unse 2 Nili (Blue) Aankho Wale Shakhs Ko Dikha Kar Farmaya Ye Mujhe Takleef De Rahe Hai Tu Fauran Hazrat Nooruddin رحمۃ اللہ علیہ Ghabra Kar Uthe Aur Wuzu Kiya Aur Nawafil Namaz Padhi Aur Phir So Gaye Aur Phir Yahi Khuwab Dekha Yahan Tak Ke 3 Bar Aisa Hi Unko Khuwab Aaya To Raat Hi Me Apne Wazeer Hazrat Jamal uddin Asfahani Ko Bulaya Aur Mashwara Kiya Aur Agli Subha Bahut Sa Maal o Daulat Lekar Madina Shareef Ke Liye Nikal Gaye Aur 16 Din Ke Lambe Safar Ke Baad Madina Shareef Pauche Aur Shaher Ke Bahar Ghusl Kiya Phir Riyaz ul-Jannah Me Nawafil Ada Karne Ke Baad Roza e Rasool ﷺ Me Hazir Hokar Salam Arz Kiya Uske Baad Sultan Masjid Hi Me Baith Gaye Aur Sare Ahle Madina Ko Bulaya Gaya Ki Sultan Nooruddin Zangi رحمۃ اللہ علیہ Tashreef Laye Hai Aur Logo Ko Hadiya (Gifts) Nazrane Taqsim Karna Chahte Hai Chunan'chay Madina Shareef Ke Har Ek Fard Ko Nazrana Diya Gaya Lekin Wo Nili Ankho Wale Shakhs Nazar Na Aaye Puchne Par Bataya Gaya Ahle Maghreb (Western) Se 2 Nek Muttaqi Shakhs Hai Wo Kisi Se Kuch Nahi Lete Balke Bahut Sadqa Karte Hai Aur Raat Bhar Iba'dat-o-Riazat Karte Aur Din Me Pyaso Ko Pani Pilate Phir Unko Bulaya Gaya Tu Sultan Nooruddin Zangi رحمۃ اللہ علیہ Ne Unko Dekhte Hi Pehchan Liya Ki Ye Wahi Bad'bakht Shakhs Hai Jinko Khuwab Me Rasool Allah ﷺ Ne Dikhaya Tha Phir Unse Madina Shareef Me Aane Ka Sabab (Reason) Pucha Gaya To Bole Hum To Bas Rasool Allah ﷺ Ke Pados Me Rehne Ke Liye Aaye Hai Kai Bar Pucha Gaya To Un Logo Ne Apni Asliyat Nahi Batai Phir Jab Unke Ghar Ki Talashi Li Gai Tu Waha Se Der Sara Maal Aur Kuch Kitabe Mili Aur Hazrat Sultan Nooruddin رحمۃ اللہ علیہ Peshan Hone Lage Phir Achanak Zameen Par Bichi Chatai Ko Hatakar Dekha Tu Sab Ki Aankhe Khuli Ki Khuli Reh Gai Ki Chatai Ke Niche Ek सुरंग (Tunnel) Thi Jo Qabr e Rasool ﷺ Ki Taraf Ja Rahi Thi Wo Dono Bad'bakht Raat Me Surang Khodte Aur Mitti Ko Jannat ul-Baqi Me Dal Aate Aur Jab Wo Log Qabr e Rasool ﷺ Ke Kareeb Pauche Tu Asman Kaap Utha Aur Zameen Me Sakht Zal'zala Aaya Aisa Lagta Tha Ki Pahad Okhad Jayege Isi Liye Agli Subha Sultan Nooruddin Zangi رحمۃ اللہ علیہ Madina Shareef Pauche Thay Phir Unka Jurm Sabit Ho Gaya Ki Wo Isai Hai Jo Musalmano Ke Libas Me Aaye Thay Take Wo Huzoor ﷺ Ki Qabr e Aqdas Se Unka Jism e Aqdas Ko Waha Se Nikal Sake Phir Hazrat Sultan Nooruddin Zangi رحمۃ اللہ علیہ Ne Unka Sar Udane Ka Hukm Diya Phir Uske Baad Hazrat Sultan Nooruddin رحمۃ اللہ علیہ Ne Qabr e Rasool ﷺ Ke Charo Taraf Pani Ki Ghehrai Tak Zameen Khud'wai Aur Usme Shisha Phigla Kar Usme Bhar Diya Take Mustaqbil (Future) Me Koi Bhi Aisa Na'pak Kam Na Kar Sake.
Reference Book Wafa al-Wafa bi-Akhbar Dar al-Mustafa Published Idara Paigham ul Quran Lahore Jild 2 Safa 589-&-590
Deoband K Ghar Se Ilm e Gaib e Mustafa ﷺ ki Dalil Pesh Karte Hai : Ashraf Ali Tanvi Aur Rasheed Ahmed Gangohi Ke Peer-O-Murshid, Haji Imdadullah Muhajir Maki Farmate Hain; “Log Kehte Hain Ki Ilm-E-Ghaib Ambiya Aur Auliya Ko Nahi Hota, Mai Kehta Hu Ki Ahle Haq Jis Taraf Bhi Nazar Karte Hain Daryaft-O-Idraak-E-Ghaibaat Inko Hota Hai, Asal Me Ye Ilm-E-Haq Hai. Hazrat Swallallahualaihiwasallam Ko Hudaibiya Wa Hazrat Ayesha Ke Muamlaat Se Khabar Na Thi Ko Dalil Apne Daawe Ki Samajhte Hain Ye Ghalat Hai, Kyunki Ilm Ke Waste Tawajjoh Zaruri Hai.
(Shamaaim Imdadiya, S-62, Imdadul Mushtaq, Safa 79-80)
Hazrat Umar Ibn Khattab رضي الله عنه Bayan Karte hai Ek Roz Nabi E Karim ﷺ hamare darmiyan Apne mimber par kayam farma huwe Makhlookat Ki Ibteda se lekar Jannatiyo Kay Jannat me Dakhil Hone jane Aur Dozakhiyo kay dozakh me dakhil hone hojane tak hume Sab Kuch bata diya jisne jo yaad rakha, yaad rakha jo usse bhul gaya wo bhul gaya.
(Sahih Bukhari, Kitab Badi Al Khalq, بَابُ مَا جَاءَ فِي قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَهُوَ الَّذِي يَبْدَأُ الْخَلْقَ ثُمَّ يُعِيدُهُ} Pg :790, Hadees : 3192)
Hazrat Amr Ibn Akhtab Ansari رضي الله عنه Anhu Bayan Farmate hai Kay Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Namaz E Fazr Me hamari Imamat farmayi aur Mimber par jalwa afroz huwe aur humse khitab farmaya yahan tak ki Namaz e Zuhar ka waqt hogaya, Phir Aap ﷺ Mimber par tashreef farma huwe Aur humse khitab farmaya yahan tak kay Asr ka waqt hogaya Phir Aap ne hume Asr ki namaz padhayi aur phir mimber pe tashreef farma huwe yahan tak ki suraj guroob hogaya, Phir Aap ﷺ ne Hume har us baat ki khabar de di jo aaj tak Waqu pazir hochuki thi aur kayamat tak runuma hone wali thi, Hazrat Amr ibn Akhtab Radiallahu Anhu Farmate hai hum me zyada jaan ne wala wohi hai jo hum me sabse zyada hafize wala tha.
(Sahih Muslim, Kitab Al Fitan, باب إِخْبَارِ النَّبِيِّ ﷺ فِيمَا يَكُونُ إِلَى قِيَامِ السَّاعَةِ Pg 1415, Hadees : 2892) (Sunan Tirmizi, Kitabul Fitan, Hadees : 2191 Rivayat Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu) (Imam Nawai Riyadusalaheen, Hadees : 1861)
Hazrat Huzaifa Ibn Al Yaman رضي الله عنه bayan farmate hai kay Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Mujhe kayamat tak runuma Hone wali har baat bata di thi aur koi Aisi baat na rahi jise maine Aap ﷺ Ne naa pucha ho albatta Maine ye naa Pucha Ki Ahle Madina Ko Kaunsi Cheez Madina Se nikalegi.
(Sahih Muslim, Kitab Al Fitan, باب إِخْبَارِ النَّبِيِّ ﷺ فِيمَا يَكُونُ إِلَى قِيَامِ السَّاعَةِ Pg : 1415 Hadees : 2891) (Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol : 05, Pg : 386, Hadees : 23239)
Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu bayan karte hai ek bhediya bakrio ke rewad ke charwahe ke paas aya aur usne waha se ek bakri utha li, charwahe ne uska picha kiya hatta ke usko usse chudwa liya, ravi bayan karte hai bhediya ek tile pe chad aya aur waha sarin ke bal baith gaya aur dum dono pao ke darmiyan dakhil ker li, phir usne kaha : maine rozi ka kasad kiya jo Allah ne mujhe ata ki thi aur maine isse hasil ker liya tha, magar tune usse mujhse chuda liya. Us admi me kaha Allah ki kasam ! Maine aaj kay din ki tarha koi bhediya bolte hue nahi dekha, bhediye ne kaha isse bhi ajeeb baat ye hai ke Aadmi (Hazrat Muhammad ﷺ) jo do pahado ke darmiyan wakeh nakhalistan (Madina) me rehte hai, wo tumhe maazi aur hone wale wakiyat ke Muttalik batate hai. Ravi kehte hai wo shaksh Yahudi tha wo Nabi ﷺ ke paas aya roh usne us wakya ke mutaluk ap ko bataya aur islam kabool ker liya. Nabi ﷺ ne uski tasdeek farmai, fir Nabi ﷺ ne farmaya ye qayamat se pehle ki nishaniya hai qareeb hai ke admi ghar se nikle phir wo wapis ae toh us ke jute aur uska koda usse un halaat ke mutaluk batae jo uske baad uske ahle khana ke sath pesh aye ho.
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Vol :02, Pg :147,148 - 149, Hadees : 8049) Iski Sanad Sahih (Imam Baghawi Shafai Shara Us Sunnah, Vol : 15, Pg : 87, Hadees : 4282) (Khatib Tabrezi Mishkat Al Masabih, Kitab Fazail Wa Shamil, Pg : 1666 Hadees : 5927)
Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Farmati hai, Rasool e Karim Rauf O Rahim ﷺ Ne Apni Shahzadi Sayyida Fatima Tuz Zahra رضي الله عنها ko bulaya Aur Kaan Me Koi Baat Farmayi Woh Baat Sun Kar Khatoon E Jannat Rone Lagi, Aaka ﷺ Ne phir Sargoshi ki (yaani Kaan me Koi baat farmayi) To Khatoon e Jannat Hasne Lagi, Hazrat Sayyida Ayesha Siddiqa, Tayyiba, Tahira رضي الله عنها Farmati hai Mai Ne Khatoon E Jannat Se Kaha Aapke Babajan Rahmat E Aalam ﷺ Ne Aap k Kaan me Kya Farmaya Jo Aap Royi Aur Do Baar Sargoshi Me Kya Farmaya jo aap Hansi ? Nabi E Konan ﷺ Ne Pahli Baar Sargoshi me Apne Wafat ki khabar Di to mai Royi aur Dusri baar Sargoshi ME YE FARMAYA K MERI AHLE BAIT ME SABSE PAHLE MAI AAP ﷺ SE MILUNGI.
(Sahih Bukhari, Kitabul Manaqib, باب عَلاَمَاتِ النُّبُوَّةِ فِي الإِسْلاَمِ , Pg : 892, Hadees : 3625, 3626)
Hazrat Anas Bin Malik رضي الله عنه Riwayat Karte Hain Ki Jab Hume Abu Sufyan (Ke Qaafile Ki Shaam Se) Aane Ki Khabar Pahunchi To Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Sahaba Kiram Rizwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Se Mashwira Farmaya. Hazrat Saad Bin Ubaada رضي الله عنه Ne Khade Ho Kar Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ! Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudarat Me Meri Jaan Hai Agar Aap Hamein Samundar Me Ghode Daalne Ka Hukm De To Hum Samumdar Me Ghode Daal Denge Aur Agar Aap Hamein Barkil Ghimaad (Pahaad Ka Naam) Pahaad Se Ghodon Ke Seene Takaraane Ka Hukm De To Hum Aisa Bhi Karenge. Tab Rasoolullah ﷺ Ne Logon Ko Bulaaya, Log Aaye Aur Waadi-E-Badr Me Utare Phir Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Yen Fula’n Kafir Ke Girne Ki Jageh Hai, Aap ﷺ Zameen Par Us Jageh Aur Is Jageh Apna Mubarak Haath Rakhte. Hazrat Anas Radiallahu Anhu Farmate Hain Ki Phir Dusre Din Dauraane Jung Koi Kafir Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ki Bataayi Huwi Jageh Se Zarra Baraabar Bhi Idhar-Udhar Nahin Mara.”
(Sahih Muslim Kitab Al Jihad, باب غَزْوَةِ بَدْر Pg : 900, Hadees :1779) (Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad Vol : 03, Pg : 219, Hadees : 13320) (Sunan Abu Dawood Vol : 03, Pg : 58, Hadees : 2071) (Imam Nasai Sunan, Vol : 04, Pg : 108, Hadees : 2074 || Sunan Al Kubra Hadees : 2201) (Imam Ibn Hibban Sahih Vol :11, Pg : 24, Hadees : 4722) (Imam Ibn Abi Shaybah Al Musannaf, Vol : 07, Pg : 362, Hadees :36708)
Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Riwayat Farmaate Hain Ki Sahaba E Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ! Aap Ke Lie Nubuwwat Kab Waajib Huee ? Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Ki Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Takhleeq Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaani Marhale Me Thi (Yaani Rooh Aur Jism Ka Baahami Taa’lluq Bhi Abhi Qaayam Naa Huaa Tha).”
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Baab : Maa Jaa Fi Fazail E Nabi Sal Allahu Alaihwasalam, Pg : 821, Hadees : 3609) (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, pg : 665/66, Hadees : 4210)
Hazrat Maisarah Fazr رضي الله عنه Farmaate Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Se Poochha : (Ya RasoolAllah ﷺ !) Aap Kab Nubuwwat Se Satfaraaz Kie Gae ? Aap ﷺ Ne Farmaya : (Mein Us Waqt Bhi Nabi Tha) Jab Hazrat Aadam Alaihissalam Ki Takhleeq Rooh Aur Mittee Ke Marhale Me Thi.
References : (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, pg : 665/66, Hadees : 4209)Imam Hakim Farmate hai Ye Hadees Sahi Hai Hakim Hadees : 4209 & 4210
Rasul Allah ﷺ ne farmaya : "Logo par aisa Zamana bhi ayega ke jisme koi Neki ka hukm dene wala aur burai se rokna wala na hoga.
Ref: Suyuti - Khasais Kubra 2/264
Rasul Allah ﷺ ne farmaya : "Usman ki Shafat se 70,000 aise log begair hisaab Jannat me dale jayege jinpar Jahannum wajib hochuki hogi.
Ibn Asakir (571 Hijri) - Tarikh Dimashq 39/122 Suyuti - Jami Saghir 10342