Iske Pehle Ke Topic Me Humne Huzoor ﷺ Ke Ilm E Gaib Ko Sabit Kiya Qur'an Aur Hadees Se Iss Topic Me Ilme E Gaib E Mustafa ﷺ Par Jo Ye Wahabi Deobandi Aitraaz Karte Hain Uska Jawab Dene Ki Koshish Karenge Qur'an Hadees Se.
Sabse Pehle Wahabhi Deobandi Ek Hadees Ko Lekar Aate Aur Kehte Hain Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mai Allah ﷻ Ka Banda Hu Me Ye Nahi Janta Ki Diwar Ke Peeche Kya Hai.
Kuch Log Iss Jagah Ye Ishkaal Laate Hai Ke Baaz Riwayato'n Me Aaya Ke Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mai Allah Ka Banda Hoon Mai Nahi Janta Uss Diwar Ke Piche Hai Kya Hai, Iss Kalam Ki Koi Asal Nahi.
(Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Madarij Un Nabuwat, Vol : 01, Pg : 19)
Imam Sakhawi Shafai رحمتہ اللہ علیہ (Al Mutwaffa 902 Hijri) Farmate Hai "Allah Ke Rasool ﷺ Ki Hadees Bayan Ki Jaati Hai Huzur ﷺ Farmate Hai Mai Nahi Janta Diwar Ke Piche Kya Hai, Farmate Hai Shaykh Ibne Hajar Kahte Hain Ye Riwayat Ki Koi Asl Nahi.
(Al Makasad Al Hasana Pg :571, Hadees : 934)
Imam Ahmad Ibne Muhammad Qustallani رحمتہ اللہ علیہ (Al Mutwaffa 923 Hijri) Al Muwahibul Ladunya Vol 01, Pg : 228 Farmate hai iski koi asl nahi.
Nabi E Karim ﷺ Ko Ilme Gaib Na Hone Par Mukhalifeen Wahabhi Deobandi Ki Ek Dalil Hazrat Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Ki Riwayat. Hadees : Jisne Ye Kaha Nabi E Karim ﷺ Gaib Ka Ilm Jante Hai Usne Jhuth Kaha.
(Sahih Bukhari Hadees :7380)
Hum Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Aqeeda Hai Ke Allah Pak Ne Apne Mehboob Ko Dhire Dhire Gaib Ka Ilm Ata Kiya Nabi E Karim ﷺ Ke Pass Jo Bhi Gaib Ka Ilm Hai Wo Khud Ka Nahi Balki Unhe Ye Ilm Allah Rabbul Izzat Ne Ata Kiya Hai. Allah Paak Ke Liye Koi Cheez Poshida Nahi Hai Allah Ka Jo Ilm Hai Wo Laa Mehdood Hai Jiski Koi Hadh Nahi Allah Ko Wo Ilm Kisi Se Mila Nahi Wo Allah Taa'la Ka Jaati Hai Lekin Nabi E Karim ﷺ Ka Ilm Mehdood Hai Atai Hai Yaani Jo Bhi Ilm Hai Wo Allah Pak Ki Ata Se Hai Yahan Tak Ke Allah Pak Ne Apne Pyare Mehboob ﷺ Ko Ilm (Maa Kana Wama Yakun) Ka Ilm Ata Kiya Jo Ho Chuka Aur Qayamat Tak Hatta Ke Jannati Jannat Me Chale Jayenga Jahannami Jahannam Me Jannat Me Jannati Rahenge Kaise Kya Karenge Har Chiz Ka Bayan Nabi E Karim ﷺ Ko Allah Pak Ne Ata Farma Diya Jiska Zikr Aage Hadees Me Aayega. Nabi E Karim ﷺ Ka Ilm Atai Hai Aur Paak Parwardigar Ka Ilm Jaati Hai Aur Ye Jo Hadees Bayan Ki Gayi Hazrat Ayesha Radiallahu Anha Wali Wo Iss Baat Ki Taraf Hai Ke Nabi E Karim ﷺ Ko Ilme Gaib Khud Se Nahi Hai Yaani Sayyada Ayesha Radiallahu Anha Jaati Ilme Gaib Ka Inkar Kar Rahi Hai Atayi Ki To Khud Wo Bhi Kayal Hai Jo Aage Hadees Me Pesh Hoga.
Chunki Aitraaz Sayyada Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Ki Marvi Rivayat Se Hai Lihaja Jaruri Samajhta Hain Ke Hazrat E Ayesha رضي الله عنها Ke Aqaid Ki Bhi Wajahat Yahan Kardi Jaaye Ke Kya Sach Me Unka Aqeeda Yehi Tha Ke Nabi E Karim ﷺ Ko Kal Hone Wali Khabar Ka Ilm Na Tha Yaa Unki Baat Ka Matlab Badhmazhab Ne Galat Bayan Kiya.
Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Farmati Hai, Rasool E Karim Rauf O Rahim ﷺ Ne Apni Shahzadi Sayyida Fatima Tuz Zahra Radi Allahu Anha Ko Bulaya Aur Kaan Me Koi Baat Farmayi Woh Baat Sun Kar Khatoon E Jannat Rone Lagi, Aaka ﷺ Ne Phir Sargoshi Ki (Yaani Kaan Me Koi Baat Farmayi) To Khatoon E Jannat Hasne Lagi, Hazrat Sayyida Ayesha Siddiqa, رضي الله عنها Farmati Hai Mai Ne Khatoon E Jannat Se Kaha Aapke Babajan Rahmat E Aalam ﷺ Ne Aap K Kaan Me Kya Farmaya Jo Aap Royi Aur Do Baar Sargoshi Me Kya Farmaya Jo Aap Hansi ? Nabi E Konan ﷺ Ne Pahli Baar Sargoshi Me Apne Wafat Ki Khabar Di To Mai Royi Aur Dusri Baar Sargoshi Me Ye Farmaya K Meri Ahle Bait Me Sabse Pahle Mai Aap ﷺ Se Milungi.
(Sahih Bukhari,kitabul manqib.Page no: 892, Hadees : 3625, 3626)
Hazrat Ayesha Se Riwayat Hain Nabi Karim ﷺ Ki Baaz Biwiyon Ne Aap ﷺ Se Pucha Sabse Pehle Hum Mese Aap ﷺ Se Kon Jakar Milegi To Aap ﷺ Ne Farmaya Jiska Haath Sabse Zada Lamba Hoga. Ab Humne Lakdi Se Napna Shuru Kardiya To Sawdah Radiallahu Anha Sabse Lambe Haath Wali Niklen. Humne Baad Me Samjha Ke Lambe Haath Hone Wali Se Aap ﷺ Ki Murad Sadqa Zada Karne Wali Thi.aur Zainab Radiallahu Anha Hum Sabse Pehle Nabi Karim ﷺ Se Jakar Milen,sadqa Karna Aap ﷺ Ko Sabse Zyada Mehboob Tha.
(Sahih Bukhari, Kitab Uz Zakat, Pg : 340, Hadees 1420) (Sahih Muslim, Kitabul Manakib,Hadees : 2452)
Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ki Azwaaz Mubaraka Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Bayan Karti Hain Ki Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Gaaba (Naami Waadi) Me Unhein Khajooor Ke Chand Darakht Hiba Kiye Jin Me Se Bees Wasaq Khajoorein Aati Thi. Jab Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Ki Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Farmaya Aye Meri Pyari Beti! Aisa Doosara Koi Nahin Jis Ka Apne Baad Ghani Hona Mujhe Tum Se Zyada Pasand Ho Aur Apne Baad Mujhe Kisi Muflisi Zyada Gara’n Nahin. Mein Ne Tumhein Kuchh Darakht Diye They Jin Se Bees Wasak Khajoorein Aati Thi Agar Tumne Un Par Qabja Kiya Hota To Woh Tumhare Ho Jaate. Ab Woh Miraas Ka Maal Hai Aur Tumhare Do² Bhai Aur Do Behnein Hain. So Saare Maal Ko Allah Ki Kitaab (Ke Hukm) Ke Mutabik Taqseem Kar Lena. Hazrat Ayesha رضي الله عنها Farmati Hain : Mein Ne Arz Kiya : Abba Jaan! Maal Khwaah Kitna Hee Zyada Hota Mein Chhod Deti Lekin Meri Bahen To Sirf Hazrat Asma Hain Doosari Kaun Hai? Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه Ne Farmaya Woh Binte Khaarija Ke Pet Me Hai Aur Mere Khayaal Me Woh Ladki Hai Phir Unhone Umme Kulsoom (Naami) Beti Ko Janm Diya.
(Muwatta Imam Malik, Pg : 571 - 572, Kitabul Quz’aat, Hadees : 1512) (Imam Bayhaqi Al Sunan ul Kubra Vol : 06, Pg : 169, Hadees : 11728 12268) (Imam Abu Jafar Tabari Riyazun Nazurah Vol : 02, Pg : 123) (Imam Ibne Saad At Tabqaat Ul Kubra Vol : 03, Pg : 194) (Imam Suyuti Tarikhul Khulfa Pg : 63 (Huzzatulahil Aalameen Pg : 611)
Ab Inn Hadees Ka Kya Kahenge Ek Taraf Kal Ki Khabar Ka Inkar Dusri Taraf Kaun Pahle Wisal Karega Ispe Ummul Momineen Ka Sawal Syeda Fatima Zahra رضي الله عنها Ke Jannati Hone Pe Sabse Pahle Milne Pe Aqeedah, Hadh To Ye Hai Ke Siddique E Akbar رضي الله عنه Ko Nabi E Karim ﷺ Ke Waaste Se Wo Ilm Hasil Huwa Kay Unki Ahliya Radiallahu Anha Ke Shikam Me Ladka Hai Ya Ladki Uska Ilm Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Ne Ye Kehna Tha Na Kay Abbu Jaan Mera To Ye Aqeeda Hai Ke Nabi E Karim ﷺ Ko Kal Ki Khabar Nahi Hai Aur Aap Radiallahu Anhu Maa Ke Pet Me Kya Hai Wo Khabar De Rahe Ho Jo Kai Mahine Baad Hona Hai, Magar Unhone Aisa Kuch Na Kaha Na Deegar Ummul Momineen Se Na Nabi E Karim ﷺ Ki Maujudgi Me Aur Naa Hi Syeda Fatima Zahra رضي الله عنها Se Kyuki Wo Jo Bayan Kar Rahi Hai Wo Ilme Gaib Jaati Ki Nafi Me Tha Aur Jo Iqraar Kar Rahi Hai Wo Atayi Hai Lihaja Natiza Aqeeda Wohi Banega Jo Hum Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Hai Allah Ka Ilm Jaati Hai Aur Nabi E Pak ﷺ Ka Atai. Din Raat Bukhari Muslim Karne Wale Jahil Kya Ye Hadees Nahi Padhte ? Ya Bayan Karne Se Darte Hain ?