17-Nov-2023

Aaj Hamare Bich kuch aise Jahil aa chuke hain Naam Nihaad Ahle Hadees jinhe theek se Hadees padhne Ata nahi lekin Ilzam Imam E Azam Abu Hanifa رضي الله عنه par lagate hain (Maazallah) unhe 5 se zyada hadees e yaad nahi thi aur inke Sath kuch Engineer Mirza Plumber Mangol ke chele chapate karte aur imam e Azam Abu Hanifa رضي الله عنه ki Tauheen karte hain.

Iss Topic me ham Imam e Azam Abu Hanifa رضي الله عنه ki Fazilat ke bare me dekhenge.

Hazrat Imam Abu al-Mu’ayyad ibn “Al-Khwarizmi” Al Mutawaffah “665” Hijri Hadees Cote Karte Hai.

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Meri Ummat Me Ek Shakhs Hoga Uska Naam Noman Aur Kuniyat Abu Hanifa Hogi Wo Meri Ummat Ka Chiragh Hoga Aisa Huzoor ﷺ Teen Martaba Farmaya.

(Jame Masanid al-Imam e Azam /Vol 1/Page-29).

Hazrat Imam Khateeb Al Baghdadi Al Mutawaffah “463” Hijri Likhte Hain_

Hazrat Imam Shafai Al Mutawaffah 204 Hijri Farmate Hai”Jo Shakhs Fiqah Me Maharat Haasil Karna Chahta Hai Wo “Hazrat Imam Abu Hanifa Ka Mohtaaj Hai” Aur Aage Farmaya “Hazrat Imam Abu Hanifa Unn logo'n Me se The Jinko Fiqah Ki Taufeeq Allah Ta’ala Ke Taraf Se Di Gayi Thi.

(Tareekh Baghdad/Vol “15” /Page 474-&-475)Classification Sanad “Hasan”).

Hazrat Imam Abu Abdullah Al Samri Al Mutawaffah “463” Hijri Likhte Hain_

Hazrat Imam Shafai Farmate Hai: Jo Shakhs Imam Abu Hanifa Ke Kitaabein (Books) Nahi Dekhega to Fiqah Me Maharat Haasil Nahi Kar Sakega.

(Akhbar Abi Hanifa Wa Ashaab-Page-87).

Imam Waki رحمت اللہ علیہ Bin Jarrah Ka Imam Abu Hanifa رحمت اللہ علیہ Ka Difa Karna Imam Waki رحمت اللہ علیہ Bin Jarrah Ki Majlis Me Ek Shakhs Ne Kaha (Imam ) Abu Hanifa رحمت اللہ علیہ Ne Khata Ki. Imam Waki رحمت اللہ علیہ Ne Kaha Ye Kaise Tasleem Kiya Jaye Ke Imam Abu Hanifa رحمت اللہ علیہ Ne Khata Ki Hai, Jabki Imam Abu Yusuf رحمت اللہ علیہ Aur Imam Zufar رحمت اللہ علیہ Jaise Qayas Dan Aur Faqeeh Aur Yahya Bin Abi Zaida رحمت اللہ علیہ Aur Hafs Bin Ghayas رحمت اللہ علیہ Jaise Hafiz E Hadees, Qasim Bin M’an رحمت اللہ علیہ Jaise Lughat Aur Arabiat Ke Mahir, Aur Daood Tai رحمت اللہ علیہ Aur Fuzel Bin Ayaz رحمت اللہ علیہ Jaise Zahid Aur Muttaqi Inke Ham Majlis Hon To Imam Abu Hanifa رحمت اللہ علیہ Ki Khata Kaise Tasleem Ki Ja Sakti Hai Kyunki Inki Maujudgi Me ( Imam Abu Hanifa رحمت اللہ علیہ) Khata Karte Wo (Muhaddiseen) Unko Sahih Raste Ki Taraf Lauta Dete.

(Tarikh E Baghdad Sanad Sahih 365/16).

Imam Abu Hanifa Ki Baat Sahaba رضی ﷲتعالی عنہ Ki Baat Ki Tarah Imam Ibn e Mubarak رحمۃ ﷲ Farmate Hai Ke Imam Abu Hanifa Ka Asar (Qaul / Baat ) Hamare Yahan (Sahaba رضی ﷲتعالی عنہ Ke ) Asar Ki Tarah Hai …

( Fazail Abi Hanifa 84 Sanad Sahih ).

Wazahat :- Yani Jab Kisi Hadees E Rasool ﷺ Ki Ghair Maujudgi Me Sahabi رضی ﷲ تعالی عنہ Ki Baat Hujjat Hoti Hai Isi Tarah Imam Ibn Mubarak Ke Nazdeek Hadees Aur Sahaba رضی ﷲتعالی عنہ Ki Baat Maujud Na Hone Ki Surat Me Sirf Imam Abu Hanifa Ka Qaul Bhi Hujjat Hai…

Imam Abu Hanifa رحمۃ ﷲ Imam Sufiyan Sauri رحمۃ ﷲ se Zyada Bare Faqih The.

Imam Abu Aasim Nabil رحمۃ ﷲ Kehte Hain: Imam Abu Hanifa رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Imam Sufiyan (Sauri) رحمۃ ﷲ se Zyada Faqih The… Imam Yazeed Bin Haroon رحمۃ ﷲ Se Pucha Gaya Kisko Sabse Zyada Bara Faqih Dekha Farmaya Imam Abu Hanifa رحمۃ ﷲ …

( Fazail Abi Hanifa /Page 83 ).

Hanafi Haq Par Hai (Gair Muqallid Ahle Hadees) ke kitaab se.

Maulvi Sadiq Sialkoti Gair Muqallid Likhte Hai *Pesh Kitab o Sunnat Ki Roshni Me Hazrat Imam Abu Hanifa رضي الله عنه Ke Mazhab (Maslak) Par Chalne Wale Haq Par Hain.

Kitaab Al-mizaan.

کیا حضرت عمر رضی اللہ عنہ نے سیدہ پاک حضرت فاطمہ رضی اللہ عنھا کا گھر جلایا؟ جھوٹے واقعہ کی تحقیقات

حضرت امیر معاویہ رضی اللہ عنہ پر اعتراز کا جواب۔

اہل سنت والجماعت۔

انجینئر مرزا کی گستاخی۔

صلٰوۃ و سلام پڑھنے کا ثبوت

شان اہل بیت ۔

آپ (ﷺ) کی خاطر بنے دو جہاں

ایصال ثواب فاتحہ کا ثبوت

تعویذ پہنے کا سبوت

شان اولیاء قرآن اور حدیث سے۔