17-Nov-2023

Surah Tauba Ayat No.84

وَ لَا تُصَلِّ عَلٰۤی اَحَدٍ مِّنۡہُمۡ مَّاتَ اَبَدًا وَّ لَا تَقُمۡ عَلٰی قَبۡرِہٖ ؕ اِنَّہُمۡ کَفَرُوۡا بِاللّٰہِ وَ رَسُوۡلِہٖ وَ مَا تُوۡا وَ ہُمۡ فٰسِقُوۡنَ ﴿۸۴﴾

Kanzul Iman Translation

Aur Unme’n Se Kisi Ki Mayyat Par Kabhi Namaaz Na Padhna Aur Na Uski Qabar Par Khade Hona Beshak Woh Allah Wa Rasool Se Munkir Huwe Aur Fisq Hi Me’n Mar Gaye.

“Explain“Ye Ayat Us Waqt Par Nazil Hui Jab Munafiq Abdullah Bin Ubai Mara Ki Kisi Bhi Munafiq Ki Namaz Janaza Na Padhe Aur Kisi Munafiq Ki Qabr Par Jaye Khade Ho

Surah Ibraheem Ayat No 35

وَ اِذۡ قَالَ اِبۡرٰہِیۡمُ رَبِّ اجۡعَلۡ ہٰذَا الۡبَلَدَ اٰمِنًا وَّ اجۡنُبۡنِیۡ وَ بَنِیَّ اَنۡ نَّعۡبُدَ الۡاَصۡنَامَ ﴿ؕ۳۵﴾

Kanzul Iman Translation: Aur Yaad Karo Jab Ibraheem Ne Arz Ki Aye Mere Rab Uss Shaher Ko Amaan Waala Kar De Aur Mujhe Aur Mere Beto'n Ko Buto'n Ke Poojne Se Bacha.

imam Tabari رحمتہ اللہ علیہ apni tafseer me likhtey hain: Mujahid se bayan kiya: "Aur yaad karo jab Ibrahim ne kaha, 'Mere Rabb, is sheher ko aman wala bana de aur mujhe aur meri Aulaad ko boot parasti se door rakh.' Unho ne kaha: Allah ne Ibrahim ki du'a ko unke Aulaad ke liye qubool kiya, unho ne kaha: To Ibrahim ki Aulaad mein se kisi ne bhi boot ki ibadat nahi ki unki du'a ke baad." { Jami' al-Bayan fi Ta'wil al-Qur'an } {surah Ibrahim, ayat-35)

Surah Zukhruf Ayat no 26 27 28

وَ اِذۡ قَالَ اِبۡرٰہِیۡمُ لِاَبِیۡہِ وَ قَوۡمِہٖۤ اِنَّنِیۡ بَرَآءٌ مِّمَّا تَعۡبُدُوۡنَ ﴿ۙ۲۶﴾اِلَّا الَّذِیۡ فَطَرَنِیۡ فَاِنَّہٗ سَیَہۡدِیۡنِ ﴿۲۷﴾وَ جَعَلَہَا کَلِمَۃًۢ بَاقِیَۃً فِیۡ عَقِبِہٖ لَعَلَّہُمۡ یَرۡجِعُوۡنَ ﴿۲۸﴾

Kanzul Iman Translation : Aur Jab Ibraaheem Ne Apne Baap Aur Apni Qaum Se Farmaaya Mai'n Bezaar Hoo'n Tumhaare Ma'boodo'n Se. Siwa Uske Jisne Mujhe Paida Kiya Ke Zaroor Woh Bahot Jald Mujhe Raah Dega.Aur Use Apni Nasal Me'n Baaqi Kalaam Rakha Ke Kahee'n Woh Baaz Aaye'n.

Hazrat Ibrahim ne apne walid aur qom se but-parasti ki wajah se beraat ka izhar kiya aur kaha: 'Be shak, main un cheezon se bari hoon jin ki tum ibadat karte ho, siwaye us ke jisne mujhe paida kiya, kyun ke wahi mujhe hidayat dega.' Aur Allah ne is kalimah ko unki nasl mein baqi rakha. Yani, yeh kalimah, jo ke sirf Allah Ta'ala ki ibadat hai aur uska koi shareek nahi, aur tamam buton ka inkaar hai jo uske siwa hain, jo yeh hai 'La ilaha illallah,' Allah ne isko unki nasl mein daimi bana diya, taake unki nasl mein se jinhein Allah ne hidayat di, Ibrahim ka ismein itteba karen, taake woh is taraf laut aayen. Ikrimah, Mujahid, Ad-Dahhak, Qatadah, As-Suddi, aur doosre buzurgon ne kaha: 'Aur unki nasl mein is kalimah ko daimi bana diya,' iska matlab yeh hai: 'La ilaha illallah,' aur unki nasl mein se woh hamesha rahenge jo is kalimah ko kahenge. Ibn Abbas se bhi kuch aisi hi riwayat ki gayi hai." {Tafseer Al Quran Al Azeem Tafseer Ibne Kaseer} {surah Zukhruf ayat-26,27,28}

Surah Baqrah Ayat 128

رَبَّنَا وَ اجۡعَلۡنَا مُسۡلِمَیۡنِ لَکَ وَ مِنۡ ذُرِّیَّتِنَاۤ اُمَّۃً مُّسۡلِمَۃً لَّکَ ۪ وَ اَرِنَا مَنَاسِکَنَا وَ تُبۡ عَلَیۡنَا ۚ اِنَّکَ اَنۡتَ التَّوَّابُ الرَّحِیۡمُ ﴿۱۲۸﴾

Kanzul Iman Translation: Aye Rab Humaare Aur Kar Hume'n Tere Huzoor Gardan Rakhne Waale Aur Humaari Aulaad Me'n Se Ek Ummat Teri Farmaa'nbardaar Aur Hume'n Humaari Ibaadat Ke Qaayede Bata Aur Hum Par Apni Rehmat Ke Saath Ruju Farma Beshak Tu Hi Hai Bahot Tauba Qabool Karne Waala Maherbaan.

Ibrahim ne kaha: "Hamare Rabb, hamen apna musalman (farma-bardaar) bana." Allah ne farmaya: "Main ne aisa kar diya, aur hamari aulad mein se ek musalman ummat bana." Allah ne farmaya: "Main ne yeh kar diya." {Tafseer Al Quran Al Azeem Tafseer Ibne Kaseer} {Surah Baqarah ayat-128}

fhir surah Baqarah ki is ayat (128) ke baad wali ayat (129) me Hazrat e Ibrahim ki agli dua thi ke "Ay me Allah wo meri Aulaad jo musalman jamaat rahe gi n, tu apna akhri nabi unme se paida farma " ab dekheyn ye dua bhi allah ne qubool ki or hamare aqaa ko unki aulaad me paida farma diya , or isi tafseer ke baad ibn kathir ne fhir hadith likhi ke nabi e karim ne khud farmaya ke "mai Ibrahim ki Dua hun" {Tafseer Al Quran Al Azeem Tafseer Ibne Kaseer} {Surah Baqarah ayat-129} pata chala ke nabi e karim jis nasal se hain wo jamaat musalman thi , ye baat Qur'an ki nas se sabit hai.

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Riwayat Karte Hai “Rasool Allah ﷺ Apni Walida (Mother) Ki Qabr e Mubarak Par Gaye Ziyarat Karne Ke Liye Aur Unki Qabr Par Jaye Gaye To Rone Lage Huzoor ﷺ Ko Dekh Kar Sahaba Bhi Rone Lage” Phir Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mene Apne Rab Se Apni Walida Ki Qabr Par Jane Ki Allah Se Ijazat Mangi To Allah Ne Dedi- “Lekin Astagfar Ki Nahi Di” Kyun Astagfar Ki Nahi Di❓ Al Jawab Astagfar Ki Dua Ke Liye Isliye Roka Ki Aaye Mehboob ﷺ Aap Magfirat Ki Dua Karege Toh Baad Walo Badgumani Hogi Ki Gunahgaar Thi “معاذﷲ” Isliye Magfirat Karrahe Thay. Toh Badgumani Na Ho Aur Apki Walida Bakshi Hui Hai Toh Dua Ki Kya Zarurat Hai Sawal To Qabr Ki Ziyarat Ki Ijazat Kyun Di❓ Al Jawab Hujjatul Wada K Mauke Per Yeh Ayat Nazil Hui K “Aaj Humne Tumhara Deen Tumhare Liye Mukammal Kardiya” Phir Hajj Se Farig Hue Aur Madina Aate Waqt Wo Maqam Aaya Toh ALLAH Se Dua Ki Maula Mujhe Ijazat De K Me Apni Walida Ki Qabr Ki Ziyarat Karu , ALLAH Taala Ne Farmaya Jo Aap Chahte Ho Kijiye , Phir Nabi Alayhissalam Qabr Per Aye , Walidein Ko Awaz Di , Dono Apni Qabro Se Zinda Hue , Aur Aap Alayhissalam Ne Salam Kiya Aur Kaha Ammi Jaan Me Apka Beta Mohammad , Me Nabi Banakar Maboos Kiya Gaya Hu, Aap Pichli Ummat Me Uthai Jaati , Me Chahta Hu K Is Ummat Me Uthai Jaye ,Aap Qalma Padh Lijiye Take Is Ummat Me Uthne Ka Apko Sharf Hasil Hojaye,Dono Ko Qalma Padhaya , Fir Dono Apni Qabr Me Aram Farmane Chale Gaye. Quran Keh Raha Hai Ki Kisi Munafiq Kafir Ki Qabr Par Na Khade Ho “Aur Huzoor ﷺ Apni Walida Ki Qabr Pak Par Ja Rahe Hai Ziyarat Ke Liye Jiski Ijazat Khud Allah De Raha Hai” Ab Bhi Na Samjho Ge To Kab Samjho Ge? Reference Book (Sahih Muslim/Vol-2/ Hadith-2258-&-2259)

Surah Hood Ayat 46

قَالَ یٰنُوۡحُ اِنَّہٗ لَیۡسَ مِنۡ اَہۡلِکَ ۚ اِنَّہٗ عَمَلٌ غَیۡرُ صَالِحٍ ٭ ۫ ۖ فَلَا تَسۡئَلۡنِ مَا لَـیۡسَ لَکَ بِہٖ عِلۡمٌ ؕ اِنِّیۡۤ اَعِظُکَ اَنۡ تَکُوۡنَ مِنَ الۡجٰہِلِیۡنَ ﴿۴۶﴾

Kanzul Iman Translation : Farmaaya Aye Nooh Woh Tere Ghar Waalo'n Me'n Nahee'n Beshak Uske Kaam Bade Nalaayeq Hai'n Tu Mujhse Woh Baat Na Maa'ng Jiska Tujhe Ilm Nahee'n Mai'n Tujhe Naseehat Farmaata Hoo'n Ke Naadaan Na Ban.

Explain“ Hazrat Nooh Alayhisslam Ka Beta Kafir Tha Wo Unpar Iman Nahi Laya Tha Aur Jab Tufaan e Nooh Aur Wo Gark Hua To Allah Ne Hazrat Nooh Alayhisslam Se Kaha Ki Wo Apka Beta Nahi Nasab Khatam Ho Chuka Hai Kyunke Wo Kafir Hai_ Ab Aaiye Hadees Dekhe Huzoor ﷺ Ne Apne Nasab Ke Bare Me Kya Farmaya Hazrat Ashas Ibn Qais رضي الله عنه Se Riwayat Hai Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Hum Nasar Bin Kinana Ke Bête Hai , Hum Apne Baap Se Apna Nasab Juda Yani Cut Nahi Karte.

Point Be Noted” Quran Keh Raha Hai Ki Jo Kafir Ho Jaye Ya Jo Kafir Ho Usse Nasab Rishte Sab Khatam Ho Jate Hai “Aor Huzoor ﷺ Apne Nasab Ko Byan Kar Rahe Hai Aur Apne Nasab Par Fakhr Kar Rahe Hai Aur Ye Bhi Keh Rahe Hai Ki Me Hazrat Abdul Muttalib Radi’Allahu’Anhu Ka Beta Hon” Toh Pata Chala Ki Hazrat Abdullah Radi’Allahu’Anhu Se Lekar Hazrat Adam Alayhisslam Tak Jinte Bhi Huzoor ﷺ Ki Nasab Me Hue Sab Momin Musalman Hue_

Reference Books : (Sahih Al Bukhari / Vol 5 / Hadith 4316 /For Others/ Bukhari Hadith No Is / 2874-4315-2930-2864) (Sunan ibn e Majah /Vol 3/ Hadith -2612) JameTirmizi/ Vol -‘3/ Hadees 1688)

HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA ﷺ NE FARMAYA: ALLAH TA’ALA NE MERE WALIDAIN KO KABHI BHI GUMRAHIYAT PAR NAHI JAMA KIYA AUR NAA KAREGA REFERENCE BOOK (SUBUL AL-HUDAA WAL-RASHAD VOL 1 PAGE 285)

عظمتِ امام احمد رضا رحمۃ اللّٰہ علیہ ۔

حضور ﷺ نور ہیں ۔

حضرت امیر معاویہ رضی اللہ عنہ پر اعتراز کا جواب۔

شان اولیاء قرآن اور حدیث سے۔

یہ امت شرک نہیں کر سکتی

امبیا یا اولیاء اپنی قبروں میں زندہ ہے۔

عید غدیر کی حقیقت۔

ایصال ثواب فاتحہ کا ثبوت

وسیلہ لینا جائز ہے، دلائل قرآن یا حدیث سے۔

تعویذ پہنے کا سبوت