07-Sep-2024

Jamate Islami Pakistan Me Paida Hone Wala Firqa Hai Jo 19svi Sadi Me Abul Aala Modudi Ne 26 Agust "ء1941" Me Banayi, Abul Aala Modudi Ne Anbiya علیہ السلام " Salf Saleheen Aor Akabireene Ummat Par Tanqeed Aor Unki Tanqees Hi Nahi Balke Unpar Se Ummat Ke Aetimad Ko Hatane Ka Kaam Kiya Hai, Modudi Sahab Na Koi Mufti Ba Sanad Aalim The, Na Kisi Madarse Se Farig The, Na Kisi Mustanad Aalim Se Taleem Hasil Ki, Balke Khud Hi Mutalaa Kar Ke Jo Dimag Me Aaya Woh Tarikh Me Likh Dala, Yaad Rahe Ke Anbiya Ikram علیہ السلام Sahaba Ikram رضی ﷲتعالی عنہم Ke Miyaar Ko Tarikh Ki Kitabo Se Nahi Tola Jata Hai, Balke Quran W Hadees Ki Roshni Me Tola Jata Hai, Isliye Fitna Modudiyat Jo Zahir Me Apne Aapko Jamat Islami Kahelata Hai Ek Aesa Fitna Hai Ke Uske Aqaid Ummat Muslima Ke Akabireen Ke Khilaf Hai, Jamate Islami Ke Bani Abul Aala Modudi Ki Kitabo Aor Risalo Me Aesi Khatarnak Bate Mojud Hai Ke Jinse Na Waqif Aadmi Sirf Gumrah Hi Nahi Balke Kufr Me Bhi Pad Sakta Hai, Chaliye Dekhte Modudi Ke Kuch Kitabe W Risale...

Abul Aa'la Maudoodi (Founder of Jamat e islami) Ke Bure Aqeede Aur Nazriyat : HAZRAT NOOH عليه السلام Ke ANDAR JAZBA JAAHILIYAT THA" "Lekin Jab Allah ﷻ Ne unhe Mutanabbah Farmaya ke Jis bete ne Haq chor kar Baatil ka Sath diya usko Mahez is liye apna samjhna ke wo Tumhari Sulb se paida hua hai, Mahez ek Jahiliyat ka Jazba hai".

(Tafheemul Qur'an Vol-2 Page 344)

Abul Aa'la Maudoodi (Founder of Jamat e islami)KI NABI ﷺ KI SHAN ME GUSTAKHI Nabiye Kareem ﷺ KO "ANPADH CHARWAAHA" kaha.(Maazallah) Ab aap dekhen aur khurd bin lagaakar intehai nuqta cheeni ki nigah se dekhen ke yeh qanoon jo Registaan e Arab ke ek Anpadh charwaahe ne duniya ke samnay paish kya hai jis ke muratab karne mein us ne kisi majlis qanoon saaz aur kisi select committee se mashwara tak nahi liya. is mein bhi kahin koi mantiqi be rabti aur kisi tanaquz ki jhalak payi jati hai ?"

(Book: Parda P#152)

Dr Israr Ahemad Ne Byaan Ul Quran Surah Yusuf Ki Aayat 12 Ka Tarjuma Yu Likha Ki Yusuf علیہ السلام Ke Bhaiyo Ne Yaqub علیہ السلام Se Kaha" Kal Zara Ise Humare Sath Bheje Take Woh Kuch "Charchugle" معاذﷲ.

Bayan Ul Qur'an Page no 109.

Abu Aala Maududi likhta hai ke : "jis zamane mein Hazrat Mu'awiya رضي الله عنه se in ka(yani Maula Aliرضي الله عنه ka) muqabla darpaish tha, logon ne in ko (yani Maula Aliرضي الله عنه ko) mashwara diya ke jis tarah Hazrat Mu'awiya رضي الله عنه logon ko be-tahasha in'amaat aur 'atiyat de de kar apna saathi bana rahe hain, aap bhi bait-ul- maal ka munh kholeyn aur rupiya baha kar apne haami paida karain. Magar unhon ne yeh keh kar aisa karne se inkaar kar diya ke kya tum chahtay ho ke main naa-rawa tareeqon se kamiyabi hasil karoon? un se khud un ke baray bhai Hazrat Aqeel رضي الله عنه ne chaha ke woh bait-ul-maal se in ko rupiya dain, magar unhon ne yeh keh kar inkaar kar diya ke kya tum chahtay ho ke tumhara bhai Musalmanon ka maal tumhein de kar jahannum mein jaye?" 📚: Khilaaf o Malookiat, Abu Aala Maududi, safa-90 , Idara Tarjaman ul Qur'an, Private limited

📚: Khilaaf o Malookiat, Abu Aala Maududi, safa-90 , Idara Tarjaman ul Qur'an, Private limited

Ab dekhe indirectly ye kehna chah raha hai ke Ma'azallah Hazrat Ameer Mauwia رضي الله عنه logo ka maal apne faydey ke liye kharch karte the or wo is buniyad par jahannamio me se hain

Aysa hi Ma'amla mazhab ka bhi hai , tumko khuda ka ilm hasil karne ki jarurat hai , tum ye janna chahte ho ke khuda ke marzi ki mutabik zindagi basar karne ka tariqa kya hai . Tumhare pass khud in chizon ke ma'alum karne ka koi jariya nahi hai , ab tumhara Farz hai ke khuda ke sachche paigambar ki talash karo , is talash me tumko Nihayat hoshiyari or samajh-bujh se kaam lena chahiye. Kiyu ke agar kisi galat aadmi ko paigambar samjh liya to wo tumhe galat raaste par laga dega. Magar jab tumhe khub jaanch-padtaal karne ke ba'ad yaqin ho jaay ke Fulaa shakhs khuda ka saccha paigambar hai to uspar tumko pura A'ytmaad karna chahiye or uske har hukm ita'at karni chahiye. 📚: Risaala Deeniyat,Abu Aala Maududi, Markaji maktaba islami Dehli , (safa- 47-48)

📚: Risaala Deeniyat,Abu Aala Maududi, Markaji maktaba islami Dehli , (safa- 47-48)

" is ibaraat me Maududi ne ye batane ki koshish ki hai ke , agar tum Allah ke baary me ilm haasil karna chahate ho to tum khud se nahi kar sakte, balki tumko kisi Paigambar ko talash kar ke , us se sikh na hoga , Ab batayn ke kiya hamare Aqaa o maula ﷺ ne jo deen diya wo kaafi nahi ?? Fhir hamey kiya jarurat par gai kisi Paigambar ko talash karne ki , Dusri baat Maududi ne kaha ke , paigambar ko talash karne ke liye hoshiyari se kaam lena chahiye taaki tum sachche paigambar ko paa lo , or agar galat paigambar ke piche chal parey to wo tumhe galat raaste par laga dega , Yahan Maududi ki in baaton se saaf pata lagta hai ke ye khatam Nabuwat par daka daal raha hai , Balki logo ko ye sikha raha ke jaao paigambar ko talash karo , balki kehta hai ke "tum par farz hai ke tum paigambar ko talash karo" (Ma'azallah) , Iske nazdik hamare nabi ﷺ ka laya hua deen kaafi nahi , or ye batane ki koshish kar raha ke Nabi ﷺ ke baad bhi koi paigambar hai , bas tumhe talash karna hai (Ma'azallah)

دیدار خدا بہ چشمہ مصطفی ﷺ

میلاد النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم منانے کا ثبوت ۔

تبلیغی جماعت کی حقیت۔

یہ امت شرک نہیں کر سکتی

علم غیب مصطفی ﷺ

مزار بنانے کا ثبوت

شیعہ/رافضی کی حقیقت۔

وسیلہ لینا جائز ہے، دلائل قرآن یا حدیث سے۔

ختم نبوت ﷺ

نبی کریم ﷺ کا اختیار