27-Apr-2024

Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Khatiman Nabiyeen Hain.

Aqeeda E Islami Me Ye Bhi Ek Sabse Ahem Aqeeda Hai k Huzoor Rehmat E Aalam ﷺ Ko Khatmanabiyeen Maan Na Aur ye Aqeeda rakhna k Ab Huzoor Rehmat E Aalam ﷺ K Baad Koi Nabi Nahi.

Imamul Ambiya Mustafa Jane Rehmat صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم Akhirul Ambiya Hain, Tajdare Khatme Nabuwwat Hain, Aapke Bad Phir Koi Nabi Paida Nahi Hoga, Aur Jo Dawa e Nabuwwat Kare Wo Jhuta Hai.

Bahot se log aise aaye jinhone Khud Ko Nabi Hone ka jhuta dawa kiya balki kuch Hypnotise brain wash log the jinki baato me log ulajh jaate hai. Huzoor Rehmat E Aalam ﷺ Ki Hayat E Zahiri Aur Daur E Sahaba Me bhi Kuch Logo Ne ye Dawa Kiya jinme 1) Musailma Kazzab : Isko Jung E Yamama Me Hazrat Khalid Bin Waleed رضي الله عنه ki Kayadat Me Maara gaya Aur Jahannam Me Pahucha. 2) Tulaya Al Azdi : Inke Saath bhi Yehi maamla Tha Inko Jung E Buzakah me Khalid Ibn Walid رضي الله عنه k Haath Shikast Huwi Aakhir Me Tauba Karli Aur Musalman Hogaye Aakhir Me Inhone Jung E Qadisiya Me Hissa Liya Aur Waha Shaheed Huwe. 3) Aswad Al Ansi : Ye Bhi Ek Kaala Baddha Dikhne wala Shaks tha jisko Siddiq E Akbar K Daur E Khilafat Me Maara gaya. 4) Sajjah bint E Harith : Ye Ek Aurat Thi Jo Shayara Thi Isne Bhi Us Daur Me hi Nabuwat Ka dawa kiya baaj tareekh daan ne likha hai k isne Aswad Al Ansi se shadi karli thi par baad me ye tauba kar Islam kabool karli khair isme kitni sacchai hai ALLAH AUR USKA RASOOL behtar jaane. 5) Mukhtar Saqafi : Ye Wo Hai jisne wakya E Karbala k baad Ek Ek Yazeedio ko Chun Chun k maara jo jo Sahadat E Imam Hussain رضي الله عنه K Zimmedar the par tha ye ek political kism ka insaan lihaja sabko maarne k baad isne bhi yehi jurm kiya khud ko NABI declare kar diya aur Murtad Kafir Hogaya Isko 67 Hizri Me Hazrat Abdullah Ibn Zubair رضي الله عنه Ne Katl Kiya. Ye to wo 5 the jo shuruwat k daur me hi Dawa E Nabuwat kar chuke aur baad me bhi kaafi logo ne kiya par is fitne ko asal urooz 150 saal Pehle Qadiyan jo Mirza Gulam Qadiyani Se Utha aur Phir Goharshahi aaya aur ab Egypt Me Bhi ek maloon ne haal hi me dawa kiya hai aur in daur me bhi kaafi aaye.

Quran E Karim Se Khatme Nabuwat ﷺ Ka Saboot.

(Surah Maida Ayat 03)

اليَومَ أَكمَلتُ لَكُم دينَكُم وَأَتمَمتُ عَلَيكُم نِعمَتي وَرَضيتُ لَكُمُ الإِسلامَ دينًا

Kanzul Iman translation: Aaj Maine Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya Aur Tum Par Apni Naemat Puri Kari Aur Tumhare Liye ISLAM ko Pasand Kiya”

(Surah Al Imran Ayat 85)

وَمَن يَبتَغِ غَيرَ الإِسلامِ دينًا فَلَن يُقبَلَ مِنهُ وَهُوَ فِي الآخِرَةِ مِنَ الخاسِرينَ

Kanzul Iman translation : Aur Jo Islam K Siwa Koi Deen Chahega Woh Kabhi Bhi Us Se Kabool Naa Kiya Jayga Aur Woh Aakhirat Me Ghata Uthane Waalo Me Se Hai”

(Surah Ahzaab Ayat 40 )

ما كانَ مُحَمَّدٌ أَبا أَحَدٍ مِن رِجالِكُم وَلٰكِن رَسولَ اللَّهِ وَخاتَمَ النَّبِيّينَ ۗ وَكانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَيءٍ عَليمًا

kanzul Iman translation: Aur Muhammad Tumhare Mardo Me Kisi K Baap Nahi Hai Magar Khatiman Nabiyeen Hain”

Huzoor ﷺ Khatme Nabiyeen hain Hadees e paak se Saboot

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : Meri Misaal Aur Guzishta Anbiya E Kiram Alaihimusalam Ki Misal Aisi Hai, Jaise Kisi Ne Ek Bahut Khoobsoorat Makaan Banaaya Aur Use Khoob Aaraasta Kiya, Lekin Ek Goshe Me Ek Int Ki Jagah Chhod Dee.Log Aa Aa Kar Is Makaan Ko Dekhne Lage Aur Is Par Taa’jjub Ka Ka Iz’haar Karte Hue Kahne Lage : Int Kyon Nahin Rakkhi Gaee ? Nabi صلى الله عليه و آله وسلم ne farmaya Mai Wahi Ent Hoon Aur Mein Khaatimunnabiyyin Hoon (Yaani Mere Baad Baab-E-Nubuwwat Hamesha Ke Lie Band Ho Gaya Hai)

Sahih Muslim Vol : 06 Pg : ,Kitab No 43 Kitabul Manakib, Baab : Zikr E Kawni Khatiminabiyeen , Hadees : 5959 se 5964 Online No 2286

Hazrat Anas Ibn Malik رضي الله عنه Se Rivayat Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Beshak Risalat Aur Nabuwat Khatm Kar Di Gayi Ab Mere baad Koi Rasool Aur Nabi Nahi Hoga”

References : (Jamai Tirmizi, Vol :04, Pg :318, Kitab No 34 Book Of Dream, Hadees : 2272, Arabic : 2441)

Hazrat Saad ibn Abi Waqqas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Rivayat Hai k Rasool Allah صلى الله عليه وآله Ne Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Farmaya : Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Jung E Tabook K Liye Jaane Lage to Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Bulaya Aur Madina Me Apna Khalifa Mukhatib Kiya, Hazrat Ali رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Ne Farmaya Kya Aap Mujhe Aurato Aur Baccho k Saath Chode Jaa Rahe Hai ? Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ne Farmaya Kya Tum Is Baat Se Raazi Nahi Tum Mere Darbaar Me Wo Martaba Haasil Ho Jo Hazrat Haroon,Ko Darbaar E Hazrat Moosa k liye Me Tha Magar Ye K Mere Baad Koi Nabi Nahi”

References :(Sahi Bukhari, Vol : 05, Pg :424, Kitab No 64 Kitabul Magazi, Baab : Ghazwa E Tabook, Hadees : 4416) (Sahi Muslim, Vol :06, Pg :261, Kitab No 44 Fazail E Sahaba, Baab : Min Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6217 ‘Online Version : 2404’) (Jamai Tirmiz Vol : 06, pg : 400 Kitabul Manakib Hadees :3731, Arabic No : 4095, Rivayat Hazrat Jabir Bin Abdullah Se)

Rasul Allah ﷺ ne farmaya: Meri Ummat me 30 Jhute ayenge unme se har ek dawa karega ki wo Nabi hai par Mai Nabion me akhir hu, mere baad koi Nabi nahi

REF: (ABU DAWUD 6454 JAMIA TIRMIZI 2219) ( MUSNAD AHMAD 22395)

Hazrat Abu Moosa Al'ash'ari رضی اللہ عنہ Kehte Hain Huzoor ﷺ Ne Hum Se Apne Kai Naam Bayan Farmaye, Aur Aap ﷺ ne Farmaya Mai Muhammad Hun (Jiski Bahot Tareef Kee Gai) Aur Ahmad Hun (Allah Ki Bahot Tareef Karne Wala) Aur Muqaffi Hun (Aakhir Me Aane Wala) Aur Haashir Hun (Sab Ka Hashr Mere Bad Hoga) Aur Nabi'yut Tauba Hun (Aisa Nabi Jiski Wajah Se Log Bahot Taubah Karenge) Aur Nabi'yur Rahmah Hun (Jiski Wajah Se Insano'n Par Rehmat Ki Jayegi).

Refrence: (Sahi Muslim kitaab e Fazail Hadees no 2355)

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ Kehte Hain Huzoor ﷺ Ne Farmaya, Qayamat Us Waqt Tak Na Ayegi Jab Tak 2 Jamate'n Aapas Me Jang Na Kar Le'n, Dono Me Badi Bhaari Jang Hogi, Halanki Dono'n Ka Dawa Eik Hi Hoga, Aur Qayamat Us Waqt Tak Na Aayegi Jab Tak 30 Jhute Dajjaal Paida Na Ho Jayen, Unme Se Har Eik Ka Khayal Hoga Ki Wo Allah Ka Nabi Hai.

Refrence: (Sahi Bukhari kitabul Manakib Hadees no 3609)

Rasoolullah ﷺ ne Farmaya: Hum Sab Se Aakhir Aane Wale Hain Aur Qayamat Me Sab Se Pehle Honge, Aur Hum Sab Se Pehle Jannat Me Jayege Hanlaki Unhe (Pehle Ambiya Ko) Kitab Hum Se Pehle Dee Gai Aur Hume un Sab Ke Baad.

Refrence: (Sahi Muslim Hadees no 855)

Aala Hazrat رحمۃﷲعلیہ Fatwa Razwiya Sharif Me Tahereer Farmate Hai : Aqidai Khatm-e-Nabuwat: وَ لٰکنْ رَّسُوْلَ اللّٰہ ِوَ خَاتَمَ النَّبِیّٖنَ ؕ۔ Yeh Nas Qata Qurani Hai, Iska Munkir Na Munkir Balke Shubah Karne Wala, Na Shaak Ke Adna Zaeef Ahetemal Khafeef Se To Ham Khilaaf Rakhne Wala, Qatan Ijman Kafir, Mal'aoon Mukhallid Fil Nirani, Yani Humesha Ke Liye Jahannami Hai, Na Aesa Ke Balke Wahi Kafir Ho Balke Jo Uske Aqida-e-Mal'aoona Par Mutla Hokar Use Kafir Na Jane Woh Bhi Kafir Jo Uske Kafir Hone Me Shak W Taraddud Ko Rah De Woh Bhi Kafir Bayeen Ul Kafir Jali Ul Kufraan Hai.

(Fatawa Razwiya / Risala جزاء اللہ عدوہ باباہ ختمِ نبوۃ/Jild-15/Page-631)

Hazrat Ibrahim Bin Muhammad رضی ﷲتعالی عنہ (Jo Hazrat Ali رضی ﷲتعالی عنہ Ke Pote Hai) Farmate Hain : Jab Hazrat Ali رضی ﷲتعالی عنہ Jab Huzoorﷺ Ke Aosaaf Byaan Farmate(Phir Hazrat Ibrahim رضی ﷲتعالی عنہ Ne Puri Hadees Byaan Ki Aor Farmaya) Aap Ke Dono Kandho Ke Darmyan Mohare Nabuwat Thi Aor "Aapﷺ Aakhri Nabi Hai.

(Shrah Shumail Tirmidhi/Huzoor Aqaddasﷺ Ki Mohre Nabuwat Ka Zikr/Page-115-116)

Imam Ahelesunnat, Abu Mansoor Ma Turidi "Wafat :333 Hijri" Taweelat-e-Ahelesunnat" Me Likhte Hai: Jo Koi Aapﷺ Ke Baad Nabi Ke Aane Ka Dawa Kare To Usse Koi Hujjat W Daleel Talab Nahi Ki Jayengi Balke Use Jhutlaya Jayenga Kyunke Rasule Akramﷺ Farma Chuke Hai : لَانَبِیَّ بَعْدِی Yani Mere Baad Koi Nabi Nahi.

(Taweelat-e-Ahelesunnat /Jild-8 /Page-396)

Sahibe Zadul Maseer Abu Al Faraj Abdul Raheman Bin Ali Jozi (Wafat "597" Hijri) Likhte Hai:- خَاتَمُالنَّبِیِّین" Ke Mana آخِرُانّبیین Hai, Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی ﷲتعالی عنہ Ne Farmaya:- Isse Murad Yeh Hai Ke Agar ALLAHﷻ Muhammad Mustafaﷺ Ke Zariye Silsila-e-Nabuwat Khatam Na Farmata To Aapﷺ Ka Beta Hyaat Raheta Jo Unke Baad Nabi Hota. (Zad-Ul-Maseer/Al-Ahzab: Aayat-40/Page-1129)

آپ (ﷺ) کی خاطر بنے دو جہاں

علم غیبِ مصطفیﷺ پر اعتراض کا جواب

میلاد النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم منانے کا ثبوت ۔

ختم نبوت ﷺ

وسیلہ لینا جائز ہے، دلائل قرآن یا حدیث سے۔

اہل سنت والجماعت۔

بدعت کسے کہتے ہیں؟

ناموسِ صحابہ

اصول حدیث

قبر (مزار) پر جانے کا س ثبوت۔