Kuch Jahil log jo nafs parasti ke naam par Dhol tashe Dj bajate hain urs e paak ke mauke Par ulte seedhe kaam karte hain Muharram me Khurafat karte hain ye aise Jahil logo se Ahle Sunnat wal Jamaat yani Maslake Ala Hazrat ka koi talluq nahi hain ye jahil log karte hain Hamare Ulema E Ahle Sunnat ne inn sab chizon ko haram kaha Hain aur iss Gunah se bachne ko kaha Hai.
Gaus e Azam Shaikh Abdul Qadir Jilani رحمتہ اللہ علیہ farmate hain:
“Jaha Dhol, Baaje, sitaar, bansuri, rubab, gaane waliya, wagaira ho waha na baitho! Ye tamam Haram chize hai.
Ref: Al Ghunyat li Talibi page 56.
Hazrat Sabir Paak Kaliyari رحمتہ اللہ علیہ jab Allah ﷻ ki yaad me mashgool the to qareeb se kisi Barat se dhol baje gaane ki Awaz aane lagi, Hazrat Sabir Paak رحمتہ اللہ علیہ ne apne mureed ko Yeh keh kar bheja ki “unhe mana karo ki aisa na kare taki humari khalwat me khalal (disturbance) na ho”, Mureed ne aisa kiya par wo log na mane aur shor karte rahe, Hazrat Sabir Paak رحمتہ اللہ علیہ ko pata chala to Aap ne unse farmaya : “aisa karo ye pyala ulta kardo”, Mureed ne jaise hi pyaale ko ulta kiya to khamoshi chhaa gayi, aur Barat charo taraf pahado se ghir gayi, wo log bhut pareshan hue aur unhe dhundne ke liye bhi kafi log nikle par wo kisi ko na mile, phir log Hazrat Nizamuddin Auliya رحمتہ اللہ علیہ ki bargah me Hazir hue to unhone farmaya “zarur unlogo ne Kaliyar ke pas koi Gustakhi ki hogi”, phir Hazrat Nizamuddin رحمتہ اللہ علیہ ne unn logo ki Mafi ki guzarish ke liye ek khat Huzoor Sabir Pak رحمتہ اللہ علیہ ko likha, wo khat ki khabar mili to Aap ne apne mureed se uss piyale ko wapas sidha karne kaha, phir wo Barat wale riha hogaye.
Ref: Kitab Aftab e Kaliyar pg 161-2.
Ek Mehfil e Sama me daff bajai jaa rahi thi, Khwaja Naseeruddin Chirag Dehlvi ne farmaya “Ye khilaf e Sunnat hai” aur waha se uth kar chale gaye, jab ye baat logo'n ne Hazrat Nizamuddin ko batai to Aap ne farmaya “Shaikh Naseeruddin jo kuch farmate hai wohi Haq hai.
Ref: Shaikh Abdul Haq Dehlvi – Akhbar ul Akhyar pg 184.
Khwaja Nizamuddin Auliya رحمتہ اللہ علیہ ne jab suna ke kuch mureedo'n ne Mehfil e Sama me Bansuriya rakhi hai to Aap Naraz hue aur farmaya “Maine bansuri aur Haram chizo (yani dusre mazamir) se mana kar diya hai aur jo kuch unn logo'n ne kiya theek nahi kiya.
Ref: Hasht Bahisht page 79.
Mazamir (Dhol bajo) ke sath Quran padhna Kufr hai-.
BAHAR E SHARI’AT HISSA 9 PAGE 467 -FATAWA HINDIYAH 2/288.
SAYYIDUNA ABDULLAH IBNE MASOOD رضي الله عنه KE SATHI BACHO SE DAFF LE KAR USE TOD DETE.
MUSANNAF IBNE ABI SHAIBAH > KITAB UL ADAB > chapter on Daff > HADITH 26995.
Hazrat Nizamuddin Awliya رحمتہ اللہ علیہ ke kuch mureedo'n ne kahi dhol bajo mazamir ke sath sama ki, jab apko ye khabar mili to apne farmaya :
“maine unhe mana kar diya ki mazamir (dhol baje) aur digar muharremat (nachna, aurton ki shirkat wagera) sama ke darmiyan bilkul na hone chahiye.
Reference : Fawaid ul Fawad > Hissa 3 > Majlis 5.
Mazar Pe Haazri Ka Tariqa AlaHazrat علیہ رحمہ Ki Nazar Me.
AlaHazrat Farmate Hai“Paainti (Qadmo'n) Ki Taraf Se Jaaye,Kam Az Kam Chaar (4) Haath Ke Fasle Par Mawajeh Par Khada Ho,Ba Adab Salam Arz Kare.(3)Baar Alhamdo Sharif,(1)Martaba Ayat Ul Kursi,(7) Martaba Sura E Ikhlas Tilawat Kare Fatiha Ke Bad Sahib E Mazaar Ke Wasile Se Dua Kare Aur Apna Jaiz Matlab Pesh Kare.Phir Salam Krta Hua Wapis Aye.Mazaar Ko Na Hath Lgaye Na Bosa De.Tawaf Bil Ittefaq Na Jaiz He Aur Sajda Haram Hai.(Fatawa Razawiya 9/Page: 523-524).
Aurto'n Ka Mazar Par Jana Mana Hai,AlaHazrat Imam Ahmed Raza علیہ رحمہ Farmate Hain.
“Jiss Waqt Aurat (Mazar Par Jane Ke Liye) Ghar Se Irada Karti He La’nat Shuru Hoj ati Hai Aur Jab Tak Wapis Aati He Malaika La’nat Krte Rehte Hain.Siwaye Roza E Rasool Salallaho Alaihi Wasallam Ke Kisi Mazaar Par Jane Ki Ijazat Nahi, Ke Wo Zarya E Magfirat Hai”(Malfuzat-e-aala Hazrat/ P-240).
Hargiz Hargiz Kisi Bhi Mazar Ko Ya Kisi Bhi Gair ALLAH Ko Sajdah Na Karei'n Ye Shirk Hai.Momin Ka Sajdah Sirf ALLAH Ta’ala Ke Liye Hai. Ala Hazrat علیہ رحمہ Farmate Hai”Sajda ALLAH Ke Siwa Kisi Ke Liye Nahi, Gairullah Ko Sajda E Ibadat Shirk Aur Tazimi Sajda Haram hai.
(Azzubdatuz Zakiyya… /P-5).
Mazaarat Par Chaadar Chadhana: AlaHazrat Farmate Hain “Mazaar Par Jab Chaadar Maujood Ho, Kharab Na Hui Ho Badalne Ki Haajat Nahi To Chaadar Chadhana Fuzul Hai, Bulke Jo Daam Iss Me Sarf Karei'n, ALLAH Ke Wali Ko isaal E Sawab Karne Ke Liye Kisi Mohtaj Ko De.
(Ahkaam E Shariyat 1/42).
Mazaar Shareef Ko Bosa Dena Aur Tawaf Karna: AlaHazrat رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Farmate Hain: “Mazar Ka Tawaf Baniyat Tazeem Najaiz Hai,Tawaf Sirf Kaabe Ke Liye Makhsus Hai,Bosa Dene Se Bachna Chahiye,Ulema Ka Iss Masle Me Ikhtalaf He,Aastana Bosi Aur Aankho Se Lagana Jaiz Hai”(Fatawa Razawiya /Jild-9/Page-529).
“Farzi Mazaar Banana Aur Uske Sath Asal jaisa Muamla Karna Na Jaiz Aur Bid’at Hai.
(Fatawa Razawiya 9/425).
Hazrat Nizamuddin Aulia ki mehfil e sama me mazamir (baaje) nahi hote the! Aur na Taaliya bajai jati thi! khud farmate the ki “Baaje wagairah sunna Shari’at me Najayaz o Mana hai.
Ref: Shaikh Abdul Haq Dehlvi – Akhbar ul Akhyar pg 184.
Hazrat Imam *Ibn e Majah* Al Mutawaffah *273* Hijri Likhte Hain _Hazrat *Abu Musa Ashari* رضي الله عنه Se Riwayat Hain *Rasool Allah* ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri *Ummat Me Aise Log Bhi Honge* Jo Sharab Ko Dusra Naam Rakh Kar Piya Karenge Aur *Unke Saro Par Dhool Baja* (Music Instruments) Bajega Aur Gane Wali Aurte Nache Gi Aise Logo Ko ALLAH ﷻ Zameen Me Dhasa Dega Aur Un Mese Kuch Ko *Bandar* Aur *Khinzeer* Bana Dega_ Haza Isnad *Hasan* Narration is *Good* ╰┈➤ _Aur Sharab Ko Halal Wine Ka Naam Dekar Saudi Wahabi Najdio Ne Jaiz Kiya Aur Dhool Baje Ko Molbis *Sanabil & Shamail* Aur Unke Blinds Mureedo Ne Jaiz Kar Diya.
Reference Book :Sunan Ibn e Majah Vol 5 Hadees 4020
Hazrat Imam *Abu Daud* Al Mutawaffah *275* Hijri Likhte Hain Mukhtasar Mafhoom-e-Hadees *Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Sharab Jua Aur Qubah Haram Hai Aur Har Nashe Wali Chiz Bhi Haram Hai* *Qubah* ? Iski Meaning Hum Nahi Karenge Balki Isko Imamo Ke Imam Muhaddisin Ke Imam Se Puchte Hain Hazrat Imam *Sufiyan Sauri* Al Mutawaffah *161* Hijri Kehte Hain Ki Mene Hazrat *Ali Bin Bazima* Al Mutawaffah *133* Hijri Se *Qubah* Ki Wazahat Puchi Tu Unhone Farmaya Isse Murad *Dhool Hai* ➥ Haza Isnad *Sahih* Narration is *Correct* ╰┈➤ _Yani Huzoor ﷺ Tu Farma Rahe Hai Ke Dhool Baja Tabla Wagera Haram Hai Lekin Molbi Sanabil Shamail Sahab Wagera Keh Rahe Hai Dhool Baja Khoob Bajao Jaiz Hai.
Reference Book *Sunan Abu Dawood* Jild *4* Safa *882*
Hazrat *Abu Umama* Se Riwayat Hain Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Beshak ALLAH ﷻ Ne Mujhe Tamam Alam Ke Liye Rahmat Aur Hidayat Ka Paikar Bana Kar Bheja Aur Hukum Diya Ki Me Khatam Kardu Tod Dalon Dhol Baje, Mazamir, Murtiya, Saleeb Aur Daur e Jahalat Ki Chize* ╰┈➤ _Yani ALLAH ﷻ To Dhol Baje Ko Todne Khatm Karne Ka Hukm De Raha Hai Aur Molbi Sanabil Shamail Sahab Wagera Keh Rahe Hai Din Raat Dhol Baja Tabla Bajao.
References Books :Musnad Taylasi Vol 1 Hadees 1230 Musnad Ahmad Vol 16 Hadees 22119 Kitab al-Aql wal-Fazl Vol 1 Pg 78