Wahabi Deobandi Ahle’hadees Awaam e Ahle Sunnat ko Gumrah karne ke liye ek se ek new new Fitne Leke Aate hain aur Ulte sidhe Aitraaz karte Hain. Inhi Aitraaz me Ek aitraaz ye bhi karte hain ki Tum Auliya ki Qabr ko pakka kyu karte ho Uspar Mazar Kyu Banate ho.
Sabse pehle ye Jaan Lena Chaiye ki Auliya Ikram ho Ya Ambiya Alahissalam ho sabki Qabr Andar se kachhi hi hoti hai aur ye jo Qabr pakki hoti hai ye Upar se hoti hai aur uss ke uppar Mazar banaya jata hai.
Aur ye Mazar sirf India me nahi puri duniya me apko dekhne ko milega Lekin sirf Saudi Arab me nahi milega kyuki waha Najdiyo ki hukumat Aayi aur unhone waha Jo mazar bani thi sahaba ki Ahle Bait ki unn sab ko Shaheed kar diya najdiyo ne (Maazallah) .Usse pehle Saudi Arab me bhi Auliya ki aur Ambiya ki mazar maujood thi jaise puri duniya me hai lekin inn Najdiyo ne Tod Diya.
Ab Aaye Hadees se dekhte Hain Qabr par Mazar Banane ka Saboot.
HAZRAT URAWAH رضي الله عنه FARMATE HAI KI “WALEED IBNE ABDUL MAALIK KE ZAMANE ME ROZA -E- RASUL ALLAH ﷺ KI EK DIWAAR GIR GAYI” “FAAKHAZU FEE BENAAEEHI” “HAZRAT WALEED NE HUKM DIYA KE TAAMEER KARO SAB USSE BANAANE ME MASHGUL HUYE” “FABADAT LAHUM QADAMUN FAFAZA’U WA JANNOO ANNAHAA.
KADAMUNNABEEYE ALAIHISSALAAMU” “EK QADAM ZAHIR HO GAYA TO LOG GHABRA GAYE AUR SAMAJHE KI YEH HUZURﷺ KA QADAM-E-PAK HAI” HAZRAT URAWAA رضي الله عنه NE KAHA KI “ALLAH KI KASAM YE HUZURﷺ KA QADAM NAHI HAI YE HAZRAT UMAR-E-FAROOQ رضي الله عنه KA QADAM HAI” PUCHA KITNE SAAL BAAD NIKLA KAHA KE KAI SAAL BAAD NIKLA FARMATE HAI PAIR AISA THA JAISA ZINDO'N KA HOTA HAI.
SAHIH BUKHARI, (Vol.2) hadees:1390.
ISS HADEES SE MALOOM HUA KI MAZAAR-E-MUBARAK AAQA ﷺ KE SAHABA KI SUNNAT HAI AUR AMBIYA SAHABA AUR AULIYA APNI QABRO'N ME ZINDA HAI'N.
Imam Ibne Shabbah Jinki Wafat (264 Hijri) me hui Apni Kitab Tareekh e Madina Tul Munawwara Me Riwayat Naqal karte hai'n. Saaib Bin Yazeed. رضي الله عنه Farmate hai Mujhko Mere Dada Ne Khabar Di Ki Jab Hazrat Sahabi e Rasool Hazrat Aqeel رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Jo Hazrat Ali رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Ke Bhai Hai Unhone Apne Ghar me Kuwa'n Khudwaya to Ek Naqsh Patthar Nikal aaya Jispe Likha tha Qabr e Umme Habiba Ta Sakhar Bin Harb Ki Hai To .Hazrat Aqeel رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Ne Uss Kuwe'in Ko Band karwa Kar Usme Ek Kamra Banwa diya Hazrat Saaib Bin Yazeed رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Kehte hai'n Main Uss Makan me Dakhil Hua Maine Apni Aankho'n Se Uss Qabr ki Ziyarat Ki.
Refrence Taareekh E Madina Tul Munawwara Jild: 1 , Safa no:120.
Imam Ibne Hajar Asqalani Al Mutawwafa (852 Hijri) Fathul Baari Sharah Sahi Bukhari ke Muqaddame me Likhte hai Ke Jab Imam Bukhari Ko Qabr me Dafan Kiya Gaya to Unki Qabr se Mushk Aur Ambar ki Khushboo Aane lagi To log Imam Bukhari ki Qabr par Aa Kar Unki Qabr ki Mitti Se Barkat lete Phir Unki Qabr ke Charo Taraf imarat Bana Di Gai.
Refrence: Fathul Bari Sharah Sahi Bukhari Published by Deoband Pakistan page no: 99.
Hazrat Imam Ibn e Shaibah رحمتہ اللہ علیہ Al Mutawaffah (262 Hijri) likhte Hain :
“Hazrat Saeed Bin Zubair Bin Muttim رضي الله عنه Riwayat Karte Hain Maine Sahabi e Rasool Hazrat Usman Bin Mazzoon رضي الله عنه ki Qabr Mubarak Ko, “Hazrat Muhammad Bin Ali Ibn e Al Hanafiyah Ke Ghar Me Dekha.
(Tareekh e Madinatul Munawwarah, Vol 1, Page 101).
To Maloom Hua Ki Allah Ke Khaas Bando’n Ki Azmat Ke Liye Unki Qabro'n Ko Mehfooz Aur Pehchan Ke Liye Kisi (Building) Imarat Ke Andar Banana Jaiz Hai, Hazrat Usman Bin Mazzoon رضي الله عنه Pehle Sahabi Hai Jinka Wisaal Madina Shareef Me Sabse pehle Hua.
Hazrat Sulaiman علیہ السلام Ne “Wahi e Ilahi” Ke Mutabik “Hazrat Aadam علیہ السلام “Hazrat Ibrahim علیہ السلام ” Hazrat Ishaaq علیہ السلام ” Hazrat Yaqoob علیہ السلام ” Hazrat Yusuf علیہ السلام ” Ki Qabro'n Par Qubba Numa Chatt Bana di. –Reference’(Atlas Ul Quran -[Published Saudi Najd Riyadh / Page-85).
Hazrat Sayyeda Aamina رضي الله عنها ki Qabr e Aqdas.
Hazrat Imam Ibne Shaibah رحمتہ اللہ علیہ Al Mutawaffah (262 hijri) Sanad Ke Saath Likhte Hain.
Hazrat Amr Bin Aaas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Jab Rasool Allah ﷺ Ki Umar (Age) Mubarak 6 Saal Thi Tab Makka tul Mukarrama Aur Madina tul Munawwarah Ke Bich Me Wadi ‘Al Abwah Me Rasool Allah ﷺ Ki Walida Sayyeda Amina رضي الله عنها Ka Wisaal Ho Gaya, “Makkah Se Door Hone Ki Wajah Se Rasool Allah ﷺ Ke Nanihal Qabila e Adi Bin Najjar Ne Sayyeda Amina رضي الله عنها Ki Qabr e Aqdas Ko Tameer Karwai Jisse Ke Unki Ziyarat Ho Sake.
(Taarekh e Madina tul Munawwara, Vol:1, Pg:117).
Hazrat Sayyeda Aamina رضي الله عنها ki Qabr Aqdas “1925 Taak Bani Rahi Jab “1926” Me Yahudiyo'n Nasraniyo'n Ki Madad Se Aal e Saud Aur Aal e Najd Ne Makka Aur Madina Me Hamla Kiya To Unki Mazaar Shareef Ko Tod Diya, “Lekin Phir Bhi Musalman Ziyarat Karte Aa Rahe Hai'n.
Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Nabi Kareem ﷺ Ne Maqam e Aaraj Se Aage Ek Bade Pahad Ki Masjid Me Namaz Padhi Hai Aaraj Ki Taraf Jate Hue Ye Masjid 5 Meel Ki Duri Par Waqf Hai Aur Uss Masjid Ke Kareeb 2 Ya 3 Qabrei'n Bhi Hai Aur Unn Qabro'n Par Bahut Bade Pathar Bhi Rakhe Hue Hai Ye Jagah Raste Me Sidhe (Right) Janib Aai Hai. Aur Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Uss Masjid Me Pahuch Kar Zohar Ki Namaz Padte The.
Reference Book(Musnad Ahmad Bin Hambal/ Vol “4 / Hadees “5598).
Yani Maloom Hua Ke ALLAH Walo'n Ki Qabro'n Ko Pakki Banana Unpar Nishani Lagana Jaiz Hai Warna Aaqa ﷺ Unn Qabro'n Ko Aisa Nahi Rehne Dete aur Na Uss Masjid Me Namaz Padhte.
Hazrat Imam Abu Faraz “Ibne Jawzi” Al Mutawaffah “597” Hijri Likhte Hain_
Hazrat Ibrahim Bin Bishar رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hai Ek Baar Me Hazrat Ibrahim Bin Adham Al Mutawaffah 165 Hijri رضي الله عنه Ke Saath Tha Hum Ek Sehra (Desert) Me Pauche Waha'n Ek Unchi Qabr Thi Hazrat Sayyidina Ibrahim Bin Adham رضي الله عنه Uss Qabr (Mazar) Ko Dekh Kar Rone Lage Maine Pucha Shaykh Ye Kiski Qabr Hai? Hazrat Ne Farmaya Ye Hazrat Hamid Bin Jabir Ki Qabr Hai Jo Ke Inn Tamam Shehro Ke Hakim The Pehle Ye Duniyawi Mamle Me The Phir Allah Ta’ala Ne Inko Hidayat Di To Ye Allah Ke Nek Bando'n Me Shamil Hokar Wali Ban gaye.
(Uyunul Hikayat/Page 51).
“To Maloom Hua Ke ALLAH Walo'n Ki Qabro'n Ko Uncha Banana Ye Aaj Se Nahi Balke 1300 Saal Pehle Se Chala Aa Raha Hai Kya Itne Bade Tabe’tabai Ko Nahi Maloom Tha Ki Qabr Ko Uncha Banana Bida'at Hai Haram Hai?
Saltanat e Usmaniya ke Azeem Imam, Ismail Haqqi (jinka wisal 300 saal pehle hua) likhte hai :
Ulama, Awliya aur Saliheen ki Qabro'n par Imarat banana jaiz hai agar iss maqsad logo ki nigaho'n me azmat paida karna ho ke log Qabr wale ko kamtar na jane.
Ref: Tafseer Ruh ul Bayan (3/400).
Imam Shafai رحمتہ اللہ علیہ ne farmaya : QABR KI LIPAI KARNE ME KOI HARJ NAHI.
Ref: Jami' at-Tirmizi > Kitab ul Janaiz Hadith 1052