Miladun nabi ﷺ Manaana Mustahab, Jaa’iz Aur Sawab Ka Kaam Hai, Aur Khud Rasoolullah ﷺ Ne Apna Milad Manaya Hai Aur Bahot Saare Mohaddiseen Wa Mufassireen Wa Imamo Ne Miladun nabi ﷺ Manane Ko Jaa’iz Likha Hai, Jo Miladun nabi ﷺ Manaane Waalo’n Ko Bidati Kehta Hai Woh Khud Bidati Hai.
Miladun nabi ﷺ Ke Mauqe Par Awaam Jo Bhi Galat Aur Gair Sharayi Kaam Karti Hai Woh Galat Hai Aur Uska Ahle Sunnat Barelvio Se Koi Ta’alluq Nahee’n Hai, Miladun nabi ﷺ Sharayi Tareeqe Se Manaaye’n Aur Ulama Ki Sarparasti Me Manaaye’n.
Milad un Nabi ﷺ Manaane Ka Tareeqa :
(1) 12 Rabiul Awwal Shareef Ko Rozah
Rakha Jaaye
(2) Shukraane Ki Namaaz Padhi Jaaye
(3) Rasoolullah Sallallahu Alaihiwasallam Ki Seerat Bayaan Ki Jaaye
(4) Juloos Nikaal Kar Poori Duniya Ko
Bataaya Jaaye Ke Aaj Ke Din Hamaare Nabi Sallallahu Alaihiwasallam Paida Huwe The
(5) Naate’n Padhi Jaaye’n (6) Darood Wa Salaam Padha Jaaye
(7) Logo Ko Khaana Khilaaya Jaaye Aur
Paani Wa Sharbat Pilaaya Jaaye
(8) Gareebo, Yateemo Aur Miskeeno Ki Madad Ki Jaaye
(9) Masjid Wa Madaaris Wa Deeni
Tanzeemo Ki Madad Ki Jaaye
(10) Gareeb Bachcho Ki Taleem Ka Intezaam Kiya Jaaye
(11) Apne Gharo’n, Dukaano’n Aur Mohalle
Ko Sajaaya Jaaye
(12) Jhanda Lagaaya Jaaye, Wagairah
Wagairah (Y’ani Jo Bhi Kaam Kiya Jaaye Woh Shree’at Ke Khilaaf Na Ho)
Surah Yunus Ayat No.58
قُلۡ بِفَضۡلِ اللّٰہِ وَ بِرَحۡمَتِہٖ فَبِذٰلِکَ فَلۡیَفۡرَحُوۡا ؕ ہُوَ خَیۡرٌ مِّمَّا یَجۡمَعُوۡنَ ﴿۵۸﴾
Kanzul Iman Translation
Tum Farmaao Allah Hi Ke Fazl Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chaahiye Ke Khushi Kare’n Woh Unke Sab Dhan Daulat Se Behtar Hai.
Surah Ambiya Ayat No.107
وَ مَاۤ اَرۡسَلۡنٰکَ اِلَّا رَحۡمَۃً لِّلۡعٰلَمِیۡنَ ﴿۱۰۷
Kanzul Iman Translation
Aur Humne Tumhe’n Na Bheja Magar Rehmat Saare Jahaan Keliye.
Note:- Allah ﷻ Hukm De Raha Hai Ke Mere Fazl Wa Rehmat Par Khushi Manaao Aur Allah ﷻ Ka Sabse Bada Fazl Aur Rehmat Hamaare Pyaare Nabi ﷺ Hai’n To Jiss Din Hamaare Pyaare Nabi ﷺ Iss Duniya Me’n Tashreef Laaye Uss Din Khushi Manaana Qur’aan Se Saabit Hai, Aur Agar Koi Yeh A’eteraaz Karta Hai Ke Sahaaba Ne Kyu’n Nahee’n Manaaya To Iska Jawaab Yeh Hai Ke Sahaaba Ne To Seeratun nabi Sallallahu Alaihiwasallam Ke Jalse, Khatme Bukhaari Ke Jalse, Tabligi Deobandi Ijtema, Ahle Hadees Confrence Wa Deegar Jalse Bhi To Nahee’n Kiye To Phir Yeh Bhi Bidat Hona Chaahiye Na,
Nabi ﷺ ki Wiladat ki Khushi Manane par Abu Lahab ke Azaab me Takhfeef hogayi :
Imam Bukhari رحمتہ اللہ علیہ apni Bukhari Shareef’ Vol 7′ Hadith no.5101 par Hadees naqal karte hai
Jab Abu Lahab Mar gaya to uske kisi Azeez ne usey Khwab me Buri Haalat me dekha’ Poocha tujhpe kya beeti usne Jawab diya Jabse tum se judaa huwa hun mujhe kabhi araam nahi mila’ siwaye iske ke mai Ungli se Paani peelaya jaata hun’ isliye ke maine apni Laundi Soeba ko Azaad kiya tha.
Ref: Sahih Bukhari’ Hadith no.5101.
Is Hadees ki Sharah karte huwe Imam Ahmed Qustalani’ Imam Jazri’ Shaykh Abdul Haq Mohaddis Dehelvi رحمتہ اللہ علیہ likhte hai “Isme Sanad (Daleel) hai Nabi ﷺ ka Milaad Manane walon ke liye Jab Abu Lahab Kaafir ko iski Jaza milti hai to us Musalman ka Kya Haal hoga Jo Huzoor ﷺ par Imaan bhi rakhta ho aur Huzoor ﷺ se Mohabbat bhi karta ho to aise Musalman ko kis qadar Ajar o Sawab Milega.
Imam Shaybani jinka wisal 497 saal pehle hua, likhte hai :
“ULAMA KI EK JAMA’T NE YE FATWA DIYA KE ACHI NIYAT KE SATH MILAD UN NABI ﷺ MANANA ACCHA AUR MAHMOOD HAI”
Reference: Hadaiq ul Anwaar page 130
Imam Muslim رحمتہ اللہ علیہ apni Sahih Muslim me Hazrate Wasala se Hadees Naqal karte hai:
NABI E KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA
‘Beshak Allahﷻ ne Aulaad e Ismail Alahisalam se Kanaana ko Muntakhab(Selection) Farmaya, Kanaana mese se Qureish ko, Qureish mese Banu Hashim ko Aur Banu Hashim mese Mujhe Muntakhab Farmaya”.
Ref: Sahih Muslim, Hadith no.2276.
Is Mazkura Hadees me khud Nabi e Rehmat ne Apne Milad Ka Zikr is Tarah se Farmaya ke Aap ne Apne Khaandani Nasab Aur Qabile Ka Zikr Farmaya phir Apni Wiladat ke baare me Farmaya ke Allah ne mujhe Banu Hashim mese Bheja, Yehi to Zikr e Milad hai Jo Sunni Musalman aaj karte hai Apni Mehfilo me,
Imam Tirmizi رحمتہ اللہ علیہ apni Jaame Tirmizi me Hazrate Abbas رضي الله عنه se Hadees Riwayat karte hai;
“Rasool e Kareem ﷺ ne Apne Sahaba se Mimber Shareef par poocha ke Mein Kon? To Sahab e Kiram ne Arz Kiya Aap Allah ke Rasool Hain,Nabi e Kareem ﷺ ne Farmaya Mein Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib hun, Allah ﷻ ne Mujhe Behtareen Guroh me Paida Farmaya, Phir unke Qabile banaaye to un mese Mujhe Behtareen Qabile me Paida Farmaya, Phir unko Gharaane me Taqseem Farmaya to Mujhe un mese Behtareen Gharaane me Paida Farmaya, Mein un sab se Hasab o Nasab Aur Gharaane ke lihaaz se Behtar hun “.
Ref: Jaam e Tirmizi, Hadith no.3607.
SubhanAllah Yehi to Zikr e Milad e Mustafa ﷺ Jisey Khud Nabi e Paak ﷺ ne Bayan farmaya Jisko Aaj Sunni Musalman Milaad ki Mehfilo me Bayaan karte hai, Lihaza Zikr e Milad Bid’at Nahi Balke Sunnat hain
Imam Muslim رحمتہ اللہ علیہ apni Sahih Muslim me Hazrate Qatada Al Ansari se Hadees Riwayat karte hai;
Sahaba e Kiraam ne Nabi ﷺ se Peer ke Din Roza rakhne ke baare me poocha to Allah ke Rasool ﷺ ne irshad Farmaya Mein isee Din Paida huwa Aur isee Din Mujh par Pehli Wahih Naazli huwi “.
Ref: Sahih Muslim, Hadith no.1160.
Is Hadees se pata chala Hamare Pyaare Aaqa ﷺ bhi Roza Rakh Kar Apni Youm e Wiladat ko Yaad Kiya karte the, Lihaza Miladun Nabi ﷺ ki Tarikh ko Yaad Rakhna ye Sunnat e Rasool hai, Ab Koi Jaahil Ye naa kahe ke Nabiﷺ ne to Sirf Roza Rakh Kar manaya Aur Tum Sunni isey Eid kehte ho jab ke Eid ke Din Roza rakhna Manaa hai to Ye Eid Kaise? To in Jaahilo ko Pata Hona Chahiye ke Ye Eid Istelahi Ramzan wali Nahi Balke Lughvi or Khushi ke Lihaaz se hai Jaise Juma ke Din ko Eid Kaha Gaya hai Lekin Nafil Roza bhi rakha jaata hai Lihaza Is Din Roza bhi rakha jaa Sakta hai Aur Khaa pee Kar bhi You Khushi Ka Izhaar Kiya jaa Sakta hai.
Imam Muslim رحمتہ اللہ علیہ apni Sahih Muslim me Hazrate Abu Saeed Khudri رضي الله عنه se Hadees Riwayat karte hai;
Hazrate Muawiya رضي الله عنه Kehte hai ke Nabi e Kareem ﷺ Apne Sahaba e Kiraam ki Majlis me Tashreef Laaye Aur Poocha Tum Yahaan Kyun Baithe ho? Sahaba ne Arz Kiya Ham Yahaan Allah Ka Zikr Kar rahe hai, Shukr Kar rahe hai ke Hamein Deen e Islam Batlaaya, Aur Ham par Ehsan Kiya Aapko Bhej Kar, Huzoor ﷺ ne farmaya Kya Tum Qasam khaa Kar Kehte ho ke Yaha isee Wajah se Baithe ho To Sahaba ne Qasam Kha Kar Kahaa Ya Rasoolallah ﷺ Ham Sirf isee Wajah se Yahaa Baithe hai, Nabi e Rehmat ﷺ ne irshad Farmaya ‘Aye Mere Sahaba Maine Tumse Qasam isliye Nahi li ke Mujhe Tum Par Shak tha Balke Jibraille Mere Paas Haazir huwe Aur Kaha ke Allah ﷻ in Logo se Farishton Par Fakhr Kar Raha hai “.
Ref: Sahih Muslim, Hadith no.2701.
Imam Hussamuddin Hindi رحمتہ اللہ علیہ apni Kanzul Ummal me Ek Hadees Riwayat karte hai:
Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه ne Ka’ab AL Ahbar رضي الله عنه se Kaha ke Mujhe RasoolAllah ﷺ ke Milad se pehle ke Fazail ke baare me batayen, To Hazrate Ka’ab رضي الله عنه ne Farmaya Ji Zaroor Aye Ameer ul Momineen, Farmaya Hazrate Ibrahim leko Ek Patthar ata huwa tha Jispe 4 lbaarat likhi thi, Jinme Doosri Ibaarat ye thi Ke Allah ke Siwa koi Ma’bood Nahi Aur Muhammad Uske Rasoolﷺ hai, Aur Aap ne Farmaya RasoolAllahﷺ ki Zaat Unke Liye Barkat hai Jinhone Aappar Imaan laaya Aur Aapki Itteba’a ki.
Ref: Kanzul Ummal, Hadith no.35369
SULTAN SALAHUDDIN AYYUBI رحمتہ اللہ علیہ ke Saale Shah Malik Al Muzzafar Alihirehma
MILAD UN NABI ﷺ PE APNE DASTARKHAN 5000 ACH TARHAN PAKI HUWI BAKRIYAN, 10,000 MURGHIYAN, 100 HAZAAR PYAALE (DOODH KE) AUR MITHAI KI 30 HAZAAR TRAY SE BHARTA THA. RAWI KEHTE HAI KE MILAD KE MAUQE PAR BADE BADE ULAMA AUR SUFI INKE PAAS AATE THE AUR WOH UNKO POSHAK DETE THE AUR INHEN HADIYA DETE THE.
[Tarikh Ibn Kathir, Al Bidayah Wan Nihaya (Arabic) Volume 15, Page No. 193]
Agar mere pas jabal e Ohad barabar bhi sona hota to mai use Milad Un Nabi ﷺ parhane me kharch kar deta. Imam Hasan Basri
Imam Ibn Hajar Al Haithami (Died 974 Hijri year) Al Naimat ul Kubra page 6
Hindustan me firqa Wahabiya Ahle Hadees banane wale Nawab Siddiq Hasan khan Bhopali ne likha :
Jise RasulAllah ﷺ ka Milad ka Haal sun khushi na ho wo Musalman nahi hai
Ref: Book Asb’shamamatul Ambariya page 12
Wahabio ke Pasandeeda Imam Ibn Taymiyyah Ne likha :
Jaisa ke kuch logo ne ye kaam (Milad) shuru kiya, bhale Hazrat Eisa ke Milad me Isaiyo ki tarah ho ya Apne Nabi ki Tazeem aur Muhabbat me ho Allah unhe ispar sawab dega unki is Muhabbat aur Ijtihad ke liye Na ki Bid’at ke liye ki unhone Milad ko Eid keh diya, is haqeeqat ke sath ki RasulAllah ﷺ ki paidaish ki tareekh par ikhtelaf hai
Ref: Book Iqtida Sirat Al Mustaqeem page 619
Shah Waliullah Dehlawi jinka wisal aaj se 266+ Saal pehle hua, apni Makkah ki Hazri ke bare me likhte hai:
Mai Makkah shareef me Milad Shareef ke din RasulAllah ﷺ ki Wiladat ki jagah hazir tha, sab log RasulAllah ﷺ par durood padh rahe the aur Ap ki wiladat ke waqt jo Mojzat zahir hue wo bayan kar rahe the, maine us Noor ko dekha jo us Mehfil me zahir hua, woh Noor tha jo farishton ke aisi Mehfilo me shirkat se zahir hota hai
Ref: Fuyuz ul Haramain page 26
Hazrat Abdullah Ibn Abbas رضي الله عنه ne farmaya:
Jis Raat RasulAllah ﷺ ki wiladat hui, us Raat Quraish ke janwar bolne lage, aur kehte the “Wo Nabiﷺ aarahe hai jo Puri Duniya ki Amaan hai aur isme rehne walo ke Suraj”
Ref: Ibn Kathir – Mojzat un Nabi 1/471 ◆ Abu Nu’aym – Dala’il Un Nubuwwah 1/610 Suyuti – Khasais Kubra 1/80
Hindustan ke Azeem Imam, Shah Abdul Haq Muhaddith Dehlvi رحمتہ اللہ علیہ (jinka wisal 390 sal pehle hua) farmate hai:
Aye Allah ﷻ mera koi amal aisa nahi jise teri Bargah me pesh karne ke layak samjhu, lekin mujh faqir ka ek amal teri toufiq ki wajah se bohot hi shandar hai, wo ye ki Majlis e Milad un Nabi ﷺ me mai khade ho kar salaam padhta hu, aur nihayat ajzi inki sari muhabbat o khuloos ke sath tere Habeeb par durood o salam bhejta raha hu, aye Allah ﷻ wo kaunsi jagah hai jaha Milad e Mustafa se zyada teri Rahmat nazil hoti hai?
Isliye aye Allah mujhe yaqeen hai ke mera ye amal kabhi bekar na jayega, balki yaqeenan teri Bargah me qubool hoga, aur jo koi durood o salam padhe aur uske zariye dua kare wo kabhi Rad nahi ho sakti
Ref: Akhbar UL Akhyar page 605
Hazrat Imam Badarudeen Ayni Alihirehma Likhte Hai:-
Hazrat Sultan Salahuddin Ayyubi رحمتہ اللہ علیہ Aur Hazrat Sultan Nooruddin Zangi رحمتہ اللہ علیہ Har Saal Rasoolullah ﷺ Ka Milad Shareef Manate The
[Iqdujama-fi-Tarikh-e-Ahlil-Zamaa Page.no 163]
Imam Ahmad Qastalani jinka wisal 518 Saal pehle hua apni Kitab me likhte hai :
MAKKAH KE LOG 12 RABI UL AWWAL KO US JAGAH KI ZIYARAT KARTE JAHA RASUL ALLAH KI PAIDAISH HUI”
Book: AlMuwahib Ul Ladunia 1/85
Imam Ahmad Qastalani (jinka wisal aj se 520 saal pehle hua) likhte hai :
Milad un Nabi ke mahine ki raton ko Eid bana lo, take jinke dilo me bimari aur Dushmani ho unhe taqleef ho
Ref: Al Muwahib Ladunia 1/148
MILAD UN NABI ﷺ KI RAAT TAMAM RAATON SE AFZAL HAI-
IMAM ALOOSI (RUH UL MANI 30/195)- IMAM IBN ABIDIN (RAD UL MUHTAR 3/528) – IMAM YUSUF NABHANI (JAWAHIR UL BIHAR 3/426)
RasulAllah ﷺ ke Milad ke din Shaitan bohot roya- Tabai Sayyiduna Mujahid
Ref: Ibn Kaseer Tarikh 5/238
RasulAllah ﷺ ki wiladat ke waqt maine dekha goya ke ek Sitara mujhse nikla ho jisse sari zameen Roshan hogyi-Mother of Prophet Sayyida Aminah رضي الله عنها
Ref:Tabqat Ibn Saad 1/82
Imam Hazrat Ibne Hajar Asqalani Al Mutawaffah 852 Hijri Likhte Hai:-
“Allah Ke Mehboob Hamare Nabi Kareem ﷺ Se Badi Nemat Kya Hogi Ki 12 Rabi Ul Aawwal Ke Din Rehmatullil’alameen Aaqa Muhammad Mustafa ﷺ Tashreef Laye Is Wajah Se Zarori Hai Ki Is Muaiyyan Din Ko Milad Manaya Jaye Taki Yaume Ashurah Ke Hawale Se Hazrat Musaعلىه السلام Ke Waqiye Ki Mutabiqat Ho Jaye. Aur Agar Koi Is Chiz Ko Malhuz Na Rakhe To Milad-e-Mustafa Ko Maah (Month) Ke Kisi Bhi Din Manane Me Koi Harz Nahi Balki Baaz Ne Isey Yahan Tak Wasee Kiya Hai Ki Saal Me Koi Bhi Din Milad Shareef Mana Liya Jaye, Bas Yahi Hai Jo Mawlid Ki Asal Se Mutallig Hai.”
Husn al-Maqsad fi Amal al-Mawlid Page 63-&-64
Hazrat Imam Abu Faraz Ibne Jawzi Al Mutawaffah 597 Hijri Likhte Hain:-
Aur Har Wo Shakhs Jo Rasool’allah ﷺ Ke Milad Par Khush Hua Allah ﷻ Ne Ye Khushi Uske Liye Jahannam Ki Aag Se Mehfoz Rehne Ke Liye Parda Aur Dhaal Bana Di Aur Jisne Mawlud e Mustafa ﷺ Ke Liye Ek Dirham Kharch Kiya To Huzoor ﷺ Uske Liye Shafa’at Karenge Aur Allah Uske Har Dirham Ke Badle Me Usse 10 Dirham Ata Karega Aye Ummat e Muhammadiya Tujhe Basharat Ho Ke Tune Duniya Aur Akhirat Me Khair Kaseer Hasil Ki Bas Jo Koi Ahmad e Mustafa Ke Milad Ke Liye Koi Amal Karta Hai To Khush Bakht Hai Aur Wo Khushi Izzat Bhalai Aur Fakhr Ko Pa Lega Aur Wo Jannat Ke Bagho Me Motiyo Se Mirsa Taj Aur Sabz Libas Pehne Dakhil Hoga
Reference Book Mawlud al-Uroos [Manuscript]
Original Handwriting Imam Ki Jo Saud University Riyadh Mein Maujood Hai
Hazrat Ibne Battuta Alihirehma 768 Hijri Likhte Hai:
Huzoor ﷺ Ke Milad Wale Din Hum Log Ahle Makkah Jama Hokar Huzoor ﷺ Ka Milad Manate Zikr Karte Uske Baad Makkah Mukarrama Ke Shaykh Kabe Sharif Ka Darwaza Kholte Uske Baad Sab Mil Kar Huzoor ﷺ Par Durood o Salaam Padhte Aur Gharibo Miskeeno Ko Khana Khilate
[Hazra Ibn al-Battuta Pg.no 92]
deobandi ke peer sahab
Ashraf Ali Thanvi Rashid Ahmed Gangohi Qasim Nanotvi Ke Peer Wa Murshid Haji Imdad Ullah Muhajir Makki Zikre Milad Shareef Ke Taluq Se Farmate Hain:-
“Hamare Ulama Maulud Sharif Mein Bahut Tanaza Karte Hain Ta-Ham Ulama Jawaz Ki Taraf Bhi Gaye Hain Jab Surat Jawaz Ki Mau- jod Hai Phir Kyun Tashaddud Karte hain Aur Hamare Waste Itteba E Harmain Kaafi Hai”
Shamaim E imdadiya Page 93
Jis raat RasulAllah ﷺ ki wiladat hui, shaitan ko asmani patharo se mara gaya.
Abu Nuaym Dala’il un Nubuwwah 1/612
SAYYIDUNA ANAS رضي الله عنه FARMATE HAI:
JAB RASULALLAH ﷺ MADINAH MEIN DAKHIL HUWE TO HABSHA KE LOGO NE AAPKI AMAD KI KHUSHI ME JUNG KE HATHYARO KE SATH KHUB KHEL KOOD KIYA
REF: MUSNAD AHMAD #12586 ABU DAWUD #4923
Hamare liye bhi Mustahab (Sawaab) hai ke Ham Bhi Nabi ﷺ Ke Meelad Par Shukr Ka Izhar Kare, Aur Khana Khilaye Aur Dusri Ibadat Kare, Aur Khushi ka Izhar Kare”
IMAM JALALUDDIN SUYUTI رحمتہ اللہ علیہ
Book: Al’Haawi Lil Fataawa V#01 P#196
Makkah Sharif Se Hijrat Karke Jab Huzoor Rasulullah ﷺ Madinah Sharif Ke Qarib Pohche to Hazrat Burida Aslami 70 Aadmiyo Ke Sath Aapko Giraftar Karne Aye, Lekin Jab Aapse Pucha Ke Aap Kon hai, to Aapne Farmaya Mai Muhammad Ibn Abdullah Aur Khuda Ka Rasul Hu, Aapko Dekhkar Hazrat Burida Aur Unke Saathi Wahi Kalma Padhkar Musalman Hogaye Aur Farmaya ke
MERI TAMANNA HAI KE MADINAH ME AAP KI AAMAD EK JHANDE KE SATH HO, AUR APNA AMAMAH SAR SE NIKAL KAR USE NEZE ME BANDH LIYA, AUR HUZOOR ﷺ KE ALMABARDAR BAN KAR MADINAH TAK SAMNE SAMNE CHALTE RAHE,
Wafaa’ul Wafaa V#01 P#190
Madarijun Nubuwwah V#02 P# 62
Huzoor ﷺ Ka Chehra Dekhkar Hi Log Musalman Hojaya Karte The Hazrat Buridah رضي الله عنه ne Apna Amamah Ka Jhanda Banaya Hazrat Buridah ke sath jitne log the sab Musalman Hogaye Hazrat Buridah رضي الله عنه aur Apke Sath ke 70 Logo Ka Julus Jhande Ke Sath Madinah Me Dakhil Hua
Huzoor NABI ﷺ KI AMMI Jaan Hazrat AAMINAH رضي الله عنها Farmati Hain
“Jab (Rasulullah ﷺ ki wiladat hone wali thi) to Maine 3 Jhande Lage Dekhe, Ek Jhanda Magrib Me, Dusra Mashriq Me Aur Teesra Kaabe Ki Chhat Par
Book: Dala’ilun’Nubuwwah-Imam Abi Nuaim 1:610, H#555 | Al’Mawahibul Ladunniyah 1:77 | Al Bidayah Wan’Nihayah 6:299 | AL’Khasaa’isul Kubra 1:82
500 SAAL PEHLE IMAM SHAIBANI رحمتہ اللہ علیہ HUZOOR ﷺ KI WILADAT KI JAGAH KA ZIKR KARTE HUE LIKHTE HAI
“Ye Wo Jagah Hai Jahaan Milad Sharif ki Raat Makkah ke log Zikr, Dua, Aur Huzoor ﷺ Ki Paidaish ki Jagah se Barkat Haasil Karne ke liye Jama hote hai”
HADAIQUL ANWAAR P#130
Shah Waliullah Muhaddise Deahlavi رحمتہ اللہ علیہ FARMATE HAI :
“Mere Walid kehte Hai ke Mai Meelad ke din khana banwaya karta tha, Qismat se Ek saal koi chiz na Banwa saka Sirf Bhune Huwe Chane the, to yehi chane maine logon me Baate, Khwab Me Dekha Ke Huzoor ﷺ Tashreef Faramaye hai, yehi chane Aapke saamne rakhe hai Aur aap boht khush nazar Aarahe hai”
Ad’durrus’sameen-Majmua risala P#111 – Shah Waliullah )
EID Milaadun Nabi ﷺ
“Huzoor ﷺ ki Paidaish ki khushi Milkar manana EID MILADUN NABI ﷺ kehlata hai, Aur Yaha Par Eid Khushi Ke Maani Hai, Huzoor ﷺ Ki Paidaish ki khushi ko Milkar Manana Ek Ayesa Amal Hai jo Sahaba ke zamane me bhi maujud tha”
Deobandi Aalim – Roohullah Naqshbandi Gafuri
Islami Mahino Ke Fazayel wa Ahkam P#113
Sabse Pehle Aap ﷺ Ka Chacha Abu Lahab Ki Kaneez Suwaiba Ne Aap ﷺ Ko Dudh Pilaya tha, Usne Abu Lahab Ko Jab Aap Ke Wiladat Ki Khushkhabri di to (is Khushi me) Abu Lahab Ne Usse Ussi waqt Aazad Kardiya, to Jab Uske Marne ke bad uske bhai Hazrat Abbas رضي الله عنه Ne usse buri haalat me dekha, to Pucha tera kya haal hai, to usne kaha tumse bichadne ke bad mujhe koi sukoon nahi mila Aur Apni Shahadat ki ungli ki taraf ishara karke kehne laga, “Siwaye is (Raahat) ke, ke Suwaiba ko Azad Karne Ki wajha se Mujhe isse paani pilaya jata hai”, (ibn katheer kehte hai) to Abu lahab ki kaneez ne jab Aap ﷺ ko dudh pilaya to iski wajha se Allah ne Abu lahab ko bhi mahrum na rakha Balke Is wajha se Hamesha ke liye uski Piyas Bujhane ka intezam kardiya, Jabke uske rad me Quran ki ek puri surah nazil hui hai”
Dhike Maulid Rasulullah Wa Radaa’ihi – ibn Katheer 28,29
Malik Al-Muzaffar Rabiul Awwal Me Bade Tehwar (Festival) ke jese Meelad Shareef Manate The, wo bohut Acche, Bahadur, Aqalmand, Ek Aalim, Aur Insaf Karne Wale the, Allah Unpar Raham Faramaya Aur Unki Qabar par Karam Kare”
Jab Rasulullah ﷺ Tabook Ke Maqam Se Laute to Hazrat Abbas رضي الله عنه Ne Aap ﷺ se Farmaya Ke Mai Aapki Tareef Karna Chahta Hun to Huzoor Ne Ijazat Di Fir Hazrat Abbas رضي الله عنه Ne Naat Padhi Aur Ye Sher Padhe
Aur Jab Aap Ki Meelad (Paidaish) hui to Zameen Chamak Uthi Aur Aapke Noor Se Aasman Roshan Hogaya
To Ab Hum Iss Roshni Aur iss Noor Me Hai Aur Hidayat Ke Raste Hum Paar Karte Hai
ALMUSTADRAK 3:369, H#5417 | AL’ MU’Jamul Kabeer 4:203, H#4167 | Siyarul A’laamin Nubalaa 2:102 | Majmauz ZAWAAID 8:217 | Safwatus Safwa IMAM IBN JAUZI 1:53
Huzoor Nabi E Kareem ﷺ Ki Wiladat Ba Sa’adat Ke Hawale Se Usman Bin Abil-Aas Ki Walida Majida Hazrat Fatima Binte Abdullah Saqfiyah farmati hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ki Wiladat Ke Waqt Hazrat Amina رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی Ke Paas Thi Aap Shabe Wiladat Ki Baabat Farmatein Hain,”Pas Jab Àapki Wiladat Ba Sa’adat Hui To Sayyeda Amina Ke Jisme Athar Se Aisa Noor nikla Jisse Pora Ghar aur Haveli Jagmag Karne Lagi aur Mujhe Har Ek Shay’ Me Noor Hi Noor Nazar Aya’.
Imam Tabrani Mu’jam Al Kabir 25/147, Hadees : 355 Imam Hasan Shaybani Al Ahad Wal Mathani, 1, Hadees : 1094 Imam Abu Nuayam Asfahani Dalail Un Nabuwah Vol: 1, Pg : 164 Imam Bahqi dalailul-Nabuwah 1/111 Hafiz Ibn kathir Al-Bidaya 2/264
Imam Shahabuddin Ahmad Ibn Muhammad ibn Abi Bakar Qustallani Shafai Rahmatullah Alaih Al Mutawaffa 923 Hizri Bade mashoor Muhaddis aapne Sahih Bukhari Sharif ki shara bhi likhi hai jo Mashoor hai Irshad Us Saari Kay naam se Aapne Nabi E Karim ﷺ ki seerat par badi jabardast kitab likhi Al Muwahibul Laduniya is kitab ki Shara Imam Abdul Baqar Jurqani رحمتہ اللہ علیہ ne ki hai.
Imam Qustallani Shafai رحمتہ اللہ علیہ Apni Kitab Seerat me Milad Un Nabi ﷺ ke baare me likhte hai
“Musalman hamesha se Milad un Nabi ﷺ ke mahine me mehifil ka inaqad karte chale aye hai wo dawato ka aehtemam karte hai aur is mahine ki raaton me tarha tarha ke sadqat karte aur khushi ka izhar karte hain (yun wo apni) nekiyon me izafa karte hain aur maulood shareef padhne ka ehtemam karte hain (yani wiladat mubarkh ke waqt jo muhabbat zahir hue unko bayan karte aur Nabi E Akram ﷺ ke fazail ke bayan ka aehtemam karte hai) aur un musalmano per har kisam ka fazal aur barkat zahir hote hai. Milad shareef ki mehfil ke silsile me is baat ka tajurba hua hai ke is saal aman kayam rahta hai aur makasid ke husul ke liye fauri khushkabri milti hai. Pas Allah Taala is shaksh per rahem kare jo milad shareef ke mahine ki raaton ko eidien banata hai taake ye (eid) un logo ke liye sakt akaef ka baees bane jin ke dilon me bimari hai.
(Imam Qustallani Al Muwahibul Laduniya Vol : 01, Pg : 78, Print : Darul Qutoob Ilmiya Berut Lebanon)