Mukhtar Saqafi Is shaks kay baare me Shia ne to behaad gulu kiya hai aur isko aisa hero maante hai jaisa kisi aur ko nahi aur khud shia qutub me mauzud hai kay ye ek kazzab siyasi shaksh tha khair shia jo maane hume garz nahi magar Ahle Sunnat Wa Jamat ka muttafiqua faisla hai kay Shuhda E Karbala kay baad isne un tamam qatileen Ibn Ziyad aur deegar ko maara aur iske sabab ye bada mashoor bhi huwa magar shohrat milte hi isne baad me Nabuwat ka dawa kiya Aur Hazrat Musaab Ibn Zubair Radiallahu Anhu ne isko qatl kiya or Shia ke chakkar me bhout sare sunni Kam Ilmi isko Achha samjhte hain
Khud ko sunni kahne wale kuch Makkar ka kehna hai ke isne aisa koi dawa nahi kiya bichare Kam Ilmi sunni isme Fass jaate hain aur Shia ne iss Kazzaab Mukhtar Saqfi par ek puri series banayi hai Mukhtar Nama ke naam se jisme iss kazzaab mukhtar Saqfi ko hero batane ki koshish ki hai.
Khair Shia Isko Kuch bhi maane hume unse unke dalail se koi garz nahi hai magar Ahle Sunnat me to iske baare me ittefaq hi raha hai ke isne dawa e Nabuwat kiya tha.Aksar logo ka kehna Hai ke isne itna bada kaam kiya hai ye kaise raah e haq se bhatak sakta hai, Ye baat ek laa ilm shaksh hi karega Shaitan Farishto ko padhata tha bahut ALLAH wala tha Ibadat guzaar tha magar uski ana aur ghamand ne usko kafir kiya, Ye bas ALLAH ka Fazal hai jo banda sahih raah par kayam rahe, warna koi aisa kanoon shariat me nahi hai ke koi shaks bada kaam kare to wo gumraah nahi ho sakta.
Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Al Mutwaffa 256 Hizri apni Sahih me hadees riwayat karte hai:
Yaani kabhi kabhi aisa hota hai ke ALLAH Taa’la galat logo se bhi accha kaam le leta hai. ALLAH TAALA HUM SABKA IMAN PAR KHATMA FARMAYE.
Sahih Bukhari, Kitab Al Maghazi, Baab Ghazwa E Khaybar, Hadees : 4203).
Hazrat Asma binte Abu Baqr Raziallahu anha Farmati hai Hajjaj ibn Yusuf Se Suno Rasoolullah ﷺ Ne Hume Bataya Tha Ke Banu Thaqif me ek Bahut Bada Kazzab hoga aur bahut bada Saffaq hoga Kazzab (Mukhtar Saqafi) ko to humne dekh liya aur Saffaq to mai nahi samajhti ke tere alawa koi aur hoga, Ye Sunke Hajjaj Wahan Se uth khada hua aur unhe koi jawab naa de saka.
(Sahih Muslim, Kitab Fazail E Sahaba, Pg 1261, Hadees : 6391{2541})(Imam Ahmad Musnad Ahmad Vol : 07, Pg : 752, Hadees : 26727).
Hazrat Abdullah Ibn Umar Raziallahu anha Se marwi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya: Banu Thaqif me Ek Jhoota Aur Halak Karne Wala Hoga. Imam Tirmizi Farmate: Hai Kazzab Aur Jhute Se Murad Abu Ubaid Mukthar Saqafi Hai Aur Halak karne Wale Se Murad Hajjaj Ibn Yusuf hai.
(Sunan Tirmizi, Kitabul Fitan, pg : 501, Hadees : 2220
Hazrat Abdullah Ibn Umar Raziallahu anha bayan karte hai Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Thaqif kabile me ek Shaksh Kazzab Aur Ek Jalim Hoga, Abdullah bin Asma ne kaha Kazzab Se Muraad Mukhtar Ibn Abu Ubaid Aur Jaalim Se Muraad Hajjaj Ibn Yusuf Hai.
(Mishkat Al Masabih Vol 03, Baab Manaqib Al Quraish, Pg :1689, Hadees : 5984) Scan page Sahih Hadees Tehkeek.
Mukhtar shaqfi Jo Ahle Bait ke qatilo se badla lene ke liye mash’hoor hai, baad me usne khud Nabi hone ka dawa kar diya aur kafir hogaya.
Ref: Imam Haitami – Al Sawaiq ul Muhriqa page 542.
Hazrat Abdullah ibn Zubair Raziallahu anha Se Riwayat hai Ke Rasool E Karim ﷺ Ne Farmaya Kayamat Uss waqt tak kayam nahi hogi jab tak 30 Kazzab wa Dajjal naa nikal aayei'n, Unhi me se Musailma Kazzab, Aswad Al Ansi Aur Mukhtar hai.
(Imam Bayhaqi Dalailul Nabuwah, Vol : 06, Pg : 481)(Imam Ahmad Ibn Hanbal Vol : 06, Pg : 45, Hadees : 6786 Musnad ibn Zubair Radiallahu Anhu)(Hafiz Ibn Kathir Mozejat Un Nabi Pg : 179).
Hazrat Maula Ali Raziallahu anha ne Farmaya: Allah use (Mukhtar Saqafi) ko Halaak kare ke wo Hamare Ta’alluq Kasbiyo se Batata hai ! Agar Uska Dil Cheer Kar Dekha Jaaye to LaatUzza ki Mohabbat se Bhara hoga.
Ref: Al isaaba, Harf Meem, Page no.1377.
Imam Ibne Hajar Asqalani Likhte hai'n : Mukhtar Saqafi ne Hazrat Abdullah ibne Zubair Ka Saath Chhod Diya aur Phir Hazrat Husain Ke Khoon ke Mutalbe ka Dhoka deta tha, Duniya Talbi se Khush hota tha, Jhooth aur Junoon se Bhari Baatei'n karta tha.
Ref: Al isaaba, Harf Meem, Page no.1377.
Hazrat Ubaida Salmaani Rehmatullaha Alaih ne hadees bayan ki 30 dajjal wali phir Hazrat Ibrahim Ibn Nakhai Rehmatullaha Alaih Ne Kaha Aye Ubaida Radiallahu anha Kya Aap Mukhtar Saqafi ko unhi me se samajhte hai to unhone kaha Ye to Uske Sardaro'n me se hai.
(Sunan Abu Dawood, Pg : 542,Kitab Al Malahim, Hadees : 4335).
Hazrat Rifa’ah ibn Shaddad Al Qitbani Radiallahu Anhu Kahte hai Agar Wo Hadees Naa hoti jo maine Hazrat Amr Ibn Hamik Khuzayi Radiallahu Anhu Se Suna tha, To Mai Mukhtar Saqafi ka Sar uske jism se alag kar deta, Maine Hazrat Amr ibn Hamik Radiallahu Anhu Ko ye Kahte suna Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya hai Jisne Kisi Ko Jaan ka Aman diya Phir usko Qatl Kar diya to qayamat ke din dagabaaj ka jhanda uthane wala hoga.
(Imam Ibn Majah Kitabul Diyaa’t,Vol :03, Pg : 693, Hadees : 2688)(Wahabi Naseerudin Albani Al Silsila Sahih, Hadees : 1679).
Mukhtar bin Abu Ubaid Saqafi ibtedai Daur me Naasbi tha aur Hazrat Ali se Shadeed Bugz rakha karta tha, Ulema ne kaha hai ke Kazzaab Se Murad Mukhtar Saqafi hai, Apni Shiy’at ko Zahir karta tha, iske Khaslat me Ek baat Ye bhi thi ke Kehta tha ke Mujh Par Wahi Utarti hai, isme Shak nahi ke Ye Khud bhi Zalaalat par tha aur Dusro'n ko bhi Zalaalat me Dakhil karne wala tha.
Ref: Al Bidaya Wan Nihaya, Vol 12, Pg no.65 & 71.
Hazrat Aamir Bin Shaddad Raziallahu anha Farmate hai Mere dil me Mukhtar ke baare me kuch shaq tha Mukthar ne farmaya Abhi Jibrail Alaihsalam mere saath khade the aur maine iraada kiya ki uski gardaan uda doo'n hatta ke phir Nabi E Akram ﷺ ki hadees yaad aai Jisne Kisi Ko Jaan ka Aman diya Phir usko Qatl Kar diya to qayamat ke din dagabaaz ka jhanda uthane wala hoga.
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 404, Hadees : 8121)(Imam Zahbi Siyar Al’am Al Nubala Vol : 03, Pg : 531).