17-Nov-2023

𝙉𝙖𝙗𝙞 ﷺ 𝙈𝙪𝙠𝙝𝙩𝙖𝙖𝙧 𝙚 𝙠𝙪𝙡 𝙝𝙖𝙞𝙣, 𝙟𝙞𝙨𝙚𝙮 𝙟𝙤 𝙘𝙝𝙖𝙝𝙚 𝙖𝙩𝙖𝙖 𝙠𝙖𝙧 𝙙𝙚𝙮𝙣

Aaj kuch Gustaaq Firqe Naam Nihaad Ahle Hadees, Deobandi Wahabhi Kalma to Huzoor ﷺ ka Padhte hai lekin Aqeedah Abu Jahal wala rakhte Hain , Nabi ﷺ kuch de nahi skte Maazallah استغفراللہ Nabi ﷺ kisi Ka Fayda nahi Phocha skte Wo bhi Hamari Tarah hain.

Surah Tauba Ayat No.74

یَحۡلِفُوۡنَ بِاللّٰہِ مَا قَالُوۡا ؕ وَ لَقَدۡ قَالُوۡا کَلِمَۃَ الۡکُفۡرِ وَ کَفَرُوۡا بَعۡدَ اِسۡلَامِہِمۡ وَ ہَمُّوۡا بِمَا لَمۡ یَنَالُوۡا ۚ وَ مَا نَقَمُوۡۤا اِلَّاۤ اَنۡ اَغۡنٰہُمُ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ مِنۡ فَضۡلِہٖ ۚ فَاِنۡ یَّتُوۡبُوۡا یَکُ خَیۡرًا لَّہُمۡ ۚ وَ اِنۡ یَّتَوَلَّوۡا یُعَذِّبۡہُمُ اللّٰہُ عَذَابًا اَلِیۡمًا ۙ فِی الدُّنۡیَا وَ الۡاٰخِرَۃِ ۚ وَ مَا لَہُمۡ فِی الۡاَرۡضِ مِنۡ وَّلِیٍّ وَّ لَا نَصِیۡرٍ ﴿۷۴﴾

Kanzul Iman Translation

Allah Ki Qasam Khaate Hai’n Ke Unho’n Ne Na Kaha Aur Beshak Zaroor Unho’n Ne Kufr Ki Baat Kahi Aur Islaam Me’n Aa Kar Kaafir Ho Gaye Aur Woh Chaaha Tha Jo Unhe’n Na Mila Aur Unhe’n Kya Bura Laga Yehi Na Ke Allah Wa Rasool Ne Unhe’n Apne Fazl Se Gani Kar Diya To Agar Woh Tauba Kare’n To Unka Bhala Hai Aur Agar Muh Phere’n To Allah Unhe’n Sakht Azaab Karega Duniya Wa Aakherat Me’n Aur Zameen Me’n Koi Na Unka Himaayati Hoga Na Madadgaar.

Sureh Nisa Ayat No.65

فَلَا وَ رَبِّکَ لَا یُؤۡمِنُوۡنَ حَتّٰی یُحَکِّمُوۡکَ فِیۡمَا شَجَرَ بَیۡنَہُمۡ ثُمَّ لَا یَجِدُوۡا فِیۡۤ اَنۡفُسِہِمۡ حَرَجًا مِّمَّا قَضَیۡتَ وَ یُسَلِّمُوۡا تَسۡلِیۡمًا ﴿﴾

Kanzul Iman Translation

To Aye Mehboob Tumhaare Rab Ki Qasam Woh Musalmaan Na Ho’nge Jab Tak Apne Aapas Ke Jhagde Me’n Tumhe’n Haakim Na Banaaye’n Phir Jo Kuchh Tum Hukm Farmaado Apne Dilo’n Me’n Usse Rukaawat Na Paaye’n Aur Jee Se Maan Le’n.

Surah Tauba Ayat No.29

قَاتِلُوا الَّذِیۡنَ لَا یُؤۡمِنُوۡنَ بِاللّٰہِ وَ لَا بِالۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِ وَ لَا یُحَرِّمُوۡنَ مَا حَرَّمَ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَ لَا یَدِیۡنُوۡنَ دِیۡنَ الۡحَقِّ مِنَ الَّذِیۡنَ اُوۡتُوا الۡکِتٰبَ حَتّٰی یُعۡطُوا الۡجِزۡیَۃَ عَنۡ ‌یَّدٍ وَّ ہُمۡ صٰغِرُوۡنَ

Kanzul Iman Translation

Lado Unse Jo Imaan Nahee’n Laate Allah Par Aur Qayaamat Par Aur Haraam Nahee’n Maante Uss Cheez Ko Jisko Haraam Kiya Allah Aur Uske Rasool Ne Aur Sachche Deen Ke Taab’e Nahee’n Hote Ya’ni Woh Jo Kitaab Diye Gaye Jab Tak Apne Haath Se Jizya Na De’n Zaleel Hokar.

QAYAMAT KE DIN ALLAH ﷻ APNE NABI ﷺ SE FARMAYEGA

Apni Ummat ke pas jaye aur jiske dil me jou ke daane ke barabar iman Paaye Usko JANNAT ME DAKHIL KIJIYE

MUSNAD AHMAD 12408

Rasoolullah ﷺ ने farmaye:”Mera naam ‘Ahyad’ Isliye hua ke Mai apni Ummat se dozakh ki aag ko door karta hoo”

“Reference: Ibn Asakir – Tarikh Dimashq 2/18, Ibn Adi – Al kamil 1/548.Qastalani – Muwahib ul Laduniya 1/388

Ek Ansari Sahabiya ne jab Rasul Allah ﷺ ka patla saada bistar dekha to Rasoolullah ﷺ ki khidmat me Sayyida Ayesha رضي الله عنها ke pas ek oon wala narm bistar pesh kiya, jab Huzoor ﷺ ne Ise Dekha to Farmaya Aye Ayesha Allah ki Qasam, agar mai Chahta to Allah ﷻ Sone aur chandi ke pahado ko mere sath chala deta

Ref: Baihaqi – Shuab ul Iman 1395

Ek Martaba Rasoolullah ﷺ raat me safar kar rahe the ki aapki sawari par rakha thaila gir gaya, Aapne farmaya “Jo mera kujawa sidha kare uske liye jannat hai!” Hazrat Talha رضي الله عنه ne foran aage badh kar use sidha kardiya, Rasoolullah ﷺ ne farmaya : “Tumhare liye jannat hai aye Talha!”

REF: TABRANI MOJAM UL AUSAT 3172

Wahabi Deobandi Ahle’hagees* Najdi Hamare Nabi ﷺ Ko Apni Tarah Kehte Samjhte *Maaz’Allah Nauzbillah*

Aab Aaiye Dekhe Sahabi Ka Kya Aqeeda Tha_Hazrat Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Riwayat Karti Hain Ki Ek Sahabi Huzoor ﷺ Ke Paas Hazir Hue Ramzan Me Janabat (Na’paki) Ke Talluk Se Masla Puchne Ke Bare Me To_ *Sahabi Ne Kaha Ya Rasool Allah ﷺ Aap Hamari Tarah Nahi Hai.

Reference Book* Sunan Abu Dawud Vol *3* Hadees *2389*

Anas bin Malik Hazrate Anas رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Farmate Hai Ki Baarish Ka Farishta Huzoor ﷺ Ki Baargaah Mein Haazir Huwa To Us Waqt Imaame Husain رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Aaye Or Aaqa ﷺ Ki Gaud Mein Beth Gaye To Aaqa ﷺ Un Ko Chumne Or Pyaar Karne Lage Us Farishte Ne Pucha Ya Rasulallah ﷺ Aap In Se Pyaar Karte Hain Farmaya Haan To Kehne Laga Ki Aapki Ummat Husain رَضِىَ اللّٰهُ تَعَالٰى عَنهٔ Ko Qatal Kar Degi Agar Aap Chaahein To Mein Inki Qatal Gaah Ki Mitti Dikha Dun Fir Us Fariste Ne Surkh ( Laal ) Mitti Laa Kar Di.Us Mitti Ko Umme Salma Ne Apne Kapde Mein Le Liya.Hazrat Thabit Bunani Farmate Hai Hamare pass jo baat pahuchi wo ye kay Karbala hai.

(Imam Abu Ya’la Al Musnad Vol. 6, Pg. # 129, # 3402) #647)(Imam Ahmad Ibn Hanbal Al Musnad, Hadees Umm Salamah, Vol : 10, Pg : 180, Hadees : 26586)(Imam Al Bazzar Al Musnad, #2642)(Imam Al Haythami Majma Al-Zawa’id. Vol. 9, Pg. # 217, # 15111)(Shaykh Nasiruddin Albani Silsilat Al-Ahadith Al-Saheeh. Vol. 2, Pg. # 465-466)Albani Ne Kaha ye hadees Bukhari Wa Muslim Ki Shart par sahih hai.(Imam Ahmad ibn Hanbal Fada’il Al-Sahaba. Vol. 2, Pg. # 965 – 966. Hadees : 1357)(Imam Tabarani Al Mu’jam Al Kabeer, Vol :03, Pg : 107, #6814 or 2814)(Imam Ibn HIbban Sahih Vol : 15, pg :142, #6742)Hadith Hasan, (Imam Abu Nuaym Dalailun Nubuwwah Vol:01, Pg 553, #492)(Imam Bayhaqi Dalail Un Nubuwwah, Vol : 06, Pg : 469)(Imam Zahabi Siyar Vol : 03, Pg : 288, 289)(Imam Al Mizzi Tahzeeb Al Kamal, Vol : 06, Pg : 408)(Imam Hussamuddin Hindi Kanzul Ummal, #37672)(Imam Suyuti Khasais Ul Kubra Vol : 02, Pg : 450)

Ibn Taymiyyah ne kaha:

Is baat ka KOI INKAR NAHI KARTA KI,

SAARI DUNYA UNKE (ﷺ) LIYE BANI HAI, AUR AGAR WO NA HOTE TOH YE PAIDA NA HOTI

REFFRENCE:Majmu’ al-Fatawa 11/96

Rasul Allah ﷺ ki ek kunniyat ‘Abu-Alqasim’ bhi hai kyuki Huzoor ﷺ Qayamat ke din logo me jannat taqseem farmayege

Tabai Buzurg Sulaiman bin suhaym ne Rasoolullah ﷺ ki khwab me Ziyarat ki aur arz ki “ya Rasul Allah ﷺ jo log apki bargah me hazir hokar salam pesh karte hai kya apko unke salam karne ka ilm hota Hai? Rasoolullah ﷺ NE FARMAYA: HAAN AUR MAI UNHE JAWAB BHI DETA HU

REF: BAIHAQI-SHUAB UL IMAN 6/54

Rasoolullah ﷺ NE FARMAYA JO MUJH Par Durood O SALAAM Padhega Mein USKI SHAFAAT Farmauga

REF: AL QAWL AL-BAdi [Published Dar al-Reyan Beirut Vol1 Page 261

Hazrat Asma’ رضي الله عنها Farmati Hai:

YAHI WO MUBARAK JUBBA HAI JISE HUZOOR NABI E KARIM ﷺ PAHANTE THE TOH hum use dhokar uska paani bimaaro’n ko pilaate aur uske zariye shifa talab ki jaati

Sahih Muslim » The Book of Clothes and Adornment Hadith 2069

“JO SHAKHS JUMMAH KE DIN AUR RAAT 100 MARTABA MUJHPE DUROOD BHEJEGA ALLAH USKI 100 HAJATE PURI KAREGA 70 HAJATE AKHIRAT KI AUR 30 HAJATE DUNIYA KI AUR ALLAH USKE SAATH FARISHTE MUQARRAR FARMA DETA HAI JO Usey Lekar Mere Paas MERI QABR MUBARAK ME AISE AATA HAI JAISE TUMHARE PAAS HADIYE AATE HAI MERA ILM Mere Wisaal Ke BaaD BHI AISA HI HAI JAISA MERA ILM MERI HAYAT MEIN.

REF: AL KHASAISUL AL-KUBRA PUBLISHER DAR AL-KITAB Arabi Egypt Vol 2 PAGE 280

Imam Ghazali farmate hai: “Rasul Allah ko ye ikhtyar hai ki apne Sahabah ki Rooho ke sath puri duniya ki sayr kare, Kaseer Awliya ne Aapko is tarah dekha hai”-

Imam Ismail Haqqi (1127 AH) – Ruh Al Bayaan 10/99

SAYYIDUNA ABDULLAH IBN ABBAS رضي الله عنه FARMATE HAI: Jo Iman na laye unke liye bhi Rasul Allah ﷺ is duniya me Rahmat hai kyuki Huzoor ﷺ ki badoulat hi in kafiro ke Duniyawi Azabat, jaise Shaklen bigad dene, Zameen me dhansa dene, Jadh se ukhad dene ke Azab utha diye gaye

REF TAFSIR BAGHWI 5/359

Jung e Badr me 13 saal ke ek Sahabi ka hath Abu jahal ne kat diya, to wo Rasul Allah ﷺ ki bargah me apna hath lekar hazir hue, Rasul Allah ﷺ ne apna Luab (thuk mubarak) uspar laga kar unka hath jod diya to wo pehle jaisa hogaya

Ref: Qadi lyad Malili – Kitab Ush Shifa (urdu) page 292

Jab Rasul Allah ﷺ ne Makkah fateh farmaya, to Kaaba ke diwar se 360 Murtiya lagi thi, Huzoor ﷺ apni Chhadi Mubarak se Murtiyo ki taraf ishara farmate to wo khud tut kar girte jati

Ref: Imam Baihaqi – Dala’il Un Nubuwwah 5/72

Taba’i Sayyiduna Wahb bin Munabbeh farmate hai:

Maine 71 kitabon me parha hai (jo Islam se pehle likhi gayi) ke, Awwal se akhir tak Jitni Aql Tamam logo ko di gayi wo khatam un Nabiyyin Muhammad ﷺ ki Aql ke samne aisi bhi nahi jaise ek kankar puri duniya ke registano ke samne hai.

Abu Nu’aym – Hilyat ul Aulia 4/26 Qadi Iyad – Shifa 1/162 Suyuti – Khasais Kubra 1/114 Ibn Abdul Bar – Jami ul bayan 2386 Qastalani – Muwahib 2/104 Zurqani – Sharh Muwahib 6/17 Hakim Tirmidhi – Nawadir ul usool 3/257 Nabhani – Wasail ul Wusol 1/195 Salhi Shami – 7/3 Subki – Saif ul Maslul 1/466 Mulla Ali Qaari – Sharh Shifa 1/175 • Nuruddin Halabi- Seerah 3/484 Ismail Haqqi – Ruh ul bayan 5/117

Ummul Momineen Umme Salma رضي الله عنها Farmati Hai :

Maine Rasool Allah ﷺ Ko Khwab Mein Dekha Ki Aapke Baal Mubarak Aur Daarhi Mubarak Gard Aalood Hai To Pucha Ya Rasool Allah ﷺ Aap Ko Kya Huwa ? To Aapne Farmaya “Main Maqtal E Hussain Se Aaraha Hoon”

[Imam Hakim Al Mustadraq Vol: 04, Pg: 101, Hadees: 6843]

Rasool Allah ﷺ Ne Apni Wiladat Ke Fauran Hi Baad Kalam Karna Shuru Kar Diya Tha Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Riwayat Hain Ki Hazrat Dai Halima رضي الله عنها Farmati Hai Jab Mene Rasool Allah ﷺ Ko Pehli Baar Dodh Pilaya To Rasool Allah ﷺ Ne Kalam Farmaya Bole ALLAH Hu Akbar Kabiran wa-Alhamdulillah Qasiran wa-Subhan Allah Bukratan wa-Aasilan* Subhanallah Reference Book : 1 *Fath ul-Baari* Sharah *Sahih al-Bukhari* Vol *8* Page *594* & 2 *Irshad ul-Saari Sharah Sahih al-Bukhari* Vol *7* Pg *395*

_Hazrat Bara'an Azib رضي الله عنه Riwayat Hai *Rasool Allah ﷺ Eid uz Azha Ki Namaz Ke Baad Khutba Dete Hue Irshad Farmaya Ke Jis Shakhs Ne Hamari Namaz Ki Jaisi Namaz Padhi Aur Hamari Qurbani Ki Tarah Qurbani Ki To Uski Qurbani Sahi Hui Lekin Jo Shakhs Namaz Se Pehle Hi Qurbani Kare Aur Namaz Se Pehle Hi Ghosht Khataa Hai Lekin Wo Uski Qurbani Nahi Hui Hazrat Bara'a Ke Mamu Hazrat Abu Burda Ye Sunkar Bole *Ya Rasool Allah ﷺ Mene To Apni Bakri Ki Qurbani Namaz Se Pehle Kardi Aur Namaz Se Pehle Hi Uska Ghosht Bhi Khaa Liya To Rasool Allah Ne Farmaya To Wo Tumhari Qurbani Nahi Hui *To Abu Burda Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah Mere Paas Ek Palaa Hua 6 Maah Ka Bakri Ka Bacha Hai Kya Uski Qurbani Kar Du To Ho Jayegi? To Huzoor Ne Irshad Farmaya Iski Qurbani Karlo. Par Lekin Ye Ijazat Sirf Tumhare Liye Hai... Tumhare Alawa Kisi Aur Ke Liye 6 Maah Ka Bakri Ka Bacha Kaafi Nahi Hai.* **_Yani Shariyat Me 6 Maah Ke Bakri Ke Bach'chay Ki Qurbani Kisi Ke Liye Jais Nahi But Huzoor Ka Ikhtiyar e Qul Dekho Ki Huzoor Sahabi Ko 6 Maah Ke Bakri Ke Bach'chay Ki Qurbani Jais Karar De Diya_ Reference Book *Sahih Bukhari* [Published *Darussalam Najd* Saudi Vol *2* Hadees *955*

Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: Beshak Main Woh Kuch Dekhta Houn Jo Tum DEKH NAHI Sakhty Aur Main Woh Kuch SUNTA Houn Jo Tum Nahain Sun Sakhty Sunan Tirmizi 2312

Rasul Allah ﷺ ne farmaya : Jannat tamam Ambiya par Haraam hai jab tak Mai usme dakhil na hojau, aur Tamam Ummato par Haraam hai jab tak ke Meri Ummat usme dakhil na hojaye Hasan Hadith Majma uz Zawaid 16818

HUZOOR KA ﷺ IKHTIYAR : Ek Sahabi Sayyiduna usman bin Al- Aas رضي الله عنه ne Rasul Allah ﷺ se Quran bhulne se bachne ke liye madad mangi, Huzoor ﷺ ne Apna haath Mubarak unke seene par rakh kar farmaya "Aye shaitan Usman ke seene se nikal Jaa", iske bad kabhi wo Sahabi quran ka ek lafz bhi na bhule Ref: Dala'il un Nubuwwah Baihaqi 5/508, Similar narration in ibn Majah 3548

Sahabi Hazrat Jabir رضي الله عنه farmate hai: Ek Martaba Rasul Allah ﷺ ne Suraj ko hukm diya to wo din ki ek ghadi ke liye ruk gaya Imam Asqalani, Imam Haithami aur bohot se Ulama is hadees ko HASAN likhte hai Ref: Fathul Baari 6/255, Majma uz Zawaid 14095 etc

Hazrat Shah Waliullah Dehlawi رحمه الله Farmate Hain: "JAB KOI KAAM BOHAT BIGAD JAYE, To HUZOOR ﷺ AAP HI HAR BALAA SE PANAH DETE HAI" BOOK: AT YABUN NAGAM Pge no 33

اصول حدیث

آپ (ﷺ) کی خاطر بنے دو جہاں

مختار ثقفی کا ختم نبوت پر ڈاکہ

حضور ﷺ نور ہیں ۔

اہل سنت والجماعت۔

تبلیغی جماعت کی حقیت۔

صحابی رسول ﷺ حضرت امیر معاویہ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ کی فضیلت.

جماعت ع اسلامی کی حقیقت

کیا حضرت عمر رضی اللہ عنہ نے سیدہ پاک حضرت فاطمہ رضی اللہ عنھا کا گھر جلایا؟ جھوٹے واقعہ کی تحقیقات

صحابہ اکرام کی فضیلت رافضیوں کی کتاب سے۔