Aaj kal ek new Fashion chl rha hain Maulai Firqe k naam se . Ye Maulai khud ko Ahle Bait ka Aashiq kehte hain or Sahaba ikram ke khilaaf bhokte h ulta seedha bolte hain . Inko namaz roze dhadhi in sab se mtlb nahi sirf Qawwali laga lenge or nachte rehte h ilm se Khali rehte h or sahaba ikram ke khilaaf zuban darazi karte hain
Sahaba ikram ke khilaaf bhokte hain ye or inko agar koi Qur'an or Hadees se jawab de to dusro ko ilzam lagate hain kharji Nasbi ka.
Nabi E Karim ﷺ ne jis tarah Ahle Bait kay mutallik wasiyat farmayi thi to Sahaba Kay baare me mutallik wasiyat Farmayi hain or hum Ahle Sunnat wal Jamaat Ahle Bait se bhi muhabbat karte hain or Hazrat Muawiya رضي الله عنه sameet sabhi sahaba ikram se muhabbat karte hain . Isliye to Hamare Imam ne farmaya tha Ahle Sunnat ka hai beda paar Ashab-e-Huzoor Najm hai aur Nao hai Itrat Rasool Allah ﷺ ki"
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه se Riwayat hai k Rasool Allah ﷺ ne Irshad Farmaya : Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho (Do Martaba Farmaya) Qasam Hey Us Zaat Ki Jis Key Qabza E Qudarat Me Meri Jaan Hai Agar Tum Mey Sey Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar Dey To Phir Woh Un Ke Ser Bhar Ya Us Sey Aadhey Key Baraabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”
(Sahih Muslim, Pg : 1258, Kitab No 44 – Fazail e Sahaba, Baab No 54 Sahaba ko Bura Na kaho, Hadees : 6382) (Sunan Abu Dawood, Vol : 04, Pg : 215, Kitab Al Sunnah, Hadees : 4658) (Sunan Tirmizi, Vol : 05, Pg : 695, Kitab Ul Manakib, Hadees : 3861) (Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 57, Kitab Al. Mukaddam,Hadees 161)
Hazrat Nusair Bin Zu’look رضي الله عنه Rivayat Karte Hain Ke Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Farmaya Karte They Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ke Sahaba Kiram Ko Bura Mat Kaho Kyun Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ki Sohbat Mey Guzara Huwa Un Ka Ek Lamha Tumharey Zindagi Bhar Key Aa’maal Sey Behtar Hai.
(Sunan Ibn Majah, Vol :01,Pg : 44, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 162) (Imam Abi Shaybaah, Al Musannaf Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, Vol : 06 Pg : 405, Hadees : 32415) (Imam Ibn Abi Asim As Sunnah, Vol : 02 Pg : 484, Hadees : 1006)
Hazrat Abdullah Bin Mughaffal رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Mere Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ke Baarey Me Allah Ta’ala Sey Daro, Allah Sey Daro Aur Mere Baad Inhey Tanqeed Ka Nishaana Na Banaana, Kyun Ke Jis Ney In Se Muhabbat Ki Us Ne Meri Wazah Se Un Se Muhabbat Ki Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakha Us Ne Mere Bughz Ki Wazah Se Un Se Bughz Rakha Aur Jis Ne Unhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Mujhey Takleef Pahunchaayi Us Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Aur Jis Ney Allah Ta’ala Ko Takleef Pahunchaayi Anqareeb Allah Ta’ala Usey Pakreyga.”
(Sunan Tirmizi, Pg : 861, Kitab Manakib, Hadees : 3862) (Musnad E Ahmad Ibn Hambal, Vol:05,Pg :54&57,Hadees-20549,20578) (Imam Bayhaqi Shoebu Imaan Vol : 02, Pg : 191, Hadees : 1511) (Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus, Vol : 01, Pg : 146, Hadees :525)
Hazrat Jabir Bin Samurah رضي الله عنه Se Rivayat Hai Unhoney Bayan Kiya Key Hazrat Umar رضي الله عنه Ney Jaabiya Key Maqaam Par Hamey Khutba Diya, Phir Farmaya : Hamarey Darmiyan Huzoor Nabi E Akram ﷺ Yoo’n Qiyam Farmatey They Jaisey Mey Tumharey Darmiyan Khara Hoo’n Aur Aap ﷺ Ney Farmaya Mere Sahaba Ke Baarey Mey Meri Hifaazat Karo (Ya’ni Un Ki Izzato Ehteraam Karo.) (Aur Un Logon Ki Izzato Ehteraam Karo) Jo In Ke Baad Aaney Waaley Hain. Phir (Un Logon Ki) Jo In Key Baad Aaney Waaley Hain. Aur Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Anho Sey Marwi Aik Riwayat Me Farmaya : Mere Sahaba Se Acha Sulook Karna.”
(Sunan Ibn Majah Pg : 404, Kitab Al Ahkaam, Hadees : 2363) (Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Vol : 01, 98, Hadees : 144) (Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 01, Pg : 187,188, Hadees : 388, 390) (Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol : 06, Pg : 306, Hadees : 6483)
Hazrat Hasan رضي الله عنه Se Rivayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Apne Sahaba Se Farmaya Tum Logo’n Me Aise Ho Jaise Khane Me Namak Hota Hai. Raawi Kahte Hain Ki Hazrat Hasan رضي الله عنه Ne Kaha Ki Namak Ke Beghair Khana Accha Nahin Hota Phir Hazrat Hasan رضي الله عنه Ne Kaha Us Qaum Ka Kya Haal Hoga Jis Ka Namak Hee Chala Gaya.”
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Fazail Us Sahaba, Vol :01, Pg :59, Pg : Hadees : 17) (Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 06, Pg : 404, Hadees : 32405) (Imam Abdullah Ibn Mubarak Kitab Uz Zuhd, Vol : 01, Pg : 200, Hadees : 572
Hazrat Sauban رضي الله عنه Se Marwi Hai Ki Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Jab Mere Sahaba Ka Zikr Kiya Jaaye To Khaamosh Ho Jaao Jab Sitaaro’n Ka Zikr Kiya Jaaye To Khaamosh Ho Jaao Aur Jab Qadr Ka Zikr Kiya Jaaye To Bhi Khaamosh Ho Jaao.”
(Imam Tabarani Al-Mujam ul Kabir, Vol : 02, Pg : 96, Hadees:1427)
Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Sey Riwayat Hey Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya : Jab Tum Un Logon Ko Dekho Jo Merey Sahaba Ko Bura Bhala Kahtey Hain To Tum (Unhey) Kaho Tumharey Sharr (Buraayi) Par Allah Ta’ala Ki Laanat Ho.”
(Jamai Tirmizi, Pg : 870, Kitabul Manakib,Hadees : 3866) (Imam Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, Vol :08, Pg : 191,Hadees : 8366) (Daylami Musnad-ul-Firdaws, Vol : 01, Pg : 263, Hadees : 1022)
Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله عنه Se Marvi hai Nabi E Karim ﷺ ne Farmaya Allah Taa'la Ki Lanat hai unpe jo mere Sahaba ki tauheen karte hai.
(Imam Tabrani Al Mujam Al Ausat, Hadees : 7198) (Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabeer Hadees :13588 (Imam Jalaludin Suyuti Jaame Us Sageer, Hadees : 7260) (Hafiz Ibn Kathir Jami Al Masaneed Wa Sunan, Vol :01, Pg : 458, Hadees : 983) (Imam Nurudin Haythami Majmaʻ al-zawāʼid wa-manbaʻ al-fawāʼid, Vol : 10, Pg :21)
Hazrat Uwaym Bin Saidah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Beshak Allah Ta’ala Ne Mujhe (Apna Pasandidah Rasool) Ikhtiyar Kiya Aur Mere Liye Mere Sahaba Ko Ikhtiyar Kiya Pass Is Ne Mere Liye Un Me Se Wujara’ Banaaye Aur Qareebi Rishtedar Aur Ansaar(Madadgaar) Pas Jis Ne Inhein Gaali Dee To Us Par Allah Ta’ala Aur Us Ke Firishto’n Aur Tamam Logo’n Ki La’nat Ho Aur Qiyamat Ke Roz Allah Ta’ala In Ke Kisi Her Pher Ya Daleel Ko Qubool Nahin Karega.”
(Imam Hakim Al Mustadrak, Vol : 05, Pg : 491,Hadees : 665) (Imam Tabarani Al-Mu’jam ul Awsat, Vol : 01, Pg : 144, Hadees : 456) (Imam Ibn Abi Asim As-Sunnah, Vol : 02, Pg :483,Hadees :1000)
Hazrat Ata’ Bin Abu Ribah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Jis Ne Mere Sahaba Ki Meri Wajah Se Hifazat Kee Aur Izzat Kee To Qiyaamat Ke Din Mein Us Ka Muhaafiz Hounga Aur Jis Ne Mere Sahaba Ko Gaaliya’n Dee To Us Par Khuda Kee La’nat Ho.”
(Fazail E Sahaba Imam Ahmad Ibn Hanbal, Pg : 43, Hadees :10)
Hazrat Jabir Bin Abdullah رضي الله عنه Se Marwi Hai Woh Kahte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi E Rehmat ﷺ Ko Yeh Farmate Huwe Suna Ki Beshak Log Kaseer Ta’daad Me Hain Aur Mere Sahaba Qaleel Hain. Pas Mere Sahaba Ko Bura Bhala Mat Kaho Aur Jis Ne In Ko Bura Bhala Kaha Us Par Allah Ta’ala Kee La’nat Ho.”
(Tabarani Al Mujam ul Awsat, Vol : 02, Pg : 47,Hadees : 1203) (Imam Abu Yala Al Musnad Vol : 04, Pg : 133, Hadees : 2184)
Imam ul Muslimeen Imam E Ahle Sunnat Imam Ahmad Ibn Hanbal رحمتہ اللہ علیہ (Al Mutwaffa 241 Hizri) "Hazrat Abdullah (Imam Ahmad Ibn Hanbal Kay Sahabzade) Bayan Karte Hain Mene Apne Walid e Girami Se Us Aadmi Ke Bare Main Pucha Jo Nabi Kareem ﷺ ke Kisi Sahabi Ko (Maaz Allah) Gali Deta Hai Tu Aap Radiallahu Anhu Ne Farmaya Main Us Aadmi Ko(Jo Huzoor Sallal Laho Alaihi Wasallam Ke Kisi Sahabi Ko Gali De) Islam Par Nahi Samjhta.
(Imam Khallal As Sunnah, Vol : 03, Pg : 483, Hadees : 782)
Imam Abu Jafar Al Tahawi Hanfi Rahmatullah Alaih (Al Mutwaffa 321 Hijri) jo Imam Hai tamam Ahnaf kay apni aqeede ki kitab me likhte hai : Hum Ashabe Rasool Se Muhabbat Karte Hain Or Hum Inmese Kisi Ki Muhabbat Me Is Ke Haq Se Zada Nahi Badhte.Or Na Hi Inmese Ki ki Bar'at Ka Izhar Karte Hain.Hum Unse Buzg Rakhte Hain,Jo Sahaba Kiram Rizwan Ul Alaihim Ajmaeen Se Buzg Rakhta Hai.Hum Inse Bhi Buzg Rakhte Hain Jo Inka Ache Andaz Me Naam Nahi Leta .Hum Sahaba Kiram Rizwan Ul Alaihim Ajmaeen Ka Tazkira Intehai Muhabbat Bhare Andaz Me Karten Hain. Sahaba Kiram Rizwan Ul Alaihim Ajmaeen Ki Muhabbat Deen, Imaan Aur Ehsan Ki Alamat Hai,Aur Inse Buzg Kufr,Nifaq Aur Sarkashi Hai.
(Al-Aqidah al-Tahawiyyah, الثَّنَاءُ عَلَى الصَّحَابَةِ ,Pg : 71 )
Imam Ibn Abdul Barr Maliki رحمتہ اللہ علیہ (Al Mutwaffa 492 Hizri) "Hum Musalamano Ka Ahle Haq Ka ispe Izma ittefaque hai kay Hum Sahaba ka baare me bahes na karnge ruk jayenge.
(Al-Isti'ab fi marifat al-ashāb Vol : 01 Pg :23)
Aashiq E Rasool ﷺ Imam Qazi Iyaz Maliki رحمتہ اللہ علیہ (Al Mutwaffa 544 Hizri) "In Mukaddas Hazrat Ahle Bayt, Umhatul Momineen aur tamam Sahaba e Kiram Rizwanullahim Azmayeen ki Shaan me tankees karna haram hai aur tankees karne wala Maloon (lanati) hai"
(Al-Shifa bi Ta'rif Huquq al-Mustafa ﷺ Pg : 876
Mullah Ali Qari Hanfi رحمتہ اللہ علیہ (Al Mutwaffa 1014 Hizri) Unhone Apni Mashoor Kitab jo Sharh hai Shifa ki likhte hai "Jo Rasool Allah ﷺ Ke Kis Bhi Sahabi Par Ghazab'naak Hua Wo Kafir Hai Kyunke Allah ﷻ Ka Irshad Hai Sahaba Par Ghazab'naak Kafir Hote Hai.
(Sharh Al-Shifa bi Ta'rif Huquq al-Mustafa ﷺ Vol :02,Pg : 95)
Sahaba E Kiram Rizwanullahim Azmayeen Kay Ektelafat Pe Syedna Gaus E Azam رضي الله عنه Ka Aala Faisla “Kharjio ka kaul iske khilaf hai Allah unko halaak kare who kahte hai Hazrat Ali Radiallahu Anhu Kabhi Imam Bar-haq Naa They. Ab Raha Ye Mamla Ki Aap ki Hazrat Talha, Hazrat Zubair, Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Aur Ameer Mauviya (Rizwanullahim Azmayee) Se Jung Huwi to Imam Ahmad ibn Hanbal Rahmatullah Alaih Ne Is Silsile me Sarahat Farmayi Hai Is Mamle balki un tamam, ektelafat aur Naza’at kay bare me khamosh raha jaaye jo sahaba e kiram kay darmiyan waqay huwe kyuki kayamat kay din ALLAH Taala un kay Bahmi Tanazaat ko dur kar dega. Irshad E Rabbani Hai “UNKE DILO ME JO BAHMI RANZISH HOGI HUM USKO DUR KARDENGE AUR BHAI BHAI HOYANGE WHO SAAMNE SAAMNE TAKHT PAR BETHE HONGE (Surah Al Hizr Ayat 47)” Alawa Azi Ye Baat Bhi Hai ki Ahle Hallo Aqd (Madina) Ne Hazrat Ali رضي الله عنه Ki khilafat par Ittefark kar liya tha isliye Aap ko khud Apni Khilafat Sahih Hone Ka Yakin Tha Aur Mukhalifeen Se JUNG KARNE ME WOH HAQ PAR THEY isliye ki jo bhi Itaat Ameer Se Bahar Huwa Aur Jung Ka Jhanda Buland Kiya woh baagi hogaya aur Baagi Se Jung Karna Jaiz Tha. RAHA AMEER MAUVIYA AUR HAZRAT TALHA AUR HAZRAT ZUBAIR Radiallahuanhum ka Maamla to wo bhi haq par they isliye kay wo khalifa e mazloom (Usman E Gani) ka badla Lena chahte the Aur KAATIL HAZRAT ALI KAY LASHKAR ME MAUZOOD THEY. Pas Har Farik kay pass jung kay jawaz ki ek wajah mauzood thi lihaja HAMARE LIYE SAKOOT IS SILSILA ME SABSE ACCHI BAAT HAI UNKE MAAMLE KO ALLAH KI TARAF LAUTA DENA CHAHYE DENA CHAHYE WO SABSE BADA HAKIM HAI AUR BEHTAREEN FAISLA KARNE WAALA HAI. Hamara Kaam hai ki hum Apne Aib par Nazar daale’n aur dilo ko gunaho ki chizo aur apni jaahiri halaat ko tabahi angez kaamo se paak aur saaf rakhe.
(Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 112)
Hazrat Ali رضي الله عنه Wa Deegar Ashab E Rasool ﷺ Kay Darmiyan Waqaye Huwe Ektelaf par faisla AHLE SUNNAT Ka Izmayi Maukoof Likhte Hai "Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Is baat pe Ittefak hai Jin baato par Sahaba E Kiram Kay Darmiyan Ektelaf Hai Unse Jaban Ko Roka Jaaye Usme Bahas Guftgu naa ki jaaye. Sahaba ki Badhgoi Se Jaban Ko Band Rakha Jaaye Unke FAZAIL Wa Mahasin ko bayan karna Aur Unke Baahmi Ektelaf ko ALLAH Taala Kay Supurd karna Wajib Hai, Jis Tarah bhi unka Wakaye huwa. Jaisa Hazrat Ali Radiallahu Anhu Aur Hazrat Talha, Hazrat Zubair, Hazrat Umool Momineen Ayesha Siddiqa Aur Ameer Mauviya kay darmiyan ektelaf wakeh huwa jiska zikr pahle hochuka aur us ektelaf par bahas naa kare aur Jaban Ko Band kare Har Sahabi Buzurgi Aur Fazilat ka aitraaf karna jaruri hai. Allah Taala Ka Irshad Hai “Woh Jo log baad aaye hai kahte hai Aye Hamare Parwardigar hume baksh de aur un bhaiyo ko bhi jo imaan me humse pahle guzar Chuke unke baabat hamare dilo me koi burayi paida naa ho Aye Hamare Rab Tu hi Shafkat Aur Raham Karne Waala hai" (Surah Hashr Ayat 10) Ek Aur Ayat Me Irshad Farmaya Hai //Yeh Ummat Woh Hai Jo Guzar Chuki Hai us Giroh Ne Jo kuch kiya uska jawab unhi kay jimme hai jo kuch tum karoge to uske jimmedar hoge un logo kay baare me tumse nahi pucha jayga// (Surah Baqrah Ayat 134)"
(Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 113/114)
Hazrat Burida رضي الله عنه ki rivayat hai kay Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Jis Jameen par Mera koi Sahabi Faut Hoga Usko Us Jamin Waalo’n Kay Liye Kayamat kay Din Shafi Banaya Jayga, Hazrat Sufyaan bin Uyaynah Ka Kaul Hai Ki Rasoolullah ﷺ Kay Ashaab Kay Mutallik Jo Shaks EK (Badh) LAFZ BHI KAHEGA WO GUMRAAH AUR BAD RAAH HOGA.
(Syed Peer Shaykh Abdul Qadir Gilani, Al-Ghunya li-Talibi Tariq al-Haqq Pg : 114
*Sahaba e Kiraam Ko Chorkar Huzoor ﷺ Ki Perwi Karna* Hazrat *Imam e Rabbani* Mujaddid-e-Alfay Sani Likhte Hain *Sahaba e Kiraam Ke Tarike Ki Pairwi Se Mukhalifat Karte Hue Rasool Allah ﷺ Ki Itteba wa Pairwi Ka Dawa Karna Sarasar Batil Dawa Hai Balki Aisi Itteba Dar Haqikat Rasool Allah ﷺ Ki Aain Masiyat Aur Na'farmani Hai Lehaza Sahaba e Kiraam Se Mukhalif Tarika Ikhtiyar Karke Nijaat Ki Majaal wa Ghunjaish Aur Nijaat Ka Makam Kaha Hai Aur Usme Zarra Bhar Shak Nahi Hai Ki Sahaba e Kiraam Ki Itteba Ka Paband Sirf Ahle'sunnat wa-Jamaat* (Barelvi) *Ka Giroh Hai Lehaza Nijaat Pane Wala Bhi Yahi Firqa Hai Kyunki Sahaba e Kiraam Par Taan-o-Tashni Karne Wale Firqe Sahaba e Kiraam Ki Itteba Se Mehrom Hai Jaise Shia Khawarij Mutazali Ye Sab Nai Paidawar Firqe Hai* ╰┈➤ _Yani Maloom Hua Ki Aaj Jo Khanqah Ke Gadde Nasheen Tafzili Mujawar's Rafzi Peer Ye Chillate Hai Ki Hum Sirf Huzoor ﷺ Ki Perwi Karte Hai Aur Sahaba Ki Nahi Tu Wo Sab Ahle'sunnat wa-Jamaat Se Kharij Hai Aur New Bid'ati Firqa *Sanabili Shamaili* Company Wale Jo Hazrat Muawiya رضي الله عنه Par Taan-o-Tashni Karte Hai Ye Kaun Hai Mere Imam Ne 500 saal pehle Bata Diya.
Reference Book *Maktubat Sharif* Jild *1* Safa *216*
Rasul Allah ﷺ ne farmaya : "Usman ki Shafat se 70,000 aise log begair hisaab Jannat me dale jayege jinpar Jahannum wajib hochuki hogi" Ibn Asakir (571 Hijri) - Tarikh Dimashq 39/122 Suyuti - Jami Saghir 10342