Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se Riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Qabro ki Ziyarat karo kyunki ye tumhey Aakhirat ki yaad dilati hain.
Sayyedna Ibne Umar رضی ﷲ تعالی عنہ Byaan Karte Hain Ke Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya : Jis Shaks Ne Meri Wafat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki To Usne Goya Meri Zindagi Me Meri Ziyarat Ki.
(Sahi Muslim Volume 3 Hadees 5114)
(Sunan Darqutni / Jild 2 / Hadees – 2693)
Sayyedna Ibne Umar رضی ﷲ تعالی عنہ Byaan Karte Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya : Jis Ne Meri Qabr Ki Ziyarat Ki- Uske Liye Meri Shafa'at Wajib Ho gai.
(Sunan Darqutni / Jild 2 / Hadees – 2695)
Muhammad Bin Umarرضی اللہ عنہ Farmatay Hain Ke RasoolAllahﷺ Ne Hazrat Abu Ayub رضی ﷲ تعالی عنہ Ko Aur Hazrat Mus'ab Bin Umair رضی ﷲ تعالی عنہ Ko Ek Dusre Ka Bhai Bhai Banaya. Hazrat Abu Ayyub رضی ﷲ تعالی عنہ Ne Ghazwa e Badar, uhud, Khandaq Aur Tamam Ghazwaat Me RasoolAllah ﷺ Ke Hamrah Shirkat Ki. Hazrat Muawiya Ki Khilafat Me Un Ke Bete Ne 52 Hijri Ko Kustuntunia Par Hamla Kiya, Iss Jung Ke Dauraan Aap Shaheed Hue, Aap Ka Mazaar Shareef Room Me Kustuntunia Ke Qile Ki Deewar Ke Saath Hai. Aap Ka Mazaar Shareef Marja e Khalaiq Hai, Log Dur Daraaz Se Aap Ki Qabr Ki Ziyarat Ke Liye Aate Hain, Aur Jab Barishe Ruk Jaye To Aap Ke Mazaar e Aqadas Par Haazir Ho Kar Duain Mangte Hain .
(Al Mustadrak Alal Saheehain / Jild 5 / Page 154 / Hadees – 5929)
Sayyidah Aisha رضي الله عنها Farmati hain ke Ek Raat Maine Huzur ﷺ ko Na Paaya toh Mai Apki Talash me Nikli or kya dekhti hu ke Huzur ﷺ Jannat ul Baqi (Qabristan) me hain…… phir Huzur ﷺ ne farmaya Allah ta'ala 15vi Shaban ki raat ko Aasman e Duniya par Tajalli farmata hai Aur Banu Qalb ke Bakriyo ke Balon se Zyada logon ki Maghfirat Farmata hai. (Hasan Hadees)
Musnad e Ahmad Ibn Hanbal hadees 25896
HAZRAT ABU BAKAR MUHAMMAD BIN AL-HASSAN BIN ABDAN AL-SIRAFIرضی اللہ عنہ NE KAHA MAINE HAZRAT JAFAR Al-KHALDI SE SUNA:
MUJHE KHARISH KI BIMAARI THI MAI BAHUT PARESHAAN AUR TAKLEEF MAI THA TO MAI HAZRAT IMAAM HUSSAINرضی اللہ عنہ KI QABR E MUBARAK PAR GAYA AUR QABR SHAREEF KI MITTI LI AUR USE LAGAYA AUR WAHI'N SO GAYA AUR JAB UTHA TOH MAINE DEKHA KI BIMARI BILKUL THIK HO GAYI HAI.
IMAM IBNJAWZI 597 HIJRI (1200-1201 AD)
SOURCE: AL-MUNTAZAM FĪ TĀRĪKH AL-MULUK WA-AL-UMAM Vol 5 page 346
Bilal bin haris رضي الله عنه Rasulullah ﷺ ki qabr e aqdas par gaye aur Rasulullah ﷺ se barish ki darkhast ki khwab mein jawab mila aur khoob barish hui.
Ref: Fathul Baari Sharah Sahih Al Bukhari Al Hafiz Ibn Hajar Al Asqalani Hadith 1010
Hazrat Imam Ibn e Jawzi Farmate Hai:-
Jab Meri Bimari Bahut Zyada Bad Gayi Aur Me Apni Bimari Se Aa’jiz Aa Gaya To Me Swaliheen Ki Qabro Par Jata Aur Un Auliya Ke Wasile Se Allah Se Dua Karta Toh Mujhe Maula Ke Karam Se Aaram Rahat Mil Jaati
Saeed al-Khatir [Published Dar al-Qalam Damishq Syria Vol 1 Page 93
JAB KOI KHAUF YA KISI KA KHATRA HO, TOH AISI SURAT MAI RASOOLALLAH ﷺ KI QABR E MUBARAK KE WASILAY SE MADAD TALAB KARE.
Tabai’ – Imam Muhammad Bin Munkadir
SIYAR ALAM AN NUBALA VOL5 353,358,359 SCAN PAGES
IBNE KASIR IBNE TAYMIYYAH KA SHAGIRD LIKHTA HAI:Log Hazrat Umme Haram Ki Qabr Mubarak Ki Tazeem Karte Aur Unki Qabr Par Jakar Unke Wasile Se Baarish Ki Dua Karte Aur Kehte Hain Ki Ye Ek Muttaqi Aurat Ki Qabr Hai.
Ref: Al Bidaya wan-Nihaya Published Dar Hajr Oman Vol 10 Pg.no 229
HAZRAT BILAL رضي الله عنه JAB SHAAM SE MADINA SHAREEF AAYE TO HUZOOR ﷺ KI BARGAH ME SALAM KE LIYE HAZIR HUWE AUR RONE LAGE AUR APNE CHEHRE KO HUZOOR KE MAZAR-E-AQDAS PAR RAKH KAR USSAY MALNA AUR CHOMNA SHURU KAR DIYA
Ref: Tareekh Madinatul Damishq Vol 7 Page 137 & Wafa ul Wafa Page 217
“HAZRAT UMAR FAROOQ رضي الله عنه KE ZAMANE MAI QEHET PADA EK SAHABI BILAL BIN HARIS رضی اللہ عنہ NE RASOOLULLAH ﷺ KE MAZAR SHAREEF PAR HAZIR HO KAR ARZ KI, YA RASOOLULLAH ﷺ APNI UMMAT KE LIYE BARISH KI DUA FARMAYEN WO HALAK HO RAHI HAI .
Al-Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 011,Page No. 118, Hadith Number 32538
HUZUR NABI KAREEM ﷺ KI QABR KI ZIYARAT KARNE WALE KE LIYE MUSTAHAB HAI KI JAB USKI NAZAR MADINA TAYYABA KE MUAHID HARAM, KHAJURON AUR MAKANO PAR PADE TO KASRAT SE DUROOD-O-SALAM PADHE. MADINA MUNAWWARA KE MAIDANO KI TAZEEM, MADINA TAYYABA KI MANAZIL AUR GHAAS WALI ZAMINO KI IZZAT ZEHEN ME RAKHE. KYUNKI YE WO JAGAHEN HAIN JO WAHI AUR NUZUL-E-QURAN SE ABAD HUI ABUL FUTUH JIBREEL AUR ABUL GHANAIM KASRAT SE YAHAN AATE JATE THE. IS ZAMIN PAR SYEDUL BASHAR TASHRIF FARMA HAIN. ALLAH ﷻ KA DEEN AUR RASOOLALLAH ﷺ KI SUNNAT YAHAN SE PHAILI HAIN. YE JAGAHEN HI FAZILATON AUR KHAIRAT KI MUSHAHID, BARAHEEN WA MOJIZAT KI MUAHID HAIN. YE AZMAT ISLIYE ZEHEN ME RAKHE TAKI AAP KI HAIBAT, TAZEEM, IJLAL AUR MOHABBAT SE LABREZ HO JAYE TARAH AAP KI TAZEEM WA IJLAL RAKHE JAISE AAP ﷺ KO SAMNE DEKH RAHA HAI. AUR YE YAQIN RAKHE KI AAP ISKA SALAM SUN RAHE HAIN. AUR TAKLIF ME AAP ISKE MADADGAR HAIN.
(AL-QAULUL BADEE PG.402)
IMAM AHMAD BIN HANBAL KI MAZAR PE DUAO KA QUBOOL HONA AUR SHIFA PAANA
HAZRAT SHAYKH ABDUL REHMAN BIN IBRAHIM AL MAQDISI HANMBALI KE BETE KI AANKHO KI ROSHNI CHALI GAYI THI AUR JAB USKI AANKHON KI RAUSHANI WAPIS AAYI TO ISKE BARE ME UNSE PUCHA KI YE KAISE HUWA TO WO BAYAN KARTE HAIN KI MEIN APNE BETE KO LEKAR IMAM AHMAD BIN HANMBAL رضي الله عنه AL MUTAWAFFAH 241 HIJRI KI MAZAR PAR GAYE AUR WAHA DUA KI AUR UNHE PUKARA KAHA YA AHMAD MAI AAPSE ILTIJA FARIYAD KARTA HOON AUR AAPKO ALLAH TA’ALA KI BARGAH ME WASILA BANAKAR DUA KARTA HOON YA ALLAH MERE BEte Ko Shifa ATA KAR AUR USKI AANKO KI RAUSHNI WAPAS AA JAYE TO JAB RAAT HUWI TO MAINE DEKHA KI USKI AANKHO KI RAUSHNI WAPIS AA GAYI
[Tareekh e Islam Vol 45 Page 194]
Hazrat Imam Zehbi Alihirehma 748 Hijri Likhte Hai:
Ambiya Aur Auliya Ki Qabr Shareef Ke Nazdik Dua Qubool Hoti Hai Aur Isi Tarah Tamam Mazarat Ke Nazdik Bhi Dua’ye Qubool Hoti Hai
[Siyar alamul Nubala Vol 17 Page 77]
Hazrat Imam Ibn e Hajar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ 852 Hijri Sahih Bukhari Ki Sharah Ke Muqaddame Mein Likhte Hain
Jab Hazrat Imam Bukhari رحمتہ اللہ علیہ ko Qabr Mein Dafna Diya Gaya To Imam Bukhari Ki Mazar Se Musk 0 Ambar Ki Khushbo Aane Lagi Aur Log Imam Bukhari Ki Qabr Par Aakar Unki Qabr Ki Mitti Se Barkat Lete Phir Unki Qabr Ke Charo Taraf Ek Imaarat Bana Di Gayi
[FATHUL BARI FI-SHARAH SAHIH AL-BUKHARI Vol1 Page 99]
Hazrat Imam Ibn e Hajar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hai Hazrat Abu Ali Neshapuri رحمتہ اللہ علیہ 349 Hijri Ne Bayan Kiya:-
Main Bahut Zyada Mushkil Aur Pareshani Mein Tha Toh Mujhe Khwab Mein RasoolAllah ﷺ Ki Ziyarat Huwi To Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Yahya Bin Yahya Al Mutawaffah 226 Hijri Ki Qabr Par Jao Aur Waha Istighfar Karo Aur Madad Mango Aur Uske Wasile Se Madad Talab Karo Toh Tumhari Mushkile Hal Ho Jayegi Toh Maine Aisa Hi Kiya Tu Agle Din Meri Pareshani Thik Ho Gayi
[Tehzeeb Ut Tehzeeb Vol 4 Page 398]
Imam Abu Abdullah Al-Qarshi (jinka wisaal 843 saal pehle hua), farmate hai:Misr me behad mehengai bad gayi to maine Syria ka safar kiya aur Hazrat Ibrahimعليه سلام ki Qabr par hazri di, waha maine Hazrat Ibrahimعليه سلام ki ziyarat ki, aur unse arz ki”Aye Allah ke Rasooll! Aap meri ziyarat ke taur par Misr ke logo ke liye Dua farma dijiye”Unhone dua farmai to Allah ne Misr ke logo ki gareebi dur farma di
Is waqiya ko likhne wale :
-Imam Yafa’i (674+ Saal) Rawdat ul Ryahin 1/359
-Imam Suyuti(531+ Saal) Al Hawi lil Fatawi 2/245
-Imam Haythami (463+ Saal) Fatawa Hadithiya 1/213
-Imam Ismail Haqqi (315+ Saal) Ruh ul Bayan 4/262
-Imam Safiri (486+ Saal) Sharh Bukhari 2/191
-Imam Maqari(401+ Saal) Nafh ul Tayyib 2/55
-Imam Salhi shami(500+ Saal) Subl Ul Huda 10/466
Imam Abul Fazl Mousili (jinka wisal aj se 760 saal pehle hua) farmate hai:
RasulAllah ﷺ ki Qabr ki ziyarat karne wale ko chahiye ke is tarah hath band kar adab se khada ho jaise Namaz me khada hota hai, aur Huzoor ﷺ ki soorat e aqdas ka tassawur kare goya ke Huzoor ﷺ Rauza e Aqdas me lete hue hai, ziyarat karne wale ko jante hai aur uski bate sunte hai.
Ref: Kitab Al Ikhtyar li Talil ul Mukhtar vol 1 page 176
RasulAllah ﷺ ke wisaal ke bad Sayyiduna Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه hazir hue aur ap se arz ki:
Ya Muhammad ﷺ
Bargah e Ilahi me Humein yad rakhna aur hum humesha apke dil me rahe
Imam Ghazali – Ihya ul Uloom 4/491 Qastalani – Muwahib 4548
Khafaji – Naseem ul Riyad 2/25
Zurqani-Sharh Muwahib 12/143
Huzoor ﷺ ki Qabr ki ziyarat karne walo ko chahiye ki kasrat se dua kare, gidgidaye, Aap se istigatha (madad talab) kare aur apki shafa’t mange
10vi sadi ke Mujaddid, Imam Qastalani (527 pehle wisal kiye) apni Kitab Al Muwahib Vol 4 Page 593 me likhte hai
RasulAllah ﷺ ne 1000 Sahabah ke sath apni Walida Sayyida Aminah ki Qabr ki ziyarat farmai
Ref: Sahih Hadith, Haakim – Al Mustadrak 4192
IMAM SHAFAI رحمتہ اللہ علیہ FARMATE HAI :
Mai Imam Abu Hanifa رضي الله عنه ki barkat talab karta hoo Aur unki Qabr par roz jata hu, aur jab bhi mujhe koi zarurat aati hai to do Rakat namaz parh kar aur unki Qabr par akar khuda se suwal karta hu, kuch der nahi lagti ki meri zarurat Puri hojati hai
REF: TARIKH BAGHDAD 1/1350
Jab Hazrat kaaba Al-Ahbar ne Islam qubool kiya to Sayyiduna Umar Farooq رضي الله عنه ne shaam me unse farmaya :
Kitna acha ho agar Ap mere sath Madina chale aur RasulAllah ﷺ ki Qabr ki ziyarat kare aur isse Nafa hasil kare
Ref: Imam Waqdi (407 Hijri) – Futuh Sham 1/235
Gumbad e Khazra ko dekhna ibadat hai”
-Fiqh e Hanafi ke bade Imam Ibn Humam (562+ sal pehle) apni Kitab Mansik ul Mutawasit me likhte hai
-Apni sadi ke Mujaddid, Imam Mullah Ali Qaari (414+ sal pehle) apni Kitab Sharh Mansik ul Mutawasit page 276 me likhte hai
Imam Bukhari Ke Ustad Ke Ustad Hazrat Imam Abdur Razzaq Sam’aani Al Mutawaffah 211 Hijri Apni Famous Book of Hadith Al Musannaf Abi Razzaq Ki Jild 3 Safa 576 Par Hadith Code Karte Hain_
Hazrat Abdullah Bin Dinaar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Maine Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه ko Dekha Jab Aap Kisi Safar Se Wapas Aate To Masjid e Nabawi Shareef Se Dakhil Hote Aur Yun Salam Arz Karte
Asslamu Alaika Ya RasoolAllah ﷺAsslamu Alika ya Abu bakar Siddiqueرضی اللہ عنہAsslamu Alaika Ya Walid Umarرضی اللہ عنہ
Iske Baad 2 Raqat Namaz Ada Farmate
Aur Asma o Rijaal Ke Bahut Bade Imam Ibne Hajar Asqalani Al Mutawaffah 852 Hijri Apni Kitab Al Matalib al-Aliya Ki Jild 7 Raqam 1320 Par Yahi Hadees Likhte Hain Aur Iski Sanad Ko Sahih Karar Dete Hai_
(Al Matalib al-Aliya)
Hazrat Shaykh *Abu Hasan Ali Bin Hayti* Al Mutawaffah Al *563* Hijri Farmate Hain : Me Ghaus-e-Pak رضي الله عنه Ke Saath Hazrat Maroof Karkhi Al Mutawaffah 200 Hijri Ki Mazar Sharif Ki Ziyarat Ki Aur Ghaus-e-Pak رضي الله عنه Ne Kaha Assalam Alaikum Ya Shaykh Maroof Aap Humse Do Darrja Upar Ghuzar Gaye Hain Phir Dubara Unki Ziyarat Ki Aur Kaha Assalam Alaikum Ya Shaykh Maroof Hum Aapse Do Darrja Aage Bad Gaye Tu Hazrat Shaykh Maroof Karkhi رحمتہ اللہ علیہ Ne Apni Qabr Sharif Se Jawab Diya Walekum Assalam Aye Apne Zamane Ke Sardar* **_Isse Waqiya Se Pta Chala Ki ALLAH Ke Sachche Auliya Apni Qabr Me Zinda Hai Aur Jisse Chahe Kalam Kar Sakte Hai Aur Dusra Ye Ki Auliya Ki Mazar Par Jana Unki Qabr Ki Ziyarat Karna Bhi Sabit Hua Reference Book *Bahjat al-Asrar* Vol *1* Pg *53*
Wahabiyon Aur Deobandiyo Ka Bahut Bada Hafiz Aur Mufassir *Ibn e Kaseer* (Student of Ibn e *Tayymia* Likhta Hai : Log Sahabiya Hazrat Umme Haram رضي الله عنها Ki Qabr Mubarak Ki Tazeem Karte Hain Aur Unki Qabr Par Jakar Unke Wasile Se Barish Ki Dua Karte Aur Kehte Hai Ki Ye Ek Muttaqi (Pious) Aurat Ki Qabr Hai* Al Bidaya wan-Nihaya* [Published Dar Hajr Oman] Jild *10* Safa 229
Hazrat Umme Haram رضي الله عنها Ye Ek Bahut Hi Famous Sahabiya Hai Aap Cyprus Me Jang e Jihad Ke Mauke Par Shaheed Hui Aur Apki Mazar Shareef Wahi Par Bani Hai
Is Ummat ke ek Azeem Imam Ibn Hajar Al Haithami رحمتہ اللہ علیہ jinka wisal 470+ saal Pehle hua, likhte hai: "Aulia ki Qabron ki ziyarat karna ek Mustahab amal hai, aur uske liye safar karna bhi Mustahab hai" Fatawa Hadithiya 2/24
Hazrat Sayyeda Fatimah Zahra رضي الله عنها Rasool Allah ﷺ Ki Qabr e Muqaddas Par Hazir Hokar Aapne Ne Ek Mutthi Mitti Lee Aur Apni Aankhon Par Rakh'khi Barkat Haasil Kari Aur Rona Shuru Kar Diya Aur Saath Saath Ye Ash’ar Padhe. *ماذا على من شم تربة أحمد* *ان لا يشم مدى الزمان غواليا* *Tarjuma Translate* Kya Harz Hai Us Shakhs Ke Liye Ki Jis Ne Huzoor Nabi Karim ﷺ Ke Mazaar Ki Mitti Soongi Ho Ki Muddat Daraaz Tak Woh Qimti Khooshboo Na Soongi.” *Reference Book* Al Wafa Bi Ahwal il Mustafa *Writer >* _Imam Abu Faraj Ibn al-Jawzi Al Mutawaffah 597 Hijri_ Hadees No *1538*