17-Nov-2023

Sabse pehle ye Janna Zaruri Hai ki Sulhakulli kise kehte hain.

Sulhekulli pilpile use kehte hain jo Haq baat nahi kar skte wahabi, Deobandi, shia ,Tamam Batil Firqo ki Gustaakhiya Janne ke baad bhi unhe Musalman smjhe unse Ristedariyaan kare unse dosti kare aur unke sath mil ke Rahe yani jo sabhi ko ek Mane Haq aur batil sabhi ko ek Mila kar Rakhe (Maazallah) استغفراللہ

Jabki Qur’an kya Farmata Hai Dekhe.

Sureh Baqarah Ayat No.42.

وَ لَا تَلۡبِسُوا الۡحَقَّ بِالۡبَاطِلِ وَ تَکۡتُمُوا الۡحَقَّ وَ اَنۡتُمۡ تَعۡلَمُوۡنَ ﴿۴۲﴾

Kanzul Iman Translation.

Aur Haq Se Baatil Ko Na Milaao Aur Deedah Wa Daanista (Jaan Boojh Kar) Haq Na Chhupaao.

Qur’an me To Farmaya ja Raha hai ki Haq ko Batil se na Milao lekin ye Sulhekulli Pilpile kehte hain sab ek ho jao.

Sulhakulli pilpile ye bhi kehte hain Ki Harr kalma padhne wala insaan Musalmaan Hai chahe uske Dil me kuch bhi ho lekin harr kalma padhne wala musalmaan hai.

Jawab : Zubaan se kalma to wo Munafiq bhi padte the jinko Huzoor ﷺ ne Masjid E Nabwi Shareef se bhagaya tha . Ye Munafiq sirf Dikhane ke liye Kalma padhte the aur pith piche huzoor ﷺ ki burai karte the aur yahi Aaj ke Wahabhi deobandi karte hain kalma to ye bhi padte hai lekin inke Akabireen ne Hamare Aaqa o Maula ﷺ ki Shaan me kitni gandi Gandi Gustaakhiya'n ki hain.

HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS رضي الله عنه Farmate Hain Ke, RASOOL ALLAH ﷺ ne Juma Ke Din Jab Khutba Ke Liye Khade Huye To Farmaya Aye Falaan Tu Munafiq Hai Lehaza Masjid Se Nikal Ja, Aye Falaan Tu Bhi Munafiq Hai Lehaza Masjid Se Nikal ja.

HUZOOR NABI KAREEM ﷺ Ne Kai Munafiqo'n Ko Naam Lekar Nikala Aur Inko Sabke samne Ruswa Kiya Iss Juma Ko HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه Abhi Masjid Me Hazir Nahi Hue The Kisi Kaam Ki Wajah Se Der Hogayi Thi.

Jab Wo Munafiq Masjid Se Nikal Kar Ruswa Hokar Ja Rahe The To HAZRAT SYEDNA FAROOQ E Azam رضي الله عنه Masjid Aaa rahe the aap sharam Ki Wajah Se Chup Rahe The Ke Mujhe To Der Hogayi Hai Shayad Juma Hogaya Hai.

Lekin Munafiq HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه se Apni Ruswayi Ki Wajah Se Chup Rahe The Phir Jab HAZRAT FAROOQ E AZAM رضي الله عنه Masjid Me Dakhil Huwe To Abhi Juma Nahi Hua Tha Baad Me Ek Sahabi Ne Kaha Ke Aye Umar Tujhe khushkhabri Ho Ke Aaj ALLAH TA’ALA Ne Munfaiqo'n Ko Ruswa Kardiya Hai.

Reffrence: (Tafseer Ibne Kaseer) (Musnad E Ahmed Bin Hanbal).

Bad Mazhabo'n se Dur Rehne Ka Hukm khud Hadees me Maujood Hain.

TABAI HAZRAT ABU QELABA AL MUTAWAFFA 104 HIJRI FARMATE HAI:-

BADMAZHAB Walon Ke saath mat Baitho Aur Unke Sath Behes NA KARO KYUN Ki Mujhe iss baat ka andesha hai Ke Wo Log Tumhe Bhi APNI GUMRAHI ME SHAMIL Kar Lenge YA TUMHARE AQAID KE BARE MEIN TUMHE SHUBA MEIN DAAL DENGE.

[REF:SUNAN AD-DARMI VOL 1 RAQAM 391].

KUCH LOG KEHTE HAI FIRQE NA BANAO, AGAR WAPAS DUNIYA PAR GHALIB HONA HAI TO SAB EK HO JAO Par Jinhone Baitul Muqaddas ko Isaiyo (Christian’s )se wapas fatah kiya, Wo Sultan Salahuddin Ayyubi رحمتہ اللہ علیہ jab apne riyasat me kisi Ziddi badmazhab (jo Ahle Sunnat ke Aqaid se alag Aqida rakhta uss) ke bare me sunte to fauran use Qatl karne ka hukm dete.

Ref: Sultan Salahuddin Ayyubi by Dr Sallabi 2/75.

SulehKulli Kehte Hain Ki Sab Ummat Ek Ho jao Ek Hone Ka Naara Lagate Hai Kehte Hai Ki Hume Ek Musalman Hone Ki Zarurat Hai Firqo'n Me Na Bato Aur Khud Ahelesunnat Ke Khilaf Hote Hai Aur Baki Dusre Friqo'n Se Lagao Hota Hai Isiliye Kehte Hai Ki Ek Ho jao Ek Ho jao Jabke Unke Liye Khud Rab Tabarak Wa Tala Quran Paak Me Farama raha Hai.

وَ لَوْ شَآءَ رَبُّكَ لَجَعَلَ النَّاسَ اُمَّةً وَّاحِدَةً وَّ لَا یَزَالُوْنَ مُخْتَلِفِیْنَ(Surai Hood: Aayat-118)

Tarjuma-e-Kanzul Iman :- Aor Agar Tumhara Rab Chahata To Sub Aadmiyo Ko Ek Hi Ummat Kardeta Aor Woh Humesha Ikhtilaf Me Rahenge.

“Discussion; Ab Rab Ne Chaha Nahi Isliye Ummat Ek Nahi Ho Sakti To Tere Chahane Se Kya Hoga Aye Sulehkulli Yani Inke Chahane Pe Rab Ke Chahane Ko Tarjee De rahe Yeh Jahil aur Waise Bhi Rasoole Paakﷺ Ko Murda Manne Wale Jahnnami 72 Firqe Aur 1 Jannati Firqa Ahelesunnat Wal Jamat Maslake Aala Hazrat Wale Kabhi Ek Nahi Ho Sakte Ab Jo Ek Ummat Karna Chahte Hai Unhone Quran Paak Ki Iss Aayat e Mubaraka Ka Inkaar Kiya Aur Quran Paak Ki Ek Aayat Ka Inkar Bhi Kufr Hai.

Imam E Azam Abu Hanifa رضي الله عنه Farmate Hain :

Badmazhab ke peeche Namaz na padho.

Al Binayah Sharah Hidaya 2/333.

Imam Shafai رحمۃ اللہ علیہ likhte hain :

Bad Mazhab ke Peeche Namaz na padho

Siyr Aalam Un Nubala 2/417.

Imam Malik رحمۃ اللہ علیہ Apni kitab me likhte Hain :

BadMazhab ke piche namaz na Padho.

Sharah Kabir 2/418.

Imam Ahmad bin Hambal رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hain :

BadMazhab ke Peeche Namaz na padho.

Masail li Harb ibn Ismail Kirmani 1/565.

KHUDA KE DUSHMANO KO KUTTO KI TARAH DOOR RAKHA JAYE.

unse dosti aur Muhabbat Khuda aur Rasul ﷺ ki dushmani tak pahucha deti hai, (Bad-Mazhabo ke kalme aur namaz ko dekh kar) aadmi ghuman karta hai ke wo Musalman hai (Isliye unse dosti aur rishtedari karta hai) lekin wo nahi janta ki iss Tarah ki behuda harkat uske Imaan ko barbad kar deti hai.

-IMAM RABBANI MUJADDID E ALF SAANI.

REF: AL MAKTOOB DERIVED FROM BOOK BAD-MAZHABO SE RISHTE BY MUFTI JALALUDDIN AMJADI PAGE 12-13.

Jo kisi Bad-Mazhab (biddati) ko kaan laga kar sune, wo Allah ki hifazat se nikaal diya jata hai, aur Bid’at ke taraf muqarrar kar diya jata hai. (Sayyiduna Sufiyan Sawri) .

Ref: Imam Al-Barbahari (349 Hijri) – Sharh Sunnah pg 133.

BadMazhabo'n ke bayan sunna jaiz nahi chahe shehed jaisa meetha hi kyu na bole.

Gaus e Azam رحمۃ اللہ علیہ bhi jinki Taqleed karte the, Wo Imam Ahmad bin Hambal رحمۃ اللہ علیہ se kisi ne sawal kiya : Hazrat Muawiya رضی اللہ عنہ ko bura kehne wale ke piche Namaz padhna chahiye? Imam Ahmad رحمۃ اللہ علیہ ne farmaya: “Uske piche Namaz nahi padhna aur na uski izzat karna.

Ref: Imam Ibn Hani (265 Hijri) – Masail Imam Ahmad 1/60.

Agar koi sahabi E Rasool ka Gustaakh ho to uske peeche Namaz padhna jaiz nahi to Jo Wahabi deobandi Nabi ﷺ ke Gustaakh hain Allah ﷻ ke Gustaakh hain unke peeche Namaz padhna kaise jaiz ho jayega isliye BadMazhabo ke peeche Namaz padhne se Bache.

Aaj Ham Kisi Wahabi, Deobandi, Qadiyani ,shia ka radd karte hai unki Gustaakhiya'n logo ko batate hain to Inn Sulehkulli pilpilo ko bhut bura lagta hain aur ye bolte Hain kisi ki burai mat Karo geebat mat karo jabki BadMazhab ka Aib btana Geebat nahi hota hai۔

Tabai, Sayyiduna Ibrahim Al Nakhai رضي الله عنه ne farmaya:.

“Gumrah firqo ki pairwi karne walo'n ke aib bayan karna geebat nahi hain.

Sharah Usool Aqa’id, 1/140.

“Hazrat Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه Se Riwayat hai Nabi E Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya Qadariyyah (Taqdeer Kay Munkir) Iss ummat ke Majoosi hai Agar wo bimaar ho to unki iyadat ko naa jao aur agar mar jaaye to unke janaze me Sharik mat ho.

(Sunan Abu Dawood, Pg :768, Kitabul Sunnah, Baab Hadees : 4691)(Imam Ahmad Ibn Hanbal Musnad, Vol : 02, Pg : 86/125, Hadees : 5584/6077)(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat, Vol : 05, Pg : 114, Hadees : 4217).

(Khateeb Tabrezi Mishkal Al Masabih, Vol : 01, Kitabul Imaan, Hadees : 107).

Sulehkulli pilpile Ye bhi ek Aitraaz karte hain ki agar koi marr gya to uske Janaze me Jao uski Namaz e janaza padhna chaiye. hoga wo Gustaaq duniya me lekin Ab wo Allah ﷻ ke pass Chala gya to uski namaz e janaza me Sharik hona chaiye unn Jahilo ko ye Hadees padhni chaiye BadMazhab se dur rehne ke liye Rasoolullah ﷺ ne khud Farmaya aur unki namaz e Janaza me shirkat na karne ka hukm diya.

Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضی اللہ عنہ Se Marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Ummat Kr Do Giroh Aise Hai Jinka Islam me Koi Hissa Nahi EK Murji’ah Aur Dusra Qadariyyah (Taqdeer Ka Munkir).

(Sunan Ibne Majah, Kitab Al Muqadammah, Hadees : 62)(Sunan Tirmizi, Kitab Al Qadar, Baab Maa Ja Fi Taqdeer, Pg : 485,Hadees : 2149)(Khateeb Tabrezi Mishkal Al Masabih, Baab : Taqdeer Par Iman Laane Ka Bayan, Vol : 01, Hadees : 105).

Ye firqe aa chuke the baad me Tabain, Tabe Tabain ka daur aaya usme ek aur Firqa aaya jiska naam (Mutazila) tha ye daur E Abbasiya me urooj ko aaya Imam Ahmad Ibn Hambal رضي الله عنه ne Iss firqe ke khilaf kayam kiya Aur wohi wajah thi ke sabse pahli baar kisi ko Imam Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka laqab mila to wo Imam Ahmad Ibn Hambal رحمۃ اللہ علیہ the.

Huzoorﷺ Ne Farmaya :- ALLAHﷻ Ne Mera Intikhab Farmaya Aor Mere Liye Sahaba رضیﷲتعالی عنہم Ka Intikhab Farmaya Unme Mere Liye Wazeer Ansar Paida Farmai "Aakhri Zamane Me Kuch Log Aese Honge Jo Unse Bugz Rakhenge Aese Logo Ke Sath Na Khana Pina Rakho Na Majalis Karo Na Unpar Namaz Padho(Namaz Janaza) Na Unke Sath Namaz Padho, {Kanzul Aamal,Fi Sunanul Aqwal Wal Afwal /P-257/ Hadees:-32529}

امبیا یا اولیاء اپنی قبروں میں زندہ ہے۔

شب برات

میلاد النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم منانے کا ثبوت ۔

کیا حضرت عمر رضی اللہ عنہ نے سیدہ پاک حضرت فاطمہ رضی اللہ عنھا کا گھر جلایا؟ جھوٹے واقعہ کی تحقیقات

تعویذ پہنے کا سبوت

اعلیٰ حضرترحمت اللہ علیہ پر اعتراض کا جواب

وسیلہ لینا جائز ہے، دلائل قرآن یا حدیث سے۔

عید غدیر کی حقیقت۔

ردِ صلح کلیت

علم غیبِ مصطفیﷺ پر اعتراض کا جواب