10-Dec-2023

Aaj Hamare Darmiyan Kuch Aise Keede Nikal Kar Aa Gaye Hain Jo Sahaba Ikram Ki Shaan Me Gustaaqi Karte Hai Aur Apna Thikana Jahannam Me Banate Hain.Jabki Sahaba Ikram Aur Ahle Bait Me Apas Me Bahot Muhabbat Thi Aur Ristedari Bhi Hui Hain Inke Darmiyan Aaj Isi Topic Me Kuch Hadeese Hum Pesh Karenge Ki Sahaba Ikram Ke Bich Me Kitna Muhabbat Tha.

Sayyiduna Abu Saeed Khudri رضي الله عنه Farmate Hai : Hazrat Ali رضي الله عنه Aur Hazrat Usman رضي الله عنه Ek Dusre Ka Hath Iss Tarah Pakad Kar Masjid Me Dakhil Hote The Jaise Sagge Bhai Ho.

Ref: Khallal - Al Sunnah 1/461

Sayyidah Fatima رضی اللہ عنہا Se Hazrat Umme Kulsum Paida Hui Jinka Nikah Hazrat Umar Farooque رضی اللہ عنہ Se Huwa.

REF: Shia Book: Manaqib e Aale Abi Talib, Vol 3, Pg no.349.

Hazrat Imam Zainul Abideen رضي الله عنه Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Bola Mujhe Hazrat Abu Bakar رضي الله عنه Ke Bare Me Kuch Bataye Aapne Farmaya Hazrat Abu Bakar as-Siddiq رضي الله عنه Bare Me Batao To Wo Bola Aap Unko Siddiq Kehte Hain Hazrat Imam Zainul Abideen رضي الله عنه Ne Farmaya Teri Maa Tujhpar Roye Rasool Allah ﷺ Ne Muhajireen-o-Ansaar Ne Hazrat Abu Bakr رضي الله عنه Ko Siddiq Kaha Aur Jo Hazrat Abu Bakar رضي الله عنه Ko Siddiq Na Kahe Allah Uski Kisi Baat Ko Duniya-o-Akhirat Me Sachcha Na Kare Yahan Se Chale Jao Aur Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Aur Hazrat Umar e Farooq رضي الله عنه Se Muhabbat Rakho.

Al-Mukhtar min-Manaqib al-Akhyar* Vol *2* Pg *447

Hazrat Imam Muhammad bin Al Hanafiyah Tabai Radiallahu anhu Farmate hai Maine Apne Walid E Buzurg Ameerul Momineen Imam Ali Ibn Abu Talib Radiallahu anhu Se Pucha Rasoolullah ﷺ Ke Baad Ummat KeLogo Me Sabse Afzal Shaksiyat Konsi Hai ? To Sayyidna Aliyul Murtaza Radiallahu anhu ne Farmaya Abu Bakar Phir Pucha Unke Baad ? Farmaya Umar, Phir Mujhe Andesha Huwa Ki Abki Baar Pucha To Hazrat Usman E Gani Ka Naam Lenge. To Maine Arz Ki Phir Abu Baqr Wa Umar Ke Baad To Aap Hi Afzal Hai ? To Maula Ali Radiallahu anhu Ne (Inkesari Ke saath) Farmaya Mai To Aam Musalmano Me Se Ek Musalman Hoon” Rizwanullahim Azmayeen.

Reference :(Sahih Bukhari Kitab Fazail E Ashabun Nabi , Pg : 902, Hadees : 3671)

Hazrat Abdullah ibn Masood رضي الله عنه Se Marvi Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وآله Ne Irshad Farmaya Ke Mai Ilm Ka Sheher Hoon Abu Bakar Uski Buniyaad, Umar Uski Deewar, Usmaan Uski Chatth(Roof) Aur Ali Uska Darwaja.

REF: (Imam Daylami Al Musnadul Firdaus, Vol : 01, Pg :76, Hadees: 108)

Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Apne Beto'n Ke Naam Apne Yaaro'n Ke Naam Par Bhi Rakhe Hain Isse Ye Pta Chlta Hai Maula Ali رضي الله عنه Aur Sahaba Me Kitni Muhabbat Thi.

Ref:Shia Ki Kitaab, Baharul Anwar , 45/36

Maula Ali رضي الله عنه ne apne ek bete ka nam Abu Bakr rakha, Hazrat Ali ke beto me se maidan me aane wale Aap sabse pehle the, Aap sher ki tarah lade aur akhir Allah ki raah me shaheed hogaye.

MAULA ALI رضي الله عنه NE APNE EK NAHI BALKI DO DO BEΤΟ ΚΕ ΝAAM OMAR RAKHE Hazrat Umar Al Asgar ibn Ali jo ki Karbala me apne bhai Imam Hussain رضي الله عنه ke sath shaheed huwe, dusre Hazrat Umar Al Akbar ibn Ali Jinhone 50 sal Hayat pai aur inse Maula Ali ki nasl bhi aage badhi.

Ref: Shia scholar Ali Al Namazi Al Shahrudi Book mustadrikat ilm e rijal 6/102

KARBALA KE WO SHAHEED JINKA NAM LOG NAHI LETE USMAN IBN MAULA ALI Aap Hazrat Ali bete, Hazrat Abbas Alamdar ke sagge bhai, 21 saal ki umr me apne bhai Imam Hussain ka sath Karbala me shaheed kiye gaye.

Ref: Shia book Maqatil ut Talibiyin pg 89 Maqtal ul Hussain pg 235 Sunni: Tarikh ibn asiir 3/194

Sirf Maula Ali Mushkil Khusha رضي الله عنه ne hi Apne beto ke naam Apne yaar o par nahi rakhe balki Imam Hassan رضي الله عنه aur Imam Hussain رضي الله عنه ne bhi Apne beto ke naam Abu bakar or Umar or Usman ke Naam par rakhe isse pta chalta hain ki Imam Hassan or Imam Hussain apne Walid ke yar o se kitni Muhabbat kiya karte the or ye Aaj ke shia Rafzi Tafzeeli inke bich ki ye muhabbat ko chupate hain.

Karbala ke Shaheedo me ek aur nam hai jinhe hum bhula bethe ABU BAKR IBN IMAM HASAN Ap Imam Hasan ke bete, Hazrat Qasim ke sagge bhai hai, Karbala me apne chacha Imam Hussain ka sath dete hue shaheed hogaye.

REF: SHIA BOOK MAQATIL UT TALIBIYIN (URDU) PG 104 SUNNI: TARIKH TABRI 5/468

Karbala se Imam Zain ul Abideen ke sath zanjiro me jakad kar ek aur Ahle Bait ke shahzade ko Shaam lejaya gaya! Jinka naam hain UMAR IBN IMAM HASAN Ap Imam Hasan ke bete, apki Umr sirf 11 saal thi! Yazid ne Aap se apne bete se kushti karne kaha to Aap ne farmaya "is tarah nahi! Hum dono ko ek - ek khanjar do phir mai usse ladta hu (taki use qatl kardu).

REF: SHIA BOOK MAQATIL UT TALIBIYIN PG 119, BIHAR UL ANWAR 45/143 SUNNI: TARIKH TABRI 3/339

Imam Hussain ne apne ek bete ki kuniyat Abu Bakr rakhi! jo Karbala me Imam ke hamrah shaheed hue.

REF: SHIA BOOK MAQATIL UT TALIBIYIN PG 92

Jhuti Kahaniya suna kar Shia apko zarur behkayege ki Hazrat Umar Ahle Bait ke dushman the, par haqiqat me Ahle Bait ko Hazrat Umar se kitni muhabbat thi uska andaza aap isse lagaiye ke khud Imam Zain ul Abideen ne apne ek bete ka nam Umar Ibn Zayn ul Abideen rakha.

Shia book: Bihar Ul Anwar 46/167, Tustari Qamus Rijal 8/217, Rijal Tusi 1/167

Maula Ali رضي الله عنه ne farmaya : Rasoolullah ﷺ ka wisal uss waqt tak na hua jab tak Hume ye maloom na hogaya ki Huzoor ﷺ ke baad sabse Afzal Hazrat Abu Bakr Siddiqe رضي الله عنه hai".

Ref: Al Sunnah Ibn Abi Asim Hadith no. 1234.

IMAM MUHAMMAD AL BAAQIR رضي الله عنه NE FAMAYA : Khuda Ki Qasam Hazrat Abu abu Bakr aur Umar رضي الله عنهما Ne Hum Ahlebait Par Zarra Barabar Bhi Zulm Nhi kiya, (Rawi Ne Pucha) Kya Aap Unn dono se Muhabbat Karte ho?, To Farmaya "Haan, Tujhpar Afsos, Tu Bhi Duniya Akhirat me Unn dono se Mohabbat rakh, Aur agar iss wajah se tujhe koi Nuksan Ho to wo mere zimme hai".

(SHIA BOOK: SHARHU NAHJUL BALAGAH IBN ABIL HADEED Volume 8 Page no 129).

Hazrat Umar رضي الله عنه ke samne kisi ne Hazrat Ali رضي الله عنه ko bura kaha to Aap ne farmaya : "tujhe kya hua? Allah tujhe bad surat kare! Tune Qabr me Rasul Allah ﷺ ko taqleef di hai" (Ali ko bura keh ke).

Ref: Qurtabi - Tazkira bi Ahwal il Mauta page no 235.

Imam Zain ul Abideen رضي الله عنه ne Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه ke bare me farmaya : "Jo unhe Siddiq na maane Akhirat me Allah aiso ki tasdiq na karega, Jao Abu Bakr o Umar se Muhabbat karo! unse Aqidat rakho aur agar tumhare mutabik aisa karna koy gunah hai (jo ki beshak nahi hai) to wo gunah meri gardan par hoga".

Ref: Tarikh ibn Asakir 23/128, Darqutni - Fazaiil Sahaba 1/84, Siyar Alam un Nabala 4/395.

Hazrat Abu Huzaifa رضي الله عنه Bayan Karte Hai Mene Hazrat Ali رضي الله عنه Ki Khidmat Me Unke Ghar Hazir Hua Aur Yun Mukhatib Kiya_ Aye Nabi ﷺ Ke Baad Tamam Logo Se Behtar To Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Mujhe Farmaya Thaher Aye Abu Huzaifa Khabardar Huzoor ﷺ Ke Baad Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Wa Hazrat Umar رضي الله عنه Behtareen Shakhsiyat Hain* Phir Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya Kisi Momin (Musalman) Ke Dil Me Meri Muhabbat Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Aur Hazrat Umar رضي الله عنه Ka Bughz (Dushmani) Jama Nahi Ho Sakti Isi Tarah Kisi Musalman Ke Dil Me Meri Dushmani Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Wa Hazrat Umar رضي الله عنه Ki Muhabbat Jama Nahi Ho Sakti.

Kanzul Ummal Vol 13 Hadees 36141

Madina ke Bazar me majma laga tha aur ek khabees Hazrat Ali رضي الله عنه ko bura keh raha tha, waha se Hazrat Saad bin Abi Waqas رضي الله عنه guzre to ye sab dekh kar behad jalal me aye aur Hazrat Ali رضي الله عنه ke fazail bayaan karne lage, Phir Aap ne qibla rukh ho kar dua ki "Aye Allah ye tere Walion me se ek Wali ko bura keh raha hai, tu is majme ko us wakt tak na chhatne de jab tak tu inhe apni qudrat na dikha de" Logo ne dekha ki abhi wo majma chhata bhi na tha ki uske ghode ne use patharo par gira dia, uska sar pathar par laga aur uska dimag fat gaya phir wo wahi mar gaya.

Imam Haakim -Al Mustadrak 6271

علم غیب مصطفی ﷺ

تبلیغی جماعت کی حقیت۔

20رکعت تراویح پڑھنے کا ثبوت۔

یہ امت شرک نہیں کر سکتی

میلاد النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم منانے کا ثبوت ۔

شیعہ/رافضی کی حقیقت۔

شان اولیاء قرآن اور حدیث سے۔

اہل سنت کے اختلاف رحمت ہیں۔

ردِ صلح کلیت

بدعت کسے کہتے ہیں؟