Shia mazhab ke bade Aalim Maulvi Shareef Husain Tarjama e Asaar-e-Haidari me likhte hai:
Hazrat Moosa Alahissalam ne Allah ﷻ se Arz kiya aur pucha ke kya kisi Nabi ke As’haab mere As’haab se Afzal hai? Allah ne irshad farmaya Muhammad ﷺ ke As’haab ko dusre Ambiya ke As’haab par aise hi Fazilat haasil hai jaise Muhammad ﷺ ko tamaam Rasoolo'n par hai.
Ref 1: Tarjama e Asaar e Haidari’ Page no.27.
Shia mazhab ki mo’tabar kitaab Nahj ul Balagha iss kitaab ko Shia Khutbaat e Ali kehte hai isme Maula Ali رضي الله عنه Sahaba e Kiraam ko yaad kar ke Rote hai aur yu'n irshad farmate hai :
Kaha hai mere wo Bhai jo raah e khuda me sawaar the aur Haq eteqaad par guzar gaye’ kaha hai ammaar’ ibne tehaan kis taraf hai’ Phir aage raawi kehta hai ke Hazrat Maula Ali رضي الله عنه apni Resh(Daadhi Mubarak) par Haath Phere aur bahot der tak Roye Phir farmaya wo mere deeni Bhai jo Qur’an ki tilawat karte the aur wajibaat cheezo me bade soch o tafakkur se kaam lete huwe unhe qayam karte the’ wo Sunnat e Nabwi ﷺ ko Zinda karte the’ wo Bid’aton ko door karte the’ jab Jihaad ki taraf bulaya jaata to badi khushi se qubool karte the’ apne peshwa par bharosa rakhte the’ aur unke har hukm ki Ita’at karte the.
.Ref: Nahj ul Balagha’ Khutba no.182.
Subha'nAllah ye Shaan hai Nabi e Kareem ﷺ ke Muqaddas Sahaba ki jise Khud Maula Ali رضي الله عنه ne Bayan farmaya’ Lihaza ab jo Shia Sahaba e Kiraam ko Ma’azAllah Murtad o Munafiq kehte hai wo Haqiqat me Khud Badtareen Munafiq hai aur naa hi aiso ka koi Deen se Ta’alluq hai.
Shia Mazhab ke mo’tamad Aalim Ibne Shahr Ashob apni Kitaab Manaqib e Aale Abi Talib me likhte hai ke :
Jab Nabi e Kareem ﷺ Hijrat kar ke Makkah se Madina Pahunche to Aapne Masjid banane ka iraada farmaya to Sahaba e Kiram ke saath aap khud bhi Masjid banane me shaamil huwe iss manzar ko dekh kar Sahaba ne farmaya:
Hum kaam karne se baith jaaye aur Nabi ﷺ kaam karte rahe to humara kiya huwa sab zaaya(waste) hojayega :
Iske Jawab me Huzoor ﷺ ne ek Sher kaha… Behtareen Zindagi aakhirat ki hai’ isiliye aye Parwardigaar e Aalam Mere Mahajreen o Ansar Sahaba e Kiram par Rehmat farma.
Ref: Manaqib e Aale Abi Talib’ Vol 1′ Page no.236.
Subha'nAllah isse pata chala ke Huzoor ﷺ ne apne Mahajreen o Ansar Sahaba e Kiram ke liye Dua e Rehmat farmayi hai ab Yahudi ki Aulaad Yaani Rafziyon ko Chahiye ke apni Zubane Sahaba ke Khilaaf Band kardei'n Warna Jahannam me Dardnaak anjaam hoga.
Shia mazhab ke mo’tabar Aalim Allama Tabrisi apni Tafseer e Qur’an Majma-ul-Bayan me Surah Fatah Ayat no. 18 ki Tafseer karte huwe likhte hai:
Allah ﷻ unn Momineen se Raazi hogaya jinki ta’adaad 1525 thi’ jo Darakht ke neeche Bai'at kiye the jise Bait e Rizwan kaha jaata hai kyun ke Allah ne inse Rizaa ka waada farmaya hai’ phir aage likhte hai ke Allah unse Raazi hogaya hai aur Allah unke Sidq o Sacchi Niyyat ko jaanta hai jinhone Rasoolallah ﷺ ke Haath par Darakht ke neeche Bait kiye the’ Wo jihaad ke maamle me Kuffaaro par jinke Sakht Rawaiyye raha karte the’ aur unke Dil me Yaqeen’Sabr aur Wafaa the’ Allah ko in cheezo ka baakhubi ilm tha’ Allah ne unpar Sakeena naazil farmayi jo unke Dilo ki Mazbooti o Tamaaniyyatt ka Zariya bani.
Ref: Majm’a-ul-Bayan’ Vol 9′ Page no.148.
Shia mazhab ke mo’tabar Aalim Allama Tabrisi apni Tafseer e Qur’an Majm’a-ul-Bayan me Surah Anfaal Ayat no. 74 ki Tafseer karte huwe likhte hai :
Allah ﷻ ne Phir Mahajreen o Ansar ki Taareef farmayi’ aur farmaya wo log jo imaan laaye aur Hijrat ki aur Allah ki raah me Jihaad kiya’ aur unhone Allah aur uske Rasool ki Tasdeeq ki aur apne Watan Makkah se Madina Hijrat kiye aur Allah ke Deen ki bulandi ke khaatir Jihaad bhi kiye’ Phir aage likhte hai Ye log Haqiqat me Momin hai aur Dusro'n ne inki Madad ke zariye apne imaan ki Haqqaniyat ko Wazeh kardi Barkhilaaf unke Jinhone Hijrat naa ki aur iska Maana ye bhi Bayan kiya gaya hai ke Allah ne apni Bashaarat ke zariye se inke imaan ki Tasdeeq kar di.
Ref: Majm’a-ul-Bayan’ Vol 4′ Page no.368.
Shia mazhab ke mo’tabar Aalim Allama Tabrisi apni Tafseer e Qur’an Majm’a-ul-Bayan me Surah Fatah Ayat no. 29 ki Tafseer karte huwe likhte hai :
Phir Allah ﷻ ne Momineen ki taareef ki aur farmaya jo Rasool ke Saathi hai wo Kuffar ke liye Sakht aur Aapas me Naram Dil hai’ Hasan kehte hai ke unka Kuffar par Sakht hona is qadar tha ke unn Mushrikeen ki tarah Kapde bhi naa Pehente the’ aur Kuffar ke Badan se itni Nafrat thi ke Aapas me badan lagna gawaara naa tha magar Aapas me itni Shafqat thi ke jab Ek Momin(Sahabi) kisi dusre Momin(Sahabi) ko dekhte to Musafah kiye beghair naa rehte’ Phir aage likhte hai ke qayamat me unn Momineen ki alaamat ye hogi ke unke maqam e sujood(Chehre ‘Hath’ Paao'n) Raushan honge’ Hazrat ibne Abbas aur Ateeya se Shahr bin Hoshab ne kaha ke unke maqam e sujood Chaudhvi raat ki Chaand ki tarah Chamkenge.
Ref: Majm’a-ul-Bayan’ Vol 9′ Page no.162.
Shia Mazhab ke Mo’tabar Aalim Allama Tabrisi apni Tafseer-e-Qur’an Majm’a-ul-Bayan me Surah Zumur’ Ayat no.33 ki Tafseer karte huwe likhte hai :
Jo Zaat Sidq (Sacchai) leke aai wo Rasool Allah ﷺ hain aur Jisne unki Tasdeeq ki (Maana) wo Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه Hain.
Ref: Majm’a-ul-Bayan’ Vol 8′ Page no.303.
Shia Mazhab ke Mo’tabar Aalim Allama Tabrisi apni Tafseer-e-Qur’an Majm’a-ul-Bayan me Surah Lail’ Ayat no. 5-7 ki Tafseer karte huwe likhte hai :
Ibne Zubair se riwayat hai ke Ye Ayat e Kareema Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه ki Shaan me Naazil huwi’ Aapne bahut se Ghulam khareede the jo Musalmaan hogaye the’ Jaisa ke Hazrat Bilal’ Aamir bin Fuhera wagaira aur phir Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه ne unhe Azaad bhi kar diya.
Ref: Majm’a-ul-Bayan’ Vol 10′ Page no.290.Scan