17-Nov-2023

(𝙎𝙪𝙧𝙖𝙝 𝙖𝙡-𝙃𝙖𝙙𝙞𝙙, 𝙖𝙮𝙖𝙩-10)

وَ مَا لَكُمْ اَلَّا تُنْفِقُوْا فِیْ سَبِیْلِ اللّٰهِ وَ لِلّٰهِ مِیْرَاثُ السَّمٰوٰتِ وَ الْاَرْضِ ؕ -لَا یَسْتَوِیْ مِنْكُمْ مَّنْ اَنْفَقَ مِنْ قَبْلِ الْفَتْحِ وَ قٰتَلَ ؕ -اُولٰٓىٕكَ اَعْظَمُ دَرَجَةً مِّنَ الَّذِیْنَ اَنْفَقُوْا مِنْۢ بَعْدُ وَ قٰتَلُوْا ؕ -وَ كُلًّا وَّعَدَ اللّٰهُ الْحُسْنٰى ؕ -وَ اللّٰهُ بِمَا تَعْمَلُوْنَ خَبِیْرٌ۠(۱۰)

𝙆𝙖𝙣𝙯𝙪𝙡 𝙄𝙢𝙖𝙣 𝙏𝙧𝙖𝙣𝙨𝙡𝙖𝙩𝙞𝙤𝙣:“Aur tumhe kiya hai ke Allah ki Raah me kharch naa karo Hala ki Aasmaanon or zameen sab ka waris Allah hi hai tum me barabar nahi wo jisney Fatah makka se qabl kharach our jihad kiya woh martaba me unse badey hai jinho ne baad fatah ke kharch or jihad kiya our un sab se Allah Jannath ka wadah farmaa chuka or Allah ko tumhare kaamon ki khabar hai. “

*Huzoor ﷺ Ka ilm e Gaib Aur Hazrat Ameer Muawiya Ko Jannati Hone Ki Basharat*

_Hazrat Umme Haram رضي الله عنها‎ Se Riwayat Hain Huzoor ﷺ Ne Farmaya *Meri Ummat Ka Sabse Pehla Lashkar Jo Samudari* (Sea) *Safar Karke Jihaad Ke Liye Jayega Uske Liye Allah Ne Apni Rehmat Aur Maghfirat Wajib Kar Di Hai Wo Jannati Lashkar Hai Phir Hazrat Umme Haram رضي الله عنها Farmati Hain Ki Mene Rasool Allahﷺ Se Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Kya Me Bhi Us Jannati Lashkar Ke Saath Hongi?*_Toh Rasool Allahﷺ Ne Irshad Farmaya_ *Ha Tum Bhi Unke Saath Hogi*

_Phir Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya_ *Meri Ummat Ka Wo Pehla Lashkar Jo Qaisar Ke Shaher Par Hamla Karega Unke Liye Bhi Allah Ne Maghfirat Kardi Hai* _Toh Hazrat Umme Haram رضي الله عنها Ne Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Kya Me Unke Saath Bhi Hongi?_ *Toh Rasool Allah Ne Irshad Farmaya Nahi Tum Unke Saath Nahi Hogi*

_Aur Wo Samudri Lashkar Jisme Hazrat Umme Haram رضي الله عنها Gai Us Pehle Lashkar Ke Sipah’salar (Yani Us Jannati Lashkar Ko Lead Karne Aur Le Jane Wale) *Hazrat Ameer Muawiya رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Hain* Aur Usi Jihad Se Wapsi Ke Waqt Wahin Umme Haram رضي الله عنها Shaheed Hui

Aaj Us Jagah Ko Cyprus Kehte Hai Wahi Hazrat Umme Haram Bint e Milhaan رضي الله عنها Ka Mazar Sharif Bana Hai_

_Yani Jo Chiz Abhi Hui Bhi Nahi Aur Huzoor ﷺ Ke Duniya Se Parda Farmane Ke *Almost Sea War 20* Aur Qaiser Par Jihad *25* Saal Baad Hui Uske Bare Me Mere Mukhtar Aaqa ﷺ Ne Pehle Hi Bata Diya Ki Kaun Kaha Jihaad Karega, Us Lashkar Me Kaun Jayega, Kaun Nahi, Kisse Karega, Kis Rastay Se Jayega Matlab Samundar Ki Zameen, Us Lashkar Me Kaun Shaheed Hoga Kaun Nahi Isi Liye Jab Dusre Lashkar e Qaisar Ke Bare Me Sahabia Ne Pucha To Bata Diya Tum Nahi Hogi Kyunke Wo Samudari Jihaad Wale Lashkar Me Shaheed Ho Jayegi_ *Aur Sahabiya Ka Aqeeda Tha Ki Huzoor Ko ilm e Gaib Hai Jabhi Toh Unhone Pucha Ki Me Us Lashkar Me Jaogi Ki Nahi

(*Reference Book *Sahih Bukhari* Vol *4* Hadees *2799-&-2924*)

(𝙎𝙘𝙖𝙣 𝙥𝙖𝙜𝙚 )

*Huzoor ﷺ Ka Farman Hazrat Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Aur Hazrat Muawiya ۔ رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎Wo Aur Unke Saathi Azeem Hain*

*Hazrat Abu Hurayrah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Aur Hazrat Abu Bakar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Se Riwayat Hain Rasool Allah ﷺ Hazrat Imam Hasan رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Ko Apne Paas Liye Tashreef Farma The Aur Unki Taraf Dekh’kar Irshad Farmaya Ye Mera Beta Hasan رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Syed Ibn e Syed Hain Allah Iske Haath Par Meri Ummat Ke 2 Azeem Badi Jamato Ke Darmiyan Me Sulah Karayega Jab Ke Kafi Khoon Beh’chuka Hoga*

*Pay Attention* _Yani Huzoor ﷺ Ne Hazrat Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Aur Hazrat Muawiya رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Ke Dono Giroh Ko Azeem Karar Diya Aur Hazrat Imam Hasan رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Aur Hazrat Muawiya رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ‎ Ke Bich Jo Sulah Hui Usko Aapke Bachpan Me Hi Bata Diya Aur Khoon Beh’chuka Hoga Isse Murad Jang e Siffeen Aur Jang e Jamal Hai_

(Reference Book *Sahih Bukhari* Vol *1* Hadees *3746*)

(𝙎𝙘𝙖𝙣 𝙥𝙖𝙜𝙚)

Huzoor ﷺ Ne Farmaya Muawiya Tum Mujhse Ho Aur Me Tumse

Hazrat Imam Ibn Asaqir Al Mutawaffah 571 Hijri Hadees Likhte Hain

➊ Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat Hain Ki Me Huzoor ﷺ Ke Paas Maujud Tha To Huzoor ﷺ Ne Irshaad Farmaya Tumhare Saamne Ahle Jannat Me Se Ek Shakhs Zaahir Hoga Toh Hazrat Muawiya رضي الله عنه Tashreef Laye Phir Dusre Din Bhi Huzoor ﷺ Ne Yahi Farmaya Toh Hazrat Muawiya رضي الله عنه Hi Zaahir Huwe.

➋ To Me Unke Paas Gaya Aur Unka Chehra Mubarak RasoolAllah ﷺ Ki Janib Phertay Huwe Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Kya Ye Wahi Shakhs Hain ? To Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Haa Ye Wahi Shakhs Hain

➌ Phir RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya Aye Muawiya رضي الله عنه Tum Mujhse Ho Aur Me Tumse Hun.

➍ Huzoor ﷺ Ne Apni Shahaadat Ki Aur Darmiyaani Ungli Mubarak Ko Harkat Dete Huwe Ishara Farmaya Aye Muawiya رضي الله عنه Tum Jannat Ke Darwaze Me Mere Saat in Dono Ki Tarah Dakhil Honge.

➊ Hazrat Shaykh Abu Bakar Muhammad Bin Muhammad Bin Ali Bin Karteeli Ke Bare Me Hazrat Imam Ibn Asaqir Al Mutawaffah 571 Hijri Farmate Hain Shaykh al-Saleh Yani Wo Naik Buzurg Hain aur Unki Riwayat Ko Hasan (Good) Karar Diya Ref• Mujjam al-Shuyukh Ibn AsaqirVol 2 Raqam 1341

➋ Hazrat Abu Bakar Muhammad Bin Ali Bin Muhammad al-Khaiyyaat al-Muqri Baghdadi Al Mutawaffah 467 Hijri Ko Imam Zehbi Ne Siqa, Mutqin, Zahid Aur Saleh Karar Diya Ref• Tarikh al-IslaamVol 10 Page 254

➌ Hazrat Ahmed Bin Abdullah Bin Khazir Abul Hussain Ibn Susanjari Al Mutawaffah 402 Hijri Ko Hazrat Hazrat Imam Qasim Ne Siqa Mamoon Aur Hasan ul-Aiteqaad Karar DiyaRef• Kitab us Siqaat Lil QasimVol 1 Page 373

➍ Hazrat Abu Jafar Ahmad Bin Abi Talib Ali Bin Muhammed al Katib Al Mutawaffah 379 Hijri Ko Hazrat Imam Khatib al-Baghdadi Al Mutawaffah 463 Hijri Ne Siqa KahaRef• Tarikh al-BaghdadVol 5 Page 516

➎ Aur Unke Walid Hazrat Abu Talib Ali bin Muhammad Bhi Saduq Hain Kyunke Unki Riwayat Ko Hazrat Ibn Asaqir Ne Hasan Kaha HaiRef• Mujjam al-Shuyukh AsaqirVol 2 Page 1041

➏ Hazrat Muhammad Bin Marwan Bin Umar Se Murad, Muhammad Bin Marwan Bin Amrr al-Qureshi al-Saeedi Hain Aap Ki Riwayat Ko Imam Ibn Asaqir Ne Hasan Karar Diya Aur Imam Ziyauddin al Maqdisi Al Mutawaffah 643 Hijri Ne Sahih Karar Diya

➐ Hazrat Hasan Bin Ishaq Bin Yazeed al Attar Al Muttawaffa 272 Hijri Ko Imam Zehbi Ne Siqa Muhaddis aur Hujjat Karar DiyaRef• Siyar A’lam al-NubalaVol 13 Page 144

➑ Hazrat Abu Muhammed, Nuh Bin Yazeed al-Muallim Al-Muhazzab Sunan Abi Dawud Ke Rijaal Hai Aur Imam Ibn Hajar Asqalani Ne Siqa Karar DiyaRef• Taqreeb Raqam 7212

➒ Hazrat Abdur Rehman Bin Abdullah Bin Dinar Sahih al-Bukhari Aur Sunan e Salasa Ke Rijaal Hain Aur Hazrat Imam Ibn e Hajar Asqalani Aur Imam Ayni Ne Saduk Karar DiyaRef• Fathul Bari fi-Sharah BukhariVol 1 278 & Umdatul Qari fi-Sharah Bukhari Vol 3 Page 42

➓ Hazrat Abdullah bin Dinar Al Mutawaffa 127 Hijri Bukhari Muslim Ke Rijaal Hain Aur Imam Ibn Hajar Asqalani Ne Siqa Karar Diya Ref• Taqreeb Raqam 3300

⓫ Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Al Mutawaffah 74 Hijri Azeem Mashoor Sahabi e Rasool ﷺ Hain

☞ To Maloom Hua Ke Is Hadith Ke Tamaam Raawi Siqa Aur Sadooq Hain Aur Is Hadith Ki Sanad Sahih & Hasan Hai

Reference BookTarikh al-Madina tul-DamishqVol 32 Page 262

Hazrat Ameer Muawiyaرضی اللہ عنہ Hazrat Imam Hussainرضی اللہ عنہ Ki Nazar Me1 Shia Rafzio Ka Sabse Bada Allama Aur Muhaddis Abu Mikhnaf al-Azdi Death 157Hijri&2 Allama Balazari Al Mutawaffah 279 Hijri Inka Bhi Shia Rafzi Aur Unki Mutah Aulade Mutai Tafzili Mulla Bahut Hawale Dete Hai&3 Hazrat Imam Tabri Al Mutawaffah 310 Hijri*Jab Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ki Wisaal Ki Khabar Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه Mili To Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه neFarmaya Allah , Hazrat Muawiya رضي الله عنه Rahem Farmaye Aur Unhe Ajar e Azeem Ata Kare.

Yani Aaj Shia Rafzi Aur Unki Mutah Centre Ki Aulade Tafzili Mulla Minhaji ul-Padri Mutai Hanif Maveshi Riaz Shah Charsi Wagera Jo Din Raat Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Par Lanat Bhejte Hai , Unpar Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه Rahem ki dua bhej Rahe Hain.

Hawala Note Shia Most Authentic Books1 *Maqtal Imam Hussain* (Shia)Jild 1] Safa 42&2 Ansab al-AshrafVol 3 Page 464&3Tarikh al-Tabri (Sunni)Vol 3 Page 270

Mujaddid e Alfesani Shaykh Ahmed Sarhendi رحمتہ اللہ علیہ Jinka Wisal 1034 Hijri me Huwa Wo Likhte Hain:”Jaan naa Chahiye ! Ke Hazrat Ameer ul Momineen Aliرضی اللہ عنہ Ke Saath Jung KarneWale(Sahaba) Khata Par the Aur Haq Par Hazrat Aliرضی اللہ عنہ the! Lekin Ye Khata Khata e Ijtehaadi ki Taraf thi isliye Wo Malaamat se Door hai Aur Ispar Koi Mua’akhiza(Giraft)Nahi”.

Ref: Maktubaat e Rabbani Mutarjim, Vol 2,Pg no.516

Ahlesunnat Ke Azeem Imam Hazrat Imam Ghazali Jinka Wisal 505 Hijri me Huwa Wo Likhte hai :

Hazrat Muawiyaرضی اللہ عنہ Aur Hazrat Maula Aliرضی اللہ عنہ Ke Aapsi ikhtelaaf iftehaad ki Buniyaad Par the, Hazrat Muawiyaرضی اللہ عنہ Ki Taraf se Hazrat Aliرضی اللہ عنہ Ke Liye Khilafat Ka Koi Tana’aza o ikhtelaaf Nahi tha”.

Ref: Ahya ul Uloomuddin Arabi, Vol 1,Pg no.115

NABI E KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA

Mere Sahaba ki Khamiyan naa Bayan Karo Kahi Unke Liye Tumhare Dilo mein ikhtelaaf Naa Paida hojaaye Aur Mere Sahaba Ke Mahaasin o Khoobiyan

NABI E KAREEM ﷺ NE Irshad Farmaya:

*Log Kaseer(Zyada Tadaad me) hai Aur Mere Sahaba Qaleel(Kam) hai,Mere Sahaba Ko Bura Bhala Mat Kaho! Jisne Unko Bura Bhala Kaha Uspe Allahﷻ ki La’nat ho”.

Ref: Ma’jam ul Ausat, Hadithno.1203.

Ahlesunnat Ke Mustanad Mohaddis

Imam Badruddin Ayeni Ul Jinka Wisal 855 Hijri me huwa Wo likhte hai:*Haq to Yehi hai Jispe Ahlesunnat hai Ke Sahaba ke Aapasi ikhtelaaf Ke Bare Me Apni Zubane Band Rakhi Jaaye Aur Unke Bare me Accha Gumaan Kiya Jaaye Aur Unke Liye Taweel Ki Jaaye, Wo Mujhtahid theAur Taweel Karne Wale the, Unka iraada Gunah Karna Nahin tha Aur Naahi Unka Maqsad Duniya Haasil Karna ta”

.Ref: Umdat ul Qaari Sharh ul Bukhari,Vol ,Page no.335.

Ahlesunnat Ke Mustanad Imam Aur Mohaddis Hazrat Imam Mulla Ali Qari Ul Jinka Wisal 1014Hijiri me huwa Wo likhte hai :

Sahaba e Kiraam ke Baare me Ta’an Karne se Apni Zubano ko Roke Rakhna isliye ke Har Sahabi Mujhtahid the Agarche Hazrat Aliرضی اللہ عنہ Haq par the Magar Hazrat Maula Aliرضی اللہ عنہ aur Hazrat Muawiyaرضی اللہ عنہ dono Par Ta’an Karna Jayez Nahi hai Aur Momineen ke liye Salamati Yehi hai ke in Dono Hastiyon ke Baare me Khamosh rahe

Ref: Mirqaat ul Mafateeh, Vol 10, Page no.32.

shareh Bukhari Hazrat imam lbne Hajar asqalani رضي الله عنه jinka wisal 852 hijri mai hua wo likhte hai

: Ahlesunnat Ka is Baat par ittefaaq hai ke Sahaba e Kiraam رضي الله عنه Ki Aapasi Jungo ki Wajah Se Un Mese Kisi Ek Par Bhi Ta’an Nahi Kiya Jayega Agarche Koi In Mese Ek Ko Haq Par Manta ho! Isliye Ke Unki Junge ijtehaad ki Buniyad Par thi Aur Allah ne ijtehad me Khata Karne Wale Ko Darguzar Farmaya hai :

Ref: Fath Ul Baari, Vol 16, Page no.482.

*Huzoor *ﷺ Ka Farman Hazrat Aliرضی اللہ عنہ Aur Hazrat Muawiyaرضی اللہ عنہ Me Jing Hogi Aur Dono Momin Haq Par Honge*

NABI E KAREEM: ﷺ NE APNE CHEHRA MUBARAK KO AASMAAN KE JAANIB UTHAKAR IRSHAD FARMAYA:

NABI E KAREEM ﷺ NE Irshad Farmaya:*

Mere Sahaba Ke Baare me Allah Se Daro! Mere Baad Tum Unhe Apni Tanqeed Ka Nishaana naa Banao, Jisne inse Mohabbat Rakhi. Use Meri Mohabbat ki Wajah se Unse Mohabbat Rakhi. Aur Jisne inse Bughz Rakha Usne Mujhse Bughz Ki Wajah se inse Bughz Rakha"."

Ref: Sunan Tirmizi, Hadith no.3862.

Sayyad Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani farmate hai :

RasulAllah ﷺ ke katibo me Hazrat Muawiya رضي الله عنه aur Hazrat Zaid bin sabitرضی اللہ عنہ ko lazmi aur khusoosi Ahmiyat Hasil thi

Ref: Lataif e Ashraf Part 3 Latifa 52

Imam Ahmad Bin Hanbal رضي الله عنه Ubaidullah nami shakhs ko Sunni Muhaddis samajh kar usse kafi Hadeese liya karte the, parjab Aap ko pata chala ke wo shakhs bid’ati hai ke Hazrat Amire Muawiyahرضی اللہ عنہ ko bura kehta hai to aap ne uske yaha jana bandkar diya aur uske pas se jama kiye sare Kagaz fad diye.

Ref: Imam Abu Talib Makki – Qutul Quloob 1/286

NABI E KAREEM ﷺ NE IRSHAD FARMAYA:

Mere Sahaba Mese Kisi Ek Sahabi Ko Bhi Bura Naa Kaho Kyun Ke Tum Mese Koi Shaks Ohad Pahaad ke Baraabar Sona Bhi Kharch Karde to Unke(ek Sawab) Ke Barabar Ya Unke Aadhe ke Barabar Bhi Nahi Pohoncha Sakta hai”.

Ref: Sahih Muslim, Hadith no.6383.

Sufi Jalaluddin Roumie Apni Masnawi Shareef me Likhte hai

Hazrat Muawiyah Ameer ul Momineenرضی اللہ عنہ Aur Momino Ke”Maamu hai

Ref: Masnawi Shareef Farsi, Vol 2,Page no.248.

Mehboob e ilaahi Khwaja Nizamuddin Auliya رضي الله عنه Farmate hain”

Hazrat Muawiya رضي الله عنه Musalman hai Aur Sahabi e Rasool hai Aur RasoolAllah ﷺ Ke Saale hai,Unki Ek Behen Jinka Naam Umme habeeba hai Wo RasoolAllah ki Zauja(Biwi) hain”.

Ref: Fawaid ul Fawad Mutarjim, Pageno.357.

Hazrat Daataganj Bakhsh Ali Hujveri „رضي الله عنه Likhte hain:

*Hazrat Ameer e Muawiya رضي الله عنه ne Imam Husain رضي الله عنه Ke Liye 5 Dinaar ki Theliya’n Bheji, Har Theli me 1 Hazaar Dinaar tha”

.Ref: Kashful Mahjoob Mutarjim,Page no.185.

Shaykh Abdul Qadir Jilani „رضي الله عنه Bade Peer Ghaus ul Azam likhte hain:**

Hazrat Imam Hasanرضی اللہ عنہ Ki Khilafat se Dast bardaari Ke Baad Hazrat Muawiyaرضی اللہ عنہ Ke Liye Khilafat Bil-ittefaaq Saabit hai, Tamaam Sahaba ke Aapsi ikhtelaaf Khatam hogaye Aur Sab ne Hazrat Muawiyaرضی اللہ عنہ Ko Khalifa Tasleem Kar Liya”,

Ref: Al-Ghuniya Le Talibi Tareegil Haq,Pg no.201.

*Huzoor ﷺ Ki Dua Hazrat Ameer Muawiyaرضی اللہ عنہ Ke Liye*

_Hazrat Imam Hussainرضی اللہ عنہ *al-Ajuri* Al Mutawaffah *360* Hijri Hadees Likhte Hain Hazrat *Maslama in Mukhallad* رضي الله عنه Se Riwayat Hai *RasoolAllah ﷺ * Ne Farmaya Ya Allah Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه , Ko Quran Ka ilm Ata Farma Aur Usay Zameen Me Hukumat Ata Farma Aur Usay Azab Se Mehfooz Rakh*Subhanallah

Reference Book*AI-Shariyah*Vol *]* Hadees *1919*

Shiao Rafziyo Aur Unki Irani Mutah Center Ki Aulade Min haji & Mujawari Tafzili Mullao Ko Jab Kuch Nahi Mila To Ek Riwayat Ki Galat Meaning Karke Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه k Shaan Me Bakwas Karna Aur Unpar Buhtan Bandhne Ki Na’kam Koshish Ki Hai Ki Huzoor ﷺ Ne Kisi Ko Hazrat ameer e muawiya رضي الله عنه ko bulane ke liye Bheja to usne Kaha ki jao me khana Kha Raha Hoon Nahi Aaonga Ab Aaiye Dekhe Is Riwayat Ki Asl Ibarat Aur Mafoom Kya Hai Hazrat Imam “Bayhaqi Al Mutawaffah “358”Hijri Likhte Hain.Huzoor ﷺ Ne Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Se Farmaya Ki Jao Hazrat Muawiya رضي الله عنهKo Bula Ke Lao To Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Gaye To Unse Kaha Gaya “InhanoYa’kulo” Ki Hazrat ameer e muawiya رضي الله عنهKhana Kha Rahe Hai To Wo Wapas Aa Gaye Conclusion Yani Maloom Hua Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Ne Directly Hazrat Muawiya رضي الله عنهKe Paas Jakar Nahi Kaha Balke Koi Aur Tha Jinse Aap Mile Aur Use Kaha Na Hi Hazrat muawiya رضي الله عنه Directly Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنه Ko Jawab Diya Ki Me Khana Khaa Ke Aata Hon Balke Unko To Is Baat Ki Khabar Tak Na Tha Ki Hazrat Abdullah BinAbbas رضي الله عنه Ko Huzoor ﷺ Ne Unko Bulane Ke Liye Bheja Hai Agar Hazrat Ameer Muawiyaرضي الله عنه Ne Unko Sunkar Directly Jawab Diya Hota To Alfaz Ye Hote “Ana Akulo” Yani Me Khana Kha Raha Hoon Na Ki Ye “Inhano Ya’kulo”Ki Wo Khana Kha Rahe Hai Reference Book(Dalail un-Nabuwah / Vol 6/ Page 243)

Hazrat Muawiyaرضی اللہ عنہ Qur’an Ke Aameen Hain

Hazrat Imam Ibn “Asaqir” Al Mutawaffah“571” Hijri Hadees Code Karte Hain.Tajdar e Khatam e Nabuwat “RasoolAllah ﷺIrshad Farmaya_Tumhare Pas is Darwaze Se Ek Jannati Shaks Dakhil Hoga Tu Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Dakhil Howe Dusre Din Aap ﷺ Ne Phir Wahi irshad Farmaya Aur Phir Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Dakhil Howe Phir Teesre Din Bhi Aise Hi Farmaya Phir Hazrat Muawiya رضي الله عنه Dakhil Howe Ek Shaks Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ ye Wahi Shaks Hai? Toh Huzoor ﷺ FarmayaWahi Hai.Phir RasoolALLAH ﷺ Ne Farmaya Aye Muawiya رضي الله عنه , Tu Mujh Se Hai Aur Main Tujhse Hun Tu Mere Saath Jannat Ke Darwaze Per Yun ikhatta Hoga Jistarah Ye Angusht e Sahadat Aur Darmiyan Wali Ungli Ek Saath Hain Aur Apni Dono Ungliyon Ko Milaya!Reference Book(Tareekh e Damishq/ Vol 59/ Page -99)

Hazrat Imam Abu Bakar “Hussainرضی اللہ عنہ Aajuri”Baghdadi Al Mutawaffah “360” Hirji Hadees Code Karte Hain_Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Se Riwayat RasoolALLAH ﷺ Ne Hazrat Muawiya رضي الله عنه , Se Farmaya Ya Muawiya Tum Muhse Ho Aur Me Tumse Hon Aur Tum Jannat Ke Darwaze Par Mere Saath Yun Hogay Jis Tarah Ye Do Hai Nabi Kareem ﷺ Ne Apni DarmiyaniAur Saath Wali Ungli (Finger) Ke Zariye ishara Karke Ye Farmaya.Reference Book(Al Shariya – Urdu / Jild -3 / Hadees 1983)

Hazrat Imam Abu al-Hasan Muslim “Al-Aajli”al-Kufi Al Mutawaffah “261” Hijri Likhte Hain Ke Hazrat Imam “Dahim” Al Mutawaffah “245”Hijri Ka Baghdad Shareef Me ikhtilaf Ho Gaya Pas Baghi Giroh Wali Riwayat Se Logon Ne Ahle Sham (Yani Sayyedna AmeerMuawiya رضي الله عنه Ko Murad Liye Is Par”Hazrat Imam Dahim Ne Farmaya Ke Jo Aisa Kahe Ki Is Riwayat Me Baghi Giroh Se Murad Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Hain Wo Fahasha Ki Aulad Hai”‘Reference Book(Tareekh al-Siquat/ Raqam no 928)Scan Page

*Huzoor ﷺ Ne Kisse Farmaya Ki Mujhse Jannat Me Milna

Jab Aaital Kursi Nazil hui Huzoor ﷺ Ne Kisse Farmaya aise Likho?

Hazrat Imam Hussain Abu Bakar al-Ajuri Al Mutawaffah 360 Hijri Likhte Hain

Maula Ali رضي الله عنه Ke Saathi Hazrat Nuf Bin Fudala Kehte Hai Jab Ayatul Kursi Nazil Hui To Nabi Kareem ﷺ Ne Hazrat Ameer Muawiya رضي الله عنه Ko Pegham Bheja Aur Farmaya Tum Isay Likho Qayamat Ke Din Tak Jo Shakhs Bhi Isay Padhe’ga To Tumhe Uski Manid Ajar (Sawab) Milega Subhanallah

Hazrat Abu Bakar Muhammad Bin al-Hussain Bin Shahryar al-Balkhi Al Mutawaffah 306 Hijri Maqbool (Accepted) Raawi Hain

Hazrat Haroon Bin Abbas al-Hashmi Al Mutawaffah 275 Hijri Siqat Raawi Hain

Hazrat Alaa Bin Amrr Abu Amr Al-Basti Ye Majhool (Unknown) Raawi Hai Yani Inka Birth Aur Wisaal Kab Kis Hijri Me Hua Inka Hafiza Kaisa Tha Yani Siqah Saduq Bhi Ho Sakte Hai Aur Za’eef Bhi But Agar Za’eef Bhi Mane Jab Bhi Ijma e Muhaddiseen Ke According Fazail O Manaqib Me Za’eef Riwayat Bhi Accept Hai Aur Dusri Wajah Is Raawi Ke Siqah Saduq Hone Ki Ye Bhi Hai Ki Inse Siqah Raawi Ne Riwayat Li Hai Aur Siqat Raawi Majhul Raawi Ya Za’eef Raawi Se Riwayat Nahi Leta Teesri Wajah Kisi Raawi Ko Majhool Kehne Ki Ye Bhi Hoti Hai Ki Woh Raawi Kayi Naamo (Nick Names) Se Mashhur Ho Aur Alag Alag Sanad Me Uske Alag Naamo Se Confused Hokar Muhaddis Usko Pehchan Nahi Pate Aur Majhool Keh Dete Hain.

Hazrat Marwan Bin Muawiya Al Mutawaffah 193 Hijri Siqat Hafiz Raawi Hain

Hazrat Sawr Bin Yazid Al Mutawaffah 153 Hijri Siqat al-Sabit Raawi Hain

Hazrat Khalid Bin Madaan Al Mutawaffah 103 Hijri Famous Tabai 70 Se Zyada Sahaba e Kiram Ki Ziyarat Ki

Hazrat Nuf Bin Fudala Al Mutawaffah 91 Hijri Maqbool (Accepted) Raawi Hai Aur Usse Bhi Zyada Ala Baat Ye Hai Ki Ye Maula Ali رضي الله عنه Ke As’hab (Saathi) Hain Sunni Ref° Tarikh al-Madina tul-Damishq Vol 26 Pg 221Shia Ref° Bihar al-Anwar Jild 4 Safa 313 & al-Kunaa wal’alqab Jild 2 Safa 89 & Nahjul Balagha

☞ To Pta Chala Ki Is Hadees Ke Tamam Raawi Siqah Aur Maqbool Hai Siwaye Ek Raawi Ke Unke Halaat Usool e Hadees Ke According Clear Nahi So Ye Hadees Thodi Si Za’eef Hai Chunki Ye Riwayat Fazilat Yani Shan Ke Chapter Me Hai So Za’eef Bhi Accept Hai

Reference BookAl-Shariyah Vol 1 Hadees 1940

Hazrat Imam Hassan رضي الله عنه or Hazrat Imam Hussein رضي الله عنه ne Hazrat Muawiyah رضي الله عنه ki Bayt farmai

Ref: Shia Book Rijal ul Kashi page 104Author: Shia scholar Abu Jafar Tusi (died 460 Hijri) (scan page

Ghaus e Azam bhi jinki Taqleed karte the, Wo Imam Ahmad bin Hanbal se kisi ne sawal kiya : Hazrat Muawiya ko bura kehne wale ke piche Namaz parhna chahiye? Imam Ahmad ne farmaya: “Uske piche Namaz nahi parhna aur na uski izzat karna”

Ref: Imam Ibn Hani (265 Hijri) – Masail Imam Ahmad 1/60

دیوبندیوں کی گستاخیاں

حضور ﷺ سے مدد طلب کرنا جایٔز ہے۔

علم غیبِ مصطفیﷺ پر اعتراض کا جواب

یزید پلید لناٹی

امبیا یا اولیاء اپنی قبروں میں زندہ ہے۔

صحابی رسول ﷺ حضرت امیر معاویہ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ کی فضیلت.

اعلیٰ حضرترحمت اللہ علیہ پر اعتراض کا جواب

میلاد النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم منانے کا ثبوت ۔

شان اولیاء قرآن اور حدیث سے۔

وسیلے پر اعتراز کا جواب ۔