Aaj hamare bich Kuch aise Namune Firqe aa chuke hain jinke muh me sirf Shirk Biddat bhara hua hain Musalman kuch nhi kare to seedha mashine Gun ki tarah shirk Biddat ka fatwa chalu ho jata hain Isi tarah inka ek aur aitraaz hai Ham musalman Apne Aaqa o Maula ﷺ se bepanaah muhabbat karte h unke liye khade hokar salam padhte hai aur Hamara Ye Aqeedah bhi hain ki Hum Gunahgar o ka salam Aaqa ﷺ sunte bhi hain or jawab bhi dete hain lekin inko isse bhi dikkat ho jati hain isme bhi shirk Biddat ka Fatwa chalu ho jata hain Kisi Neta Minister ke liye khade ho jate h uski tazeem me liye lekin agar hum khade hokar salat o salam padhe to inko dikkat ho jati hai.
Iss topic me hum sabit karenge Nabi ﷺ ko salam karna unn par Salam padhna ye sahaba se Sabit hai aur uski Dallel denge.
Salam Padhna Yeh ALLAH Paak Ki Sunnat Bhi Hai Jo Quran Se Sabit Hai Ki ALLAHﷻ Apne Rasulo'n Pe Salam Bheja.
سَلٰمٌ عَلٰى نُوْحٍ فِی الْعٰلَمِیْنَ
(Surah Saffat /Aayat-79).
Tarjuma:- Nooh Par Salam Ho Jahan Walo Me.
سَلمٌ عَلَى إِبْرَهِيمَ
(Surah Saffat/Aayat-109)
Tarjuma:- Salam Ho Ibrahim Par.
سَلٰمٌ عَلٰى مُوْسٰى وَ هٰرُوْنَ .
(Surah Saffat/Aayat-120).
Tarjuma:- Salam Ho Musa Aur Haroon Par.
سَلٰمٌ عَلٰۤى اِلْ یَاسِیْنَ
(Surah Saffat/Aayat-130).
Tarjuma:- Salam Ho Ilyas Par.
وسلمٌ عَلی المُرْسَلِیْنَ
(Surah Saffat/Aayat-181).
Tarjuma:- Aur Salam Hai Paigambaro'n Par.
Imam Bukhari Ke Ustad Ke Ustad Hazrat Imam Abdur Razzaq Sam’aani Al Mutawaffah 211 Hijri Apni Famous Book of Hadees Al Musannaf Abi Razzaq Ki Jild 3 Safa 576 Par Hadees Code Karte Hain_Hazrat Abdullah Bin Dinaar رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ki Maine Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه ko Dekha Jab Aap Kisi Safar Se Wapas Aate To Masjid e Nabawi Shareef Se Dakhil Hote Aur Yun Salam Arz KarteAsslamu Alaika Ya RasoolAllah ﷺAsslamu Alika ya Abu bakar Siddiqueرضی اللہ عنہAsslamu Alaika Ya Walid Umarرضی اللہIske Baad 2 Raqat Namaz Ada FarmateAur Asma o Rijaal Ke Bahut Bade Imam Ibne Hajar Asqalani Al Mutawaffah 852 Hijri Apni Kitab Al Matalib al-Aliya Ki Jild 7 Raqam 1320 Par Yahi Hadees Likhte Hain Aur Iski Sanad Ko Sahih Karar Dete Hai_
(Al Matalib al-Aliya)
Hazrat Sayyeda Zainab رضي الله عنها Ne Karbala Se Madina Shareef Ki Janib Apna Rukh Karke Pukara Ya Muhammada Ya Muhammada Aap Par Aasman Ke Farishto Ka Salam Ho Ye Dekhiye Aapka Ladla Hussain رضي الله عنه Aur Aapki Aulad Shaheed Kar Di Gai Hai Aapki Betiyan Qaid Hai Haath Bandhe Hue Hai Mashke Kasi Hui Hai Ya Muhammada Nana Jaan Aapne Yatimo Ki Fariyad Ko Pahuchiye* _Yani Nawasi e Rasool Ka Aqeeda Hai Ki Huzoor Madine Shareef Me Apne Roze Me Hazir-o-Nazir Hai Aur Karbala Me Hume Dekh Rahe Hain Aur Hamari Fariyad o Pukaar Ko Bhi Sun Rahe Hain.
Al Bidaya Wal Nihaya Vol 4 page 200.
Jab ghar mein koi na ho to is tarah kaho "Assalaamu 'alayka 'ayyuhan-Nabiyyu wa rahmatullaahi wa barakaatuhu" isliye ki Nabi ﷺ ki rooh mubarak har musalman ke ghar mein hazir rehti hai.
Ref: Shifa Shareef Pg no 118
Hazrat Imam "Ahmad" Bin Hambal Al Mutawaffah "241" Hijri Hadith Code Karte_ Hazrat Abdullah Bin Mas’ood رضي الله عنه Se Riwayat Hai Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Zameen Me Allah Ke Kuch Farishte Ghumte Phirte Hai Aur Meri Ummat Ka Salam Mujhe Pauchate Hai.
Reference Book (Musnad Ahmad Bin Hambal/Vol-3/Hadees-3666)
Hazrat Imam "Bayhaqi" Al Mutawaffah "458" Hijri Hadith Code Karte Hain Hazrat Abdullah Apne Walid Se Riwayat Karte Hain Ki Mene "Hazrat Anas Bin Malik رضي الله عنه Ko Dekha Ki Wo Rasool Allah ﷺ Ki Qabr e Aqdas Par Hazir Hue Aur Khade Ho Gaye Aur Phir Haath Unchay Kiye Is Tarah Ki Me Samjha Shayd Qibla🕋 Ki Taraf Karke Namaz Shuro Kardi Hai Lekin Wo Namaz Nahi Balke Huzoor ﷺ Ki Bargah e Aqdas Me Salam Padh Rahe The.
(Shu'aib ul-Iman/Vol-3/ Hadees-4164).
Rasoolullah ﷺ NE FARMAYA JO MUJH Par Durood O SALAAM Padhega Mein USKI SHAFAAT Farmaunga.
REF: AL QAWL AL-BAdi [Published Dar al-Reyan Beirut Vol1 Page 261
Tabai Buzurg Sulaiman bin suhaym ne Rasoolullah ﷺ ki khwab me Ziyarat ki aur arz ki “ya Rasul Allah ﷺ jo log apki bargah me hazir hokar salam pesh karte hai kya apko unke salam karne ka ilm hota Hai? Rasoolullah ﷺ NE FARMAYA: HAAN AUR MAI UNHE JAWAB BHI DETA HU REF: BAIHAQI-SHUAB UL IMAN 6/54
Ref:Baihaqi shuaab ul imaan 6/54
Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai K Unhone Nabi E Rehmat ﷺ Ko Farmate Huwe Suna “Kasam Us Jaat Ki Jiske Daste Qudrat Me Abul Qasim Ki Jaan hai Hazrat Isa Ibn Maryam Alaihsalam Ek Insaaf pasand Aur Samajhdar Haakim Banke nuzool Honge.Woh Salib (Cross) Ko Todenge, Khinzeer Ko Khatm karenge aur Aapsi ektelefat aur purani dushmani mita denge.Unhe Maal Diya Jayga Lekin Wo Usko Kabool Naa Karenge Phir Isa Ibn Maryam Alaihsalam Meri Kabr Par Khade Hokar Kahenge Yaa MUHAMMAD Aur Mai Jarur Unko Jawab Dunga”
Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 11, Pg : 462, Hadees : 6584)(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 02, Pg : 595)(Imam Haythami Majma Az Zawaid Vol : 08, Pg : 211 Is Hadees K Rijaal Sahi Hai)(Imam Ibn Asakir Tariqh Damishq Vol : 47, Pg : 493)(Hafiz Ibn Hajar Asqalani Al Matalib Aliya , Baab : Huzoor Ki Qabr Me Zindagi)Imam Abu Yaala Imam Zahbi, Imam Hakim, Aur Imam Haythami iski Isnaad Ko sahih Karar Diya Hai
Murda Qabr Par Aane Wale Ko Pehchanta Hai Aur Uske Salaam Ka Jawab Bhi Deta Hai.
Reference: Ahle Hadith Book ‘Kitab ur Rooh’By Shaykh Ibnul Qayyim Pg.no 5
Imam Abul Fazl Mousili (jinka wisal aj se 760 saal pehle hua) farmate hai: Rasul Allah ﷺ ki Qabr ki ziyarat karne wale ko chahiye ke is tarah hath band kar adab se khada ho jaise Namaz me khada hota hai, aur Huzoor ﷺ ki soorat e aqdas ka tassawur kare goya ke Huzoor ﷺ Rawza e Aqdas me lete hue hai, ziyarat karne wale ko jante hai aur uski bate sunte hai.
Ref: Kitab Al Ikhtyar li Talil ul Mukhtar vol 1 page 176
Kisi ne pucha: “kya murde Qabr me batein karte hai?” Ibn Taymiyyah ne kaha : “Wo baat karte hai aur jo unse baat kare unhe sunte bhi hai”.
Ref: Majmu Al Fatawa 3/73
Qurbani Ke Waqt Huzoor Par Durood-o-Salaam Padho* Hazrat Imam Shafai رضي الله عنه Farmate Hain Janwar Zibah Karte Waqt Takbeer Ke Baad Janwar Zibah Karte Waqt Rasool Allah ﷺ Par Durood-o-Salaam Padhna Mujhe Ye Bhi Pasand Hai Balki Tamam Halaat Me Rasool Allah ﷺ Par Durood-o-Salaam Padhna Zyada Accha Hai Kyunki Allah Ke Zikr Aur Huzoor Par Durood-o-Salaam Padhna Iba'dat Hai Padhne Wale Ko Ajar-o-Sawab Diya Jata Hai* *Sanad sahi hai.
References Books :Al-Umm* Vol *2* Pg *262*