17-Nov-2023

Aye Nabi ﷺ ke Ahle Bait! Apki Muhabbat Allah ne Quran me farz ki, Apki shaan Bayaan karne me yehi kafi hai ki jo Aap par durood na parhe Uski Namaz hi nahi hogi

-Imam Shafai رحمتہ اللہ علیہ

Ref: Haitami – Al Sawaiq ul Muhriqa 1/428

Khaibar ka Darwaza jise 40 admi bhi mil kar na utha na pate, Maula Ali رضي الله عنه ne akele use ukhad diya aur dhaal ki tarah pakad kar jung ladte rahe

Ref: Baihaqi – Dalail un Nubuwwah 4/212

Qayamat ke din ailaan hoga “Aye Ahle Mehshar apni nazre jhuka lo! Taki Rasul Allah ﷺ ki beti Fatima guzre”

Jab sab Nazre jhuka lege to Sayyida Fatima sabz rang ki do badi chadare odhe guzar jayegi

رضي الله عنها و سلام الله عليها

Ref: Haakim – Al Mustadrak 4757

Ek martaba Hazrat Imam Hussain رضي الله عنه ke qadmon par mitti lag gayi to Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه apne kapdo se Imam ke qadam se mitti pochne lage, ispar Imam ne farmaya : Aye Abu Huraira ye kya kar rahe ho? Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه ne arz ki:

Mujhe na rokiye, agar logo ko Aapke Maqam ka ilm pata chal jaye jo mai janta hoo to log apko apne kandho par utha le

Ref: Tabqat Ibn Saad 6/409

Ek bar Hazrat Imam Jafar Sadiq ne raste me chalte dekha ek Aurat apni Gaye (cow) ke marne par ro rahi thi Imam ne farmaya, “kya tum Chahti Ho ki Allah Tumhari gaye zinda Farma De?”, Aurat Ne arz ki “Aap Humse is Tarah mazak karte hain jabke mai pahle hi musibat mein hu”, Aap ne farmaya, “main tumse mazak nahin kar raha”, fir Aap ne Dua farmai aur us Gaye Ke Sar aur Pav ko pakad kar Hilaya to woh Usi wakt uth khade huyi

Ref: Shawahid un Nubuwwah pg 249

Duniya ki Tamam Aurte, yaha tak ke Sayyida Mariyam se bhi zyada Afzal Sayyida Fatimah رضي الله عنها hai, is bat ki bohot se Ulama o Muhaqqiqeen ne tasreeh farmai hai jinme Imam Subki, Imam Suyuti, Imam Zarkashi, Imam Maqrizi shamil hai

-Shaikh ul Islam Imam Yusuf Nabhani Ref: Sharf ul Muabbad pg 59

Do admi kisi jhagde ko lekar Maula Ali رضي الله عنه ke pas hazir hue, Maula Ali رضي الله عنه ek diwar ke saye me baith gaye to ek ne kaha : Aye Amir Ul Mu’mineen diwar gir rahi hai, Maula Ali ne رضي الله عنه farmaya : apna masla batao, Allah humari hifazat ke liye kafi hai, phir Maula unke darmiyan faisla karke waha se uth gaye aur usi wakt diwar gir gayi

Ref: Abu Nuaym – Dala’il Un Nubuwwah 1/582

Munafiq Hum Ahle Bait se Muhabbat nahi kar sakta aur Momin Humse Nafrat nahi kar sakta

-Shere Khuda Maula Ali

Ref: Musannaf ibn Abi Shaibah 32652

Rasul Allah ﷺ ne farmaya:

Jo Aal e Muhammad se Muhabbat karte hue mara, wo Shaheed hai

Ref: Tha’lbi (427 Hijri) – Tafsir 8/314

Hazrat Imam Jalaluddin Syuti رحمتہ اللہ علیہ Mutawaffa 911 Hijri Likhte Hain:

Ek Shaks n Hazrat Husain رضي الله عنه Ke baare me Gustakhi ke Alfaaz Kahe to Allahﷻ ki Qudrat e Kamila se Aasman se Taare Gire Jissey Uski Aankhein Chale Gayi”.

Ref: Tarikh ul Khulafa, Page no.166.

Hazrat Imam Jalaluddin Syuti رحمتہ اللہ علیہ Mutawaffa 911 Hijri likhte hai :

‘Jab Hazrat Husain رضي الله عنه ki Shahadat huwi to 7 din tak dhoop Ka rang Diwaaro par Zaafrani rang maloom hota tha,Sitaare Ek doosre par toot girte the,Usdin Baitul Muqaddas me Jo Patthar Uthaya jaata Uske neeche se Taaza Khoon Nikalta tha”.

Ref: Tarikh ul Khulafa,Page no.165-166.

Hazrat Umme Fazal binte Haris رضي الله عنها se riwayat hai Ke Nabi e Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya :

“Mere Paas Jibraille Aaye Aur Unhone Mujhe Khabr di ke Meri Ummat Mere Farzand(Husain Ko Shaheed Kar degi aur Mere Paas unke Maqtal ki Surkh Mitti laaye”.

Ref: Al Khasais ul Kubra Mutarjim, Vol 2, Pg no.254.

Imam Hasan رضي الله عنه ne 25 hajj paidal chal kar farmaye

Al mustadrak 4853.

Rasul Allah ﷺ se pucha gaya ke Ahle Bait se Muhabbat ki nishani kya hai?”

Huzoor ﷺ ne Hazrat Ali رضي الله عنه ke Kandhe par hath mara, goya ke ishare se bataya ki Ali se Muhabbat Ahle Bait se Muhabbat ki nishani hai

Ref: Tabarani – Mo’jam ul Ausat 2191

Rasul Allah ﷺ ne farmaya:

Qayamat ke din Banda us wakt tak apna qadam nahi uthayega jab tak usse char baton ka sawal na hojaye:

1)Uske jism ke bare me ke kaha uska istemal kiya

2) Uski Umar ke bare me Ki kaha zaya kiya 3) Uske maal ke bare me Ki kaha kamaya kaha kharch kiya

4)Ahle Bait ki Muhabbat

Ref: Tabarani – Mo’jam ul Ausat 2191

Imam Ibn Hajar Haithami Makki Farmaten hai :

Hazrath Ali ul Murtaza Ko KarramAllahu Wajhahul Kareem Isiliye Kaha Jaata hai ke Aapne Kisi Buth (Idol) Ki Ibadat Kabhi nahi ki.

Ref: Imam Ibn Hajar Haithami Makki In Fatawa Al Hadeesiyyah Page 102

Hazrat Jaabir bin Abdullah Radiallahu Anhu se Rivayat Hai Farmate Hai Maine Rasool Allah ﷺ ko Hajj Me Arfaa K Din Dekha Jabki Aap Apni Oontni Kaswa Par Khutba Padh Rahe The, Maine Aap Nabi E Karim ﷺ Ko Farmate Huwe Suna AYE LOGO MAINE TUM ME WO CHEEZ CHODI HAI KI JAB TAK TUM UNKO THAME RAHOGE GUMRAAH NAA HOGE ALLAH KI KITAB AUR MERI ITRAT YAANI AHLE BAIT”

(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg : 435,Kitabul Manakib,Hadees : 3786)(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat Vol : 05, Pg : 89, Hadees : 4757)(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg :66, Hadees : 2680)(Ibn Kathir Tafseer Ibn Kathir Vol : 04, Pg : 114)

Hazrat Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Bayan Karti Hain Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Subah Key Waqt Aik Ooni Munaqqash Chaadar Orhey Huwey Baahar Tashreef Laaye To Aap Key Paas Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye To Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye Aur Woh Bhi Un Key Humraah Chaadar Mey Daakhil Ho Gaye Phir Sayyada Fatima رضي الله عنها Aayi Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Bhi Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya. Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Aaye To Aap ﷺ Ney Unhey Bhi Chaadar Mey Ley Liya Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Yeh Aayatey Mubaraka Parhi : ˝Ahle Bait! Tum Sey Bari Kism Key Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Ki Gard Tak) Door Kar Dey Aur Tumhey (Kaamil) Tahaarat Sey Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar Dey. ˝[Al-Ahzab, 33 : 33]” References : (Sahi Muslim, Kitabul Manakib, Baab : Fazail E Ahl E Bait E Nabi Sal Allahu Alaihiwassalam, Hadees : 2424) (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 159, Hadees : 4707, 4709) (Imam Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol : 02 Pg : 149, Hadees : 2680) Scan Page Sahi Muslim Hadees : 2424

Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya Jis Shaks ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Woh Mere Saath Jannat Me Hoga” References : (Imam Ahmad Ibn Hambal ne Al Musnad, Vol :01, Pg : 412 - 13, Hadees :576) (Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah Pg : 103)

Hazrat Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya : Tum Allah Se Uski Naemato ki Wajah Se Muhabbat kiya karo Jo usne Tum Par Ki Hai, Mujhse Muhabbat Rakho ALLAH ki Muhabbat ki wajah Se aur Mere Ahle Bait Se Muhabbat Rakho Meri Muhabbat Ki Wajah Se” References : (Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg :437, Kitabul Manakib, Hadees : 3789) (Mishkaat Ul Masabeeh, Vol : 2, Pg : 573) ( Zujajatul Masabeeh, Vol : 5, Pg : 314/315) Jamai Tirmizi Hadees 3789

Hazrat Zayd Bin Arqam رضي الله عنه Sey Marwi Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akramصلى الله عليه وسلم Ney Farmaya : Mein Tum Mey Aisee Do 2 Cheezey Chhorey Ja Raha Hoo’n Ke Agar Tum Ney Unhey Mazbooti Sey Thaamey Rakha To Merey Baad Hargiz Gumraah Na Howgey Un Mey Sey Aik Doosri Sey Bari Hey Allah Ta’ala Ki Kitab Aasmaan Sey Zameen Tak Latki Huwi Rassi Hey Aur Aur Meri Itarat Ya’ani Ahle Bait Aur Yeh Donon Hargiz Zuda Na Ho’n Gee, Yahan Tak Ke Donon Merey Paas (Ikat’they) Hawzey Kawsar Par Aayegi. Pas Dekho Ke Tum Merey Baad Un Sey Kya Sulook Kartey Ho?” References : (Jamai Tirmizi Vol :06 , Pg :436 , Kitabul Manakib, Hadees : 3788) (Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 06, Pg : 133, Hadees : 30081) (Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 03, Pg : 14, Hadees : 11119) (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 118, Hadees : 4546) (Imam Nasai As Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 45, Hadees :8148) (Imam Tabrani Al Mujam Al Awsat Vol : 03, Pg : 374, Hadees : 3439) (Imam Tabrani Al Mujam Us Saghir Vol : 01, Pg : 276, Hadees : 323) (Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg : 65, Hadees : 2768) (Imam Ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg : 644, Hadees :1553) (Mishqat Al Masabih Kitabul Manakib, Baab Manakib Ahle Bayt, Fasl E Saani, Pg : 1735, Hadees : 5144)

Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Meri Ahle Bait Ki Misaal Kashti E Nooh Ki Tarah Hai, Jo Isme Sawar Hogaya Usne Nazaat Paayi Aur Jisne Isse Mukhalifat Ki Wo Ghark Hogaya” (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 406, Hadees : 3370)

Hazrat Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه se Rivayat Hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Farmaya : Aye Banu Abdul Muttalib Maine Allah Taala Se Tumhare Liye 10 Chiz Maang li ... Aakhir Me Farmaya Agar Koi Rukn Aur Makam Kay Darmiyan (Yaani Hazre Aswad aur Makam E Ibrahim) Qataar me Khada hojaye aur namaz padhe aur roza rakhe Aur phir issi haal me Allah Taala Se Jaa Mile kay us haal me Woh Ahle Bait Se Bugz Rakhne Waala ho to Dozakh Me Daakhil Hoga. References :(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :03, Pg : 161, Hadees : 4712 & 4717) (Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 11, pg : 176, Hadees : 11412)

Hazrat Ayesha رضي الله عنها Se Riwayat Rasool Allah ﷺ Ne Hajjatul Vida Me Aal-e-Muhammad ki taraf Se Ek Gaye (cow) Ki Qurbani Di Hajjatul Vida Ke Waqt Huzoor ﷺ Ki Tino Shehzadi e Paak Hazrat Sayyedah Ruqayyah رضي الله عنها Hazrat Sayyedah *Kulsoom رضي الله عنها Hazrat Sayyedah Zaynab رضي الله عنها Aur Tino Shehzade Hazrat Sayyidina Qasim رضي الله عنه Hazrat Sayyidina Abdullah رضي الله عنه Aur Hazrat Sayyidina Ibrahim رضي الله عنه In Sabka Wisaal Pehle Hi Ho Chuka Tha Jinke Naam Se Huzoor ﷺ Ne Qurbani Ki Reference Book : Sunan Abu Daud Vol 2 Hadees 1750

NABI E KAREEM ﷺ NE APNI SHEHZADI SAYYIDAH FATIMA رضی اللہ عنہا SE POOCHA KE... " Aye Fatima Kya Tum is baat par Raazi nahi ke Tumhe Jannati Auraton ka Sardaar banaya gaya ? Phir Sayyidah رضی اللہ عنہا Muskurane lagi ". Ref: Sahih Bukhari, Hadith no.3623

مزار بنانے کا ثبوت

ایصال ثواب فاتحہ کا ثبوت

دیوبندیوں کی گستاخیاں

بیت المقدس

حضور ﷺ کے نام مبارک پر انگوٹھے چھمنے کا ثبوت۔

چشتی رسول اللہ کے جھوٹے واقییے کا جواب۔

ناموسِ صحابہ

دیدار خدا بہ چشمہ مصطفی ﷺ

اہل سنت کے اختلاف رحمت ہیں۔

افضلیتِ صدیق اکبر رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ