17-Nov-2023

Tamam Tarife'n Allahﷻ Ke Liye ki Jisne Hame Nabi E Akramﷺ Ka Ummati Banaya Sahi Ul Aqeeda Sunni Musalman Ke Ghar Me Paida farmaya. Durood O Salam Ho Nabi E Akramﷺ Par Ahle Bait Par tamam Sahaba Auliya Allah Par Allah Ta'Aala Ne Hamare dilo me Apne Mehboob Bando'n Ki Muhabbat daali Yahi wo Muhabbat hai jo Najaat ka Zaria bhi Hai Muhabbat E Auliya Ahle bait Nahi to Ibadat bhi kaam nahi Ayegi Ibadat Aur Muhabbat E Auliya jab ek bande Me Jama Ho Jaye'n to Yaqinan ye Raah -e- Najaat Hai par ab kuch Gumraah firqe wujood me Hai'n jinhone firqa -e- mutazila ki tarz par azmat -e- auliya karaamaat -e- auliya Ke munkir Hai'n Aur har waqt bas Daur e Pur fitan me Musalmano'n ko in Auliya Allah se dur karne ki koshish karte Hai'n balke itne tez jaban Hai'n ke Allahﷻ ke in muqaddas Bando'n ko Baabi keh Kar chidate Hai'n aur inko ALLAHﷻ ke muqable me khada kardete hai yaani jo Allahﷻ ke dost Hai'n unhe hi Allahﷻ ka dushman Batane lagte Hai'n, Aur apni kam ilmi ya bugz o hasad ki bina par in muqaddas Buzurgo'n ki Zaat Par Hamla karte Hai'n, Lihaza hamari ye mukhtasar si koshish hai ke Shaan -e- Azmat E Auliya Allah Yaha Quran E Karim Aur Hadees E Paak Se Jama Karte Hai'n taake jo Auliya Allah ke Maqam, Darjaat unke Karamat ke Munkir Hai'n wo padh ke samajh jaaye'n Aur apni Akhirat Inki Gustakhi Karke barbaad naa kare'n. Gair Janib Daar Hokar padhe'n to In Sha Allah Ta'Aala Yaha Se Haq Zaroor Mil Jayega.

Wali Wo Azeem Martabat Zaat Hai Jo Allahﷻ Ke Nazdeek Bahut Badi Qurbiyat Aur Maqam Rakhte Hai'n Auliya Allah ka Zikr to Qur'an E Karim Se Sabit hai aur isi tarah Auliya ki karamate'n bhi Quran me hai ab koi kahe ke ye Wali Auliya kuch Nahi hote karamat Nahi Hoti to Aiysa Shakhs Gumrah Hai.

Sureh Maa’idah Ayat No.55

اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا الَّذِیۡنَ یُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَ یُؤۡتُوۡنَ الزَّکٰوۃَ وَ ہُمۡ رٰکِعُوۡنَ ﴿۵۵﴾

Kanzul Iman Translation

Tumhaare Dost Nahee’n Magar Allah Aur Uska Rasool Aur Imaan Waale Ke Namaaz Qaayim Karte Hai’n Aur Zakaat Dete Hai’n Aur Allah Ke Huzoor Jhuke Huwe Hai’n.

Sureh Baqarah Ayat No.257

اَللّٰہُ وَلِیُّ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا ۙ یُخۡرِجُہُمۡ مِّنَ الظُّلُمٰتِ اِلَی النُّوۡرِ۬ ؕ وَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡۤا اَوۡلِیٰٓـُٔہُمُ الطَّاغُوۡتُ ۙ یُخۡرِجُوۡنَہُمۡ مِّنَ النُّوۡرِ اِلَی الظُّلُمٰتِ ؕ اُولٰٓئِکَ اَصۡحٰبُ النَّارِ ۚ ہُمۡ فِیۡہَا خٰلِدُوۡنَ ﴿۲۵۷﴾٪

Kanzul Iman Translation

Allaah Waali Hai Musalmaano’n Ka Unhe’n Andheriyo’n Se Noor Ki Taraf Nikaalta Hai Aur Kaafiro’n Ke Himaayati Shaitaan Hai’n Woh Unhe’n Noor Se Andheriyo’n Ki Taraf Nikaalte Hai’n Yehi Log Dozakh Waale Hai’n Unhe’n Hamesha Usme’n Rehna.

Surah Yunus Ayat 62

أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُون“

kanzul Iman Translation

Sun Lo Beshak Allah ke Waliyo'n Par Na Kuch Khauf hai Na Gam”

Surah Anfal Ayat 34

إِن أَولِياؤُهُ إِلَّا المُتَّقونَ

Kanzul Iman Translation

“Aur Allah Ke Auliya To Parhezgar hi Hai”

Auliya Allah Ke Muta'alliq Kuch Ahem Aqaid Aur Masail

1) Wilayat Allahﷻ Se Bande Ke Ek Khas Qurb Ka Naam Hai Jo Allah ﷻ Apne Barguzeeda (Maqbool) Bando'n ko Apne Fazl Aur Karam Se Ata karta Hai.

2) Wilayat Be Ilm Ko Nahi Milti, Ilm Do tarah ke Hai'n Ek wo jo Zahiri taur par haasil kiya Jaye Aur Dusra Wo Jo Wilayat ke martabe par pahuchne se Pehle hi Allahﷻ us par Uloom ke darwaze khol deta hai.

3) Tamam Agle Pichle Waliyo Me Se Huzoor ﷺ ki ummat k Auliya Sabme Afzal Hai

4)Koi Kitna hi bada Wali kiyu naa ho jaye Shariat ke Ahkam Se Chutkara nahi paa sakta

5)Koi Wali Kisi Martabe Ka Ho Kisi Sahabi Ke Rutbe Ko Nahi Pahuch Sakta.

Allama Saadudin Masood bin Umar Taftazani Rahmatullah Alaih likhte Hai “Wali Us Shaks Ko Kahte hai Jo Mumkin Hadh Tak ALLAH Aur uski Sifaat Ki Marifat (Yani Pahchan) Rakhta Ho Ibadat Ki Pabandi Karta Ho Aur Har Qism Ke Gunaho Lazzat Aur Shahwat Se bachta Ho”

(Sharah Aqaid, Karamat E Auliya Pg : 316-17)

Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Se Riwayat Hai Ke Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllahﷺ Hamare liye Behtareen Ham nasheen Kaun Log Hain ? Huzoorﷺ Ne Farmaya : Aisa Ham nasheen Jis Ka Dekhna Tumhe Allah Ta’ala Ki Yaad Dilaye Aur Jis Ki Guftgu Tumhare ilm Me Izaafa Kare Aur Jis Ka Amal Tumhe Aakhirat Ki Yaad Dilaaye.”

References :(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 04, Pg :326, Hadees : 2437)(Imam Abd bin Humaid Al Musnad Vol : 01 Pg: 213,Hadees : 631)(Imam Abu Nuaim Al Hilyat ul Auliya, Vol : 07, Pg :46)(Imam Ibn Mubarak Kitab Az Zuhad, Vol : 01 Pg : 121, Hadees : 355)(Imam Ibn Abi Duniya Kitab-ul-Auliya Pg : 17, Hadees : 25)(Imam Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib Vol: 01 Pg : 63, Hadees : 163,(Imam Hussamul Hindi Al Kanz-ul-Ummal, Vol : 09,Pg :28, 37, Hadees : 24764, 24820)(Imam Abdul Bakir Zurqani Shara E Muwahibul Laduniya, Vol :04 Pg : 553)Scan page Musnad Abu Yaala

Hazrat Abu Hurairah رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akramﷺ Ne Farmaya : Jab Allah Ta’ala Kisi Bande Se Muhabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il عليه السلام Ko Aawaaz Deta Hai Ke Allah Ta’ala Fula’n Bande Se Muhabbat Rakhta Hai, Lihaaza Tum Bhi Us Se Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Us Se Muhabbat Karte Hai'n. Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Aasmaani Makhlooq Me Nida (Aawaaz) Dete Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bande Se Muhabbat Karta Hai.Lihaaza Tum Bhi Us Se Muhabbat Karo.Pas Aasmaan Waale Bhi Us Se Muhabbat Karne Lagte Hain. Phir Zameen Waalon (Ke Dilon) Me Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hai

.”References : (Sahih Bukhari, Kitabul Adab, Baab : Al Mikati Minalihi Taala, Hadees : 5693) Note : ye hadees Aksar Nuskho me #6040 par darj hai (Sahih Bukhari,Vol :09, Pg : 351, Kitab No 97 Kitabut Tawheed, Hadees : 7485)(Sahih Bukhari,Vol : 04, Pg : 276 Kitab No 59 Kitab Baadil Khalk, Hadees : 3209)(Sahih Muslim, Vol :06, Pg : 496, Kitab No 45 Kitabul Birr Walsala Wal Adab, Baab : Hadees : 2637)(Al Muatta Imam Malik, Vol : 02, Pg : 953, Hadees : 1747)(Jamai Tirmizi, Kitab Tafseer, Baab Surah Maryam Hadees :3161 ) (Musnad E Ahmad Vol : 02, Pg : 509, Hadees : 10623)(Imam Abu Nuaim Hilyatul Aulia Vol : 07, Pg :141) (Imam Behaqi Shoebul Imaan Kitabuz Zuhad, Vol :02 pg:301 Hadees :805)(Imam Nawawi – Riyaz Us Saliheen Vol : 01, Pg : 525, Kitab No : 01, Kitab Al Mukadama, Hadees : 387)(Imam Nawawi 40 Hadees E Qudsi, Pg : 65, Hadees No : 24)

Banda ALLAHﷻ ka Qurb Kab Hasil Karta hai Allah ke Wali Ka Ekhtiyar Aur Unse Dushmani Bugz Hasad Karne Ka Nuqsan

Hazrat Abu Hurraira Radi Allahu Anhu Se Marwi Hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Allah Taala Farmata Hai Jo Mere Kisi Wali Se Dushmani Rakhe Mein Us Se Elan E Jang Karta Hoon Aur Mera Banda Aise Kisi Cheez Ke Zariye Mera Qurb Nahi Paata Jo Mujhe Farzon Se Zyada Mehboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Ke Zariye Barabar Mera Qurb Haasil Karta Rahta Hai.Yahan Tak Ke Mein Us Se Muhabbat Karne Lagta Hoon Aur Jab Mein Usse Muhabbat Karta Hoon To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoon Jis Se Woh Sunta Hai Aur Uski Aankh Ban Jaata Hoon Jisse Woh Dekhta Hai Aur Uska Haath Ban Jaata Hoon Jisse Woh Pakadta Hai Aur Uska Pao'n Ban Jaata Hoon Jise Wo Chalta Hai.Agar Wo Mujh Se Sawal Karta Hai To Main Use Zaroor Ata Karta Hoon Aur Agar Wo Meri Panaah Mangta Hai To Mein Zaroor Use Panaah Deta Hoon.Mein Ne Jo Kaam Karna Hota Hai Usme Kabhi Is Tarah Mutaraddid (Fikramand) Nahin Hota jaise Banda-E-Momin Ki Jaan Lene Me Hota Hoo’n, Use Mout Pasand Nahi Aur Mujhe Us Ki Takleef Pasand Nahin.References : (Sahih Bukhari Pg : 2384/85, kitab ar Riqak, baab : 38 باب التَّوَاضُعِ , Hadees : 6137) Arabic Nuskha (Sahih Bukhari Vol : 08, Pg :275, Kitab Ar Riqak,Hadees : 6502) Yahi Riwayat bahot se Sahaba رضوان الله تعالیٰ علیھم اجمعین se aayi hai mukhtalif alfaaz k saath.

(Sahih Ibn Hibban Vol : 02, Pg : 58, Hadees : 347)(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra, Kitab Uz Zuhad Al Kabir, Vol :02, pg : 269, Hadees : 696)(Imam Tabrani Al Mu’jam Al Kabir Vol : 08, Pg : 221, Hadees : 7880 & Vol 12, Pg : 145, Hadees : 12719)(Imam Tabrani Al Mu’jam Al Awsat Vol : 1 Pg :192, Hadees : 609, Vol 09, Pg : 139, Hadees : 9352)(Imam Abdul Razzaq Al Mussanaf Vol : 11, Pg : 192-93)(Imam Ibn Abi Dunya Kitab Al Awliya Vol : 01, Hadees : 45 Rivayat Hazrat Anas)(Imam Abu Nauym Al Hilyatul Awliya 01/5, 8/318)(Imam Qushayri Risala E Qushairiya Pg : 292)(Imam Bazzar Al Mazma Uz Zawaid Vol : 04, Pg: 241-42)(Imam Abu Yaala Al Musnad Vol : 12, Pg : 520 Rivayat Hazrat Maymuna) (Imam Hakim Tirmizi Nawadir Al Usul, Hadees : 75,162,228) (Imam Daylami Al Musnad Firdaws Vol :03, Pg : 215, Hadees : 4472, 4475)Scan Page 6137 Sahih Bukhari

Awliya Ko Dekh kar Ambiya Shohada Bhi Rashq Karenge

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Riwayat Karte Hain Ke Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Allah ﷻ Ke Kuch Bande Aise Hain Jo Ambiya Nahin Lekin Ambiya-E-Kiram Aur Shohada Bhi Un Par Rashk Karenge Arz Kiya Gaya (Ya RasoolAllah ﷺ) Woh Kaun Log Hain ? (Hame Un Ki Sifaat Bata’iye) Taake Hum Bhi Un Se Muhabbat Kare Aap ﷺ Ne Farmaya :Woh Aise Bande Hain Jo Aapas Me Beghair Kisi Qaraabatdari Aur Waste Ke Mahaz Allah Ta’ala Ki Khaatir Muhabbat Karte Hain Unke Chahre Purnoor Hongey Aur Woh Noor Ke Mimbaron Par Jalwa Afroz Honge.Unhe Koi Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Ho’n Gey Aur Unhe Koi Gham Na Hoga Jab Log Ghamzada Ho’n Gey.Phir Aap ﷺ Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmayi

Sunn Lo Beshak Allah k Waliyo Par Na Kuch Khauf hai Na Gum”(Surah Yunus Ayat 62)

70000 Auliya Bina Hisab Wa Kitab Jannat Me Jayenge Aur Har Ek Kay Saath 70000 Honge”

Hazrat Abu Umama Radiallahu Anhu Se Marvi Hai ke Nabi E Karim ﷺ ko farmate Huwe Suna Mere rab ne mujhse wada farmaya ke meri ummat me se 70000 logo ko jannat me dakhil karega unka naa hisab hoga aur na koi unpe azab hoga, Aur phir Hazar ke saath 70000 Hazar honge.

(Imam Tirmizi, Sunan Kitab Al Kiyama Wa Ar Raqaiq Wa Al Wara, Hadees : 2437)Imam Tirmizi farmate hai Ye hadees Hasan hai(Imam Ibn Majah Sunan, Kitabuz Zuhd, Hadees : 4286)

Hazrat Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se marvi Hai Nabi E Karim ﷺ Ne irshad farmaya Meri ummat ke 70000 afraad bila hisab wa kitab jannat me dakhil honge, jinke chahre chaudhwi raat ki chand ki manind chamakte honge”

(Imam Muslim Sahih, Kitabul Iman, Baab 94 Bila Hisab wa kitab Jannat me Jaane Wale Giroh Jin par Koi Azab Nahi, Hadees : 217)

Awliya Allah k Makam Aur Martabe k Lihaj se phir unme bhi Darje hote hai ye bande Allah ﷻ k nazdik wo kurbiyat paate hai jo aam farishto ko bhi nahi mil paati aur unhe wo ata kiya jaata hai jo aam insaan ke samajh soch o fikr se bhi baa’la tar hai.Yaha hum unke darjaat k lihaj se naam ko likh rahe hai.

Shurai Ubaid رضي الله عنه Se Rivayat Hai Hazrat Ali رضي الله عنه Jab Iraq Me They To Unki Maujudgi Me Ahle Shaam के logo Ka Zikr Kiya gaya. Logo Ne Kaha Aye Ameerul Momineen Ahle Shaam Par Lanat Karein, Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya Nahi Mai Un Par Lanaat Nahi Karunga, Maine Rasool Allah ﷺ Se Suna Hai Shaam Me Abdaal Raha karte Hai Jinki Tadad 40 Hai. Jab Unme Se Koi Ek Intekal Farmata hai to Allah Taala Uski Jagah Dusre Ko Mukarrar kar deta hai Aur Unhi Kay Sadqe tum par barish hoti hai Unhi Kay Sadqe Rizk Ata Kiya Jaata Hai Tum Dushmano Par Fateh paate Ho Aur tumse Musibat Taali Jaati Hai.

”References : (Musnad Ahmad Ibn Hanbal Vol : 01, Pg : 438, Hadees : 896) (Hafiz Ibn Kathir, Jami Al Masaneed Wa Sunan , Vol : 01, Pg : 230/231, Hadees :2920)(Mishkat Al Masabih , Baab Zikr E Yamani ,Hadees : 6015) (Imam Tabrani Al Majma Ul Kabeer Vol : 10, Pg : 181, Hadees : 10390)(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 10, Pg : 63)Scan Page Musnad Ahmad

Hazrat Anas ibn Malik رضي الله عنه Se Rivayat hai Nabi E Akram ﷺ Ne Irshaad Farmaya zameen un 40 shakhs se Khali naa hogi jinka Qalb Hazrat Ibrahim Alaihsalam ke qalb pe hoga unhi kay waseele se Allah fateh aur barish dega unme jab bhi kisi ka inteqal hota hai ALLAH Taala Uske jagah kisi dusre ko mussallat kar deta hai”Hazrat Qatada Kahte hai hume is par koi Shak nahi ke Hazrat Hasan Basari unme se ek hai.

”References : (Imam Tabarani Al Mujam Al Awsat Vol : 04, Pg :247, Hadees : 4101)(Imam Tabarani Al Mujam Al Kabir Vol : 10,Pg : 224, Hadees : 10390)(Imam Abu Nu’aym Asfahani Marifat As Sahaba, Hadees : 4013)(Imam Ibn Asaqir Tareekh Vol : 01, Pg : 298)(Imam Haythami Majma Az Zawaid Vol : 10, pg : 63 , Hadees : 16675 , Farmaya Ye hadees Hasan hai)

Hazrat Abdullah ibn Masood رضي الله عنه se Riwayat hain Nabi E Karim ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri Ummat me 40 log aise rahenge jinke dil Hazrat Ibrahim Alaihisalam Kay Qalb ki tarah hai inke wajah se Allah Jameen se azaab ko taal deta hai inhe Abdaal Kaha jaata hai.

References : (Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 10, Pg : 224, Hadees :10390)(Imam Abu Nuayam Hilyatul Awliya Vol : 07, 173) (Imam Haythami Al Majma Uz Zawaid, Vol : 10, Pg : 63)Scan Pages Mujam Ul Kabeer

Rasul Allah ﷺ ne farmaya :

Barkat tumhare buzurgo ke sath hai

Ref: Haakim Al Mustadrak 210

آپ (ﷺ) کی خاطر بنے دو جہاں

امام حسین رضی اللہ عنہکے قاتل شیعہ۔

بدعت کسے کہتے ہیں؟

تبلیغی جماعت کی حقیت۔

20رکعت تراویح پڑھنے کا ثبوت۔

وسیلے پر اعتراز کا جواب ۔

ترکِ رفع یدین کا سبوت۔

ردِ صلح کلیت

ایصال ثواب فاتحہ کا ثبوت

وسیلہ لینا جائز ہے، دلائل قرآن یا حدیث سے۔