17-Nov-2023

SHIA Ye Aqeeda rakhte hai Hazrat Ali رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki bahaduri RasoolAllahﷺ se ziyada Hai.

Book: Al Nawar un No’maniyah Vol 1 page 29

Shia Musannif(Author) ne Maula Ali ki Misaal Gadhe se diya Ma’azAllah apni kitaab me likhta hai …..

Imam Baqar se riwayat hai ke Aye Jabir kya Tumhare Paas aisa Gadha hai Jo tumhe Mashriq se Maghrib Sirf ek din me le jaaye? Jabir ne Kaha nahi Abu Jafar aisa Gadha kaha milega? To Imam Baqar ne kaha wo Ameer ul Momineen Ali hai. Ma’azAllah Astaghfirullah.

Ref: Al Ikhtesaas’ Page no.304.

Iss tarah ki Beshumar Jhooti Riwayato'n ko Shia Musannifo ne Imam Baqar aur Imam Jafar ki taraf Mansoob kar ke apni Kitabon me Likha hai’ jisme Ambiya aur Ahlebait ki Sakht Gustakhi hai.

Aaj kal Humare kuch Sunni Musalman Ye sochte hai ke Shia Ahle bait ke sacche Aashiq hai isliye wo Shiao se Mutaassir ho jaa rahe hai Jab ke unhe Pata hi nahi ke Shia Mazhab Ambiya’ Sahaba aur Ahle bait ke Gustakh hai Ya’ani Mukammal Gustakh.

Shia Mazhab ki Mautabar Kitaab Maqtal e Abi Mikhnaf me hai;

Jab Imam e Hussain رضي الله عنه Ka Qaafila Maqam e Zabala pahuncha to Aap ne Khutba Diya Allah ﷻ ki Hamd o Sana Karne ke baad HUZOOR ﷺ par Durood bheja phir farmaya Ke abhi abhi sahih khabar aayi hai ke Muslim bin Aqeel aur Haani bin Urwa Shaheed Kar diye Gaye, Hamein hamare Shion ne Ruswa Kar Diya aur Apne Saathiyo se farmaya Jo ab Talwaar aur Nezo ke Zakham ko bardasht Kar Sakta hai to hamare Saath ruke warna isi maqam se wapas laut jaaye.

Ref: Maqtal e Abi Mikhnaf, Page no.66.

Pata chala Imam e Husain رضي الله عنه ki zaat se Muhabbat ke Da’awedaar(Shio) ne Hazrate Muslim bin Aqeel ke sath Gaddari ki aur aap ko Qatal Kiya, Imame Husain ko iss baat Ka Baakhubi ilm hogaya tha ke Jo hamare Shia hai ye haqiqatan Gaddar hai isliye aap ne farmaya Shio ne hamein zaleel o Ruswa Kiya.

Shia Mazhab ke Hujjatul islam Allama Muhammad Muhammadi Ishtehardi apni ek Kitaab me likhte hai;

Allah Ta’ala ne Apne Paighambar se farmaya’ Aye Habeeb Agar aap naa hote to mai Aasmano ko na Paida karta aur Agar Ali na hote to mai Tujhe Ya’ani Nabi) ko bhi paida na karta’ aur Agar Fatimah na hoti to tum dono (Nabi aur Ali) ko bhi Paida na karta. Ma’az Allah.

Ref: Sayyidah Khadijatul Kubra’ Page no.227.

Shia Mazhab ka bada Aalim Naematullah apni Kitaab Anwar e Nomaniyah me likhta hai;

Allah ﷻ ne Aayimmae Ahle bait ki Wilayat ko tamaam Ambiya e Ikram par Pesh kiya Jisne Tawaqquf (Deri Ya Khamoshi) ikhtiyar ki use Azaab me Mubtila kar diya. Ma’azAllah Astaghfirullah

Ref: Anwar e Nomaniyah’ Vol 1′ Page no.36.

Mere Sahih ul Aqeedah Sunni Musalmano Dekha aap ne ye Shia Ahle bait ki jhooti Muhabbat ki Aad me kis Tarah Tamam Ambiya e Kiraam ki Shaan me Gustakhi kar rahe hai. Allahu Akbar Aaj kal Humare kuch Sunni Musalmaan Ye sochte hai ke Shia Ahle bait ke sacche Ashiq hai isliye wo Shiao se Mutaassir ho jaa rahe hai Jab ke unhe Pata hi nahi ke Shia Mazhab Ambiya’ Sahaba aur Ahle bait ke Gustakh hai Ya’ani Mukammal Gustakh.

Shia Musannif(Author) apni kitaab me likhta hai …..

Hazrat Ali jab bhi kisi Kaneez(Slave) ko Khareedne ka iraada karte the to us Kaneez ki Taango ko Zaahir karte aur uska Moa’ena(Inspection) karte. Nauzbillah Astaghfirullah.

Ref: Qurbul Isnaad’ Page no.103.

Ek taraf Shiao ka ye kehna hai ke hum hi Sacche Ahlebait ke Mohib hai magar Doosri taraf apni Kitabon me Ahlebait ki aisi aisi Gustakhiyan Likhte hai ke Jise na Padha jaa sakta aur na hi Bayan kiya Jaa sakta hai.

Shia Musannif(Author) apni kitaab me likhta hai …..

Allah ﷻ ne Hazrat ALI رضي الله عنه ke baare me RasoolAllah ﷺ ko Daanta.

Ma’azaallah.

Ref: Ahtejaaj Al Tabrsi’ Page no. Vol 1′ Page no.72-74.

Kis tarah Maula Ali رضي الله عنه ki Jhooti Mohabbat aur Riwayat ka Sahara lekar Imam ul Ambiya Taajdare Kainaat ﷺ ki Shaan e Aqdas me ye Shia Gustakhi likh rahe hai.

Shia Rafzi Mulla Hasan al’abtahi Likhta Hai.

Hazrat Fatima Ko Sajda Karna Wajib Hai Aur Sajdo Me 100 Martaba Ya Maulati Ya Fatima Aaghiz Ni Padhna Wajib Hai Al’eyazubillah.

Hawala Note Anwarul Zahra Page 45.

Shia Mazhab ke bade Musannif(Author) Mullah Baqar Majlisi apni kitaab Beharul Anwar me likhte hai…..

Jab Rasool e Khuda ﷺ ne Sayyadah Fatimah رضي الله عنها ka Rishta Hazrate Ali رضی اللہ عنہ lagana chaaha to Aapne Sayyadah Fatimah رضي الله عنها se iss baare me baat ki to Sayyadah ne kaha Baba Jaan aap ki Raaye Sabse Awwal hai lekin Quraish ki Auratein Ali ke baare me Kehti hai ke unka Pet nikla hai’ haath lambe hai’ jodo ki haddiyan baahar hai aur sar ke aage ke baal nahi hai aur Darindo jaise Haath Paao'n hai aur Ali ke paas na Maal hai na hi daulat bilkul ghareeb Muflis hai. Ma’azAllah.

Ref: Beharul Anwar Urdu’ . Vol 3′ Page no.131.

Hum Sunniyon ka Aqeeda hai ke Sayyada e Kainaat رضي الله عنها kabhi iss tarah ki Gustakhi wale Alfaaz Maula Ali رضي الله عنه ke liye nahi keh sakti kyun ke wo to Rab ki Riza pe Raazi rehne wali Muqaddas Shehzadi hai wo bhala kaise iss tarah Maula Ali رضي الله عنه ki shaan me Gustakhana Alfaaz kahengi.

Shia Mazhab ke bade Musannif(Author) Mullah Baqar Majlisi apni kitaab Haqqul Yaqeen me likhte hai.

Jab imam e Qaem zaahir honge to ko Hazrate Ayesha Siddiqah رضي الله عنه ko Zinda kar ke unn par Hadd lagayenge Ya’ani Kode se maarenge. Nauzubillah.

Ref: Haqqul Yaqeen’ Page no.553

Nabi e Kareem ﷺ ki Muqaddas Biwi ki Shaan me iss tarah ki Gustakhi karne ke baad bhi ye Shia Rafzi Beghairat apne aap ko Imaan wala Samjhte hai.

Shia Mazhab ke Mujhtahid Aalim Mullah Baqar Majlisi apni kitaab Jila ul Ayoon me likhte hai…

Sayyidah e Kainaat Fatima رضي الله عنها ne Hazrate Ali رضي الله عنه ki Shikayat Nabi e Paak ﷺ ki Baargah me ki’ ke Ali Jo kuch Samaan(Maal Anaaj wagaira) Jama karte hai to wo Sab Fuqra aur Masakeen me taqseem kar dete hai. Ma’azAllah.

Ref: Jila ul Ayoon Farsi’ Page no.227.

Zara Insaf kariye Wo Sayyadah Fatima رضي الله عنها jo Saari saari raat ibadat kiya karti aur Qana’at pasandi ko ikhtiyar karti jinki Izzat o Rif’at ko bayan nahi kiya jaa sakta jise Sakhawat Apne Baba Jaan Huzoorﷺ se mili thi wo Bhala kisi Ghareeb o Miskeen ko kuch dene par Shikayat kaise kar sakti hai wo bhi Maula Ali رضی اللہ عنہ jaisi Shaksiyat par hargiz nahi kar sakti’ Yaqinan ye Shiao ki taraf se Sayyadah e Kainaat رضی اللہ عنہا par Bohtan e Azeem hai.

Shia Mazhab ke Mujhtahid Aalim Mullah Baqar Majlisi apni kitaab Jila ul Ayoon me likhte hai……

Ek din Hazrate Ali رضي الله عنه apni Kaneez ke daaman me sar rakh kar araam farma rahe the itne me Sayyadah Fatima رضي الله عنها Ghar me daakhil hui aur dekhte hi Gusse me aa gayi aur Sayyadah ne Hazrat Ali رضي الله عنه se poocha ke Kya tumne koi ta’alluq(zina) iss kaneez se qayam kiya ? Hazrat Ali رضي الله عنه ne kaha Bakhuda nahi to Phir Sayyadah Fatima رضي الله عنها Hazrat Ali ki Shikayat karne ke liye Nabi e Paak ﷺ ki Baargah me gayi. Ma’azAllah.

Ref: Jila ul Ayoon Farsi’ Page no.230.

Shiao zara munsifana mijaz rakh kar socho kya ye Sayyadah e Kainaat Fatima Zahra رضي الله عنها aur Maula e Kainaat Ali e Murtaza رضي الله عنه ki Muqaddas Shaan me Gustakhi nahi ? Yaqinan har Aqalmand ise Gustakhi tasleem karega.

Shia Mazhab ke bade Musannif(Author) Mullah Baqar Majlisi apni kitaab Hayat ul Quloob me likhte hai.

Allah Ta’ala ne apne Rasool ko 120 martaba Aasmano par bulaya aur Imamat e Ali aur Doosre Aayimmah ki Imamat ke baare me itni Takeed o Mubalgha farmaya jab ke kisi doosre Faraiz me itni Takeed o Mubalgha nahi farmaya.

Ref: Hayat ul Quloob’ Vol 3′ Page no.704.

Shia Mazhab ke Mujhtahid Aalim Mullah Baqar Majlisi apni Kitaab Haqqul Yaqeen me likhte hai…

Imam Bakar رضي الله عنه riwayat karte hai ke Jab Qaeme Aal e Muhammad(Ya’ani Imam Mehedi) aayenge to Allah unki Farishto ke zariye se Madad karega aur Muhammad ﷺ aur Maula Ali رضي الله عنه unki(Imam Mahadi) ki Bait karenge aur Imam Raza farmate hai ke Hazrate Mehedi Suraj ki Tikiya ke Saamne Barhena(Nange) Zaahir honge.Nauzbillah Astaghfirullah.

Ref: Haqqul Yaqeen’ Page no.554.

Saari Ummat e Muslimaa Jaanti hai ke Nabi e Kareem ﷺ Saare Nabiyon ke imam hain to phir ab ye kehna ke Nabi ﷺ unki Bait karenge ye Gustakhi hai aur Phir is manghadat riwayat ko imam Baqar رضی اللہ عنہ ki taraf mansoob karna ye bhi sakht Gustakhi hai.

Imam Raza ke Hawale se ye bayan karna ke Imame Mahadi Barhena Aayenge ye to aap ki Shaan me Badtareen Gustakhi hai aur phir iski Nisbat Imam Raza ki taraf karna ye bhi kya kam Gustakhi hai?

Shia Mazhab ke mo’atabar Aalim Shaykh Naematullah Jazari apni Kitaab Anwar e Nomaniyah me likhte hai….

Ghurabiyah ne kaha ke Muhammad ﷺ ki Hazrat Ali رضي الله عنه ke saath Mushabihat aise thi jaise Kawwe ko Kawwe se aur Makkhi ko Makkhi se hoti hai’ Phir Allah ﷻ ne Jibrail ko Hazrat Ali رضي الله عنه ki taraf bheja to Hazrat Jibrail se Galti ho gayi bajaye Hazrat Ali ke wo Muhammad ﷺ ke paas chale gaye. Ma’azAllah Astaghfirullah.

Ref: Anwar e Nomaniyah ‘Vol 2’ Page no.208.

Iss jhooti riwayat me Shiao ki Jamaat Ghurabiyah walon ne kis tarah Imam ul Ambiya aur Maula Ali ki Tauheen kiye hai ke inhe Kawwe aur Makkhi se Tashbeeh (Compare) diye hai ab isse badi Gustakhi kya hogi? Sunniyon kya ab bhi tum Shiao ko Mohibb e Ahlebait Samjhoge ?Hazrate Jibrail ke baare me bhi keh diya gaya ke Wahi laane me Galti kar diye bajaye Hazrat Ali ke Huzoorﷺ ke paas le aaye isse to aam fahem shaks bhi samjh sakta hai ke Shia Rafzi Mukammal Gustakh hai.

Shia Mazhab ki Mo’tabar Kitab Nahj-ul-Balagha me likha hai Maula Ali farmate hai ke…

Gaur se Suno! Anqareeb wo tumhe huqm dega ke’ tum mujhe Gaali do aur mujhse bezaari ka izhaar karo’ mai tumhe is baat ki ijaazat de deta hu'n ke tum mujhe Gaali de dena kyun ke ye mere liye Zakaat aur tumhare liye najaat ka sabab hoga. Ma’azAllah.

Ref: Nahj-ul-Balagha ‘Khutba no.57’ Page no.92.

Jab Bahut Se Shia Rafzi Ahle bait Ke Imam Ke Paas Aaye To Kya Hua?

Hazrat Imam Ibn e Hajar Makki Al Mutawaffah 974″

Hazrat Imam Zaid Bin Ali Bin Hussain رضي الله عنه Ne Khurooj Kiya Tha Kufa Ke Bahut Se Logo Ne Aapki Bai'at Ki Aur Shiao Rafziyo Ki Kaseer Tadad Ne Apki Khidmat Me Hazir Hokar Kaha Aap Hazrat Abu Bakr Siddiq Aur Hazrat Umar Se Bezari Ka Izhar Kare To Tab Hum Aapki Bai'at Karenge To Hazrat Imam Zaid Ne Ye Baat Qubool Karne Se Inkar Kar Diya To Unn Logo Ne Kaha Hum Apko Saahibe Fazilat Mante Hai To Hazrat Imam Zaid Ne Irshad Farmaya Chale Jao Tum Rafzi Ho Uss Waqt Shio Ka Naam Rafzi Ho Gaya.

Reference Book.

Al Sawaiq Al-Muhriqah [Published *Maktabat Fayad al-Qahira Misr Vol *1* Page 167.

SHIA Firqe ke mutabiq, 1/3 (yani 33%) Qur’an Sahaba ne mita diya.

HAWALA UNKI MOTBAR KITAB AL AHTIJAJ 1/335 (SCAN LIKHNE WALA AHMAD BIN ALI TABRISI JO 882 SAAL PEHLE MARA.

SHIA Kitabon me likha hai ke Jo Quran hum padhte hai wo asli Quran nahi, Qayamat se pehle Imam Mahdi Asli Quran apne sath layege.

Book: Usool ul Kafi by Kulaini Vol 2 page 633.

Anwar ul Nomania 2/364.

Shehzadi e Rasool Sayyadah Fatima رضي الله عنها Farmati Hain Ke RasoolAllah ne Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Dekhte huwe Irshad Farmaya :

“Ye Ali Jannati hain, inke Giroh me se Shia honge Jo Islam Ko Jaanege Phir Islam Ko Peeth Peeche daal denge(Yaani Islam se Nikal Jayenge) inko Rafzi Kaha Jayega inka Deen se Koi Talluq Nahi Hoga”.

Ref: Majma ud Zawa’id, Vol 9, Hadith no.16432.

Shiya Mulla Baqar Ali Majlisi Bibi Fatima سلام ﷲ علیہا Pe Jhoot Bandhe Huai Likhta Hai Ki: Jab Aaqaﷺ Ne Ali Shere Khuda Ka Paigam Bibi Fatima Se Karne Ka Irada Kya Aor Bibi Fatima Se Tanhai Me Khamoshi Ke Sath Baat Ki To Janab Fatima Ne Arz Ki: Ya Rasul ALLAHﷺ Aapki Ray Subse Aala Hai Lekin Quraish Ki Aurte Trah Trah Ki Bate Karti Hai Aor Kaheti Hai Ki " Unka Pait Nikla Hua Hai " Hath Lambe Hai " Unke Jodo Ki Haddiya Bahot Chodi Hai" Sar Ke Agle Hisse Ke Baal Bhi Nahi Hai " Aankhe Badi Badi Hai" Har Waqt Haste Rahete Hai" Shero Aor Darindo Jaise Hat Pao Hai" Har Waqt Haste Rahete Hai" Phir Unke Pas Na Maal Hai" Na Dolat W Hashmat"Bilkul Muflis Aor Fakeer Hai. معاذﷲ معاذﷲ Shiya Book Hawala (Biharul Anwar /Hissa 3/7-Fazaile Hazrat Ali Bazbane Hazrat Muhammedﷺ /Page 131)

Shiya Mulla Majlisi Likhta Hai: Hadees Muattebar Me Hazrat Sadik علیہ السلام Se Manqul Hai Ke Aana Hazratﷺ Paida Huai To Chnd Roz Tak Aapﷺ Ki Walida Ke Dudh Na Utra Ke Hazrat Nosh Farmate- Hazrat Abu Talib علیہ السلام Ne Unka Mu Apne Pistan Se Lagadiya To Haq Tala Ne Usme Dudh Paida Kardiya - Jab Tak Ke Halima Saadiya Ka Intezam Na Hua Aor Aana Hazratﷺ Unke Supurd Na Kiye Gai Hazrat Usi Trah Dudh Pite Rahe. معاذﷲ Hawala Note Kar Shiya Book Ka (Hayat Ul Quloob/ Jild-2/Bab-4/Page 139)

بدعت کسے کہتے ہیں؟

دیوبندیوں کی گستاخیاں

عید غدیر کی حقیقت۔

امام اعظم ابو حنیفا رحمت اللہ علیہ کی فضیلت .

حضرت امیر معاویہ رضی اللہ عنہ پر اعتراز کا جواب۔

اہل سنت کے اختلاف رحمت ہیں۔

بیت المقدس

شب برات

مختار ثقفی کا ختم نبوت پر ڈاکہ

تبلیغی جماعت کی حقیت۔