17-Nov-2023

Namaaz Me’n Rafa Yadain Karna Ya Na Karna Yeh Ikhtelaafi Masla Hai, Imaam Abu Haneefa رضي الله عنه Aur Imaam Maalik Radiallahu Anhuma Ke Nazdeek Rafa Yadain Nahee’n Karna Chaahiye Aur Imaam Shaafayi Aur Imaam Ahmad Bin Hambal Radiallahu Anhuma Ke Nazdeek Rafa Yadain Karna Chaahiye.

Jo Rafa Yadain Karte Hai’n Hum Unko Bura Nahee’n Keh Sakte Aur Na Rafa Yadain Na Karne Waalo’n Ko Bura Keh Sakte Hai’n Kyu’n Ke Dono’n Ke Paas Apni Apni Daleele’n Maujood Hai’n.

Imaam Abu Hanifa Radiallahu Anhu Ke Nazdeek Rafa Yadain Nahee’n Karna Chaahiye Aur Unki Daleel Yeh Hai.

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Se Riwayat Hai “Ek Sahabi Masjid e Nabawi Shareef Me Namaz Padhne Aaye Aur Huzoor ﷺ Masjid Ke Kinare Par Jalwa Farma Thay Phir Wo Sahabi Aaye Aur Salam Kiya Toh Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jao Phir Se Namaz Padho Kyunke Tumne Namaz Nahi Padhi Toh Wo Wapas Gaye Aur Namaz Padh’ke Aaye Aur Salam Kiya Huzoor ﷺ Ne Farmaya Is Bar Bhi Irshad Farmaya Ki Jao Phir Se Namaz Padho Kyunke Tumne Namaz Nahi Padhi? Akhir Teesri Bar Wo Sahabi Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Aap Hi Mujhe Namaz Ka Tarika Sikha Dijiye? Huzoor ﷺ Ne Farmaya Jab Tum Namaz Ke Liye Khade Hua Karo Toh Pehle Acchi Tarah Se Wuzu Kar Liya Karo Phir Qibla Rukh Hokar Takbeer Kaho Aur Phir Jo Kuch Tumhe Qur’an Ki Ayat Yaad Ho Usko Padho Phir Ruku Karo Aur Sukon Ke Saath Ruku Kar Chuko! To Apna Sar Uthao Aur Jab Sidhe Khade Ho Jao To Sajda Karo! Jab Sajda Acchi Tarah Se Karlo To Sajde Se Sar Uthao Yaha Tak Ki Sidhe Ho Jao Aur Phir Itminaan Ke Saath Bait Jao Aur Phir Sajda Karo Aur Jab Itminaan Se Sajda Karlo To Phir Sajde Se Sar Uthao Yaha Tak Ki Sidhe Khade Ho Jao Yahi Tarika e Amal Tum Apni Puri Namaz Me Karo.

Huzoor ﷺ Ne Sahabi Ko Namaz Ka Tarika Bataya But Kahi Par Bhi Rafa’yadain Na Karna Bataya

(Sahih Bukhari / Vol 9/ Hadees -6667)

Hazrat Al’qamah رضی ﷲتعالی عنہ Riyawat Karte Hai _Hazrat Abdullah Bin Massud Radi’Allah’Anhu Bayan Karte Hai Ki Aap Ne Farmaya Kya Me Tumhe Wo Namaz Na Padh’kar Dikhaon Jo Huzoor ﷺ Padha Karte?

Phir Aap Abdullah Bin Massud Radi’Allah’Anhu Ne Namaz Padhi Aur Sirf Ek Bar Takbir e Tehrima Ke Alawa Puray Arqan e Namaz Me Rafa Yadain Na Kiya.

(Jam e Tirmazi / 257)

Arabic Book Me Ye Riwayat Hasan Hai Jo Lebanon Arab Se Print Hui

Saudi Najd Riyadh Se Print Hui Tirmizi Ki Is Riwayat Ko Bhi Sahi Karar Diya

Firqa Ahl-e-Hadees ke Peshwa Nasiruddin Albani Ne Likha Hai:

”Haq baat Ye hai ke Ye Hadees SAHEEH hai aur Iski SANAD MUSLIM ki Shart Per SAHEEH Hai Aur Jin Logo’n Ne Is Hadees Ko MA’LOOL (Za’eef) Qaraar Diya Hai Humein Unki Koi Aisi Daleel Nahi Mili Jis Se Istedlaal SAHEEH Ho Aur Iski Wajah Se Hadees Ko Radd Kiya Ja Sake.”

[Mishkaat Ba-tehqeeq Albani 1/254]

Imam Abubakr Al Behaiqi Al Mutawaffa 458 Hijri. Farmaate Hai Ke: Hazrat Abdullah Bin Umar رضی ﷲتعالی عنہ. Se Riwayat Hai Ke Nabi E Karimﷺ Takbeer E Tehrima Ke Waqt Haat Utaate The, Baad Nahi Utaate The.

(Al Khilaafiyaat Lil Behaiqi Makhtoota, Fes Morocco)

(Al Khilaafiyaat Lil Behaiqi: Jild 2: Safa 386) New Addition

Hazrat Imam “Ibn Abi Shayba” Al Mutawaffah “235” Hijri Hadith Code Karte Hain

Hazrat Kulayab رحمۃ اللہ علیہ Riwayat Karte Hain Ke Hazrat Ali رضي الله عنه Jab Namaz Shuru Karte To Rafa’yadain Karte (Yani Takbeer e Ula Ke Waqt) Phir Dubara (Puri Namaz Me) “Rafa’yadain Nahi Karte”

Reference Book

“Musannaf Abi Shayba” [Published “Dar al-Iishbilia Riyadh” Saudi] Vol 3 / Hadees 2463)

“Ahle’hagees Selfie Gair Muqallid Saudi Najdi Log Aaj Rafa’yadain Par Ummat Me Fitna Paida Kar Chuke Hai Aur Jo Rafa’yadain Nahi Karta Usko Kehte Hai Ki Tumhari Namaz Nahi Hoti”

Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Farmate Hai Tumhara Rafa’yadain Karma Bid’at Hai”

Yani Pta Chala Ke Wahabi Ahle’hagees Gair Muqallid Najdi Sab Pakke “Bid’ati” Hai

Reference Book “Musnad Ahmad Bin Hambal” Vol 4 / Hadees 5264) Isnad is “Hasan”

Hazrat Imam Nasai Al Mutawaffah “303” Hijri Hadith Code Karte Hai”

Hazrat Jabir Bin Samurah رضي الله عنه Riwayat Karte Hai “Rasool Allah ﷺ Bahar Se Hamare Paas Tashreef Laye Aur Hum Namaz Me Rafa’yadain Kar Rahe Thay To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Tumhe Kya Hua Hai Tum Log Namaz Me Jangali Ghodo (Horse) Ki Dum Ki Tarah Apne Haatho KO Utha Rahe Ho (Rafa’yadain) Kar Rahe Ho! Sukoon Ke Saath Namaz Padho”

Reference Book Sunan Nasai [Published By Saudi Najd Riyadh] Vol 2/ Hadees 1185)

Makkah Mukarrama Me Imam Abu Hanifa Ka Rafa’yadain Par elmi behas”

Hazrat Imam Sufyan Bin Uyaynah Al Mutawaffah “198” Hijri رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hain Ke

Hazrat Imam Abu Hanifa رضي الله عنه Aur Hazrat Imam Aawza’i Al Mutawaffah 157 Hijri رحمۃ اللہ علیہ Makkah Me Gehoon Ki Mandi Me Ek Dusre Se Mile.

Hazrat Aawza’i Ne Hazrat Imam Abu Hanifa Se Kaha Ki “Tumko Kya Hua Ke Tum Namaz Me Ruku’ Jate Waqt Aur Sar uthaate Waqt Rafa’yadain Nahi Karte.?” Hazrat Imam Abu Hanifa Ne Farmaya “Is Sabab Se Kyunke Rasool Allah ﷺ Se Is Bare Me Koi Sahih Hadees Sabit Nahi.”

“Hazrat Imam Aawza’i Ne Phir Kaha “Sahih Hadees Kyun Nahi Hai Aur Al’batta Hadees Bayan Ki” Mujhse Zuhri Ne Unhoney Saalim Se Unhoney Apne Walid Abdullah Bin Umar Se Unhoney Rasool Allah ﷺ Se _Ke Rasool Allah ﷺ Shuru’ Namaz Me Rafayadain Karte Aur Ruku’ Jate Waqt Aur Ruku’ Se Uth’te Waqt.”?

“To Phir Hazrat Imam Abu Hanifa Ne Unsey Kaha” “Mujhse Hadees Bayan Ki Hamaad Ne Unsey Ibrahim Nakhai Ne Unsey Alqamah Ne Aur Aswad Ne Unsey Abdullah Bin Mas’ood Ne Ke Rasool Allah ﷺ Jab Namaz Shuru’ Karte To Rafa’yadain Karte Phir Dubara Rafa’yadayn Na Karte The.”

“Is Par Hazrat Imam Awzai Kehne Lage” “Maine Tumse Hadees Bayan Ki Zuhri+Saalim+Abdullah Bin Umar Ke Waste Se Aur Tum Bayan Karte Ho Hammad+Ibrahim Ke Waste Se.?

“Hazrat To Hazrat Imam Abu Hanifa Ne Farmaya” Hammad/Zuhri Se Zyada Faqeeh Hain Aur Ibrahim Nakhai Saalim Se Zyada Aur Alqamah Hazrat Ibne Umar Se Kuch Kam Nahi Agarche Hazrat Abdullah Bin Umar Ko Sharf-e-Sahabiyat Hasil Hai Aur Aswad Ko Bahut Kuch Fazilat Hasil Hai Aur Phir Hazrat Abdullah Bin Mas’ood To Abdullah Bin Mas’ood Hain. Phir Bas Imam Awza’i Khamosh Ho Gaye.

Reference Book (Musnad Abi Hanifa Page 144 / Raqam 374)

Hazrat Imam Muhammad Shaybani Al Mutawaffah “189” Hijri رحمۃ اللہ علیہ Likhte Hain

“Hazrat Ali رضي الله عنه Farz Namaz Ke Shuru Me (Yani Sirf Takbeer e Tehrima Ke Waqt) Rafa’yadain Farmaya Karte Iske Alawa Kisi Bhi Jagah Namaz Me Rafa’yadain Na Farmate The” & Hazrat Ibrahim Al-Nakhai Al Mutawaffah “95”Hijri رحمۃ اللہ علیہ Ne Farmaya_ “Takbeer e Tehrima Ke Alawa Namaz Me Kisi Bhi Jagah Rafa’yadain Na Karo”

Reference Book (Muwatta Imam Muhammad / Safa -90)

Imam Ahmad Bin Hanbal ke nazdik Rafaa Yadain Imam Abu Dawud ne Imam Ahmad Bin Hanbal se arz ki "Kisi ne Namaz shuru ki aur Rafayadain na kiya to kya namaz Dohrana hoga?" Imam ne jawab diya "nahi dohrani, Iski daleel hai ki Rasul Allah ﷺ ne aarabi ko Rafayadain ki taleem na di".

Ref: Ibn Qayyim - Badai ul Fawaid 3/73, Jami ul Figh 2/90,

Imam Shafai رحمتہ اللہ علیہ: Agar Koi Musalman Namaz me Mere Bataye Tarike se Rafa Yadain Chorh deta hai to Bhi Uski Namaz ho jayegi. Na ussey Dohrane ki jarurat Hai Naahi Sujood e sawh Ki. Jabki Mai isse napasnd Karta hoon.

Kitab ul umm V2 page 239

Imam Malik رحمتہ اللہ علیہ Ke Nazdeek Sirf Taqbeer e Tehrima ke waqt Rafa Yadain Karna Awwal Hai Ispe Ahle Madina Ka Amal Hai Or Iska Alawa Mai Rafa Yadain Ko Janta Bhi Nahi.

Refrence: Al mudawwanat al kubra

Abdullah ibn umar رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ Namaz me Rafa Yadain nahi karte the siwaye Takbeer e Tehreema ke.

Musnad Humaidi Hadith 614.

Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Bayaan Farmaate Hai Ke Maine Rasool Ullah ﷺ Ko Dekha Ke Jab Aap ﷺ Ne Namaz Shuru Farmaayi Toh Haato Ko Kaandho Tak Utaaya Aur Ruku Me Jaate Waqt Aur Ruku Se Uthte Waqt Aap Saw Ne Haat Nahi Utaaye Aur Dono Sajdo Ke Darmiyaan Bhi Haat Nahi Utaaye.

[Musnad Al-Humaydi 277/2 , Hadees 614 , Saheeh Abu Awwaana : Jild 1 : 90 , Madawana Kubra: 71/1 , Saheeh Ibn Khuzaima : Jild 1 : 289 , Al-Khilaaqyaat Lil Bayhaqi V1/P404, Bawala Nasb Ur Riwaya 479/1]

Hazrat Abdullah Ibn Umar رضي الله عنه se hi Manqool Riwayat me 2 Jagah Ek Iftetah E Namaz Ke Waqt Aur Dusre Ruku Ke Baad Utte Huve Rafedain Ka Zikr Hai Aur Ruku Me Jaane Ke Waqt Ka Rafedain Ka Zikr Nahi Hai.

(Muwatta Imam Malik : 25 , Muwatta Imam Muhammed : 79 , Sunan e Behaiqi : 69/2)

Mujahid رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain Ke, “Maine Hazrat Abdullah Bin Umar رضي الله عنه Ke Peeche Namaz Parhi, Aap Ne Is Me Kahi’n Bhi Rafaul-Yadain Nahi Kiya Sivaaye Takbeer Aulaa (Tehreemah) Ke, Namaz Me.”

[Sharah Ma’aaniul Asaar : 163/1 , Musannaf Ibn Abi Shaiba : 417/2 , Hadees 2467]

Is Riwaayat Ke Tamaam Raavi Bukhari Shareef Ke Raavi Hai. Is Hadees Darz e Zail Muhaddiseen ne Sahih Kaha Hai.

تبلیغی جماعت کی حقیت۔

دیدار خدا بہ چشمہ مصطفی ﷺ

ایصال ثواب فاتحہ کا ثبوت

حضور ﷺ کے نام مبارک پر انگوٹھے چھمنے کا ثبوت۔

طاہر القادری کی گستاخی

ترکِ رفع یدین کا سبوت۔

تعویذ پہنے کا سبوت

بدعت کسے کہتے ہیں؟

علم غیبِ مصطفیﷺ پر اعتراض کا جواب

اہل سنت کے اختلاف رحمت ہیں۔