Wahabiyon Deobandiyo Ahle Hadees Gair Muqallido Najdiyo Ka Dada Grandfather ibne Tayymia Apne Hi Rohani Laundo Ke Fatwe ke Mutabik Mushrik Ho Gaya
Ibn e Tayymia Ka (Student) Ibn e Kaseer Likhta Hai Ibne Tamiya Kay Marne Kay Baad Jab Usse Nehlaya Jaa Raha Tha Tu Us Kay Gale (Neck) Say Paare Wala Taweez Nikla Jo Usne Jowe (Lice) Se Bachne Kay Liye Bandh Rakha Tha Bechare Ahle’hagees Wahabiyon Ka Dada Markar Mitti Me Milne Ke Saath Saath Mushrik Bhi Nikla_*Hawala Wahabi
Tawiz Hazrat Umar رضي الله عنه se Sabit Hain
Byzantini Badshah ne Hazrat Umar رضي الله عنه ko paigam bheja ki “mere sar me aisa dard hai jisse mujhe kabhi aram nahi milta, lehaza ap mujhe koi dawa bheje”, iske jawab me Hazrat Umar رضي الله عنه ne use ek Topi bheji, jab badshah wo topi pehnta to uska dard chale jata aur jab utarta to wapas dard hone lagta, badshah Hairaan hua aur topi ke andar talash kia to use ek kagaz mila ( بسم الله الرحمن رحيم) jispar Bismillah likha tha
Ref: Raazi Tafsir Kabir 1/177, Ruh ul Bayan 1/11,
Ibn Qayyim ne likha : Imam Ahmad bin Hanbal ke bete farmate hai ke mere walid dehshatzada aur bukhar walo ke liye Tawiz likhte the :
“Qur’an (gale me) latkane me koi harz nahi”
Imam Ibn Abi Shaibah (Died 235 Hijri) – Al Musannaf hadith no 23550
Ek Azeem Taba’i Sa’eed bin Musayyib se chote kagaz par Qur’an likh kar aurton aur baccho ke gale me latkane ke bare me pucha gaya, AAP NE FARMAYA: ISME KOI HARJ NAHI JAB TAK KE WO KISI CHAMDE YA LOHE ME MEHFOOZ HO.
Sharh Us Sunnah 12/158
Imam Khattabi (jinka wisaal aj se 1054+ Saal pehle hua) farmate hai :
“Quran se barkat ya Shifa hasil karne ke liye jo Taweez gale me pehni jaye wo Tamimah nahi! Kyuki wo Allah ﷻ ka kaalam hai, aur un Taweez se panah chahna Allah se panah chahna hai”
Ref: Mualim as Sunan 4/220
Imam Muhammad Al Hashmi (jinka wisal 1014 sal pehle hua) likhte hai :Aisa Haar pehenne me koi Harj nahi jisme Quran ho aur yehi hukm Tawiz ka hai
Ref: Book Al Irshad pg 547
Mash’hoor Tabai Imam, Jinhone Mawla Ali ke piche Namaz ada ki, Imam Sha’bi (wisaal 103 Hijri) farmate hai :
Isme koi harj nahi ke Insan Quran ki Taweez pehneYe Riwayat ek Azeem Imam ki kitab me likhi hai Yahya ibn Ma’een, jinka wisal 233 Hijri me hua, kitab Juzz Thani min Hadith page 216
Hazrat Shaykh *Abdul Qadir Jilani رحمتہ اللہ علیہ Al Mutawaffah *561* Hijri Likhte Hain_ *Taweez Likhkar Gale Me Dalna Jayez Hai* *Aur Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal رحمۃ اللہ علیہ Farmate Hain Me Bimaar Ho Gaya To Mere Liye Bukhar Ka Taweez Likha Gaya* Reference Book *Ghunyat tut-Talibeen* Vol *1* Page *93*
Sayyiduna Usman رضي الله عنه ne ek khubsurat baccha dekha to farmaya "iske thudi (chin) me Kala rang laga do, ta ki ise Nazar na lage" Ref: Baghawi Sharh us Sunnah 12/166