17-Nov-2023

Iske pehle ke topic me Apne Dekha ki Waseela lena Qur’an aur Hadees se sabit hai aur Hamne Waseele ke Talluq se beshumar Daleel diye hain lekin Gair Muqqalid wahabi bukhari Shareef ki ek hadees ko lekar aate hain aur Waseele par aitraaz karte hain Hadees to ye Google se laate hain jisme inhone tarjuma hi Change kar diya.

Sabse pehle Huzoor ﷺ ki ye Hadees padhei'n Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Se Marwi Hai K NABI ﷺ Ne Farmaya Jo Shaksh Bagair Ilm Ke Quran Ke Baare Me Kahe To Wo Aag Me Hai.

Tirmizi Hadees 3204 : Ye Hadees Hasan Sahih Hai.

Toh Iss hadees Se Saaf Wazeh Hogaya Ke Agar Tumhay Ilm Nai Toh Ilm Walo Se Pucho Aur Quran O Hadees Me Apni Taraf Se Kuch Na Kaho Warna Tumhara Thikhana Jahannum Hai.

Ab aaye Mauzu ki taraf Ahle Hadees Bukhari Sharif (1010) ki hadees lekar aate hain aur Waseele par aitraaz karte hain ke Dekho NABI Zinda Nahi The Aur Baad Az Wafat Waseela Jaiz Hota Toh Hazrat Umar Radiallahu anha Hazrat Abbas Radiallahu anha Ke Paas Kyu Jaate ?

Iske Alawa Puri Gair Muqallid Agar Ek Jagah Miljaye Toh Isse Zyada Wo Daleel De Hi Nhi sakte Ke Baad Az Wafat Waseela Lena Bida'at Hai Ya Haram Hai Ya Shirk hai.

Un ke Aitraaz Ka Jawab.

Iski Wajah Ye Hai Ye Tabsera Hadees Par Khud Gair Muqallid Ka Ghadha Hua Hai Apni Taraf Se, Imam Bukhari Ne Hadees Kab Likhi ?? uss Daur Se Lekar Gair Muqallid Ke Wajood Me Aane Tak Accha Khasa Fasla Hai , Toh Iss Darmiyan Me Kiss Muhaddis , Muffasir , Aimma E Mujhtahideen Wagaira Ne Yehi Istedlal Liya Jo Aur gair Muqallid Lete Hai ??

Iske Baraqs Hum Iss Hadees Par Imamo Ke Sharah Pesh Karenge Ab Aaye Muhaddiseen Yaani Ilm Walo Ki Sharah Ki Taraf Ke Wo Iss Hadees Ke Baare me Kya Kehte.

YA ALLAH , Koi Pareshani Na Utre Siwaye Gunaho Ki Wajah Se Aur Naahi Tauba Ke Siwaye Uthaye Gai Ho , Log Mere Zariye Teri Taraf Mutawajja Hue Kyuki Mai Tere Nabiﷺ Ka Rishtedaar Hu'n Hazrat Abbas Raziallahu anha Ke Tawassul Se Maloom Hua Ke Nek , Saleh Aur Ahle Bait Ka Waseela Lena Bhi Jaiz Hai.

Fath Ul Baari Sharah Sahi Bukhari , Safa 577.

Imam Subki Likhte Hai Iss Hadees Se Maloom Hua ki. Saleh Logo Ka Tawassul Lena Jaiz Hai, Balke Kisi bhi Muslim Ne Iska Inkar Nahi Kiya Hai Siwaye Bida'ati Ke Jo Tawassul Ke Munkir Hai.

As'Shifa As'Siqam Safa: 377.

Mufti Muhammad Shareef Ul Haq Amjadi Sahab Likhte Hai'n Ye Hadees Iski Daleel Hai Kae Ahle Bait Aur Buzurgane deen Ko Khuda Ki Bargah Me Waseela Banana Mustahab Hai , Jaisa Ke Allama Ibn e Hajar Aur Allama Ayni Ne Tashreeh Ki Hai.

Nuzhatul Qari Sharah Sahih Bukhari Safa: 613.

Gulam Rasool Saedi Sahab Naimat Ul Bari Sharah Sahih Bukhari ke Jild 15 Safa:138 Par Likhte hai'n .Iss Hadees Se Aur Hafiz Ibn e Hajar Asqalani राज़ी अल्लाहु अन्हू Ki Sharah Se Ye Maloom Hua Ke ALLAH Taala Ki Bargah Me Jiss Tarah Nek Aamaal Ka Waseela Pesh Karna Mustahab Hai Isi Tarah ALLAH Taala Ki Bargah Me Nek Hazraat Ka Waseela Pesh Karna Bhi Jaiz Hai Aur Mustahab Hai.

Sahih Bukhari Ki Sharah Se Maloom Hua Ke Iss Hadees Se Ye Wazeh Taur Par Sabit Hai Ke Nek Saleh Ka Waseela Lena Jaiz Aur Mustahab Hai Lekin Hume Aisi Koi Daleel Nahi Mili Ya Sharah Mili Ke Jisme Gair Muqallid Hazraat Ka Aqeeda Ya Tabsera Bayan Kiya Gaya Ho Ke Baad Az Wafat Waseela Lena Jaiz Nahi Balke Shirk , Bida'at , Najaiz O Haram Hai. ALLAH Taala Hum Sabko Haq Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye Aur Gair Muqallid Ke Fitno Sae Bachaye.

صلٰوۃ و سلام پڑھنے کا ثبوت

یہ امت شرک نہیں کر سکتی

چشتی رسول اللہ کے جھوٹے واقییے کا جواب۔

دیوبندیوں کی گستاخیاں

وسیلہ لینا جائز ہے، دلائل قرآن یا حدیث سے۔

مختار ثقفی کا ختم نبوت پر ڈاکہ

عید غدیر کی حقیقت۔

حضور ﷺ نور ہیں ۔

ایمان والدین مصطفی ﷺ

عظمتِ امام احمد رضا رحمۃ اللّٰہ علیہ ۔