Aaj kal Market me Ek se Ek new – new Namune Aa rahe hain unhi Namuno me se Ek Namune Wahabi Hain Jo Yazeed Paleed Lanati ko Acha kehte hain aur uske Sath رحمتہ اللہ علیہ lagate hain Maazallah Yazeed Paleed Lanati ke Khud ke uske bete ne Apne baap ki wasiyat ko Qubool nahi kiya Badshah banne ko mana kar diya Yazeed ke khud ke sage bete ko maloom tha Uska Baap Fasiq o Fajir hai Imam Hussain رضي الله عنه ka Qatil hain . Lekin Aaj kal ke Naam Nihaad Victorian Ahle Hadees Yazeed ke Najaiz bachhe use Acha kehte hain Iss Topic par Ham yazeed Paleed Lanati ki Haqiqat Janenge.
Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain :
Beshak Yazid ‘Paleed’ tha, Use Paleed kehna aur likhna jaiz hai, Use Nasibi aur Ahle Bait ke dushman ke siwa koi ‘Rahmatullah alaih’ nahi kahega.
Ref: Fatawa Razwiyyah 14/64
Hazrat Imam “Haris Bin Abi Usama” Al Mutawaffah “282” Hijri
&
Ibn e “Taimiyah” ka student Hafiz Ibn e “Kaseer”Hadith Likhte Hain.
Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jarrah رضي الله عنه Riwayat Hai Ke “Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Meri Ummat Ka Muam’la Adal-o-Insaaf Par Qayam Rahega Al-Batta Banu Ummaiyyah Ka Ek Shakhs Iss Ummat Me Bigaad Fitna Paida Karega Aur Uss Shakhs Ka Naam “Yazeed” Hoga_
Iss Hadees Ki “Sanad” Ke “Rijaal” (Raawi) “Siqah” Aur “Sahih” Hai
Discussion”।
Yani Kaun Ummat Me Sabse Pehle Fitne Paida Karega Aur Wo Kaun Hoga Aur Kis Qabile Se Hoga Uska Naam Kiya Hoga Sab Huzoor ﷺ Ne 1400 Saal Before Bata Diya_ 61 Hijri Me Yazeed Ne Ahle bait Aur Ahle Madina Ko Qatl Karke Ummat Me Fitne Fasad Paida Kiya Aur Aaj Yazeed Ki Ruhani Najaiz Aulade Wahabi Ahle’hagees Deobandi Saudi Ke Muqallid Najdi Apni Kitabo Aur Apne Bhashan Me Fitna Faila Rahe Hain.
References Books (Jame al-Masanid wal-Sunan /Vol 8/ Page 4242)
HAZRAT E SYEDNA ABU HURAIRA رضي الله عنه NE YAZEEDI HUKUMAT SE PANAH MANGI*
Hazrat Imam Ibne Hajar Asqalani رحمتہ اللہ علیہ Bukhari Sharif Ki Sharah Mein Likhte Hain Jiska Mukhtasar Tarjama Pesh Hai, Farmate Hain:
Hazret Abu Huraira Bazar Mein Tashrif Le ja rahe The Aur Dua Maang Rahe The: “Aye Mere Allah Mujhe 60 Hijri Aur Ladkon Ki Hukumat Tak zinda Na Rakhna.
Iss Me isharatan Bayan Kiya Gaya Hai Ke Pehla Haakim Ladka 60 hijri Me Takht Nashin Hoga, Chunanche Aisa Aisa Hi Huwa Yazeed isi Sann(year) Me Haakim Bana unn Mohallak Haakim Ladkon Mein Se pehla Yazeed Hai Jaisa ke Hazrat Abu Huraira→→→ Ke Qaul Mein 60 Hijri Aur Ladkon Ki Hukumat Ke Alfaaz isper Dalalat Karte Hain Aur Yazeed Bade bade Shehron Se Tajurbekaar Buzurg Haakimon Ko Mazool Karke Unki Jagah Apne Rishtedaron Ladkon Ko Haakim Bana deta Tha……
{Fatah ul Bari Sharah Sahih ul Bukhari Page 10)*
Sahabi e Rasool Ibne Zubair ne Farmaya ke Yazeed Sharabi, Zaani, Namaz Chodhne Wala Fasiq o Fajir hai.
References: Al bidayah Wan Nihayah Page279 Ibne kaseer
Yazeed ke Huqm Par Ibne Uqba Ne Makkah Par Humla kiya aur Kaaba Shareef Par Aag ke Gole Barsaye aur phir Patthar barsaye aur Kaabe Ko Jala diya.
References: Ibne kaseer in Al bidayah Wan Nihayah Vol-8 Page286
Yazeediyo ne Madinah Shareef Ko 3 din ke Liye Mubah kar diya Iss 3 Din me Khoon Bahaya Qatl kiya Gaya aur Hazaron Aurton ki Izzat Se khela gaya.
References: Ibne Kaseer in Al bidayaha wan Nihayah Vol-8 Page281
Imam Tabri Likhte hain ‘Logon Ne Madina Shareef Mein Aakar Ahle Madina Ke Samne Yazeed Ko Sabba Watan Karna Shuru Kiya Kaha Hum Aise Shaksh Ke Paas Hokar Aaye Hain Jo Koi Deen Nahi Rakhta Sharab Peeta Tanbora Bajaa Hai Uski Sohbat Mein Gaane Waliyan Gaana Gaaya Bajaya Karti Hain Kutton Se Khelta Hai kuch Laundion Se Sohbat Rakhta Hai Tum Log Sab Gawah Raho Hum Ne Use Khilafat SE Maazol Kiya.
Tareekh E Tabri vol 4 Page 252
Imam ibne Khaldun yazeed Paleed Ke Taaluq Se Likhte Hain Ke Yazeed Paleed Ka Fisq Wa fujoor Jab Zahir Hogya To Sahaba Kiram Mein Yazeed Ke Taaluq Se ikhtelaf Hogaya iske Baad Kai Sahaba Yazeed Paleed Se Uski Bait Tod Kar Alag Hogaye।
Muqaddima Ibne Khuldoon Vol 1 Page 393
Yazeed Paleed Hazart ibne Zubair رضي الله عنه ki Nazar Mein:
Hazrat imam Jalaluddin Suyuti رحمتہ اللہ علیہ Likhte Hain 64Hijri Mahe Safar Mein Unahune (Yazeedion] Makka Ka Nuhasira Kar Liya Aur ibne Zubair se Jung Shuru Hogai Aur Minjhaneek Se Pathar Marne Lage Aur Unn ki Aag Ke Sholon Se Kaaba Ke Parde Chath Aur Dumba Ke Singh Jal gaye Jo Hazrat Ibrahim Ka Fidiya Banakar Bheja Gaya Tha Aur Jo Uss Zamane Se Kaaba Ki Chath Per Latke Chale Aate The isi Saal Nis Maah Rabi ul Awwal Mein Khuda E Ta,ala Ne Yazeed Ko Halak Farma diya Aur Ye Khabar Makka Mein aaye jung Ki Halat Mein Pahunchi Hazrat ibne Zubair Ne Pukara Ke Aye Ahle Sham Tumhe Gumrah Karne Wala Margaya…
TAREEKH UL KHULFA PAGE 302
Yazeed Paleed Sharab Ko Halal Samjhta Tha.
Hazrat Mulla Ali Qari رحمتہ اللہ علیہ Farmate Hain “Yazeed Ke Kufr Mein ikhtelaf Hai Jo Khuch Usse Sarz Howa Hai Wo Uske Kufr Par Daleel Hai Maslan Khimar Ko Halal Qarar Dena Aur Syedna imam Hussain Ke Qatal Ke Baad Uska Ye Kehna Ke Maine Ahle Bait Ko uska Badla De Diya Hai Kuch Mere Bado'n Ke Sath Maidan E Badar Mein Kiya Gaya Tha.
Sharah Fiqah Akbar Mulla Ali Qari page 218
Imam Hussain رضي الله عنه Ki Shahadat Par YAZEED Paleed Lanati khush Hua MaazAllah.
Reference: Ibne Kaseer Albidayah Wan Nihayah, Vol-8 Page294.