16-Nov-2023

Aaj Wahabi Gair Muqqalid Naam Nihaad Ahle Hadees Hum sunni musalmano'n ko Mushrik kehte hain aur harr baat par shirk ka fatwa lagate rehte Hain na inhe Shirk ki kisme maloom lekin phir bhi shirk Shirk chillate rehte Hain inn Wahabhiyo'n ne ye shirk Shirk kehna Apne Abba kharjiyo se seekha hain kharji aur wahabhi dono ka Aqida same hai kharjiyo'n me bhi musalmano'n par Shirk ke fatwe lagaye aur Maula Ali رضي الله عنه aur bhut se Sahabi ko Mushrik tak bol diya (Maazallah) استغفراللہ.

Musalmano'n par Shirk ke fatwe lagana KHAWARIJ ka tareeka hai Khawarij ne Maula Ali رَضِيَ اللهُ عَنْهُ aur dusre Sahaba ko Mushrik kaha. (Maazallah).

Ref: Ibn Kathir – Al Bidaya Wan Nihaya 10/569

Aur inn Wahabhiyo'n ne bhi yahi Kiya jaise kharjiyo ne Maula Ali رضي الله عنه par aur baki sahaba par Shirk ke fatwa lagaye usi tarah Muhammad ibn wahab Najdi ke Shagird ne Musalmano'n par Shirk ke fatwe lagaye. Inn Wahabhiyo ka shirk ka Fatwa sirf Logo ke liye nahi balki Nabiyo'n tak ko nahi choda Inhone, Hazrat Adam Alahisalam ke bare me bhi Muhammad ibn wahab Najdi ne likha ki unhone shirk kiya. (Maazallah) استغفراللہ.

Muhammad Ibn Abdul Wahab Najdi Likhta Hai ki Adam Alahissalam ne Shirk kiya :

Muhammad Ibn Abdul Wahab Nazdi, Kitabut Tawheed, Chapter: 49 – Naam Rakhne Ke Baab Me Shirk Karne Ka Bayan, Pg: 122).

Me Likhte Hai Ke Hazrat Adam عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ .Ne Bhi Apne Bete Ka Naam Rakhne Me Shirk Kiya.

Kitaabut Tawheed chapter 49 Page no 122.

Inn Wahabhiyo'n ke Nazdeek Sabhi shirk kar rahe the. HAZRAT Adam Alahissalam ne bhi Shirk kiya aur puri ummat shirk me mubtala thi aur Muhammad ibn Abdul Wahab Najdi ne logo'n ko shirk se nikal ke Tawheed ke taraf laye.

Inn shirk ka Fatwa dene wale aur Musalmano'n ko Mushrik kehne wale Munafiq Wahabhiyo ke bare me hamare Gaib Janne wale Nabi ﷺ ne 1400 saal pehle hi bta diya tha aur ye bhi bta Diya tha Huzoor ﷺ ne ki meri ye ummat shirk nahi kar skti.

Hazrat Huzaifa Ibn Al Yaman رضي الله عنه Se Riwayat Hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Mujhe Uss Shakhs Ka Khauf Hai Jo Quran Padhega Aur Uss Par Quran Ki Raunak Dekhi Jayegi Aur Usne Islam Ki Chadar Odh Li Hogi Phir ALLAH Jidhar Chahega Usko Le Jayega, Wo Islam Ki Chadar Se Nikal Jayega Aur Apne (Musalmaan) Padosi Par Talwar Chalaega Aur Uss Par SHIRK KI TOHMAT LAGAYEGA”.

“Sahabi Ne Pucha Dono Mein Se Mushrik Kaun Hoga”? Farmaya;”SHIRK KI TOHMAT LAGANE WALA”.

References (Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol: 01, Pg :281/82, Hadees : 81) Albani Ne Isko Hasan Likha (Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol: 02, Pg: 245, Surah Aaraf Ayat : 175)

To iss Hadees Se pta chala ki huzoor ﷺ ne 1400 saal pehle hi farma diya tha ki Aise log niklenge jo Apne hi Musalmano'n par Shirk ka Fatwa lagayenge aur Yahi kaam kharjiyo'n ne Kiya aur yahi kaam aaj ke Daur me wahabi kar rahe.

Aur Inn khwarjiyo'n ne jo Ayat buto ke liye kuffar aur Mushrikeen par Nazil hui hai usko ALLAH ﷻ ke nek Waliyo par fit kiya aur yahi kaam Aaj ke Wahabi karte hain. Jo Ayat buto ke liye Nazil hui usko Auliya Allah par Fit karte hain.

Kafiro Ke Haq Me Jo Aayatei'n Nazil Hui Wo Musalman Ke Liye Fit Karne Wale aur Quran Paak Se Shirk Ke Fatwe Lagane Walo Ke Liye Imam Bukhari Ne Apni Mubarak Kitab Bukhari Sharif Ke Baab Me Hazrat Abdullah Bin Umar رضی ﷲتعالی عنہ Ka kaul Nakal Kiya Jisme Likha Hai.

Yani Hazrat Abdullah Bin Umar رضی ﷲتعالی عنہ Unn Ko Tamam Makhlooq Se Battar Jante The Jo Aayatei'n Kafiro Ke Bare Me Nazil Hui Thi, Unhe Musalmano Par Chaspa Karne Lage.

(Sahi Bukhari / Kitab Us Istitabatul Murtadin / Page-1714)

In kharji aur Aaj ke Wahabhiyo'n ne Qur’an ki Ayat ko apne mutabik Raye bana li jabki Huzoor ﷺ ne Farmaya ho Qur’an me Apne mutabik Raye banaye wo Jahannami hai.

Hazrat Abdullah Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ke, Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya:

“Jo Shakhs Ne Qur’an Me (Baghair Ilm Ke) Apni Raa’i Chalaayi Wo Apna Thikaana Jahannum Me Bana Le.”

Reference :(Jamai Tirmizi, Kitaab No 47 – Kitaab Tafseer Al Quran, Pg : 651 Hadees : 2950)

Inn kharji aur wahabhiyo'n ne to musalmano'n ko Mushrik kaha aur shirk ke fatwe lagaye lekin Aaye dekhte hain Hamare Aaqa o Maula ﷺ Apni ummat ke bare me farmate hain meri ye ummat shirk nahi kar sakti.

Hazrat Uqba bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hai'n Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya : Beshak Mai Tumhara Peshraw Aur Tum Par Gawaah Hoo’.Beshak Khuda Ki Qasam! Mai Apne Hawz (Kausar) Ko Iss Waqt Bhi Dekh Raha Hu'n Aur Beshak Mujhe Zameen Ke Khazaano Ki Kunjiya’(Ya Farmaya : ) Zmaeen Ke Kunjiya’ Ata Kardi Gayi Hai'n aur Khuda Ki Qasam! Mujhe Darr Nahi Ki Mere Baad Tum Shirk Karne Lagoge Balki Mujhe Darr Iss Baat Ka Hai Ki Tum Duniya Ki Muhabbat Me Mubtila Ho Jaoge.”

References : “-(Sahih Bukhari, Pg : Kitab Al Manakib, Baab : Alamat E Nabuwat Fi Islamihi, Hadees : 3596)

“-(Sahih Bukhari,Kitab Ar Riqaak, Hadees : 6426, 6590)“-(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab: isbati Hauzi Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees :2296).

Hazrat Ubada bin Nasai رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ kahte hain, mai Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ ke paas gaya wo apni jae namaz par baithe ro rahe the Maine puchha aye Shaddad kyu rote ho Unhone kaha Ubada suno Ek hadees Maine Rasoolullah ﷺ se suni hai uski wajah se ro raha hu,Maine puchha woh hadees kaun si hai. Kaha,Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Farmate He Ki “Mai sarkaar ﷺ ke paas baitha tha sarkaar ﷺ ghamgheen the,Meine puchha Ya RASOOLALLAH ﷺ MERE MAA BAAP AAP ﷺ PAR QURBAN ghamgheen kyu hain ? To Aaqa ﷺ ne farmaya‘Mujhe meri ummat pe MERE BAAD 2 cheez ka khatra hai, (Is wajah se ghamgheen hu'n )’Meine Arz ki kis chiz ka khatra ?SHIRK Aur KHUFIYA SHEHWAT ka Khauf hai.Shaddad ne Pucha Kya Sarkar ﷺ Aapke baad Aapki Ummat Mushrik Hojayegi ?Sarkar ﷺ ne irshad farmaya,Khabardaar MERI UMMAT NA CHAAND KO PUJEGI NA SURAJ KO PUJEGI NA BUTT KO PUJEGI NA DARAKHT ( tree) KO PUJEGI NA PATTHAR KO PUJEGI.(Aye shaddad maine jise “Shirk” kaha wo riyakari /dikhawe ke aamaal hain )Maine arz ki ya rasool Allah, kya riyakari (dikhawe ke amal bhi “Shirk” hai? Farmaya, haa'n.”References :(Hakim Al Mustadrak Vol : 05, Pg : 470, Hadees : 8010).

Meri Ummat Hargiz Gumrahi Par Jama nahi hogi, To Tum parr Jamaa’at Ki Pairwi Laazim Hai kyu ke Allah Ka Daste Qudrat Jamaa’t Par Hai”.

(Al’Mujamul Kabeer H#13623 – Saheeh).

Hazrat Uqba bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Shuhada E Uhad Parr (Dubaara) 8 Saal Baad Iss Tarah Namaz Padhi Goya Zindo'n Aur Murdo'n Ko Alwida Keh Rahe Hain.Phir Aap ﷺ Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe Aur Farmaya: Mein Tumhara Peshwa Hu'n, Mai Tumhare Upar Gawaah Hu’n, Hamari Mulaqat Ke Jagah Hawz E Kawsar Hai Aur Mai Iss Jagah Se Hawz E Kawsar Ko Dekh Raha Hu’n Aur Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka Darr Nahi Ki Tum (Mere Baad) Shirk Me Mubtila Ho Jao’ge Balki Tumhare Mut’alliq Mujhe Duniyadaari Ki Muhabbat Me Mubtila Ho Jaane Ka Andesha Hai. Hazrat Uqaba ibn Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Ye Mera Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ka Aakhiri Deedaar Tha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hi Aap ﷺ)” ka wisal hogya.

References :(Sahih Bukhari, Pg : 993, Kitabul Maghazi, Baab : Ghazwat E Uhud, Hadees : 4042, 4085)(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees :5689) (Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 216, Hadees : 3324)(Musnad Ahmad ibn Hanbal Vol : 04, Pg : 154, Hadees : 17532) (Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 17, Pg : 279, Hadees : 768) (Imam Bayhaqi Sunan Kubra Vol : 04, Pg : 14, Hadees : 6601)

Hazrat Uqba Bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :Mujhe Tumhare Mut’alliq Iss Baat Ka To Darr Hi Nahi Hai Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge Balki Mujhe Darr Hai Ki Tum Duniya Ki Muhabbat Me Giraftar Ho Jaoge Aur Ladoge Aur Halaak Hoge. Jaisa Ki Tum Se Pehle Log Huwe. Hazrat Uqba رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Ye Aakhri Baar Thi Jab Maine Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ko Mimbar Par Jalwa Afroz Dekha (Ya’ni Uss Ke Baad Jald Hi Aap ﷺ Ka Wisaal Ho Gaya).

”References :(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab : Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees : 2296 (B))(Imam Tabarani Mujam Ul Kabeer, Vol : 17, Pg : 279 , Hadees : 769)

اہل سنت کے اختلاف رحمت ہیں۔

یزید پلید لناٹی

عظمتِ امام احمد رضا رحمۃ اللّٰہ علیہ ۔

صلٰوۃ و سلام پڑھنے کا ثبوت

حضرت امیر معاویہ رضی اللہ عنہ پر اعتراز کا جواب۔

اہل حدیث بے نقاب

دیدار خدا بہ چشمہ مصطفی ﷺ

چشتی رسول اللہ کے جھوٹے واقییے کا جواب۔

تعویذ پہنے کا سبوت

آپ (ﷺ) کی خاطر بنے دو جہاں