Fatawa & Masails 27-May-2024

Qabr Par Azaan Dena Kaisa?

Sawaal:- Dafan Karne Ke Ba'ad Qabr Par Azaan Dena Kaisa Hai?

Jawaab :- Dafan Karne Ke Ba'ad Qabr Par Azaan Dena Jaa'iz Wa Mustehsan Hai,

Sawaal :- Qabr Par Azaan Dene Ka Saboot Kya Hai?

Jawaab :- Qabr Par Azaan Dene Ka Jawaaz Yaqeeni Hai Kyu'nke Sharee'at e Mutahharah Ne Isse Man'a Nahee'n Farmaaya Aur Jis Kaam Se Sharee'at e Mutahharah Man'a Na Farmaaye Aslan Mamn'u Nahee'n Ho Sakta, Neez Ahaadees Se Saabit Hai Ke Jab Murde Ko Qabr Me'n Utaarne Ke Ba'ad Munkar Nakeer Uske Paas Aakar Sawaalaat Karte Hai'n To Shaitaan Jo Ke Insaan Ka Azali Dushman Hai, Musalmaan Ko Behkaane Keliye Wahaa'n Bhi Aa Paho'nchta Hai Aur Yeh Baat Bhi Ahaadees Se Saabit Hai Ke Shaitaan Qabr Me'n Aata Aur Musalmaan Ko Sawaalaat Ke Jawaab Dene Me'n Pareshaani Me'n Mubtela Karta Hai Taake Yeh Sawaalaat Ke Jawaabaat Na De Sake Aur Jab Azaan Di Jaati Hai To Shaitaan Bhaag Khada Hota Hai, Chunaancha Riwaayat Me'n Hai, "Jab Murde Se Sawaal Hota Hai Ke Tera Rab Kaun Hai? Shaitaan Uspar Zaahir Hota Hai Aur Apni Taraf Ishaarah Karta Hai Ya'ni Mai'n Tera Rab Hoo'n" Isliye Hukm Aaya Ke Mayyat Keliye Jawaab Me'n Saabit Qadam Rehne Ki Du'aa Kare'n,

(Nawaadirul Usool, Al-Aslul Haadiyu Wal Khamsoona Wal Mi'ataan, 2/1020).

Aur Yeh Amar Bhi Ahaadees e Saheeh Se Saabit Hai Ke Azaan Dene Se Shaitaan Bhaagta Hai Joo'nhi Azaan Ki Aawaaz Uske Kaan Me'n Padti Hai Jiss Jagah Azaan Di Ja Rahi Ho Wahaa'n Se Koso'n Door Bhaag Jaata Hai Chunaanche Saheeh Muslim Me'n Marwi Hai Ke,

Huzoor Farmaate Hai'n "Shaitaan Jab Azaan Sunta Hai Itni Door Bhaagta Hai Jaise Rooha", Aur Rooha Madeena Se 36 Meel Ke Faasle Par Hai,

(Sahih Muslim, Kitaabus Salaat, Jild No 1, Safa No.290, Hadees No.388)

Sawaal:- Kya Azaan Namaaz Ke Saath Khaas Hai?

Jawaab :- Nahee'n, Aisa Nahee'n Ke Azaan Namaaz Ke Saath Khaas Hai, Ba'az Logo'n Ko Azaan e Qabr Ke Na Jaa'iz Hone Ka Shaitaani Waswasa Shaayad Iss Bina Par Aata Hai Ke Log Azaan Ko Namaaz Ke Saath Khaas Samajhte Hai'n Haalaa'nke Aisa Nahee'n Hai Balke Sharee'at e Mutahharah Ne Namaaz Ke Alaawah Kaseer Maqaamaat Par Azaan Ko Mustehsan Jaana Hai Jaise Nao Maulood (New Born Babies) Ke Kaan Aur Dafa e Waba Wa Bala Wagairah Mawaaq'e Me'n, Hazrat Ubaidullah Bin Abu Raaf'e Apne Waalid (Abu Raaf'e) Radiallahu Anhuma Se Bayaan Karte Hai'n Woh Farmaate Hai'n, Mai'n Ne Rasoolullah Ko Hazrat Hasan Bin Ali Radiallahu Anhuma Ke Kaan Me'n Namaaz Jaisi Azaan Kehte Huwe Suna, Jab Hazrat Faatema Radiallahu Anha Ne Unko Janam Diya,

(Musnade Ahmad Bin Hambal, Jild No.6, Safha No.391, Hadees No.27230 / Abu Dawood Shareef, Jild No.4, Safha No.328)

Ummul Momineen Hazrat Aa'yesha Siddiqa رضي الله عنها Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Ke Zamaane Me'n Sooraj Grahan Huwa To Aapne Logo'n Ko Namaaz e Kusoof Padhaane Ke Ba'ad Khutba Diya Aur Allah Ta'ala Ki Hamd Wa Sana Ke Ba'ad Farmaaya Ke, "Sooraj Aur Chaand Dono'n Allah Ta'ala Ki Nishaaniyaa'n Hai'n Aur Kisi Ki Maut Wa Hayaat Se Unme'n Grahan Nahee'n Lagta, Jab Tum Grahan Laga Huwa Dekho To Allah Se Du'aa Karo Takbeer Kaho Aur Namaaz Padho Aur Sadqa Karo.

" (Bukhaari Shareef, Kitaabul Kusoof, Raqam Hadees 1044).

Darj Baala Hadees e Mubaarka Me'n Rasoolullah Ki Taraf Se Ta'leem Di Gayi Hai Ke Koi Gair Tabiyi Waaqeya Ya Koi Haadsa Pesh Aane Par, Museebat Ka Shikaar Hone Par Ya Koi Waba Phailne Par Ahle Islaam Ko Chaar Kaamo'n Ka Inferaadi Ya Ijtemaayi Taur Par Ahtemaam Karna Chaahiye, Woh Yeh Chaar Umoor Hai'n, (1) Zikr e llaahi, (2) Du'aa, (3) Namaaz, (4) Sadqa,

Ameerul Momineen Wa Muslimeen Sayyaduna Maula Ali Radiallahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Mujhe Huzoor Sayyad e Aa'lam ﷺ Ne Gamgeen Dekha To Irshaad Farmaaya, Aye Abu Taalib Ke Bete! Mai'n Tujhe Gamgeen Paata Hoo'n Apne Kisi Ghar Waale Se Keh Ke Tere Kaan Me'n Azaan Kahe, Azaan Gam Wa Pareshaani Ki Daaf'e Hai,.

(Mirqaatul Mafaateeh Shara Mishqaatul Masaabeeh, Baabul Azaan, Jild No.2, Safha No.149)

Azaan Ki Mashru'iyat Aslan Namaaz Ke Ae'laan Ke Maqsad Se Ki Gayi Hai, Albatta Ba'az Deegar Kaamo'n Keliye Bhi Iska Saboot Milta Hai Maslan Nao Maulood Ke Kaan Me'n Azaan Dene Ka Hukm Ya Aag Zani Ke Waqt Azaan Dene Ki Targeeb Wagairah, To Pyaare Qaari'een In Ahaadees Ki Roshni Me'n Yeh Baat Zaahir Ho Gayi Ke Azaan Dena Qabro'n Par Mustehsan Hai, Ab Agar Kisi Ko Qabr Par Azaan Dene Ka Saboot Hadees Me'n Lafz Ba Lafz Chaahiye To Woh Hume'n Loudspeaker Me'n Azaan Dene Ki Hadees Lafz Ba Lafz Zaroor Bataaye