Fatawa & Masails 28-May-2024

Nikah Karne Ke Fayede

Nikaah ki Wajah se Aadmi Bahut se Gunaahon se Bach Jaata hai Aur Pur'sukoon Zindagi Naseeb Hoti hai, Jaisa ki Qur'aan-e-Kareem me ALLAH ne Farmaaya:

Sureh Room Ayat No.21

وَ مِنْ اٰیٰتِهٖۤ اَنْ خَلَقَ لَكُمْ مِّنْ اَنْفُسِكُمْ اَزْوَاجًا لِّتَسْكُنُوْۤا اِلَیْهَا وَ جَعَلَ بَیْنَكُمْ مَّوَدَّةً وَّ رَحْمَةً ؕ اِنَّ فِیْ ذٰلِكَ لَاٰیٰتٍ لِّقَوْمٍ یَّتَفَكَّرُوْنَ

Kanzul Iman translation: Aur Uski Nishaaniyo'n Se Hai Ke Tumhaare Liye Tumhaari Hi Jins Se Jode Banaaye Ke Unse Aaraam Paao Aur Tumhaare Aapas Me'n Mohabbat Aur Rehmat Rakhi Beshak Isme'n Nishaaniyaa'n Hai'n Dhyaan Karne Waalo'n Keliye.

ALLAH Nikaah ki Barkat se Nikaah Karne Waale ko Maal- daar Bana deta hai, Qur'aan me ALLAH Farmata Hain :

Sureh Noor Ayat No.32

وَ اَنْكِحُوا الْاَیَامٰی مِنْكُمْ وَ الصّٰلِحِیْنَ مِنْ عِبَادِكُمْ وَ اِمَآىِٕكُمْ ؕ اِنْ یَّكُوْنُوْا فُقَرَآءَ یُغْنِهِمُ اللّٰهُ مِنْ فَضْلِهٖ ؕ وَ اللّٰهُ وَاسِعٌ عَلِیْمٌ

Kanzul Iman translation: Aur Nikaah Kardo Apno'n Me'n Unka Jo Be Nikaah Ho'n Aur Apne Laayeq Bando'n Aur Kaneezo'n Ka Agar Woh Faqeer Ho'n To Allah Unhe'n Gani Kar Dega Apne Fazl Ke Sabab Aur Allah Wus'at Waala Ilm Waala Hai.

Saari Cheeze Hone ke Baawajud Nikaah Naa Krne Waale ko ALLAH ke Rasool ne Shaitaan ka Bhai aur Bure Logo me Shumaar kiya Hai Ek Hadees me Hai ke Rasoolullah ke Paas ek Shakhs aaya, Jise ikaaf kaha Jaata Tha, Rasoolullah ne us se Pucha Aye ikaaf! Kya Tumhaari Biwi hai? Unhone Kaha Nahi, Aapne Puchha: Kya Kaneez hai? Unhone kaha Nahii.

Aapﷺ ne Farmaaya: Jab ke Tum ALLAH ke Fazal se Maaldaar aur Tandurust bhi ho, Unhone Kaha: Ji Haan! to Aap ﷺne Farmaaya: ki tab to Tum Shaitaan ke Bhai ho, Agar Tum isaai Hote, To un ke Paadri hote. Magar Tum hm me se Ho To Jo Hm Karte Hai Waisa hi Karo, Kyun ke Hamaara Tareeqa Nikaah Krna hai, Tum me Badtareen Log wo hai, Jo Gair Shaadi Shuda Hai aur Tumhaare Murdo me Badtareen Murde wo Hai, Jo Bagair Nikaah ke mar Gaye.

(Musnade Ahmed: 21450, Sho'bul Imaan: 5480)