11 Baar Darood Shareef 1 Baar Sureh Faateh 1 Baar Sureh Baqarah Ki Starting Ki 5 Aayate 1 Baar Sureh Kaafiroon 3 Baar Sureh Ikhlaas 1 Baar Sureh Falaq 1 Baar Sureh Naas 11 Baar Darood Shareef Yeh Padh Kar Iss Tarah Du'aa Karein.
"Ya Allah Maine Jo Darood Shareef Aur Qur'aan Shareef Padha Isme Jaane Anjaane Me Jo Bhi Galtiya Huwi Mu'aaf Farma, Isko Aur Iss Niyaaz Ko Qubuliyat Ka Darja Ataa Farma, Iska Sawaab Sabse Pehle Rasoolullahﷺ Ki Baargaah Me Pesh Karta Hu Qubool Farma, Rasoolullahﷺ Ke Waseele Se Tamaam Ambiya, Sahaba, Ahle Bait, Auliya, Qull Muslimeen Qull Muslimaat Qull Momineen Qull Mominaat Ko Nazr Karta Hu Qubool Farma Aur Khaas Taur Se (Jiske Naam Ki Faateha De Rahe Hai Uska Naam Le) Ki Baargaah Me Pesh Karta Hu Qubool Farma. Iske Baad Jo Du'aa Maangna Hai Maange Aur Darood Shareef Padh Kar Du'aa Khatam Karde".